New character:
Shraddha Arya as Sakshi Asthana: Manjusha and Divakar's friend's daughter. Mayank's best friend.
After 2 days(25 June, 2013)
10:30am
Songara(Roshni's village)
Roshni had went somewhere. Now, she is coming back home.
Postman: Roshni Nagar?
A postman says from behind. Roshni turns.
Roshni: Yes. Mai hi hu Roshni Nagar.
Postman: Aapke liye letter aya hai.
Roshni: Mere liye.
Postman: Yaha sign karna hai.
Roshni signs on the paper. Postman leaves giving the letter to Roshni. Roahni takes the letter and enters inside the house.
Inside the house
Roshni keeps her handbag on the coffee table, sits on the sofa and opens the envelope.
The envelope reads: From the Principal of St. Peter's College.
St. Peter's College is the college where Roshni applied to join as an Intern Lecturer.
Roshni opens the letter, reads the letter and turns happy! The reason of her happiness is: she got selected and they have offered her Paid-Internship.
Roshni: Wow! Ek aur bahana mil gaya Mumbai jane ka. Mayank ko batati hu.
Roshni takes out her cellphone from her handbag and dials Mayank's number. Mayank's phone is switched off. She calls Kashish.
Kashish: Hey Roshni! Kaisi ho?
Roshni: Hi. Mai bilkul thik hu. Tum kaisi ho?
Kashish: Mai bilkul thik hu.
Roshni: Maine Mayank ko call kia tha...
Kashish Aur usska phone bandh tha. Hai na?
Roshni: Haan...
Kashish: Actually Abhigyan aur Mayank ek important kaam se gaye hai. Iss liye donoke cellphones bandh hai.
Roshni: Oo. Waise maien ek khush-khabri dene ke liye call kia.
Kashish: Kaisi khush-khabri?
Roshni: Maine ek college mei apply kia tha as an Intern. Unhone mujhe paid-Internship ka offer dia hai! Mera CV dekh kar volog bohot khush hai.
Kashish: Wow! That's a great news!
Roshni: Aur isse bhi bari baat hai ki...jiss college mei maine apply kia tha vo college Mumbai mei hai!
Kashish: Ye to bohot achchi baat hai! Isse tin kaam honge. You'll earn, learn and will meet Mayank...
Roshni blushes out of shyness.
Kashish: Ab tum jaldi se Mumbai ajao! We'll have a great fun!
Kavi-Bulbul ki shaadi hai aur Mayank ka bhi birthday araha hai na...Socho kitna mazaa ayega!
Roshni: Hmmm. Achcha ab mai rakhti hu. Tumse baad mei baat karungi. Bye Kashish.
Kashish: Thik hai. Mai, yaha sabke tumhare ane ki khabar de dungi.
Roshni: Okay...
Kashish: Bye. Come soon.
Both hangs up.
2:30pm
Mumbai
Mayank's house
Mayank enters. Manjusha is sitting with one of her friends and her daughter, they are chatting.
Manjusha: Are Mayank beta, aaj jaldi agaye. Achcha hua jaldi agaye. Dekho kaun aya hai!
Mayank: Kaun hai?
Daughter of Manjusha's friend turns. The daughter is Mayank's closest friend, Sakshi Asthana.
Sakshi: Hi Mayank.
Mayank: Sakshi tum! Kitne dini baad! Kaisi ho?
Sakshi: Bilkul thik. Tum ab bhi busy ho. Mujhe aaj nehi ana chahiye tha.
Mayank: Nehi nehi. Aisi koi baat nehi hai. Tum ruko mai change karke ata hu.
Manjusha: Mayank tum lunch karke jaoge na? Ya phir abhi nikal jaoge?
Mayank: Sakshi itne dino baad ayi hai to usske saath lunch karke hi jaunga.
Manjusha: Thik hai.
Sakshi: Pehle change karke to ao.
Mayank: Oh haan. Mai abhi aya.
Mayank goes to his room to change his Police Uniform.
4:30pm
Pool-Side
Mayank and Sakshi are sitting beside the swimming pool, dipping their feet in the water. Mayank looks at his wrist-watch.
Mayank: (stands up)O my God! Sare char baj gaye!
Sakshi: Kya hua Mayank?
Mayank: Sakshi, mai bohot late ho raha hu. Mujhe chalna hoga. Tum aaj yaha ho na?
Sakshi: Haan.
Mayank: Mai tumhe raat ko ake milta hu.
Sakshi: Thik hai.
Mayank goes inside the house. Unknowingly he left his cellphone there.
Mayank's cellphone rings.
Sakshi: Mayank to aapna phone yehi par bhul gaya.
Sakshi takes Mayank's cellphone and comes inside the house.
Inside the house
Manjusha is chatting with Sakshi's mother.
Sakshi: Manju aunty, Mayank kaha hai?
Manjusha: Mayank to chala gaya.
Sakshi: Chala gaya! Par vo to change karne gaya tha na?
Manjusha: Haan. Phir pata nehi kya sochke vo aise hi chala gaya.
Sakshi: Thik hai aunty. Mai bahar ja rahi hu.
Sakshi takes her handbag, Mayank's cellphone and comes to the parking lot. Mayank's cellphone rings again. Sakshi checks the call, Roshni is calling. Sakshi picks up the call.
Sakshi: Hello.
Roshni: He...(a lit bit confused)Hello. Ye to Mayank ka number hai na?
Sakshi: Haan. Mayank aapna phone ghar par bhul gaya tha. Mai use dene ja rahi thi.
Roshni: Oh okay.
Sakshi: Thik hai. Mai Mayank se keh dungi tumhe call karne ke liye. Roshni, right?
Roshni: Yup.
Sakshi: Okay. Bye.
Roshni: Bye.
Sakshi hangs up. Sakshi enters her car and orders the driver to drives to Police Headquarters'.
5:10pm
Mumbai
Police Headquarters'
Today, Meghna, Kavi, Mayank, Kashish and Abhigyan are on duty. Sakshi enters. Abhigyan is standing near the door reading a file. So Sakshi comes to him.
Sakshi: Excuse me.
Abhigyan: (closing the file and looking at Sakshi)Ji kahiye?
Sakshi: Mayank...kaha hai?
Abhigyan: Mayank...(Kavi cuts off him in between)
Kavi: Mayank ACP sir ke cabin mei hai. Aap kaun?
Sakshi: Sakshi. Sakshi Asthana. Mayank ki dost.
Abhigyan leaves as he is trying to concentrate on his work.
Kavi: Mayank ki dost!! Aap agar chahe to mujhe bata sakti hai. Mai Mayank ko aapka message de dunga.
Sakshi: Mayank ghar pe aapna phone bhul aya tha. Wahi dene ayi thi. Aap use de denge?
Kavi: (taking Mayank's cellphone from her hand)Haan haan zarur.
Sakshi: Aur haan! Maaynk ko ye bhi kehdijiyega ki Roshni bar bar call kar rahi thi.
Kavi: Roshni call kar rahi thi!?!!
Sakshi: Haan. Maine use bata dia Mayank use baad mei call karega.
Kavi: Aapne usse baat bhi ki?!!
Sakshi: Haan. To ab mai chalu? Mujhe thora kaam hai.
Kavi: Haan zarur. Mai use kehdunga.
Sakshi leaves.
Sakshi: (to herself, while leaving)Kaisa inspector hai! Baat baat pe hairan ho jata hai... OMG!
Kashish, Mayank and Meghna comes out of ACP Diler's cabin, and comes to Kavi. Mayank notices his cellphone in Kavi's hand.
Mayank: Kavi sir, mera mobile aapke pas? Kaise?
Kavi: O haan! Ek chokri(girl) ayeli thi. Naam kya tha usska...haan! Sakshi. Sakshi Asthana! Vo deke gayi. Aur ussne bola ki Roshni bar bar call kar rahi thi.
Kashish: Roshni call kar rahi thi?!
Kavi: Haan. Aur Sakshi ne uthaya bhi tha. Sakshi ki Roshni se baat hua hai! Tu to gaya mera bhai!
Mayank: Baat karli to kya hua?
Kavi: Are bhai, tu na inn larkiyon ko nehi janta. Dhire dhire samajh jayega. Dekh, Sakshi ne tera phone uthaya, Roshni se baat bhi kia. Tere mobile pe Sakshi ki awaaz sunke Roshni ko shaq hua hoga.
Mayank: Roshni aisi nehi hai.Kavi: Are bhai, chahe vo larki jo bhi ho, Roshni, Bulbul, Kashish, Meghna, Aabha jo bhi...sari larkiyan ek jaisi hi hoti hai.
Kashish: Ya right! Just like you boys...good for nothing!!
Meghna: (laughing)Right ma'am!
Kashish: (showing anger to Kavi)Chal Meghna!
Kashish and Meghna leaves.
Kavi: Dekha! Dekha tune! Kaise akaar dikha ke chali gayi... Ye larkiyan kabhi nehi badlegi.
Mayank laughs. Kavi leaves. Mayank calls Roshni.
Roshni: Ab phone kar rahe ho!
Mayank: Busy tha. Bohot bar call kia kya?
Roshni: Hmmm. Waise vo larki kaun thi?
Mayank: (in his mind)Kavi sir ne sach hi kaha tha. Bulbul, Kashish ma'am ya Roshni sare larkiyan ek jaisi hi hoti hai!
Roshni; Hello! Mayank! Kaha khoo gaye?
Mayank: Kahi nehi. Vo larki...meri best friend Sakshi hai. Bohot din baad ayi hai.
Roshni: Oo...Achcha Kashish ma'am ne tumhe kuch bataya?
Mayank; Kashish ma'am ne? Nehi to.
Roshni: To mai batati hu...(Roshni informs about her internship)
Mayank; To finally tumhe ek aur bahana mil gaya.
Before Mayank could continue his conversation with Roshni, Meghna comes.
Meghna: Mayanak chalo.
Mayank: Kaha?
Meghna: Naya case aya hai. Mirror-Man!
Mayank; (getting annoyed)Ufff! Not again!
Meghna: You don't have a choice! Let's go.
Roshni heard all this.
Mayank: Roshni vo...
Roshni: Tum jao. Hum baad mei baat karenge.
Mayank: Bye.
Roshni: Bye.
Call ended.
Meghna: Chalo!
Mayank: Haan haan chalo.
Mayank and Meghna joins other cops.
Precap:
Kavi decides to get married soon. ACP Diler and hs wife Anjali turns Bulbul's guardians. Everyone decides to go on a picnic before Kavi-Bulbul wedding.
Edited by tahia_hasan - 12 years ago