A short story(in hindi an eng) kya yahi pyar thal

Rejoiced.ritika thumbnail
13th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail
Posted: 13 years ago
#1
Aaj apne aadat ke anusaar ahem gopi ke flat par pahuncha, par flat par lock laga tha tabhi use yaad aaya ki gopi to aaj apne ghar wapas ja rahi thi. Do ghante ke baad uski train thi. Ye to use pahle se pata tha to phir use itni bachaini kyun ho rahi hai. Kyun use lag raha hai ki uski koi bahut hin pyari cheez dur ja rahi hai. Jaise ki uski jindagi mein ab kuch baaki nahi raha. Wo tarap kyun raha hai...tabhi use wah din yaad aaya jab wah gopi se pahli baar takraya tha.
(pls. read its second part for further story,as im doing it with mobile so i cant made it more longer.)
Edited by ritika-gohem - 13 years ago

Created

Last reply

Replies

17

Views

2.8k

Users

6

Likes

35

Frequent Posters

-Jitu- thumbnail
16th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail
Posted: 13 years ago
#2
bahut accha yaar.

Iska agla bhaag kab likh rahe ho ...?
Rejoiced.ritika thumbnail
13th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail
Posted: 13 years ago
#3
Ahem is shahar mein apni further study ke liye aaya tha. Kal se uske college classes start ho rahe the so wah aaj hin apne flat ko arrange kar lena chahta tha. Sare arramgement karne mein use din bhar lag gaya aur wah puri tarah thak chuka tha. Use chai pine ki icha hui. Par jab wah chai banane gaya to usne paya ki uske paas chini nahi thi. So wah chini laane ke liye ready hua.flat ko lock karke jaise hin wo mura wah kisi se takra gaya. Wo ek girj thi.
Rejoiced.ritika thumbnail
13th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail
Posted: 13 years ago
#4
Us larki ne apne haath mein kuch saman liya hua tha jo niche gir para .unmein ek packet chini ki bhi thi ,chini dekhte hin uske muhn se nikal para , chini.
girl-i haan ,chini, magar tum itna chauk kyun rahe ho.
ahem ko apni galti ka ahsaas hua aur usne kaha-sorry, shayad aapse takrane ki wajah se main embarrace ho gaya aur mere mere muhn se nikal gaya.
girl-hota hai, hota hai. Magar shaayad tum yahan naye ho, maine tumhe pahle kabhi yahan nahi dekha hai.
ahem-haan , main yahan naya hun aur further study ke liye aaya hun.
Rejoiced.ritika thumbnail
13th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail
Posted: 13 years ago
#5
Girl-achha,aapse mil kar bahut khushi hui. Main bhi yahan apne study ke liye hi aayi hun aur aatke thik upar wale flat mein rent par rah rahi hun. Chuki, aap naye hain, isliye agar kisi cheez ki jarurat ho to aap mujhse bejhijhak kah sakte hain.
ahem-filhaal to aap meri madad ye bata kar kijiye ki yahan par chini najdik mein kahan milegi.
girl- chini, uske liye to aapko thori dur jaana hoga. Magar aapko chini chaiye kyun,agar aap chahen to mujhse le sakte hain.
Rejoiced.ritika thumbnail
13th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail
Posted: 13 years ago
#6
Aham- really, main bahut thaka hun aur chai pina chah raha tha, magar mere paas chini nahi thi. So, main market ja raha tha ,magar jaisa ki aapne kaha ki thori dur jana hoga to usse better hai ki main aapse hi le lun.agar aapko thik lage to.
girl-oh, to aapko chai pini hai. Agar aap chahe to aap mere flat par chal kar chai pi sajte hain.main aapko invite kar rahi hun.
ahem thora hichkate hue.
ok, thik hai chaliye.
is tarah aham us larki ke flat par gaya jahan use pata chala ki uska naam gopi hai. Aur wah ek saal pahle se yahan rah rahi thi. Aur uski study aur aham ki study dono ek hin saath complete hoti. Gopi ek saawanli si magar behad attractive thi aur ek middile class family se belong karti thi jabki ahem ek too much hand some aur ek bahut hi rich family se belong karta tha.
Rejoiced.ritika thumbnail
13th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail
Posted: 13 years ago
#7
Is tarah aham pahli baar gopi se mila tha. Magar baad mein coincidents is tarah se bante rahe ki use gopi ke paas help ke liye jana hota aur gopi use chai jarur pilati. Kyunki gopi ko chai pina bahut pasand tha magar wo akele chai pina utna pasand nahi karti thi. Gopi ej din aham se kaha - jante ho mujhe akele chai pina nahi pasand hai. Tum agar roj shaam ko chai pine mere flat par aaoge to mujhe bahut achha lagega. Tab aham ne hanste hue kaha tha-ok thik hai. Aur us din se dono chai saath mein pine lage the. Aur jitni der wo saath rahte the kisi na kisi topic par discussion hota. Aham ne paya ki ye bahut hi sadharan se dikhne wali gopi behad hi understanding aur intelligent hai. Is tarah gopi ke saath discussion aur chai ahem ki aadat ban chuki thi.
Mandy20 thumbnail
14th Anniversary Thumbnail Sparkler Thumbnail Networker 2 Thumbnail
Posted: 13 years ago
#8
great story.. well written :)
Rejoiced.ritika thumbnail
13th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail
Posted: 13 years ago
#9
Magar aham ki ye aadat kab uski jindagi ban gayi, ye to wo khud bhi nahi samajh paya. In do saalon mein usne gopi ko aur gopi ne use bas ek'jan pehchan wale ki tarah hi treat kiya" yahan tak ki kabhi ek dusre ko dost ki tarah bhi nahi samjha kyunki un dono ki beech saare jahan ki baatein hoti thi, magar kabhi ek dusre ke baare mein nahi janna chaha. Bus itna hi jante thi ki ek din apni study puri karke dono ko apne apne ghar chale jana hai. Aur aaj wo din aa gaya tha. Magar aham is baat ko accept nahi kar pa raha tha ki ab wah gopi ke saath kisi bhi topic par discussion nahi kar sakega, uske haathon ki chai use nahi mil payegi. Shayad wo gopi ko ab kabhi nahi dekh paayega.
Rejoiced.ritika thumbnail
13th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail
Posted: 13 years ago
#10
Gopi ko dekhe bina use uski jindagi achi nahi lagegi. Shayad wo ji bhi nahi paye. Ahem apne soch par khud hairan tha. Iska matalab wo daily gopi ke paas isliye jana chahta tha kyunki wo gopi se pyar karne laga that aur usse milna chahta tha, baatein karna chahta tha, chai to ek bahana ban gaya tha. Itni si baat wo kyun nahi samajh paya tha .gopi uski jindagi, uski jarurat ban gayi aur use pata bhi nahi chala.use gopi ko rokna hoga. Uski train chutne mein abhi 45 min. Baki hai. Ahem station ki or chal para aur saare raaste wo yahi soch raha tha ki gopi uske baare mein kya sochti hai. Kya wo bhi waisa soch rahi hogi jaisa main soch raha hun. Ahem baar baar use phone mila raha tha par baat nahi ho pa raha tha .ant mein usne msg.kiya -ruk jao pls. Ahem jab station pahucha to train ja chuki thi. Uske aakhon mein aasun aa gaye the. Wo wapas apne flat chala gaya. Flat mein aaya to use chai pine ki icha hui.

Related Topics

Top

Stay Connected with IndiaForums!

Be the first to know about the latest news, updates, and exclusive content.

Add to Home Screen!

Install this web app on your iPhone for the best experience. It's easy, just tap and then "Add to Home Screen".