Sham dhal chuki hai. Megha ka kamra chand ki roshani se nahaya hua hai. Apne kamre me khamosh khari Megha ki nazare baar baar calendar ki taraf ja rahi thi. 20 April. Wo baar baar kosish karti hai ki na yaad aaye use wo gujra pal jo use taklif deta hai per dil baar baar use dhokha deta hai. Aaj uska birthday hai. Pichle 12 saalo se Navi uska birthday apne dhang se manati aai hai. Use tarah tarah ke surprises deti hai. Aisa nahi hai ki use khushi nahi hoti hai per 12 saal pehle Mohan ke saath bitaya wo din wo kabhi nahi bhool sakti. Baar baar wo khud ko un yaado se door karna chahti hai per yaadein to yaadein hai laut laut kar aa jaati hai or ek kasak si de jaati hai. Aaj bhi humesha ki tarah wo yaadein laut aai or le liya use apni girft me...
Mohan or Megha ek auto se kahi jaa rahe hai.
Megha - Mohan hum kaha ja rahe hai bata to do.
Mohan - tum thora shant nahi reh sakti kya? Jab se ghar se nikale hai sawal pe sawal. Are kaha na surprise hai. Agar abhi sub bata dunga to surprise kya khak dunga.
Megha - per...
Mohan - aa gaye... chalo utaro. Ab sab jawab mil jayenge.
Mohan Megha ko leke ek farm house me aata hai. Pura farm house decorated hai. Megha ye sab dekh ke surprised reh jati hai.
Megha - ye... ye sab kyu?
Mohan - sub tumhare liye kiya hai. Tum bhi na ajeeb ho yaar ek to kal itni mehnat ki ye sab karne me or tum ho ki khush hone ke bajaye sawal karne ko taiyar ho.
Megha - bahut khoobsurat hai Mr. Bhatnagar per ye ghar hai kiska?
Mohan - ye farm house mere dada ji ne mere naam kiya tha. Aaj tak main kabhi yaha nahi aaya. Lekin fir socha ki tumhe surprise de du wo bhi itne special din pe.
Megha - accha to kal kaam ka bahan karne tum saara din yaha the. Jhooth bola mujhse. Kaam ke bahane or kya kya karte ho mujhse jhooth bol ke.
Mohan - ek to itni mehnat ki tumhare liye or tum mujhper hi shaque kar rahi ho. Meri kismat hi kharab hai. Socha tha ki itna special din saath me enjoy karenge lekin...
Megha - lekin... khair choro. Aaj ke din maaf kiya. Ab aage kya ?
Mohan - ek minut. Kuch or hai.
Mohan andar jata hai or waha se ek bag utha ke lata hai.
Megha - ye kya hai?
Mohan - main chahta hoo ki tum ye pehno mere liye.
Megha - magar.
Mohan - agar magar kuch nahi. Are yaar aaj ke din to meri sun lo.
Megha - bhool rahe to yaad dila doo Mr. Bhatnagar ki Birthday mera hai. Or is hisab se meri marzi chalni chahiye na.
Mohan - wo to hai. lekin aaj tum meri sun lo. Mere birthday pe tum apni marzi chala lena. Waise bhi puri zindagi tumhari to chalegi.
Megha - hoo...
Mohan - are yar ab yaha baithe baithe time waist mat karo na jake jaldi taiyar hoke aao.
Kuch der baad Megha Mohan ki di dress pehan ke aati hai. Mohan use dekhta reh jata hai. Red Lehnge me Megha use bahut khubsurat lagti hai. Mohan ko apni or aise dekhta dekh Megha thora uncomfortable feel karti hai. Mohan uske pass aata hai. Megha ghabra jati hai. Mohan Megha ke sir pe ek chunari dalta hai. Or dheere se kehta hai "Meri zindagi me bahar ki tarah utar kar aane ke liye shukriya."
Megha nazre utha ke Mohan ko dekhti hai or Mohan smile karke piche hat jaata hai. Megha bhi smile deti hai.
Mohan - or bhi kuch hai. Ye churiya. Main pehna doo?
Megha kuch nahi kehti. Mohan Megha ki churiya dheere dheere utarata hai or use apni layee churiya pehnane ki kosis karta hai per churiya Megha ke haatho me jaati hi nahi.
Mohan - ye churiya andar kyun nahi jaa rahi hai?
Megha - kyunki inka size chota hai. mere haatho me nahi ayengi.
Mohan - wo... Wo aisi cheeje kharidane ka experience nahi na to galti ho gayi.
Megha - koi baat nahi tum mere liye leke aaye yahi kafi hai.
Mohan - ok ab cake katate hai. chalo.
Megha cake cut karti hai or Mohan ko khilati hai. Mohan bhi use Cake khilata hai. Megha dekhti hai ki Mohan ke lips pe cake laga hai wo cake saaf karne ke liye uske hotho ko chute hai or Mohan use dekhta reh jata hai.