Part-229
Aapko acha nahi laga hoga na armaan aur mera rishta uss waqt mai bhi itna gehra hote hue dekhkar issliye aapne Mr. sighania ko bulaya, ek 5 months pregnant ladki se jisse galti se kabhi apni sabse pyaari beti kaha karte tha aap usse ye kehna ki bache ka janam hote hi usse anaathaalya mai phenk dena kyunki abortion to ho nahi sakta aur apne pati ko divorce de dena… (from her eyes tears fell as she reminded that incident, armaan immediately turned her and kept on looking at her with shocked eyes, riddhima crossed her hands on her tummy as she for a moment felt that aarish is still breathing inside her and kept on caressing it..)
A: riddhima..???
Sh: tumhe galat fehmi hui hai riddhima, maine rakesh ko nahi bulaya tha, wo khud hi aaya tha aur ye baatein bhi usne hi ki thi..
R: mr. shashank gupta shayad aap bhul rahe hai par mr. rakesh singhania sirf apne dost ki khaatir hi yaha aaye the, unse apne dost ki buri haalat bardash nahi hui thi, apne dost ke khoon ke aansoon bardash nahi ho rahe the.. kyu kuch aisa hi kehte rahe the na aap unse har roj phone par??? (shashank looked down as he understood what she's talking about but all looked confusingly at riddhima)
dr. singhania bure nahi the, par aapki jidd ne unhe bura ban ne par majbur kar diya, aapki ek jhutti shaan ne, aapke jhutti jidd ne sabki jindagiya khatam kar di dr. gupta, kaash aap mr. singhania ko har roj phone kar karke ye na jatate ki aap apni jindagi se itne pareshan hai ki suicide karna chahte hai, aapme jeene ki icha khatam ho gayi hai, aap apni beti yani ki riddhima ki jindagi kharab hote hue nahi dekh sakte aur na jaane kya kya, kya sochkar ye sab kehte the aap unse?? Taaki meri shaadi tudwakar aap phir se unke bte ke saath meri shaadi karwa paaye??
Aapke so-called dukh ke kaaran mr. singhania aapko kabhi ye bata na paaye ki unke bte ki shaadi ho gayi hai, aap kuch kar na le issliye wo india aaye, aapki haalat dekhkar aur meri-armaan ki aadhi adhuri baat sunkar unhone mann bana lia tha ki wo apne bte ke divorce karwakar mujhse shaadi karwa denge jaise har kissi ki jindagi khel ho, bas aap dono ko rights mile hue ho hum sabki jindagi ke faisle karne ke..
Aapki ek jidd ke kaaran mr. singhania ko bura ban ne par majboor kar diya, kaise dosti nibhayi aapne dr. gupta?? Ek dost aapke liye kuch bhi kar sakta tha, apne bte ki jindagi ke saath bhi khel sakta tha aur aap apne ussi dost ko burai ke daldal mai girane ki koi kasar nahi choddi thi…
Sh: (cutting her) ye jhoot hai riddhima, maine kabhi bhi rakesh ka bura nahi chaha, mai to khud hi hairan tha ki usne aisa kaise kar diya, usne khud apne bte ki jindagi tabaah kaise kar di..
R: waah dr. gupta, kitne double standards hai aapke, apne liye kuch or aur agar aapka dost kuch waisa hi kare to aapko hairani hui.. khud ek ladki ki jisse kabhi aap apni sabse pyaar beti kaha karte the uski jindagi tabaah karne mai koi kasar nahi chodi aur mr. singhania ki harkat par hairani hui, unhone apne bte ki jindagi kharab ki kyunki maine unki insult ki,
unke bte ko reject kiya aur unse wo bardash nahi hua ki ek anjaan ladki unki insult kaise kar sakti hai jaise aapse bardash nahi hua meri aur armaan ki shaadi, jab aap apne hokar itne niche jaa sakte ho to wo kyu nahi??? Aakhir the to dost hi na, to dono ki soch alag kaise ho sakti thi, pyaar se uppar aap logo ki shaan thi, kuch bhi kar sakte the na mujhe tadapta hua dekhne ke liye..
Par gussa ye nahi hai ki aap logo ne mujhe takleef dene ki koshish ki, gussa iss baat ka hai ki aap logo ne meri wajah se 2 masoom jindagiyon ke saath khilwaad kiya, chahe aap mujhe apni beti mane ya na mane par chahte hue bhi mai unn 22 saalon ko nahi bhul sakti jisme aapne mujhe itne laad pyaar se paala, unn 22 saalo ke liye meri jaan dekar bhi aapka kabhi karz nahi uttar paungi, gussa to dur ki baat hai, par aapki beti ke dayre(limits) se nikalne ke baad mai ek patni hun, ek maa hun..
Aur ek patni, ek maa kabhi aapko maaf nahi kar sakti, aapki wajah se mere pati ko bina kissi kasoor ke ek handicapped life jeeni padi, aapke wajah se mere chotte se 11 mahine ke bache ne 2 operations ka dard saha, 5 baar maarne ki koshish ki gayi, uski cheekhon ke liye, uske aansuon ke liye mai kabhi aapko maaf nahi karungi, aapki wajah se uska masoom sa bachpan cheen gaya, mere pati ne jo meri jindagi hai usne mere hi saamne najaane kitni baar apni maut ki dua maangi aur mai chup chap khadi dekhti reh gayi, uski bebasi ko uss se dur na kar paayi..
Bolo aapke maafi maangne se ye 5 saal waapis mil jaayenge mujhe?? Kya apne armaan ke dil mai phir se wo jindadili laa paungi, kya usne jo apne bte ke liye chotte chotte khwaab dekhe the wo usse waapis mil jaayenge?? Kya hamare bte ko uska bachpan waapis mil jaayega?? Kya kabhi aap mere dil se ye guilt nikal paayenge ki mere bte aur mere pati ke saath jo bhi hua uska sabse bada kaaran mai thi, pyaar maine kiya tha aur saja mere armaan ko mili, kya kasoor tha inka, kyu inhone itna dard saha, kaash mera bura saaya kabhi armaan par na padta, aj wo jindadili se khushiyo se apni jindagi jee raha hota..
(armaan shockingly turned riddhima, she with tears caressed his face) Dukh hota hai ki mai tumhari jindagi mai aai armaan, jab se aayi hun tumhari jindagi mai har dukh ka reason mai bani hun, koi aur mujh se jayda unlucky kya hoga ki jiss insaan se mai sabse jayda pyaar karti hun, jiske chehre par 24 ghante bas muskurahat dekhna chahti hun ussi ki jindagi mai mere kaaran sabse jayda dukh hai, I wish ki kabhi kissi ko aisi situation na face karni pade… (armaan shaked his head with tears, wanted to say many things but riddhima turned towards shashank)
Kiss muh se maafi maangne aaye the aap?? Kya aapko lagta hai ki aap sach mai maafi ke hakdaar hai?? Ek patni ne agar aapko maaf kiya to ye uske pati ke saath bahut badi bewafai hogi aur ek maa ne maaf kiya to uski mamta ke saath bewafai hogi aur mai ye paap kabhi nahi kar sakti… kabhi nahi… (shashank looked down with tears rolling down) aapki jidd ki wajah aaj meri sabse achi dost coma mai hai, apne bache se dur, apne pati se dur, aapne ek jindagi ke saath nahi 7 jindagiyo ke saath khildwaad kiya hai aur phir bhi aap maafi ki umeed rakhte hai??? (shashank took his steps back, riddhima cried bitterly and turned her back, padma came forward and tried to place hand on riddhima's shoulder but before that riddhima moved)
R: maine kaha tha na ajnabee hokar apne ban ne ki koshish mat kijiye, challe jaiye mere ghar se..
Pa: mai tumhari maa hun riddhu??
R: (turned like a storm) maa???? Maa shabd ka matlab bhi jaanti ho aap mrs. Padma Shashank Gupta?? Pehle jaakar maa shabd ka meaning samajhkar aayiye..
Pa: (hurtfull) riddhima??
R: mai bhi ek maa hun 5 saal aur 3.5 saal ke bacho ki, unke jism par ek bhi kharonch aati hai mera dil baith jaata hai aur aap jise kabhi beti kehte the uske itne paas rehkar bhi itni problems mai dekhkar bhi kabhi mann nahi kiya milne ka, kya kya nahi hua inn 10 saalon mai hamare saath par kabhi pyaar se sir par haath rakhna to dur kabhi ek phone tak nahi kiya aapne, taajub hota hai mrs. Gupta ki aap aaj bhi umeed rakhti hai ki mai aapse gale millungi,
aap mere darwaje par khade honge aur mai aapka haskar welcome karungi, rishta maine nahi aapne toda tha mrs. Gupta, paraya aapne banaya tha, mai to har dukh mai, har khushi mai intejaar karti thi ki kab meri maa aayegi aur mujhe gale se lagayegi, kabhi meri khushiyo mai jhoom uthegi to mere gam mai sir par haath rakhkar kahegi ki ghabra mat teri maa tere saath hai par mere intejar ka lamha kabhi khatam hi na ho paaya,
mere character par ungli uthi, mere armaan ka accident hua, mere bache ke accidents hue,kabhi aapko jarurat nahi lagi na aakar sir par haath rakhne ki aur aap chahti hai mai aapse normally baat karu?? Kiss rishte se?? kaunsa rishta nibhaya hai aapne?? Aap to insaaniyat ka rishta tak na nibha paayi humse aur phir bhi chahti hai ki hum react na karein??
Aapko lagta hai ki mai ghamandi hun, to haan mrs. Gupta mai hun ghamandi, ghamand hai mujhe ki mere paas armaan hai, mere aarish aur angel hai, armaan jisne har dukh mai maa bankar mujhe apne andar chuppa liya aur khud dukh ke saamne khada ho gaya shield bankar, jisne mujhe baap sa samaj ki har burai se dur rakhne ki koshish ki, bhai si har jagah protection di,
bahen bankar bahut baar masti ki aur support bhi diya, dost bankar mujhe samjha, premi bankar mujhe paagalpan ki hadd se bhadkar pyaar kiya aur humsafar bankar har situation mai mera saath diya, mujhe har khushi di, mera har sapna pura kiya,mujhe completeness ki uss limit tak pahuncha diya ki ab aur kuch paane ki icha nahi hai, ghamand hai mujhe apne armaan par aur hamesha rahega, nahi jarurat hai mujhe kissi bhi jhutte rishte ki jo waqt ke saath saath badalte hai, mere paas har rishta hai armaan ke roop mai, nahi chahiye aap log mujhe, anjaan log nahi chahiye mujhe.. (she cried)
Haan mai pathar dil ho gayi par armaan ki wajah se nahi aapke so called pyaar ki wajah se, maa hai jiske paas 10 saalon mai kabhi beti ka haalchal puchne ka waqt nahi mila, baap hai jinhone har mumkin koshish ki apni beti ka ghar todne ki, itna jayda pyaar bhagwan kissi ko na de, insaan kabhi karz nahi uttar paayega, aansu bhi sukh jaayenge par aise pyaar ka dard kabhi khatam nahi hoga… (padma cried, so as nani, anjali, muskaan, rahul and atul, they moved back, riddhima kept on looking at them, then turned and hid herself in armaan, but armaan remained shocked with the turn of events, he was not getting anything, before he could understand aakash called him)
Akaash: Armaan ji… (armaan looked towards him)
A: (horrified) sorry mai iss situation mai aisa kuch nahi kehna chahta tha, par hume jaana hoga, 3 hrs mai flight hai, aur ab late kiya to flight miss ho jaayegi aur vibha ka treatment 1 week aur delay ho jaayega, issliye hume ab nikalna hoga… (armaan put his arms around riddhima and nodded fearfully)
Akaash: sab ready hai?? (armaan nodded then closed his eyes) aur angel…( armaan tightened his grip around riddhima)
Ak: armaanji angel ka bag ready hai na??? (riddhima heard and looked at armaan, then turned towards akaash)
R: angel??? Bag?? Angel kaha jaa rahi hai??
Ak: U.S jaa rahi hai hamare saath, vibha ka treatment ab wahi par hoga to angel aur vibha ko mai lekar jaunga..
R: (almost screamed) par kyu??? Angel kyu jaayegi??
Ak: (confusingly) jaaha maa hogi wahi par to uska bacha bhi jaayega na riddhima ji..
R: angel ki maa mai hun… wo mere paas hi rahegi, mere bache ko mujhse kaise koi le jaa sakta hai… bolo na armaan inhe….(mr. malhotra came forward)
Mr. M : ye tum kya keh rahi ho riddhima beta?? Angel vibha ki beti hai, aur vibha jaha jaayegi wahi angel bhi jaayegi…. (riddhima looked at armaan but he looked down, riddhima shaked her head in tears and rushed up in her room, ritu came forward)
Ri: uncle angel ko lejaana kyu jaruri hai, riddhima se acha dhyan uska koi nahi rakh paayega, riddhima ne usse maa bankar paala hai, angel bhi riddhima ko hi maa maanti hai, aarish ki chotti bahen hai, wo apne bhai ke bina ek pal bhi nahi reh sakti, phir kyu le jaana chahte ho aap usko..
Mr. M: dekho beta mai aapki bhawnayein samajhta hun, par hun to ek baap na, kaise apni beti ki khushi ki aakhri umeed uss se dur kar dun, riddhima armaan to phir maa-baap ban sakte hai, par vibha kabhi maa nahi ban sakti, aur aurat se behtar kon samajh sakta hai ki aulaad ka sukh kitna jaruri hota hai, aise mai apni bachi ki aakhri khushi uss se kaise alag kar dun??? (ritu moved back as she knew what he's saying is right…)
Ritu and armaan goes in room and saw riddhima sitting at the edge of kids bed and crying, both looked at aarish and angel who were sleeping with their hands clasped together tightly, armaan cried then moved to riddhima, riddhima hugged him tightly..
R: armaan..
A: nahi riddhima, ye rone ka waqt nahi hai, sambhalne ka waqt hai, rishu ko bhi sambhalna hoga hume, we cant break..
R: aur angel?? Usse kon sambhalega??
A: riddhima hum kuch nahi kar sakte, ye tum bhi jaanti ho, hum bas angel ki khushiyo ke liye pray kar sakte hai..
R: kyu kuch nahi kar sakte armaan?? Hum maa-baap hai inke…
A: hamara angel se pyaar ke alava koi aur naata nahi hai aur duniya mai ab bhi pyaar ke uppar khoon ke rishto ko maana jaata hai, vibha jab theek hogi usse bhi to koi jindagi jeene ki raah najar aani chahiye na, aur wo raah angel ke alava koi aur nahi ho sakti, let her go riddhima, apni mamta itni kamjor na padne do, apne rishu ke liye, apni angel ke sukoon ke liye, kyunki chaho ya na chaho angel vibha ke saath hi jaayegi, agar aise bhejogi to angel kabhi khush nahi reh paayegi aur ek riddhima jaisi maa apne bache ka sukoon nahi cheen sakti kabhi bhi.. haina??? (riddhima hugged armaan once again and cried, angel got up with the noise)
Angel: mumma royi royi kyu kar rai hai daeda?? (arman cleared riddhima's tears)
A: nahi beta, mumma to hass rai hai.. (riddhima gave fake smile, angel jumped in riddhima's lap)
Angel: mumma angel dal lagi, mumma angel ko paal kalo, phil dal ki peeti ho jaayegi aul wo bhaag jaayega… (angel ko darr lag raha hai, angel ko pyaar karo, aise darr ki peeti ho jaayegi aur wo bhaag jaayega)
Riddhima hugged angel tightly and showered her with kisses and cried yet again, ritu cried and left the room as she didn't want to break down, then armaan settled angel in his lap..
A: acha batao angel daeda ki kya hai??
Angel: pincess…
A: angel bade hokar kaisa ban na chahti hai??
Angel: daeda jaishe stlon.. (strong)
A: angel ko agar daeda jaisa ban na hai to ek game khelni padegi.. (angel clapped excitingly) angel ko apne mumma-daeda-bhaiya ke bina good girl bankar rehna hoga aakash uncle ke paas… (angel's face came down) princess ko daeda jaise strong nahi ban na?? (angel nodded) phir angel ye game khelegi na??
Angel: pal angel ko mumma ke bina dal lagta hai, aul agal bhaiya na hue to shabko kon daantega, aul daeda jaishe angel ko kon ride dega?? (she asked innocently, riddhima kept on clearing her tears, armaan hugged angel tightly and after controlling himself said)
A: ohh matlab princess game khelne se pehle hi dar gayi, ab to princess kabhi strong nahi ban paayegi aur ardhaan bhaiya or apne daeda jaise kissi ki pitti nahi kar payegi.. mai abhi aakash uncle ko bolkar aata hun ki aap strong princess nahi ho…
Angel: nai daeda, princess stlon hai..
A: to plomish karo ki tum ye game theek se khelogi, kabhi akaash uncle ko pareshan nahi karogi, good girl bankar rahogi…
Angel : plomish daeda, par angel ko kabhi darr lagega to aap uski hupp karne aaoge na??
A: promise princess, hum chahe pass ho ya na ho, par apni bachi par kabhi koi aanch nahi aane denge… (angel didn't understand, armaan looked for riddhima but she's not there, armaan kept on caressing angel's hair, angel seemed excited for this thinking she'll be a brave girl after this game,she jumped down from armaan's lap and goes to aarish and mumbled "bhai ab angel b aapti talah blave ban jaayegi, phil jo mele bhai ko paleshan kalega angel uski dhishum kal degi.." then she kisses on aarish's head and mumbled " bye bhaiya, angel loves daeda, mumma, bhai shabshe shaaara..")
Ritu enetered in and asked armaan to take angel down, he picked up angel with heavy heart, ritu asked about riddhima and both turned on hearing some voice and found riddhima, trying hard to pull suitcase filled with angel's things, ritu quickly took suitcase from her and they moved out, as soon as they reached down, mr. malhotra joined his hands in front of riddhima..
Mr. M.: ho sake to mujhe maaf kar dena beti, par majboor baap hun.. (riddhima holds his hands)
R: aap kyu maafi maang rahe hai uncle, aapse koi shikayat nahi hai, par maa hun na, apne bache ko khud se dur kaise hote hue dekh sakti hun, maa to hamesha hi koshish karegi ki uska bacha uss se dur na ho, par takdeer se kaise koi lade, jitna marji koshish karun par takdeer se wo panna nahi chura sakti jisme vibha ne angel ko 9 mahine tak apne andar rakha tha aur paala jisne bhi ho baad mai kanhiya ko jaana to apni devki maa ke paas hi hai na, par ye baat mamta kaise samajh paaye…. (she cleared her tears) dr. akaash angel bahut hi najuk sa phool hai aur usse phoolon sa hi bada karna, uski aankho se ek bhi aansoo na gire kabhi bhi, uski diet, uski medicines, sona, khelna sab kuch maine angel ki dairy mai note kiya hua hai, iss phool ko kabhi murjhane na dena…
Akaash gave little assuring smile, armaan's not able to say anything, just kept on patting angel, reminding each and every moment with her, akaash asked angel to come, first she happily goes to him saying "mai blave gul hun, ishliye mai je game play kalungi, but as soon as akaash picked her up and started moving towards door, angel started crying loudly and opened her arms towards armaan, riddhima turned her face and falls down on floor lifelessly and cried, angel started screaming while hitting akaash..
Angel: daeda angel dal lag laha hai, daeda angel hug, mumma angel hug, mummmaaa, muuummmaaa… daeeedddaaa, daeda angel game nai khelni, daeda angel mumma-daeda pass rehna, liiiccchhhuuu, aaallliiissshhh bhaiyaaa, muje nai jaana….. (everyone kept on crying, riddhima digged her nails in heart, armaan rushed out towards angel but akaash shaked his head in no, armaan stopped in midways, angel kept on crying hard calling he parents, her bhai but…
Armaan kept on seeing the car which's moving far with each passing moment, he too breaks down and settled in ground, with in a moment their life again turned upside down, he kept on crying and suddenly aarish's face flashed in his mind, he's shocked as he didn't thought about aarish, he quickly cleared his tears and goes in, settled in front of riddhima and cleared her tears..
A: riddhima ek bhi aansoo ab bahar nahi aana chahiye, hum nahi bikhar sakte riddhima, aarish ko kon sambhalega??
R: angel ko waha kon sambhalega?? Uska kon dhyaan rakhega, pata hai armaan rishu to phir bhi mere bina reh leta hai par angel to ek bhi din mere bina nahi rahi hai, haye meri beti ko kuch ho gaya to… usse lekar aao na, meri beti ko lekar aao, uske bina sab bikhar jayaega armaan, mai tum, aarish, ye ghar… armaan usse lekar aao, mere liye na sahi to aarish ke liye, angel ko lekar aao….(armaan holds her tightly)
A: sambhalo riddhima… (he wanted to console her but don't know why words were not supporting him, he was getting numb with the passing of each moment, one side there was pain of loosing his little princess and other side riddhima's words was not leaving him, he was feeling weak from inside thinking "kyu khushiyon ke theek se jashan banane se pehle hi wo cheen jaati hai, kiss baat ka dukh jayda hona chahiye?? Apni 4 saal ki beti ke cheen jaane ka ya riddhima jiss se ye sab khushiyan thi,
Jiss se mujhe itni pyaar bhari jindagi mili thi aaj ussi ka bhari mehfil mai mujhe paraya bana dene ka, riddhima ko pachtawa hota hai ki wo meri jindagi mai kyu aayi..usse pachtawa hota hai… usne hamari saari problems ka kasurwaarun khud ko hi banakar kyu aaj 5 saal baad phir se mere pyaar ko hara diya…" he just sits on floor holding his hair tightly though his mind was fighting with his heart saying "iss waqt mujhe riddhima aur rishu ko sambhalne ke baare mai sochna chahiye.." but his heart kept on repeating riddhima's words and angel's screams…
Though deep down he knew that if he would have been at riddhima's place he would have done the same, he could feel riddhima's pain too but…. He came out from his thoughts as soon as heard "daedaa.." he looked up and found aarish standing..
Aru: daeda angel kaha hai?? (armaan was shocked and stood up, looked at riddhima who's already looking at armaan fearfully, armaan goes to aarish and picked him up)
A: (smiled a bit and lightly punched on aarish's face) champ angel ko aakash uncle le gaye hai..
Aru: (frightened) kaha daeda??
A: ummm aakash uncle thoda time angel ke saath khelna chahte the..
Aru: to mai kiske saath khelunga?? Aakash uncle ko bolo ki wo meri angel ko waapis karke jaayein, daeda aakash uncle bad boy hai, kissi se puche bina unki koi cheeji ko haath nai gaate(lagate) aakash uncle ko je nai pata, aur angel meri cheeji hai, phil unhone kun nai pucha rishu se?? aap angel ko waapish lekal aao… mai akaash uncle ki katti hun, bad uncle… (armaan's speechless yet again, riddhima rushed from there and locked herself in bathroom and cried badly, armaan too moved in other room, ritu-chirag, siddharth moved to aarish after clearing their tears and consoled him, they manaofy him saying angel will be back after 1 week, somehow they put him to sleep, riu tried to talk to riddhima but she didn't open her door, ritu asked armaan to take care of her and aru and everyone left from there with heavy hearts..
To be continued..
Precap:
Teacher: hume lagta hai ki aapko ardhaan ko doctor ko dikhana chahiye, uske past records dekhkar lagta hai ki wo kaafi brilliant student raha hai studies and extra activities mai, par ek dum se 100% waale student ka 45% par aa jaana achi baat nahi hai, ardhaan kissi se baat nahi karta, hamesha gumsum sa gate ki taraf dekhta rehta hai, we're really worried for your child mr. malik... (Armaan and riddhima exchanged fearfull looks)
******
Nani: riddhima meri aakhri icha puri karogi na?? uss ghar mai phir jaaogi na meri bachi?? Mujhse waada karo.. mai sukoon se aakhri saans le paungi, uss makaan ko phir se ghar bana de riddhima, uss ghar mai phir se jindagi laade.. waada kar mujhse ki mera ye sapna adhura nahi chodegi… (she raised her hand with difficulty, riddhima looked at armaan who's giving her assurance with eyes that he's with her but think before taking any decision..)
******
armaan caressed riddhima's hair who's still unconscious and looking pale, then moved out..
Dr keerti: dr. armaan riddhima bahut jayda week hai, i'm worried, dhyaan rakhiyega ki unnpar kissi cheez ka stress na pade..
*****
riddhima stopped at gate, looked at gupta's house and with in a moment she's flooded with sweet memories of her childhood, then bitter moments of last 10 years too crossed her mind, she's on the verge of moving back when armaan holds her hand, she looked at him who shaked his head in no and then placed her hand on gate of gupta' house and helped her in pushing the door slightly...
Note: Getting married on 29th april, though I wanted to complete this story before my wedding but kuch na kuch problem ho jaata tha, will surely continue this story but after 1-2 months, will pm you whenever I'll update next part, for these parts I'm not sending any pms, hope you all will understand my situation, will continue this story in june, bas iss se jayda kuch nahi keh sakti, just be with me like always…
Lots of love
Ankita.
Edited by GoDsLoVe - 12 years ago
38