Asad: Ms Faarooqui,tanu ke jaisi nekh dil aur tehzeeb e aftaa ladki tumhe kahin nahin milegi!Aur tum kehna chah rahi ho ki usme itne gande khayalaat chupe hai? Main tannu par aankh bandh karke bharosa karta hoon aur agar woh khud aakar mujhse kahegi tab bhi mai nahin maanunga ki woh aisa kar sakti hai.
Zoya: accha toh aapka matlab yeh hai ki aap tanveer par vishwas karte hai par mujhpar nahin.
Asad: Woh...
Zoya: (teary eyed with anger and bitterness)Thank you Mr Khan,aaj mai pehli baar aapko samajh rahi hoon.
Asad: Nahin,mera woh matlab nahi tha...
Zoya: Aaj mein aapko pehli baar samajh.Agar aisa hi tha toh aapne mera saath drama kyun kiya,seedha tanveer se hi shaadi karte,pyaar uske liye,izzat uske liya,vishwas uske liye.
Aap aaj meri baat ka yakeen nahi kar rahein hai,par iski mujhe koi parva nahin kyonki jo sach hai woh sach hai. Ek na ek din bahar aa jaata hai. Mujhe ghin aati hai yeh soch kar ki itni der se aap mujh par aankho se pyaar barsa rahe the par aapke dil mein tanveer thi. Aapne mera mazaak udaaya or merein jazbaaton ka mazaak uddaaya. Main thak gayi hoon aapki galta faimiyon se aur apki mujhe hamesha galat samajhne ki aadat se and im just done. (turns to leave)
Asad: (catches her hand) Zoya please meri baat suno
Zoya: (laughs sadly) Kya aapne meri baat sunne ki koshis ki? Jab phoophi go lagi thi or aapne mujhe blame kiya? Jab mein aapke liya ayaan ki sagai mein gayi? Jab main cheekh cheekh kar keh rahi thi ki maine woh blood samples mein koyi gadbad nahi ki?
Asad: (lowers his eyes ashamed) Im sorry Zoya par tumhe meri baat sunni hogi,bas ek baar.
Zoya: Nahi,aaj tak vahi toh karti aayi hoon,aapki kadvi baaton sunna. Ab mijhe kuch nahi sunna hai, Nahi mujhe aap mein interest hain nahi tanveer mein aur nahi aapkein oosulon mein. Aapko jaisi ladki chahiye thi aapko mil gayi. Im done.
Asad: Zoya nahi!Tumhi meri sab kuch ho!
Zoya:(Shocked but then recovers) Nahin Mr Khan,kyunki joh aap ke liya sab kuch ho unpar vishwas kiya jaata hai.Aapki baaton se aur aapki harkaton se yahi dikhta hai ki (pauses) Clearly Tanveer aapke liye sab kuch hain. Aur agar aisa nahin hai phir bhi iss sab ke baad mera aap par aitbaar karna namunkin hai aur yeh sirf aur sirf aapki harkaton ka nateeja hai. Ab kuch nahi ho sakta.(leaves with tears in her eyes)