Mujhe barish bilkul v pasand nahi hai. Sach kahun toh barish se nahi balki barish ki wajah se as pass hui chizon se chid hai. Main baki ladkion se kafi alag hun. Esa mujhe lagta hai! Aaj tak kavi kisi ladke ki himmat nahi hui hai mujhe propose karne ki. Wese toh kisine aaj tak mujhe kaha nahi ki main, khubsoorat hun ya nahi par Ammi kehti hai ki jab main Salwar suit main gile khule balon main kan main woh chota sa jhumka pehne hue aankhon main kajal laga ke apni Fav aasmani colour ke dupatte ke saath sajti hun toh kisi jannat ke nur se kam khubsoorat nahi lagti hun.
Wese Ammi ka kya hai, woh to rotti banate banate mujhese puchti hai, "Kahin tujhe collage main koi ladka pasand toh nahi aya? Agar aya hai toh bata de, main teri Abbu se baat karti hun"
Aur main jawab deti, "Kyun aap aur abbu milke mere liye ek Sohar nahi dhund paoge?"
Aur phir Ammi bolti, "Dulha toh dhund lenge par Dahej (dowry) dene ki hesiyat toh hai nahi teri Abbu ki. Toh tu hi apni pasand ka koi chunle"
Aur phir main haske jawab deti, "Dahej ki to tum chinta hi mat karo Ammi. Maine apni Dahej ke liye paise jod liye hai. Pure Ek sho bis (120) rupaye hain mere gudluck main. Itne main tumhari Damad ji ke liye kam se kam ek darzone chudiyan toh aahi jayenge"
Phir hum maa beti has has ke fars pe let jate.
Aure insab main toh main apni Naam hi batana bhul gayi.
Main hun Zoya... Zoya Farooki. Main Kanpur main apni Abbu aur Ammi ke saath ek 2 in 1 ke flat main rehti hun. Mere Abbu ek sarkari wakil hain. Kuch khas kamai nahi hai par jitini v hai usi main chal jata hai.
Meri Saheliyan kehti hain main kafi ladaku hun Aur woh toh main hun hi.
Par ekbaar meri biran zindegi main ek hawe ke jhonke ke saath barish ne dastak di.
Undino mere xms chal rahe the aur meri sari saheliyan padhai ke saath saath uperwale ko riswaqt dene main jutgaye the.
Toh maine v socha, main kyun piche hattu. Wese toh main bahut aallsi hun aur 7 baje se pehele bed se uthne ka naam nahi leti hun par us din ko maine apni Bhakti ki pariksha (xm) samajh kar subha ke 4:30 baje uth kar naha dhoke 5:30 tak din ki pehli Namaj yani Fajr padhne ke liye tayar ho gayi.
Balcony main, main namaj ke saath saath Khuda ko man hi man riswaqt dekar uth hi rahi thi ki niche se akhbar ka ek bandal uddke aakar sidha meri hath (hand) pe laga aur mere hath se agarbatti ki dani sidhe jakar mere dupatte pe giri aur usme ek bada sa ched ho gaya.
Mere andar toh jese jualamukhi (valcano) phata aur main balcony se niche iss mansobe ke saath dekhi ki jisne v yeh kand kiya hai uski toh main aaj Katal (murder) karke rahungi.
Niche ek nazar dali toh dekha niche Pachis (25) Chabis (26) ka ek hatta katta nili (blue) ankhon wala no jawan khada tha aur woh ek take meri tarf dekhe jaa raha tha. Use pehele kavi nahi dekha tha yahan sayad naya tha. Kafi acha dikhta tha woh. Meri saheliyon ke bhasa main ek dum handsome aur dashing tha woh. Wese main use janti tak nahi thi par pata nahi kyun kafi janapehchana sa lagraha tha. Lagraha tha ki sayed main uss ek jodi nili ankhon ko pehele v kahin dekha hai.
Maine apni khyalon main full stop lagate hue usse kade awaj main pucha, "Oye Kon ho tum? Aur ese kaise phek diya akhbar upar. Mere haath pe aake laga aur tumhari wajeh se mera dupatta v jalagaya. Woh mera fav aasmani rang ka dupatta tha."
Itna kuch bolne ke baad v woh wahan se hilla nahi aur na hi koi jawab diya. Bas wese hi ek take besharmon ki tarha mujhe ghurta raha.
Mera toh jese khun sar pe chadh gaya aur maine aur jor se usse pucha, "Behre ho kya? Sunai nahi deta?"
Woh phir v kuch nahi bola. Phir kya tha mera toh jese apne upar se kabu hi uthgaya aur main jor se, "Ruko tum, avi tumhari khabar leti hun" kehkar tezi se sidion se niche aani lagi. Par jab tak main niche pahunchi tab tak woh apni cycle pe jor jor se padel mar ke wahan nikal gaya tha. Mera toh pura badan ghuse se kamp raha tha. Agli bar mila toh ach sabak sikhaungi ye soch kar wahan se nikal aayi.
Subhe subhe itne shor sunkar Ammi ne awaj lagayi, "Zoya, kya hua?"
"Ammi, dekhona woh naya akhwar bale ki waje se mera dupatta ka kya hasra ho gaya"
Ammi ne uss dupatte ko hath main lekar bola, "Thik hai rakhde. Main Silai kardungi. Subhe subhe pure ghar ko sar pe uthane ki jarurat nahi hai. Aur jakar darwaja band karde."
Main bina kuch kahe chup chap darwaja band karne gayi toh dekha, kuch duri par ped ke piche se phir se woh mujhe ghur raha hai,
Wahi Ek Jodi Nili Besharam Aankhen... (To be continued)
Khatta ya Mitha batana jarur.
Aur han isme humare AAK ke aankhon ka colour Nila yani blue hai.
Han han pata hai pata hai, sab avi meri katal karne ki chahat kar rahe honge par, sabr rakhiye Sabr ka phal mitha hota hai.
Main 2nd part likhungi agar mujhe acha nahi bahut acha Response mila toh...
So thokon likes aur dil khol ke comment karo.
Tab tak,
Allha hafiz 😊
124