Maan: Adi tum jaao aur ye form submit kardena main zara Principal se milkar aata hoon
Adi: Ji Bro
Maan goes to meet the principal
Adi: Najaane kyun ye college mujhe dara raha hai aisa lag raha hai jaise k ye sab log mujhe kha jaayenge ' iss college ka atmosphere kafi ajeeb hai
Adi: Ye college mere jaise bachhe k liye thik nahi hai dekho na meri bholi bhali bhabhi ko kya banakar rakh diya hai
Adi: Bro thik keh rahe the bhabhi ka friend circle achha nahi hai haan aur mujhe apne aap ka khaas dhyan rakhna hoga tabhi toh main bhabhi ka khayal rakh paaunga
Adi: Yes Adi bus itna yaad rakh kisi se dosti nahi karni hai tujhe kyunki agar tu koi galat company mein pad gaya toh Bro tujhe pyar se nahi balki apne MSK k style mein samjaayenge jo k tujhe kafi bhari pad saktha hai
Adi: Done. So koi dosti nahi bus apne mission par concentrate karna hai
He continues walking and collides with a girl who was carrying some books
Adi: I am really sorry miss'
Girl: Meera
Adi: Oh I am sorry Meera wo darasal main'
Meera: Aapko sorry kehne ki zarurat nahi hai wo main hi itne saare books lekar ghum rahi thi k aapko aate hue dekh nahi paayi galti toh meri thi aapki nahi
Adi: Nahi galthi aapki bhi nahi hai main bhi apne hi khayalo mein ghoom raha tha by the way mera naam Aditya hai aap mujhe Adi kehkar bula sakthi hai
Meera: Nice to meet u Adi waise aap iss college mein naye malum hothe hai warna yaha sorry kehne k rules nahi hai
Adi: Sahi kaha aapne maine aaj hi admission liya hai
Meera: Kaunse department mein?
Adi: Computers
Meera: O wow that's great main bhi computers kar rahi hoon
Adi: Waise agar aap bura na mane toh kya aap mujhse dosti karengi?
Meera: Bura toh main zarur maanungi agar aap yuhi aap aap kehthe rahe toh aapse dosti karna zara mushkil hai
Adi: Thik hai agar main tumhe tum kehkar bulau toh?
Meera: Haan ab hum dost bun sakthe hai
Adi: Waise Meera tum itne saare books lekar kaha jaa rahi thi?
Meera: Wo library ja rahi thi ye books return karke kuch naye books issue karne hai
Adi :Toh chalo main bhi tumhare saath chaltha hoon
Saying so he took some books from Meera and both of them start walking towards the library
Meanwhile,
Vicky: Geet tune who kal ki cheez mujhe nahi di
Geet: Kaise dethi tu toh darbok ki tarah bhaag gaya tha na?
Vicky: Toh kya karta mujhmein teri jitni himmat nahi hai aur waise bhi mujhe meri jaan pyari hai tere jaise main apni jaan hatheli par lekar nahi ghumtha
Geet: Toh ghumna shuru kar de ek alag hi adventure hai iss zindagi mein waise bhi darke kyun jeena hume kiski parwah humari life hai humhari marzi hum jaise jeena chahe waise jeethe hai
Vicky: Tera toh pata nahi par mere parents ki ek lauti aulaad hoon main agar mujhe kuch ho gaya toh unka kya hoga iss liye mujhe meri jaan pyari hai aur mujhe darr bhi lagtha hai
Geet felt an unbearable pain at that moment
Geet: Parents?
Vicky: Haan mere parents jo mujhse bahut pyar karte hai aur unhe meri jaan ki bhi behet fikr hai
Geet: Pyar? Par mujhe toh kisine kabhi bhi pyar nahi kiya bus sab mujhe akela chodkar chale gaye'.meri toh kisiko kabhi zarurat thi hi nahi
She felt like crying but she was supposed to be a strong girl and hence she controlled herself on time
Geet gives the pendrive to Vicky
Geet: Ye le aish kar'
Vicky: Thanks Geet
Vicky goes away from there
Geet started walking like a lifeless soul
Vicky's words once again made her realize the pain that she was trying to hide behind her ruthless behaviour
She once again started thinking that she was unwanted
Geet: (thinking) Vicky kitna lucky hai uski fikr karnewala koi toh hai iss duniya mein warna mere jaise logh bhi hai jo jiye ya mare usse kisiko koi farak nahi padtha
She continued walking still lost in her thoughts
Exactly at that point of time Maan comes out from the Principal's cabin
He was busy checking a message on his mobile and hence did not noticed Geet
Both of them collide and they land up on a chair
Geet was sitting on Maan's lap
For a second there was a smile on Geet's face as if she got all the answers to her questions
She looked into Maan's eyes and all of a sudden she could hear her heart's voice
" Tum akeli nahi ho Geet
Tumhara khayal rakhnewala bhi koi hai
Aur iske rehthe hue tum apne aap ko akela kaise samaj sakthi ho
Jab wo bus tumhara hi hai toh kyun apne aap ko rokh rahi ho uska haath thamne se
Kyun apne jazbaatho ke saath khilwaad kar rahi ho'tham lo uska haath banalo usse apna ' ek baar usse apna kehkar toh dekho ek baar apne dil ko ek mauka toh doh"
But then her mind started dominating her heart's voice
"Bevakoof mat bano Geet kyun dubara apneaap ko takleef pauchana chahthi ho
Pehle bhi toh pyar ki umeed ki thina tumne tab kya hua chodkar chale gaye na sab tumhe
Apne aap ko samal lo Geet tum yun kamzoor nahi pad sakthi kyunki ye duniya kamzoor logo ko apne pairo tale raungh dethi hai aur yaad rakho tum kamzoor nahi
Ye jo kuch bhi tum mehsoos kar rahi ho wo bus ek chalawa hai haath lagane jaayogi toh wo gayab ho jaayega
Dubara kisi ko apne jazbaatho k saath khelne mat dena' kabhi nahi"
These thoughts were enough to convert the love in her eyes into hatred
Geet: Tumhari himmat kaisi hui mere college mera peecha karte hue aane ki
Geet: Mr. Maan Singh Khurana bahut samajdaar samajthe hona apne aap ko par tumhare ye paitre mere saamne nahi chalnewale
Maan simply kept looking at her with a smile on his face
Geet: Tum ek number k bevakoof insaan ho jo yuhi nakaamyaab koshish kar rahe ho mujhe wo sab yaad dilane ki jo k main kabka bhool chuki hoon
Geet: Tumhe kya lagtha hai k main koi katputli hoon jo k kisi k bhi kehne se badal jaayungi tum galat ho samjhe tum main Geet hoon Geet Handa jo wohi karti hai jo uska dil karta hai
Geet: Usse kisi bhi Maan ki zarurat nahi hai apni zindagi mein usse akele rehna aata hai
Geet: Aur ek baat samajlo tum mere liye koi maiyne nahi rakthe tumhara khayal bhi mujhe pareshan nahi karta'tumhara chehra bhi meri aakhon k saamne nahi mandaratha
Geet: Main tumse nafrat karti hoon sirf nafrat samjhe tum
Maan did not say anything he simply kept on admiring Geet
Geet: Kuch bolthe kyun nahi tum main tumhe daath rahi hoon tumse jhadga kar rahi hoon tum chup kyun bait rahe ho lado mujhse' nafrat karo mujhse
Maan: Geet waise ek baat toh hai mere godh mein baitkar jab tum baat karti ho toh kafi cute lagti ho
It was then that Geet realized that she was sitting comfortably on Maan's lap
She got up immediately
By that time the Principal comes out of his cabin
Principal: Ye kaun chilla raha tha Mr. Khurana
Maan: Kuch nahi Sir wo aisi hi
Principal: O Geet ye humare college k naye trustee hai Mr. Maan Singh Khurana
Geet was shocked
Maan : Hello Geet
Geet did not speak anything
Principal: Chaliye Mr. Khurana aapko kisise milana hai
Maan: Aap chaliye Sir main bus aata hoon
Principal: Thik hai
Principal goes away from there
Maan: Geet main tumhe badalne ki koshish kyun karu jab k tum jaisi ho mujhe waise hi achhi lagthi ho
Maan: Tumhe shayad kabhi meri zarurat na ho par main tumhare bagair jeene ka soch bhi nahi saktha
Maan: Main shayad tumhare khayalo par kabhi dastak na de pau par tum humesha hi mere khwabho ki mallika rahogi ' mere zindagi ki roshni rahogi
Maan: Tum mujhse bhale hi nafrat karo par issmein bhi main apni khushi dhundunga kyunki nafrat hi sahi tumne mujhse kisi k laayak toh samjha
Maan: Aur main bhala tumse kyun ladu jabke aaj pehli baar tumhe ye mehsoos hua k main yaha tumse milne k liye aaya hoon 'mujhse toh tumhara shukriyaa ada karna chahiye k ek pal k liye hi sahi tumne mujhe apni zindagi mein shamil toh kiya
Geet was bowled by Maan's answers
Maan: Bye Geet apna khayal rakhna
Saying so he goes away
Geet just kept looking towards Maan
PRECAP: CHUDA K DAAMAN TOH JAA RAHE HO THEHRE KYUN DO KADAM PE JAAKE😳😳😳 KHABAR HAI MUJHKO HAI PYAR TUJHKO THEHRE KYUN YUN NAZAR MILAKE😳
PLS PRESS D LIKE BUTTON N DO COMMENT
ALL THOSE WHO WANT A PM PLS ADD ME TO YOUR BUDDY LIST
Love - Piya
29