Priya mitro yein kavita ek "Haasya Kavita" ke roop main pesh karna chahati hoon. Dekhiye pasand aayi toh like button toh hai hi , aur ha comment karna na bhuliye.
Ashu Diwaniyo Ka Sammelan
Ek din na jane kya suzi
Ashu diwaniyo ki mahfil saji
Kisi ke dimag main'Ashu Diwaniyo ka Sammelan' ayojeet karneki ghanti baji
'Luckhnow' Sammelan ka venue rahega- ailaan kiya gayaa
Fir kya sab ka man ayojan ki tayyariyo main joot gayaa
Bawa, Harshal aur Dev ka jeb toh kat kar fat gayaa
Ek Ashu diwani bani Adhyaksh, toh dusri Sanyojak
Teesri bani secretary toh chouthi swagat committee ki Adhyaksh
Chanda ikkatha hone laga, registration fee ke dhanadesh (cheque) katne lage
Desh videsh se sammelan main shamil hone vaste bahano ke phone bajne lage
sammelan ki jaan - Ashu ko bhi pramukh atithee ke roop main
Sammelan ki shaan badhane saadar nuiyota bheja gayaa
Tayyariyo ke dauran shamiyane me halchal dekh Ashu diwaniyo ka dhyaan but gayaa
Nidhi diwani pooch rahi thee ' Nidhi- Ashu se hamesha judi rahi
Toh kya hame sammelan main shamil hone ka haq nahi?
Rohan Diwani boli ' Rohan toh Nidhi ka hita-chintak tha
Kya hum sammelan me shamil hone layak nahi?
Fir aayi Ranji diwani ' usne bhi sammelan me apni jagaha pakki kar lee
Mallu diwani boli mera bhi utna hi haq banta hai jitna Nidhi diwaniyo ka
Kyo ki Mallu ke kirdar bina Ashu ka kirdar kaise sajta bhalaa?
Amar diwani ne sakhol prem ka ahasaas dilaya
Khusi diwani ne Ashni ke jeevan main bacche ka mahatwa jatayaa
Dheere dheere ek ek kar sab ne sammelan ki shobha badhaayi
Sammelan aarambh hua, mukhya atithee ne sthaan grahan kiya
Sammelan ke adhyaksh ke bagal me unhe baithe dekh Ashu diwaniyo ka dil machal gayaa
Secretary ne Ashuji ka parichay karaya aur unhe do shabda bolne ko kaha
Ashuji manch par khade hue , taaliyo ki gunj ke saath Ashu dilwaniyo ke toh jaise dil ❤️ thum jaye
Na zapakti palke, na lagti pyaas, bus Ashu Ashu ki mala jape har koi aas paas
Ashu ki Awaaj sune Ek bahana huyi behosh, daude aaye Ashuji - bahome bhar liya nibhate apna dactari dharm khaas
Dekhkar ye najara, ek ke baad ek Ashu diwani apna hosh khone lagee
Ashuji ke baho 🤗 main bharne - lambi kataar banane lagee...