CHAPTER 1 RATHORE'S HOUSE :
SUGANDH {in tensed mind to their servants} - Zaldi saaf karo , yahan inn phulon ko change karo , ye vass khali kyun hai. Bed ache se sajao. ye kya kar rhe ho tum jante nhi mirror ko sirhane nhi rakha jata ye ashubh hota hai , jao ise wahan rakho.
uff ye ladka... kya karun me iska . pata nhi kab kya karta hai. 10 baje ki flight se aa rha hai aur is baat ki khabar abhi de rha hai. 10 baj gaye ab to flight bhi land kar chuki hogi.
Kabir... Kabir... kahan ho tum?
SERVANT --- Rani sahiba ... kunwar ji chote kunwar ko lene airport gaye hain.
SUGANDH --- to tum yahan kya kar rhe ho jao aur jakar zaldi aarti ki thaal tyar karo. zaldi jao.
SERVANT --- ji ranisahiba..
Bhawani room me aati hai aur sugandh ko pareshan dekhti hai.
BHAWANI --- arrey bitiya kyun pareshan hoti ho. wo bada ho gaya hai . ab wo sambhal sakta hai apne aap ko..
SUGANDH --- nhi maasi ... jab tak main use dekh na lun mujhe santi nhi milegi.. 3 saal mene use apne se , pariwar se , is jagah se durr rakha .takki uski pareshaniyan bhi durr ho jayen. par ab wo wapis yahan aa rha hai. kahin phirse uske saath wahi hua to...
BHAWANI (sugadh k kandhe par haath rakhte hue)--- chinta na karo . ab use wo sapne nhi aate honge. chalo ab pareshan hona band karo aur apne bete ke aane ka swagat karo.
SUGANDH( ek halke se smile k sath)--- han maasi ... janti ho aaj sab uski pasand ka banaya hai. khoob khilaungi usko... aane to use . aankhen taras gayi hain use dekhne ko.
IN AIRPORT
{ Dehradun airport ----Delhi se aane wale sabhi yatriyon ka dehradun me sawagat hai. Is flight me safar karne k liye aapka sabka dhanyavad.}
airport k bahar , ek stylish BMW aakar rukti hai. jis mese ek bahut handsome , black eyes apni rolex watch and apne shut ki buttons lagata hua car se bahar nikalta hai.
A PERSON (mr. saxena)--- hello mr. kabir ... rathore umpire ka waris... glad to meet u mr. kabir ...
KABIR --- me too mr. saxena...
SAXENA --- aap yah kaise mr.kabir. kisi ko receive karne aaye hain?
KABIR --- han ... mera chota bhai Abhay aa rha hai. use lene aaya hun. uski flight land kar chuki hai.
airport se bahar nikalta hua ek handsome ladka , jisne black jeans black shirt and black overcoat pehne hua tha. jis par sabhi ladkiyon ki nazar mudd jati hai. jiski silky light brown hairs , bhoori aakhen sab ladkiyon ko deewana bana deti hai.
Abhay bahar nikalta hai aur apne bade bhai ko dekhkar khusi se uski taraf dodta haiapna laugage chodkar. aur use hug karne ki kosish karta hai.
Bt kabir ek bade bhai ki tarah abhay ko apna seriousness dikhata hai. aur usse bahut seriously baat bhi karta hai. abhay jab use hug karta hai to wo do kadam piche ho jata hai.
ABHAY(hasta hua) --- wassup big bro???
KABIR --- WAIT ...( do kadam piche hadhta hua)
ABHAY (apni hasi band kar deta hai) --- hmmm.....
KABIR --- kaise ho tum?
ABHAY --- acha hun
KABIR --- graduation complete ho gayi tumhari ? ab aage kya karne ka irada hai?
ABHAY(masti wali hasi dete hue) --- kya karunga apni mastery karunga aur aapko pareshan karunga.
phir dono bhai zorse haste hain aur ek dusre ko ek tight hug karte hain.
KABIR(abhay k sarr par hath rakhkar muskarta hua) --- tu nhi sudhrega. ab tak masti chal rhi hai. ghar chal maa tera intezar kar rhi hai.
phir dono bhai car baith jate hain. Driver laguage lekar aata hai aur diggy me rakh kar car chalata hai.
ABHAY --- kitne saalon baad dehradun aaya hun. bahut miss kiya aap sabko maine. dad nhi aaye airport.
KABIR --- han ... dad meeting k liye US gaye hue hain wo kal aa jayenge. tum batao kitni ladkiyon ka dil todkar aaye ho london se?
ABHAY ---- hmmm ... hongi yahin kahin. 1 2 3 4... srry lost the count... hahahhahah
us waqt car ek jungle se guzar rhi hoti hai. par abhay sudden car k bahar zhakta hai aur jungle ki taraf dekhta hai aur bahut ghabra zata hai. ghabrahat k mare uske forehead me pasina aa jata hai... par uski nazar bahar jungle ki taraf hi hoti hai. kabir abhay ki halat dekhta hai aur car k window band kar deta hai.
KABIR --- abhay r u ok??
ABHAY --- HAN BRO ... HAN main thik hun.....
bt abhay mann hi mann sochta hai ki ye kya tha. aisa kya tha wahan jise dekhkar main ...
Edited by Sanjha - 14 years ago