Mr Dhurundhar: yaha toh sagai honewaali thi na paanch baje?
Yaha toh decorations bhi nahi hai,mehmaan bhi nahi hai aur aap zoya tayyaar bhi nahi hua apne "laal jode mein"?
Asad: Yaha koi sagai nahi honnewaali hai. Humne aap se jhooth kaha tha. Aap Miss Faarooqui ko yahaan se leke jaa sakte hai. Yeh is mulq ke liye nahi bani hai. Jinhe rishton ki kadr hi nahi,unse koi bhi rishta nahi jodna chahega.
Mr Dhurundhar: Mai shuru se jaanta tha ki aap log jhooth bol rahe the! Miss Zoya Faarooqui aapko tooranth hamaare saath halna hoga New york vaapas! (Dilshad tries to stop him)
Zoya: Nahi phoophi,mera yahaan se chale jaana hi behtar hai. Isse pehle ki main jaaoon mai kuch kehna chahungi. Aap humeein paanch minute de sakte hai Mr Dhurundhar? (he leaves and stands outside with dolly) (Zoya goes to Dilshad and holds her hand)
Zoya: Phoophi,mai aapse maafi mangna chahati hoon. Aapne hamesha se mujhe sirf pyaar hi diya hai,woh pyaar jo mujh bin maa ki bacchi ko sabse zyaada keenti thi or aaj meri vajaha se aapko bahut takleef pahunchi hai jiskeliye main apne aap ko kabhi maaf nahi kar paaungi. Phir bhi,jaate jaate mein sirf itna kehna chahti hu ki main yaha aayi,aap sab ne mujhe ek apne ki tarah treat kiya aur aaj mein sirf woh khushi aap ko lautane ki koshish mein waha gayi thi. Ummeed karti hoon ki kabhi kisi din aap muje maaph kar payenge.
Zoya: Aap kahaan jaa rahe Mr khan? Puri baat sunkar jaayiye. Main jabse yaha aayi hoon aap ne mujhe har mauke par gair zimmedaar badtehzeeb ladki kaha hai. Yeh bhi ki main rishton ka matlab nahi samajhti.
Aap ki baat sahi bhi ho sakti hai,kyonki agar rishton ka matlab yeh hota hai ki ek bhai apne chote bhai ki sagai mein uske saath nahi hai toh haan, main rishton ko nahi samjhti. Par ye yaad rakhiye ki agar mein rishton ko na samjhti,to aap ayaan ki sagai ko dekh paaye,iss khatir mein vahaa nahi jaati.
Agar mai ek ami ki ahmiat na jaanti toh mein apne jaan pe khel kar phuphi aur najma ko bachane ke liye uss shooter ke peeche na bhagti. Main jabse yahaa aayi hoon aapne kadvi baaton ke alava mujhe kuch bhi nahi deeya hai aur agar main tehzeeb ka matlab nahi samajhti toh mai chup rehne ke bajaye aapko hamesha kadvi baatein jawab mein deti.
Aapne har baar mere shaksiat mein khamiyan dhoondhi hai aur shaayad hamesha dhoondte rahenge. Mere liye naa hi meri or nahi kisi aur ki bhavnaye mazaak hai,balki voh mere liye sabse upar hai,iss liye mai vaha gayi thi aaj.
Aapne abhi jo kuch bhi mujhse kaha uske bav jooth jaane se pehle mai aapse bhi maaphi mangna chahungi kyonki maain ye bhi jaanti hoon ki aapki kadvi baaton ke peechi aapka dard aur aapki ammi ka dard chupa hai jiske liye mai apne aap ko zimmedaar maanti hoon.Shayad aap se ho na paaye par ho sake to mujhe maaph kar dena.
(Goes and gets her bags hugs phoophi and najma) "Chaliye Mr Dhurundhar" (walks past Asad without even looking at him,but with tears in her eyes)