Krishna ke ghar ke bahar bheed lagi hui thi...krishna bheed ko dekhkar pareshan ho jata hai...bheed me se ek aadmi bahar nikalkar ata hai aur kehta hai...
"krishna...meri beti ki jaan bacha le...meri beti bahut badi musibat me hai.."
Krishna: "Ankush... Kya hua teri beti ko...????aur ye itni saari bheed kis liye!!"
Ankush: "Meri beti es samay jindagi aur maut se ladh rahi hai...aur meri beti ko es musibat se koi bahar nikal sakta hai to wo tum ho krishna..."
Krishna: "dekh ankush mujhe kuch samajh nahi aa raha hai saaf saaf bata aakhir me teri beti ko hua kya hai..."
Bheed me se dusra aadmi bol padta hai...
" Krishna...esko apni beti ke marne ka gehra sadma laga hai...esiliye ye har ghar jakar ek hi baat kehta hai,,,,ham sab subah se eske saath chal rahe hai..."
Krishna: "kya!!! Kaise hua ye sab???"
"ab kya batayein tumko krishna...tum to jante ho ki es duniye me sirf paise ka bol bala hai...paisa hai to sab kuch hai aur paisa nahi to kuch bhi nahi...ankush ki beti ki maut bhi paise ki hi wajah se hui...eski beti ko fever ho gaya tha aur isne jaldi use hospital me admit bhi karwa diya par doctor ne sabse pehle paise ki demand rakh di...bechare ankush par us waqt paise nahi the...aur doctor ne bhi uska treatment karne se inkaar kar diya...eski beti ne wahi hospital me hi apna dam tod diya.."
Krishna: "mujhe ankush ki beti ki maut ka bahut dukh hai...nanhi si jaan thi wo...usme ankush ki jaan basi hui thi...esiliye me ankush ka dard uski takleef samajh sakta hu...par ye waqt dukhi hone ya aansu bahane ka nahi hai...ye waqt hai us doctor ke khilaf awaaz uthane ka..."
"sahi keh rahe ho krishna...hame us doctor ke khilaf awaaz uthani hi chahiye jisne sirf paise ki khatir ek masoom ki jaan li...jo eski beti ke saath hua...ham kisi aur ki beti ke saath ye nahi hone denge..."
Krishna: "Thik hai aap sabhi mere saath ho to phir us doctor ko hum acha sabak sikha sakte hai...me batata hun ki aap ko kya karna hai..."
Krishna sabhi ko apna plan bata deta hai..aur sabhi krishna ke plan se khush ho jate hain...
"krishna tumhara plan sach me bahut acha hai...hame poora yakeen hai ki us doctor ko esse acha sabak milega aur wo phir kisi ke saath aisa nahi karega..."
Krishna: "thik hai jo mene bataya hai wo aap karna shuru kar dijiye...baki me dekh lunga..."
"krishna tumhara bahut bahut shukriya...acha ab ham chalte hain..."
Sab log krishna ke plan ko anjam dene ke liye nikal padte hain...
Krishna apni jeans se mobile nikal kar ek number dial karta hai...
Krishna: "Hello vicky...jaldi se mere ghar par aa aur apne saath un dono namuno ko bhi le ana..."
Krishna itna kehkar call cut kar deta hai..
Ghar me raksha bandhan ki joro shoro se tyaariyan shuru ho chuki thi...singhaniya mansion poora ka poora phoolon se saja hua jagmaga raha tha...
Anjali apne kitchen me nayi nayi dishes bana rahi thi..to wahin dusri taraf pratigya ghar ke baahar rango se khel rahi thi matlab rangoli bana rahi thi...
Anjali: "Pratigya...apne bhaiya ko jagao..aaj raksha bandhan hai aur wo so raha hai..."
Pratigya: "Mom..bas thodi der aur...meri rangoli thodi hi reh gayi hai..ise khatam karkar abhi bhaiya ko utha deti hun...tab tak bhaiya ko sone do na...bhaiya kal shaam ko bahut hi thake hue aaye the...unhe abhi aaram chahiye.."
Anjali: "Thik hai bhaiya ki chamchi..."
Pratigya: "Han ..wo to me hun hi bhaiya ki chamchi...usme kaun si badi baat hai.."
"pratigya bitiya..."
Pratigya ko peeche se kisi ne awaaz lagai...
Pratigya peeche mudkar dekhti hai...saamne pratigya ke mama the...pratigya apne mama ko dekhkar bahut khush ho jati hai..,
Pratigya: "Mamaji, ap sahi waqt par aye ho...dekho na kabse mom mujhe bhaiya ki chamchi kehkar pareshaan kar rahi hai...ab ap aa gaye ho to ap hi samjha do apni behna ko ki mujhe chamcha chamchi na kaha kare..."
Mama: "Pratigya bitiya..ye tujhse chamchi esiliye kehti hai kyunki ye khud apne bhaiya ki chamchi hai..."
Pratigya: "kya baat kar rahe hai aap mamaji!!!"
Mama: "sahi keh raha hu bitiya...teri maa mere dar se sab kaam kar jati thi...aur jab main ghar pe nahi hota tha to ghar me sabko pareshan kar deti thi...lekin us dar me bhi pyaar chhipa hua tha...jo teri maa ko mujhse tha...hamesha teri maa mera har kehna manti aur mujhe samman deti..."
Pratigya: "To kya aaj bhi mom aapse darti hain???"
Mama: "Teri maa mujhse darti hai ya nahi...ye to mujhe nahi malum par itna jarur hai ki wo mera samman karti hai..."
Pratigya: "Sorry Mama ji.,main apni nonsense baaton ke chakkar me apko baithana bhul gayi...aap yahan sofe par baithiye...main apke liye pani lekar aati hun..."
Pratigya ke mamaji sofe par baith jate hain aur pratigya pani ke liye kitchen mein chali jati hai..,anjali apna khana banane me busy thi...
Pratigya: "Mom..abhi aap thodi der pehle mujhe bhaiya ki chamchi keh rahi thi na...ab tum bahar jakar dekho wo aaye hai jiski ap kabhi chamchi thi...kya pata aaj bhi ho..."
Anjali: "ye kya bakwaas kar rahi hai tu pratigya!!!! Kaun si chamchi...kaisi chamchi!!! Kaun aaya hai baahar????"
Pratigya: "Baahar mamaji aaye hain...apko bula rahe hai..."
Anjali: "itni der se tu mere maathe mein dard kar rahi hai...seedhe seedhe nahi bata sakti thi ki baahar mamaji aye hai...!!!"
Pratigya: "Main to aapke saath thoda majak kar rahi thi...ab aap bahar jaiye aur mama se miliye...main mamaji ke liye pani lekar aati hun..."
Anjali: "thik hai..jaldi pani lekar aa aur sun apne bhaiya ko bhi jaga dena...tumhare mamaji ko ye bilkul pasand nahi hai ki koi aaj ke din der me uthe..."
Pratigya: "Ok Mom..."
Anjali kitchen se nikalkar hall me aa jati hai...apne bhaiya ko dekhkar anjali apne aansuon ko rok nahi paati..,,
Anjali ke bhaiya jo sofe par baithe hue the...apni behan ko dekhte hi uske per chhute hai...aur use apne gale lagate hai...
Pratigya mamaji ke liye pani lekar aa jati hai..
Pratigya: "Ye lijiye pani mamaji...aur ap apni behan se khub saari baatein kijiye...main abhi ati hun..."
Pratigya vishal bhaiya ke room me jati hai...room me jakar use pata chalta hai ki room me koi hai hi nahi...wo poora room dekh leti hai use koi nahi milta...
Pratigya[To Himself]: "ye vishal bhaiya aakhir kahan chale gaye!!!"
Pratigya pareshani me apne sar par haath rakhkar bed par baith jati hai...
Edited by abhishek_kriyaa - 13 years ago