OS : Khan Family in Sangeet Ceremony
Happiness was back in the Khan Mansion once Tanveer was out and Asad was trying his best to please Zoya in all possible ways….
Asad's house at the dining table – Breakfast Time…
Dilshaad : " Asad tumhe yaad hain na.. aaj meri saheli Shabnam ke beti ki sangeet hain.. shaam ko tumhe ham sab to leke jana hain…"
Asad : " Ji Ammi" and he looks at Zoya who was having a worried look on her face…
Najma : "Ammi kitne din ke baad hum bahar ja rahein hain na ?? Zoya aap kya pehn rahi ho ?? "
Zoya smiles at Namja " Tamatar.. mein soch rahi thi ki mein ghar pe hi rukoon aaj.. "
Asad : "Kyun Miss Farooqui.. aap kyun nahin aa rahi hain ??"
Dilshaad : "Kyun Zoya.. tumhe to pasad hain na funtions attend karne mein ??"
Zoya : "Ji Poophi…lekin aap ne hi kaha tha na ki.. nikaah se pehle kisi ko hum batayein nahin… aur wahan sab ko malum hai ki Mr. Khan ki nikaah mujse pehle tair hui thi…agar mein ab wahan aoongi to sab poochenge na…aur apko aur Mr. Khan ko sab ko jawab de de ke … pareshan hojaoge.. isliye.. mein ghar pe rukhthi hoon na…"
Asad now understands what was worrying Zoya and he is also touched to see that this child hearted girl loves him and his family so much and also that she is not as impulsive as he had thought her to be earlier….
Dilshad : "Accha.. to ye baat tumhe satha rahi hain.. Tum phikr mat karo.. hum logon se bhag kar kahin nahin ja sakte.. kabhi na kabhi sab ka samna karna hi padega… hum yeh batayein ge.. ki nikaah karne mein abhi jaldi nahin hain.. jab tariq tair hoga to hum unhe be bulayenge.. itna math socho Zoya.. mein janti hoon ki tum Asad se aur hum sab se kitne mohabat hain.. hum sab kuch sambhal lenge….Tum humare saath arahi ho bus.. that's final"
Najma : "Haan Zoya.. Aaj to Friendship day bhi hain.. Pehle aapko "Happy Friendship Day".. Aap meri best friend ho.." and she goes and hugs Zoya…."Hum apko chodh kar kahin nahin jayenge…Aap ko humare saath ana hi padega.. aur mein na.. apni sab friends se apko milvaoongi.. meri college ke sab friends bhi aa rahein hain…."
Zoya looks at Asad who close his eyes and opens indicating her to agree…
Najma starts laughing looking at both of them…
Dilshad : "ab tumhe kya hua Najma.. is tarah kyun has rahi ho ??"
Najma : "Ammi.. aap janti hain na.. Zoya Farooqui jo sirf apni baat pe adhi rehti thi.. ab dekhiye.. woh bhaijaan ki ijjazat mang rahi hain.. haan bholne se pehle…" and she again starts laughing…
Asad – Zoya " Tamatar !!"
Dilshad's face also lights up with a warm smile…
Zoya : "Tamatar.. tum ne muje chedna shuru kiyai.. bata thi hoon abhi " and she gets up from her chair… Najma runs away and Zoya also runs behind her shouting at her sister in law ….
Dilshaad : "Asad.. mein bahut kush hoon.. allah hamesha humare ghar pe kushi aise hi banaye rakhe…"
Asad :" Ji Ammi…Ameen"
Dilshaad : "Tumhe yaad hain Asad tumne mujse kaha tha.. ki tumhe bahut hi seedi sadi ladki jisme bahut tehrav ho.. aur tehzedb ho.. aise ladki se nikaah karoge.. lekin shukr hain.. tumhe Zoya se mohabat hogayi.. Zoya ne is ghar mein .. hum sab ki zindagi mein bahut bahut kushiyan leke ayi hain…"
Asad : "Ji Ammi.. Mein bhi Zoya ko paake bahut kush hoon.. unhone mere har sukh aur dukh mein mera saath diya hain…meine un par kitna chilata tha.. aur unhe kitne dukh diye hain.. lekin unka dil bahut bada hain.. woh bahut jald sab kuch maaf kardeti hain aur sab kuch bula kar.. zindagi mein age badti jati hain…. Mein unse.. bahut kuch seekh raha hoon ammmi ab…Mein apne aap ko bahut kush naseeb samaj tha hoon ammi.. aur haan apko bhi shukriya ammi.. kyunki.. Zoya humare ghar mein apki wajah se ayi… "
Dilshaad smiles and is happy to see that her son is changing for better…
In the evening… Asad was dressed in a black sherwani, Dilshaad was dressed in a beautiful pink salwar suit while Najma was dressed in a pista green salwar suit…
Asad : "Yeh Miss Farooqui .. itna waqt kyun laga rahi hain ammi…?? Dekhiye.. hum sab ready hogaye hain lekin yeh shehazadi abi tak tayyar ho rahi hain…Mein unhe bulakar aoonga…"
Dilshaad : "Nahin Asad.. Use tayyar hone do.. abhi bahut time hain..Ajao Najma.. TV pe kuch acche ghane arahein hain.. jab tak Zoya athi hain.. hum TV dekh the hain… "
Asad : "Ammi.. " and he goes to Zoya's room and starts banging on her door " Miss Farooqui.. aap itna time kyun lerahi hain.. ?? Jaldi ayi ye.. "
Zoya : " Mr. Khan.. bas do minute…Agar mein jeans pehn thi to mein do minute mein tayyar hojati …."
Asad : "To aap kya pehn kar arahi hain…??"
Zoya : "Aap andar ayiye Mr. Khan.. "
Asad : "Agar aap tayyar hogayi hain.. to aap bahar ajayiye.. "
Zoya :"Mr Khan.. muje aapki help ki zaroorat hain.."
Asad "Teek hain" and wondering what could be her need he enters her room…He was mesmerized looking at her.. She was dressed in a golden coloured lehenga and was looking exceptionally beautiful…She was struggling with her earrings which had got stuck with her duppatta and it was not coming out….
Zoya : "Mr… Khan.. aap muje ghoorna band kijiye.. aur help kijiye… "
Asad moves to her and tries to take out the duppatta thread which had got stuck to hear earring slowly so that it does not hurt her ear….
Asad : "Aap bahut khoobsurat lag rahi hain"… and he tries to lift her face so that she could also look at him…
Both get lost in each other's eyes (Mitwaa.. moment)..
Dilshaad calls out from the Drawing room : "Asad.. ab kya hua.. tum bhi.. bahar nahin aa rahe ho.. dher nahin hui kya ??"
Zoya : "Aap bhi Mr. Khan.. Poophi ab kya sochegi… acha.. ab jaldi help kijiye…"
Finally they all start off to the sangeet ceremony of Shabnam's son….
At the Function Hall…
Ayaan, Humeira (leaving out the Rajani track here), Nikhat and Nuzzat had already arrived since the girls were studying in the same college along with Najma and also the bridegroom's sister Neelam..
Dilshad goes and joins Shabnam and her other friends…Zoya and Najma join the girls.. while the 2 brothers catch up…
Ayaan : "Salaam Walikum Bhaijaan…Arre wahan.. Mona to kudh dulhan ki tarah sajh kar agayi hain aaj.."
Asad : "Ayaan.. Wallikum Salam.. Woh tumhari honewali babhi hain..tum sirf Humeira ke barein mein socho…"
Ayaan smiling looks at his brother.. " Bhaijaan.. patha hain.. Mona.. meri hone wali babhi hain.. aap jealous math hoyiye…. Wahan dekhiye.. kitne ladke aye hain.. shayad dulhe miya ke dost hain.. sab Zoya ki taraf hi dekh rahein hain.. isliye.. muje laga kahin.. woh sab Zoya ko dulhan samja na le…"
Asad immediately looks at the gang of guys who were all well dressed and looked like they had all eyes on Zoya who was sitting alone since all his sisters and Humeira had gone along with Neelam to catch up with their other friends…and he sees that one of the guys was approaching Zoya also..
Asad : "Ayaan.. mein Zoya ke paas jata hoon…"
By the time he reached Zoya, that guy had started speaking to Zoya ..
Asad goes near and clears his throat…
Zoya : "Mr. Khan.. yeh Faisal hain.. Dulhe ke dost.. dono saath mein kaam kartein hai.. aur patha hain aap ko yeh software company mein kaam kartein hain.. "
Asad : "Ji..Hi..Nice to meet you Faisal… Mein Asad Ahmed Khan hoon.. " and shakes his hand…
Faisal : " Zoya.. sangeet mein ab naach gana shur hoga.. kya aap mere saath dance karegi..??"
Before Zoya could reply " Ji nahin.. Actually Zoya meri mangetar hain.. aur mein nahin chatha hoon ki woh kisi aur ke saath dance karein…"
Faisal : " Woh.. I am sorry.. Lekin aap itna possessive kyun ho rahein hain.. mein sirf inke saath ek dance karna chatha hoon…"
Asad gets really angry with this and his hands close to a fist…Zoya immediately puts her hand into Asad's hands
Zoya :" Faisal.. I am sorry.. Agar Mr. Khan permission bhi dete hain.. tab bhi mein kudh nahin chathi hoon ki Mr. Khan ko chodh kar kisi aur ke saath dance karoon.. I am sorry.. Excuse us please"
Telling this she gently pulls Asad and takes him to the balcony where it was not crowded and calm..
Zoya : "Mr. Khan.. Aap itna gussa kyun ho rahein hain.. ?? "
Asad looks at her in eye…" Patha nahin.. muje dar lagta hain.. kahin dubara koi aur hum dono ke beech na ajaye… aur aap aaj itni khoobsoorat lag rahi hain.. sab ladkon ki nazar aap par hi hain.. "
Zoya smiles and holds his hands.. : "Mr. Khan.. Trust me mein sirf aapki hoon … aur meri nazrein sirf aap par hain….aur apko patha hain na ki muje karate athi hain.. agar koi batameezi karta hain.. to mein fight bhi kar sakti hoon…"
By the time both of them come back to the hall, singing and dancing had started…
Najma and Neelam come to Zoya and literally pull her to their gang…The girls were all pulling Humeira's leg.. since Ayaan was behind these girls only and all eyes on Humeira…
Nikhat : " Zoya babhi.. lagta hain.. do no Bhaijaan.. apni apni mangetar se nigaah hat nahin pa rahein hain…"
Humeira : "Accha Baaji..Imraan jeeju ko yahan hona chahiye tha.. tab hum bhi kehte… Yeh to patha hain.. ki apki nazrein sirf Imraan jeeju par tik hoti.."
Nikhat starts blushing..
Nuzzat: "Accha.. Hum na.. dono bhaijaan ko chidathe hain… Zoya Bhabhi aur Humeira baaji mein aur Najma jake na Bhaijaan ko distract karte hain.. aap log kuch dher baad dono chip jayi ye.. tab patha chalega…."
Zoya : "Nuzzat.. Nahin.. Hum yeh sab nahin karenge… Mr. Khan ko bahut gussa ajayega… "
Nuzzat : "Please Babhi.. don't be a spoil sport…Aap dono Neelam ke saath jayiye.. up dulhan ke kamrein me chup jayiye…"
Zoya : " Nahin Nuzzat…"
All the girls pleading " Pleasing babhi.."
Zoya : "Accha.. teek hain.. lekin mein to wahan andar sirf dus ya pandra minute rukh thi hoon.. baad mein ajaongi…"
Nuzzat : "Teek hain…"
As planned, Najma goes to Asad while Nuzzat goes to Ayaan and both of them strike a conversation with their brothers and successfully ensure that their brothers eyes are off from their lady love…
Asad eyes again go back to the group but he does not find Zoya over there and he gets panic and his eyes starts scanning the entire hall…
Najma : "Kya hua Bhaijaan…?? "
Asad : "Najma.. tum aami ke paas raho.. Patha nahin.. Miss Farooqui kahan chali gayi hain.. mein unhe doondkar atha hoon"
Ayaan also notices that Humeira is not in the gang…His eyes also starts searching for her…
Ayaan : "Nuzzat.. yeh Humeira kahan chaligayi.. jao doondh kar lao.. hum ghar chalte hain.. mein bhi unhe doondh tha hoon…"
Nuzzat : "woh yahin kahin hogi bhaijaan.. aap itna pareshan kyun ho rahein hain ??"
Ayaan :" Tum samaj thi nahin ho Nuzzat…tum sab ladkiyon ko ghar mein chod kar hi anatha muje.."
Zoya and Humeira were in the bride's room and they were happily chatting away with all the other ladies in the room..Since Humeira's college friends were also there in the room, they drag out Humeira along with them..
As they were all climbing down the stairs, Humeira tripped and was about to fall. Luckily Ayaan was there to hold her and help her..
Ayaan : "Aap kahan chaligayi thi.. Apko patha hain… ki main kitna pareshan hogaya tha.. Aap ko Nikhat ya Nuzzat ke paas rehana tha …"
Humeira : "Ayaan.. meri bhi friends ayi hui hain.. muje unse bhi milna hai na aur aap itna pareshan kyun ho rahein hain…??"
Ayaan : "Chaliye.. ab hum ghar chalthe hain.. "
Humeira : "Lekin abhi to sangeet shuru hua hain.. mein nahin ane wali…"
Ayaan literally pulls her "Chaliye…"
Humeira : "Ayaan.. yeh aap kya kar rahein hain.. chodiye haath…aap aise kyun pesh aa rahein hain…"
Ayaan : "Kyunki ..bahut ladke aye hain aaj yahan.. isliye chaliye"
Humeira : "To kya hua.. ??"
Ayaan : "Kyunki mein nahin chatha hoon ki koi aur aapko dekhe aur aap ke paas aye… "
Nuzzat and Nikhat who reached behind them… : " Kyunki Bhaijaan aap se pyaar karte hain.. aur nahin chathe hain ki aap unke nazron se door ho…"
Humeira now starts smiling looking at Ayaan.. and his confused look…
Asad : "Chalo. Ayaan ko to apni mallika milgayi.. lekin humari mallika kahan hain ??"
Nuzzat : "Bhaijaan .. woh upar hain…dulhan ke paas..aap bhi pareshan mat hoiye.. hum yeh dekh na chathe the ki humare dono bhaijaan hone wali babhiyoon se kitne pyaar kate hain… isliye hum ne bataya nahin pehle ki woh kahan hain ??"
Ayaan : "Badmash…ghar chalo.. baad me dekh loonga…"
Zoya and Najma also join the gang and everybody enjoy the evening a lot. Asad and Zoya dance on the "Saiyaara song from Ek tha Tiger" ..while the entire group dance on "Hum Saath Saath Hain"
The End…
My other posts : https://www.indiaforums.com/forum/qubool-hai/3683230/os-asya-and-eid and
https://www.indiaforums.com/forum/qubool-hai/3658727/dosti-aur-pyaar-part-15-final-part-updated