So without any delay, here's part 2-
Key to my heart
Part -2
Usne aate hi meri zindagi me tehelka macha diya.Mere usulo ko, mere raaj ko chunauti di.Dekhne ne behinteha khoobsurat.Par uss khoobsurati ke saath saath ego bhi kut-kut kar bhara tha usme.Kabhi mere samne nahi jhuki, kabhi nahi gidgidayi.Uske jaisi ladki se aaj tak paala nahi pada tha.Naa jaane kis kheth ki muli thi.Jitna wo mere khilaf khadi hoti, utna hi use khud ke samne jhukane ka man karta.Mere andaar ek aag si sisakti thi, jo use dekh kar aur dhadak jati thi.Wo mere liye ek chunauti thi, aur chunautiyo ko pura karna mujhe khoob aata tha.
Aaj tak kisi ne mere samne khade ho kar paise mangne ki himmat nahi kari.Aur wo, na sirf mujhe badi badi baatein sunakar gayi, saath saath bill bhi thama gayi.Aakhir uski itni himmat hui kaise?
Aaj itak kisi ne mujhse aise baat nahi kari, jaise usne kari thi.Use na kisi cheez ka daar tha aur na hi kisi cheez ki ahmiyat ke baare me jaanti thi.Bas, galat ke khilaf bolna aur pure din mere upar ilzaam lagane ke tareeke dhoondna.Kayi baar to aisa lagta jaise mujhse panga lene ke tareeke wo khali samay me dhoondti hai.
Bewakoof thi wo, usne mujhe chunauti di; mujhe, Raghu ko.Par mera bhi ek usool hai-Shuruaat koi bhi kare, par khatam hamesha Raghu karta hai.
To maine bhi uske ghar ki saari khidkiya tod di.Aur sach mein , uski shakal dekhne layak thi.Par wo dekhne ka haq sirf aur sirf mera tha.Panga mujhse liya, toh chukaegi wo.Auro ka beech me taang aadana mujhe bilkul pasand nahi.
Use nahi pata ki Raghu kis tufaan ka naam hai-aisa jo apne dushmano ko uda le jata hai.Mujhe laga ki ab use mere aohde ke baare me pata chal gaya hoga, ki aakhir iss basti me mera kya rutba hai.
Par wo fir bhi nahi sudhri.Naa jaane uske dimaag me kya chalta rehta tha-hamesha panga karwati thi.Ek khatam hua nahi, ki doosra shuru.Hadd to usne mujhe giraftaar karwa ke kar di.Police ki maar par itna gussa nahi aa raha tha, jitna mujhe uski nautankiyo par aa raha tha.Aakhir khud ko kya samajti hai?Kal ki aayi hui miss call mujhe sabak sikhaegi.
Itt ka jawab itt se dena khoob aata hai mujhe.Usko sabak sikhane ke liye usko ghar se bahar band karwa diya.
Baad me mach mach aur battery mera mood theek karne ke liye mujhe apne roj ke thikane par le gaye, par mere dimaag me to sirf wo hi ghoom rahi thi.
[@[@[@[@[@[@[@[@[@[
Par uss din mujhe pehli baar apne kiye par pachtawa hua.Raghu ek baar sochne ke baad kaam ko pura kar deta hai.Par uss din mujhe pehli baar laga ki kuch zyada ho gaya.Uski maa ko aise band karna theek nahi tha.Halaki uss samay mujhe ye nahi pata tha ki uski maa dimaag se paidal hai.
Naa jaane usne kya zaadu kar diya tha.Mujhe khoob gussa dilati, mera ego hurt karti par uske aasu mujhe phingla dete.
Usko dekh ke jaha ek taraf mujhe uski bagawat yaad aati, wahi agar un khoobsurat aankhon se aasu nikalte to dil me ek ajeeb sa ehsaas mehsoos hota-wo ehsaas maa ke jaane ke baad se mujhe kabhi mehsoos nahi hua.Usi dil me, jisne dhadakna hi band kar diya tha.
Yeh ladki-"Antara" mujh me aise emotions jagati jinhe maine pehle mehsoos to kiya tha, par itna nahi ki wo mujhme hulchul macha de.
Uske aasu dekh ke use baahon me sametne ka man karta.Aasu dekh ke dil sochta ki aakhir iss ko aisi kya takleef hai jo ye itne keemti aasu baha rahi hai.Par phir uski aankhon me apne liye nafrat dekh ke mujhe phir yaad ata ki mai to usse nafrat karta hu.
Sach me jadugarni thi wo.Ek pal me mujhe gussa dila deti thi.Ye sab hota dekh mai sochta ki kya mai soft hota jaa raha hu?Par phir khud hi jawab mil jata ki nahi, Raghu ek tufaan hai jo sabko uda ke le jaata hai.Nahi bilkul nahi, mai soft nahi ho raha tha.Na, koi sawal hi nahi uth tha.
Jab bhi wo mere samne aati to dimaag kuch kehta aur dil kuch.Dimaag kehta ki sabak sikhana hai, dil kehta ki bas niharte jao.
Par uske "adarshwadi" vichaar aur mujhe baar baar gunda kehne ki aadat mujhe bahut gussa dilati thi.Naa jane madam gandhi kaha se Mumbai me tapak gayi.Kuch nahi jaanti thi-kisse kab kya bolna hai.Bas,apni dhun me magan rehti thi.
Iss sab ke bawajud na jaane kyu hamare raaste baar baar mill jate the.Naa jaane kyu hamara samana ho hi jata tha.Usko jitna khud se door karne ki koshish karta, utna hi wo mere dil-dimaag par haavi ho jaati.Yaa to kisi mushkil me fas jaati ya mere upar ilzaam laga deti.
Iss se door rehne ko man bhi nahi karta.
Dimaag door rehne ko kehta, dil paas aane ke mauke taalashta.
Naa jane mujhe kya kar diya hai isne.
TOTAL CONFUSE HO GAYA HU YAAR...
-@-@-@-@-@-@-@-@-
Unknown to Raghu or Antara, the red string of fate has already tied both of them irreversibly for ever.The red string of fate refers to events which ultimately leads to mingling of the destiny of soulmates.The red string may sometimes be stretched too much, but it never breaks; rather it brings the two soulmates closer, ultimately filling their lives with everlasting love and happiness.
So guys how was it?? This was the best I could do.I've tried to remove as many grammatical errors as I could.I'm sry if I couldn't meet ur xpectations.
Please don't forget to review otherwise Raghu bhai will bash u up for me đ¤Ł