poem :7
its for INNOCENT LOVE by tellyme
its about their present situation
mai patter dil to nahi
jaisa kah rahe hai sabhi
aur na karuga tujh se kabhi bewafaai
jaanta hu ,hai na tujhe is baat par yaki
na ho tu
apni maasumiyat se parrayi
is liye seh luga mai haas kar ye zudaai
nahi chaahiye
haan nahi chaahiye mujhe ye zudaai
mai tayaar hu ,ek tere liye
hone ko baki sab se paraayi
mai is duniya mai
bas teri hone ke liye hu aayi
sang le chal mujhe
kyoki nahi sah paayugi mai ye zudaai
sun meri zindagi
tu aise baat na kar
kyoki nahi ho paauga , mai apne faisle se mukar
aur sun...
tu mujh se kabhi baat na karna
mere waqt se pahle aane ki aas na rakhna
mai waqt se pahle nahi aauga , isliye meri raha na takna
kya kafi nahi thi ,milo ki zudaai
jo tumne mujhe baat na karne ki sazaa bhi hai sunaai
ek tu apna saath dede mujhe
saath tere chal saku,apna haath dede mujhe
mai de rahi hu tujhe apne pyaar ki duhaai
kyoki darr hai mujhe
waqt karega hum se bewafai
tu mere dur jaane se na darr
bas apne pyaar par yaki kar
ek tere liye hi to mai ,
har riti tiwaaz se raha hu mukar
mujhe darr duniya ka nahi
bas tere pass rah kar bhi rahu tujhse dur
is baat ka yaki , ab mujhe khud par nahi
bas tu ye meri aakhiri baat maan le
phir jeeuga har pal tere liye
yeh bhi tu jaan le
ye sab jaanti hu mai
teri har baat manti hu mai
par phir bhi dil baar baar de rah hai duhaai
na jaa dur yu mujhse , yeh kah raha hai
waqt karega is baar hum se bewafaai
is liye phir se de rahi hu
mai tujhe mere pyaar ki duhaai
saath le chal mujhe
ek teri hu mai
baaki sab se hui hu paraayi
Edited by 9n9i9s9h9u9 - 12 years ago
617