Posted: 03 April 2007 at 5:27pm | IP Logged | |
Chale jaayenge aapke gulshan se phool bankar. Behjayenge aapki aankhon se aansun bankar.
Aaj aapke paas mere liye fursat nahi. Yaad karoge jab rehjayenge sirf yaad bankar.
Hum tumhe paakar khona nahi chahte. Judaai mein aapki rona nahi chahte.
Hamaare hi rehna ae mere jaan. Hum bhi kisi aur ke hona nahi chahte.
Jabtak is duniya se jaayenge. Aapko itni khushi aur apnapan de jaayenge.
Ke jab yaad karoge humein. Daava hai aankhon se aansun chhalak jaayenge.
Tanhaai na paaye koi kisike saath ke baad. Judaai na paaye koi kisise mulaqaat ke baad.
Na pade kisiko aadat kisiki itni. Ke har saans bhi aaye kisiki yaad ke baad.
Muskuraate palkon pe mausam aate hai. Aap kya jaane kahaan se hamaare gham aate hai.
Aaj bhi uss mod par khade hai jahaan. Kisine kaha tha ke tum thehro hum abhi aate hai.
Na chupaana koi baat dil mein ho agar. Rakhna thoda bharosa tum humpar.
Nibhaayenge yeh rishta is qudur. Ke bhulaane par bhi na bhula paaoge humein umr bhar.
Teri aarzu mein deewane hogaye. Tujhe apna banaate banaate begaane hogaye.
Kar de ek baar yaad apne dil se. Tere dil ki aawaz sune zamaane hogaye.
Choti choti baat par takraar na kiya karo. Hamaari har baat ko dil pe na liya karo.
Kya pata saath hai kitne dinon ka. In palon ko to pyaar se jiya karo.
Unka vaada hai ke wo zaroor aayenge. Isi umeed par hum jiye jaayenge.
Yeh intazaar bhi unhi ki tarah pyaara hai. Kar rahe the, kar rahe hai aur kiye jaayenge.
Humein apne pyaar ka hisaab nahi aata. Aapka palat kar koi jawaab nahi aata.
Hum to aapki yaad mein sote tak nahi. Aapko so kar bhi hamaara khwaab nahi aata.
Saadgi to hamaari zara dekhiye. Aetbaar aapke vaade par karliya.
Baat to sirf ek raat ki thi magar. Intazaar aapka umr bhar karliya.
Koi yaar aisa banaaya jaaye. Jiske aansun ko palkon mein chupaaya jaaye.
Rahe uska mera rishta kuch aisa. Ke agar woh rahe udaas, to humse bhi muskuraya na jaaye.
Yun dil ko har ek shaqs par waara nahi karte. Aankhon mein har ek aks utaara nahi karte.
Honi hai to ek baar hi hojaaye muhabbat. Yeh bhool hai aisi ke dubaara nahi karte.
Aankhon mein aansun hai fir bhi honthon pe hasee aa parti hai. Muhabbat bhi kya cheez hai.
Jisse karte hai usi se chhupaani parti hai.
Nakaam si koshish kiya karte hai. Hum hai ke unse pyaar kiya karte hai.
Hamaari taqdeer mein to ek tuta taara nahi likha. Aur hum hai ke chaand ki aarzu kiya karte hai.
Saanson ka pinjra kisi din tooth jayega. Fir musaafir raaste mein chhooth jayega.
Abhi waqt hai baat kar liya karo. Kya pata zindagi ka dhaaga kab tooth jayega.
Kaash samajhte wo is dil ki tadap ko. To yun na humein ruswaa kiya hota.
Unki yeh berukhi bhi manzoor thi humein. Bus ek baar humein samajh to liya hota.
Dastaan jab waqt sunaata hai. Humein bhi ek chehra yaad aata hai.
Bhool jaate hai hum zindagi ke gham. Jab uske saath bitaaya hua waqt yaad aata hai.
Aisa chahiye dost jo humein apna maan sake. Hamare har dukh ko jaan sake.
Chal rahe ho hum tezz bearish mein. Fir bhi paani mein se aansun pehchaan sake.
Kal fursat na mili to kya karoge. Itni mohlat na mili to kya karoge.
Roz kehdete ho kal milenge kal milenge. Kal agar meri aankhen na khuli to kya karoge.
Wo kehte hai majboor hai hum. Na chahte hue bhi door hai hum.
Churaa li hai unhone hamaari dhadkane. Fir bhi kehte hai beqasoor hai hum.
Zindagi ko khushiyon ne pukaara hai. Sada muskurao aap, yeh sandesha hamara hai.
Phool khilte rahein jeevan mein aapke. Kaanton ke liye daaman hamara hai.
Zindagi ki asli udaan abhi baaki hai. Apne iraadon ka imtihaan abhi baaki hai.
Abhi to naapi hai mutthi bhar zameen. Abhi saara aasman baaki hai.
Har pal aapka hi naam hoga. Aapke har kadam par duniya ka salaam hoga.
Mushkilon ka saamna himmat se karna. Duaa hai meri ke ik din waqt bhi aapka ghulam hoga.
Raatein gumnaam hoti hai. Din kisike naam hota hai.
Hum zindagi kuch istarah se jeete hai. Ke har lamha sirf aapke naam hota hai.
Har ek jazbaat ko zubaan nahi milti. Har ek aarzu ko duaa nahi milti.
Muskaan banaaye rakho to duniya hai saath. Aansoon ko to aankhon mein bhi panaah nahi milti.
Bhigi palkon ke sang muskuratein hai hum. Pal pal dil ko behlaate hai hum.
Tu door hai humse to kya. Har saas mein teri aahat paate hai hum.
Paani ki boonde phoolon ko bhiga rahi hai. Thandi lehrein taazgi jaga rahi hai.
Ho jaaiye aap bhi inmein shaamil. Pyaari si subah aapke liye khushiyaan laa rahi hai.
Bina choth khaaye ehsaas nahi hota. Har koi duniya mein khaas nahi hota.
Magar jiski aarzu dil se ho jaati hai. Wohi hamaare paas nahi hota.
Taare aasman mein chamakte hai. Baadal door hai fir bhi baraste hai.
Hum bhi kitne naadan hai. Aap dil mein rehte hai aur hum milne ko taraste hai.
Duniya mein sabse pyaari hai teri yaari. Dekh ke jal gayi duniya saari. Kya tumhe yaad aati nahi hamaari. To chal ab sms karne ki teri baari.
Waqt aur khushi aapke gulaam honge. Har pal aur pehlu aapke naam honge.
Zara mudkar dekhna mere dost. Aapke har kudum ke neeche mere haathon ke nishaan honge.