Here is an audio treat - the audio interview of the legend. This was in Brittania, during 1977 while Rafi Sahab was on world tour. My thanks to Shuklas@HF for providing us all this interview. The transcript of the interview is below. Just read through and listen to Rafi Sahab speak in his soft voice. How transparent he is in his thoughts.
Mohd Rafi, jo lagta hai abhi kal taq jo hamare darmiyan the, aur phir voh chale gaye. Abhi chand baras huve jo woh London aaye the; unse ghulmil kar baatein ho rahin thi. Yakeen nahin aata jitni oonche unki taane thi, use se bhi oonchi aasmaanon mein unhone basera kar liya hai, aur jitne neechi unki sur the, unhe us se bhi zyada neechi need aagayi hai. Mohd Rafi, marhoom. Yeh November sathathar (1977) ki baat hai, Mohd Rafi, Brittania ke kayi sheheron mein, bade bade mazhumon ke saamne gaa chuke the. Hamne unse puucha ke:
(9MB)
Interviewer: aapko apne saamne paakar, aur khud aapki zabaan mein, apne pasandida geet sunkar, logon ne kya mehsoos kiya?
Rafi: Bahut achha kiya ji, bahut achha kiya. Response achha mila. Public itni khush huyi bahut.
Interviewer: Achha Tho Yeh Baatayiye, ab aap is tamaam safar ke baad wapar bambai pahunchenge; wahan phir aage ke liye aapke kya mansoobe hain, kya plans hein?
Rafi: Kuch nahin, wahan jaake ham apna recording shuru kardenge ji. Sab log rasta dekh rahe hein udhar. Telephone aarahe hein, jaldi aayiye; jaldi aayiye.
Interviewer: Phir hamne Mohd Rafi se poocha ke hindustan ki filmon mein aapko gaate huve, chauthaayi sadise bhi zyada arsa ho chuka hai. Kabhi aapne hisaab lagaya hai ke, itne bahut se barason mein, aapne kul milakar kitne gaane gaaye hein?
Rafi: Aisa jahan tak mujeh yaad hai ki, mujeh isline mein painteez (35) saal hogaye, aur us arse ke andar maine pachheez hazaar (25000) gaane gaayen hein; pachheez - chabeez hazaar (25000-26000).
Interviewer: Achha pacheez-chabeez hazaar gaano mein, aisa nahin hota ke aap, kuch gaanon ke dhoone bhool gayen hon?
Rafi: Aisa tho kuch nahin, jo gaane hit horahe zyada inko, voh gaane yaad rehte hein. Kayi aise gaane bhi hein jo bhool bhi gaye hein.
Interviewer: Achha yeh batayiye ke, yeh jo microphone hein istarah jo aadmi peheli baar iske saamne aata hai tho, usko khauf aata hai. Microphone se kehete hein ke aadmi darta hai; aur, shuru mein kaafi arse taq usse khauf aata hai. Aur aap yeh samajhiye ke painteez saal microphone ke saamne guzare hein; yeh bataayi, ke jab aap, farz kijiye jab aap gaane khade huye the, yahan badla wafa ka bewafaayi ke siva kya hai, us waqt aap ko kaisa mehsoos ho raha tha?
Rafi: Aisa, zara si kuch jijhak aati, thodi si, phir baad mein tik ho jatha hai. Bajne se tho gaane, gaane ke baad phir se dhun aajaayegi.
Interviewer: Ab jab aap, mashallah itne arse se gaa rahein hein tho, ab aapko, microphone ke aage kaisa mehsoon hota hai?
Rafi: Bas, mehesoos kuch nahin hota ji. Ek dam free gaata hun mein bas.
O duniya ke rakhwale song plays.
Interviewer: Kahan hai yeh paakdaar awaaz aur kahan apni neeji zindagi mein, bhole bhale, seedhe saadhe, balke sach poochiye tho kuch, sehme sehme the Mohd Rafi. Yakeen nahin aata. Hamne unse Poocha ke recording studio mein tho aap aksar jaate hein. Lekin ab aap yahan Brittania mein, hazaaron mazhumon ke saamne gaa rahe hein. Kya us gaane mein, aur, is gaane mein kuch faraq hai?
Rafi: Ji haan. Bahut, ek dam change peheli dafa hota hai. Har public ki farmaish poori karni padti hai, aur jaise jaise log farmaish karte hein, waise hi gaana gaana padta hai. Usi Mood mein koyi Rock N Roll, Bhajan, Classical, ji waise gaana padta hai.
Interviewer: Mohd Rafi ki ek badi khoobi yeh thi ke voh thirakte huve geeton se lekar, tehre tehre classici raagon taq, sabi kuch, badi masharath se gaate the. Aise mehero mein unse poocha gaya ke, tarah tarah se filmon ke badalte huve manzaron ke muthabik, aap apne gaane ka andaaz, aur apni kaifiyath ko kaise badalte hein?
Rafi: Aise voh, director ham logon ko batate hein, shuru mein batate hein, yeh gaana voh gaarahein sab, Kayi saal pehele picture aayi thi Neel Kamal, Usmein Ek Gaana tha, Babul Ki Duvayen lethi Jaa. Us mein se, meri ek ladki ki bhi shaadi thi, us ke doosre din mein yeh gaana record kiya. Tho wahan voh ladki gaati hai, tho meri aankhon mein aaraha tha aisa, ke jaise meri ladki abhi jaa rahi hai, doli mein, aisa aisa, tho lagta tha ke, gaane ekdam jazbaat se dil se nikal gaya.
Babul Ki Duvayen Lethi Ja song plays.
Interviewer: Aur Aakhir mein hamne Mohd Rafi se poccha, Ke Aap, painteez barson mein, pacheez se chhabeez hazar gaane gaaye hein, tho kya aap samjhthe hein mausiki ki duniya mein, apni zindagi ka, sab se achha nagma aap gaa chuke hein?
Rafi: Yeh tho dariya hai music ka. Yeh tho kabhi khatam hota nahin bas. Jitne bhi is mein, har tarah khushi ka sana hoti rehegi bas ismein.
Interviewer: Ek dafa Rafi Sahab koyi tees saal huve, maine Illahbaad ke ek tehele mein aapka Interview pada tha. Us mein unhone aap se poocha tha ke Rafi Sahab, aapko apna gaya huva kaunsa gaana sab se zyada pasand hai? Us waqt aapne kaha tha, Suhani Raat Dhal Chuki. Kya apne is bayaan par aap abhi Kayam hai?
Rafi: Ji haan, yeh gaana achha hai, bahut sweet lagta hai bas.
Suhani Raat Dhal Chuki song plays.
(9MB)