Reporter: Lagta hai Aap Historical Character mein Apne Aap ko Zyaada Fit Feel Karte hai?
Rajat : Aisi Baat Nahi Hai. Meri Pehli Shuruat Hi 'Ramanand Sagar' Ke 'Sai Baba' Jaise Show Se hui Thi. Iske Baad Jab Woh Khatam Hua to Ramanand Camp se Hi Mujhe PRC ka Prastav Mil Gaya. To Yeh Ek Co-Incidence hi hai.
Reporter: Kya Aapka is Line Mein Aana Ek Co-Incidence Hai?
Rajat: Haan, Main Delhi mein Swimming Champion Banna Chahta Tha..... (YAY!!!) Mere Papa Bhi Swimming Coach Hain Lekin Do Saal Pehle Jab Mumbai Mein Achanak 'Sai Baba' Ke Audition Ki Khabar Mili To Main Bhi Chala Gaya... Co-Incidently, Mera School Mein Naatak Karne ka Experience Kaam Aa Gaya... (didn't knew wo school mein bhi acting karta tha =P) Uske Baad Maine Lagatar Hard Work Kiya Aur Jab 'Prithviraj Chauhan' Ke Liye Audition Hua To Main Phir Se Wahaan Chala Gaya, yeh Meri Kismat hi Hai ki Meri Mehnat Kaam Aa Gayi... (Kismat Nahi Dude! U have that ability!)
Reporter: It Means Aapki jo Padhaai Beech mein Hi Reh Gayi Hai Wo Poori Nahi Hogi Aur Aap Poori Tarah se Acting ko Hi Apne Jivan ka Aim Banane Ke Baare mein Soch Rahe hain?
Rajat: Nahi Aisa Nahi hai.. Main Abhi 17 Saal ka Hoon... (*sigh* Silly Reporters 'n Media... He's 14!!) Jab Maine Acting Start Ki Thi to Main Class 10th Mein tha... Lekin Maine Correspondence Se Apni Study Start kar di hai.. Mujhe Jab bhi Time Milta hai Main Apni Kitaabo Mein Doob Jaata hoon... (COOOL!!! Gud Luck for ur Studies Man! *thumbs up*)
Reporter: Yuva Prithvi ke Baad Aapke Naye Show 'DharamVeer' mein Aap Apne Character mein Kitna Doobe Hain?
Rajat: Poori Tarah Se, Yeh Prithvi se Ekdum Alag Kirdar Hai... Ise Poori Tarah Se Kaalpanic (Fictious) Kahaani Par based Rakha Gaya Hai, Par Humne Sets and Shooting mein Samay aur Character ke Saath-Saath Vesh-Bhoosha (Dressing Style) Par bhi Poora Dhyaan Diya hai... (really u look dashing in it yaar ^^)
Reporter: 'DharamVeer' Ki Kahaani Kya hai?
Rajat: Yeh Aaj se Saenkdo (hundreds) Saal Pehle hue Ek Rajya mein Bichhude Do Doston 'Dharam' aur 'Veer Ki Kahaani Hai Jo Nahi Jaante Ki Ve Kaun hain... Lekin Jahaan Bhi Anyaay hota hai Woh Dono Ek Saath Pahunch Jaate hain.... Lekin Saath hi Dono mein Apne Aap Ko Saabit Karne ki Hod bhi hai... Woh Bahadur Yodha Aur Parakrami hain.... (WAAOHH!!)
Reporter: Kaha Jaa Raha hai Ki Yeh Manmohan Desai Ki Film 'DharamVeer' se Prerit hai, bas Character Badle Gaye hain?
Rajat: Aisa Nahi Hai, Par Hamaare Hindi Cinema ka ek Unnat Itihaas Hamaare Paas hai aur Yadi hum Usse Prerit ho kar TV ke Liye Kuch Bana Rahe hain To Ismein koi Buraai nahi hai... Lekin yeh Usse Bilkul Alag Show hai...
Reporter: Is Show mein Aapka Look Prithvi se Bahut Milta Hai... Isme Aap Ne Naya Kya Kiya hai?
Rajat: Yeh Keval Ek Sanyog (co-incident) hai ki Mujhe Apna Naam Aur Character Badalne Ke Ilaava Aur Kuch Nahi Karna Pada.. Ismein Bhi Mere Baal Lambe hain Aur Ismein Bhi 'Prithviraj Chauhan' ki Hi Tarah Stunt Scenes bhi Main Khud hi Kar Raha Hoon.... (Awesome Yaar! Hum sabko Intezaar Rahega...)
Reporter: TV Par Roz Naye Shows Aa Rahe Hain... Aap Dusare Shows kyun Nahi kar Rahe Abhi?
Rajat: Nahi, Jab se Maine Prithvi kiya hai Tab Se Dhero Offers Mere Paas Aa Rahe hain Par Woh Sab Saas-Bahoo Waale Shows se Jude hain... (YUCKS!!) Main Unmein Nahi Fasna Chaahta... Woh to Sab Kar Rahe hain... (Yeh Hui Na Baat!!)
Reporter: Ab Aage Kya Karne Waale Hain?
Rajat: Abhi To main Kuch bhi Nahi Bata Sakta, DharamVeer ki Shooting Chal Rahi Hai... Isi Month Mein yeh Logon ke Saamne Aayega Aur Hum Ismein Poori Tarah se Busy Honge...
Reporter: Chaahat Aur Sapne Kya Hain Itni si Age mein Itni Lokpriyata Aur Naam Aapko Badal Nahi raha hai?
Rajat: Nahi Main Ek Medium Class Family Se Hoon.. Mere Sapne Jaroor 'Hrithik Roshan' Banne Ke Ho Sakte hain Lekin Main Apni Seemaayein Pehchaanta Hoon Aur Ye Bhi Janta Hoon ki Ye Itna Aasan Nahi Hoga. Lekin main Koshish Karta Rahunga. (Awww... Dear tum hum sabke Dilon ki Dhadkan Ho... Apne Aapko Akela Mat Samajhna)
Reporter: Fursat mein Aap Kya Karte Hain?
Rajat: Main Kareeb Teen (three) Saal se Mumbai mein hoon (I thought Shooting Baroda mein Chal Rahi Hai...), Bas Samay Milta hai To Main Apne Parivaar ke Paas Chala Jaata Hoon ya Phir Unhe Apne Paas Bula Leta Hoon... (How Sweet!!!)
credit goes to Mrs.rajat tokas(india-forum member)