Dearest husband, main jub chhoti thi tab gudde-guddi ki shaadi khelti thi,aur Db muze kahaani sunati thi rajkumarwali.aur me nind me dekhti mera rajkumar kaisa hoga?tum muze uska ehsaas hi tha.lekin main badi hone lagi toh mun main woh ehsaas aur bhi gehera ho gaya,kya mera rajkumar handsome hoga,padhalikha hoga,muzse pyar karega,dil tha aur usme kai saare sawaal,jawab mushkil tha. Manne ek tasweer banai thi,lekin pata nahi tha,woh kaun hoga kaisa hoga?aur maine kotnis me kadam rakha aur wahaa aapko dekha.aapko dekhti toh sochti koi aadmi aisa ho sakta hai,farishte ki tarah.jise na koi chah hai,naa koi armaan hai,bus sirf mareej aur children ward .jiske liye octory ek pooja hai,aur mareez bhagwan.upki yeh achhai pe toh muze aapse pyaar aane laga.aur mere dil ko pata hi nahi chala ki meri ruh unki ho chooki thi?aapke daatne me bhi muze pyaar lagta tha,main bhool gai thi ko aap muzse 18 saal bade hai.aur fir yeh takdeer ka faisla ban gaya aur aapko muzse pyaar ho gaya. Pyar bhi kitna khubsurat ehsaas hota hai,jisme umr ki bandish nahin,duniya ki fikr nahi.aap aur me jaise duniya se anjaane ho.dono ek dusarese itne alag lekin dilse ekdum kareeb.aapko milnese laga mere rajkumar to aap hi ho,aapke bina kuchh nahi achha lagta tha.Fir duniya kee aandhi ne hume door rahenepe majboor kiya.tabhi man to yehi karta yeh saareee duniya chhod du aur aapka daaman thaam.aapke bina jeeneki aadat jo nahin thi. aur fir humari shaadi hui mai MRS.Ashutosh banke aap ke ghar aai,aap ki parchhai ban gayi.aur aaj sochti hoo to apne takdeer per itrati hoo,bhagwan ka dhanyawaad karti hoo ke ek farishte ko meree zindagi me laye.aur meri zindagi mehek uthi,aap muze pyaar se dekhte hai,to sochti hoo,me suchmooch koi khwaab to nahi dekh rahi?main to sirf aapko chaahati hoo,aur koi mere dil ko nahi jachta,kya karoo pyaar jo aapse karti hoo.I love you,Dr.ashutosh Aur aapke liye Happy Birthday to you Hardum aapko dekhnewali, Aapki humsafar Nidhi Ashutosh Mathur.