Shreya: Aur iss damdaar performance ke baad aayi bharte hain rules ki taraf.
Hasan: Ab teri bhasha ka kya huya?
Shreya: Aapne aap thik ho gayi.
Hasan: Acha. Toh aapne aap kharab huyi aur aapne aap thik bhi ho gayi?
Shreya: Haan.
Hasan: Kya haan?
Shreya: Arre Hasan aage bharen?
Hasan: Haan bhar.
Shreya: Haan toh rules ki taraf bharte hain. Rules kuch aise hain. Pehle toh dono contestants ko sirf ek mahina milega.
Hasan: Doosra. Iss ek mahine main yeh dono koi spamming nahi kar sakte hain.
Shreya: Teen. Sirf mere baare main baatein kar sakte hain.
Hasan: Abey yeh kahan likha hai?
Shreya: Yeh maine likha hai.
Hasan: Chal chal. Sahi rules bata. Contestants yeh teesra rule kahin nahi likha hai.
Shreya: Acha thik hai. Teesra iss show ke judges main aur Naina hain.
Hasan: Waise yeh Naina hain kahan?
Shreya: So rahi hogi.
Hasan: Iss waqt?
Shreya: Uska koi waqt nahi hai. Woh toh kabhi bhi soti hai.
Hasan: Acha aur kaunse rules hain?
Shreya: Haan ek aur hai. Jo mere ko maska marega woh jeetega.
Hasan: Abey chal.
Shreya: Chal haath.
Hasan: Chal chal. Aisa koi rule nahi hai.
Shreya: Ek baat bata Hasan. Tum meri taraf hai yah unki taraf?
Hasan: Main toh tumhari hi taraf hoon. (pointing at Zari and Misbah)
Shreya: Yeh kaisa meri taraf hai?
Hasan: Dil tumhari taraf hai.
Shreya: Oh hello. Mujhe bhudo samjha hai kya. Dulhe Raja ka line mere upar istamal karne ki koshish maat kar.
Hasan: Shuru tumne kiya.
Shreya: Tumne.
Hasan: Tumne.
Shreya: Tumne!
Hasan: Tumne!
Shreya: Tumne!!!
Bigg Boss: Shreya aur Hasan, Bigg Boss ka yeh adesh hai ke tum dono aapni ladai band karo warna show se nikal diye jaoge.
Shreya: Bole toh Bigg Boss yahan kya kar raha hai?
Bigg Boss: Bole toh main kahin bhi aa sakta hoon.
Shreya: Bigg Boss, aap aur Hasan guests hain. Main nahi. Aap dono jaaye.
Hasan: Jaata hoon. Waise bhi tere saath nahi rehna hai.
Shreya: Hasan...(pouty face)
to be continued...
Edited by khota_sikka_sri - 13 years ago