lagataar chalungi main..
udungi machlungi terungi sagar paar chalungi main..
mitr ho sath ya mai ghumoon akeli
naye imarat ki chamak ya ho purani haveli
har thikane ka itihaas parkhungi..
Gyan ka anokha le kar bhandaar chalungi main..
seemahin gagan ke neeche seemabadh thal...
har pal har din rahi hai sabhyata badal..
naye rochak bhinn logo se dosti karti..
bina thake yatra mein baar baar chalungi main..