woh raat bay panaah thi aur maiN ghareeb tha

THE_VAMPIRE thumbnail
Posted: 12 years ago
#1
woh raat bay panaah thi aur maiN ghareeb tha
woh jis ne yeh charaG jalaya ajeeb tha

woh roshni ke aankh uThaai nahiN gaii
kal mujh se mera chand bohot hi qareeb tha

dekha mujhay to tab?a rawaaN ho gaii meri
who muskura diya to maiN sha?ir adeeb tha

rakhta na kyuN maiN rooh-o-badan us kay saamnay
woh yuN bhi tha tabeeb woh yuN bhi tabeeb tha

har silsila tha us ka khuda se mila hua
chup ho kay lab-kusha ho balaa ka khateeb tha

mauj-e-nishaat-o-sail-e-gham-e-jaaN thay aik saath
gulshan meiN naghma sanj ajab andaleeb tha

maiN bhi raha huN khalwat-e-jaanaN meiN aik shaam
yeh khwab hai ya waaqaii meiN khush naseeb tha

harf-e-dua-o-dast-e-sakhawat kay baab meiN
khud mera tajruba woh behad najeeb tha

dekha hai us ko khalwat-o-jalwat meiN baarha
woh aadmi bohot hi ajeeb-o-ghareeb tha

likho tamaam umr magar phir bhi tum "yaaron"
us ko dikha na paao woh aisa habeeb tha

Related Topics

Top

Stay Connected with IndiaForums!

Be the first to know about the latest news, updates, and exclusive content.

Add to Home Screen!

Install this web app on your iPhone for the best experience. It's easy, just tap and then "Add to Home Screen".