Thanks for your encouragement and support. I have replied to your comments. Since many of you wanted the next part to b romantic I have tried to give a romantic update I m really sorry if I couldn't live upto your expectations.
I dedicate this update to my dearest friend Silky. She got her masters result and stood second in the university. Way to go girl congratulations
love-Piya
Both of them got lost in each other's embrace
Geet: Maan aap itna tadap rahe the aur aapne kisiko bhi iss baat ka ehsaas nahi hone diya
Maan: Tadap toh main ab bhi raha hoon Geet chahkar bhi ye bhula nahi paa raha k maine tumhe kitni takleef di
Geet: Takleef toh aap mujhe ab de drahe ho Maan lagta hai aapko mujhe dukh pauchakar maza aata hai
Maan: Aisa mat kaho Geet
Geet: Aisa na kahu toh aur kya kahu Maan aapko yun tadaptha dekhkar mere dil par kya beeth rahi hai ye aap soch bhi nahi sakthe...agar aapko meri zara si bhi fikr hothi toh aap iss baat ko abtak bhula chuke hothe
Maan: Kaise bhula du Geet main ye kaise bhool saktha hoon k maine tumhare saath itne kadwi baate kahi tumhe sareaam sabke saamne bejaat kiya
Geet: Magar aapne jo kuch bhi kiya wo mere liye hi toh kiyana Maan mere liye sabse badi baat yahi thi k aapne humesha apna vishwas mujhpar barkarrar rakha... aap shayad kuch pal meri nazro se dur the par tab bhi aapne mera saath nibhaya
Geet :Maan agar aap meri khushi wakai mein dekhna chahthe hai toh aaj mujhse vaada kijiye k dubara iss mudhe par hum kabhi baat nahi karenge
Maan: Tumhari khushi se badkar mere liye kuch nahi hai Geet thik hai main vaada karta hoon ab toh khush hona
Geet: Hmm... khush toh hoon par agar aap zara sa muskuradenge toh meri khushi dugni ho jaayegi
Maan started smiling
Geet: Dekha hogayina meri khushi dugni
Maan: Geet ye sab toh thik hai magar ek baat tumse puchna chahtha tha
Geet: Puchiye Maan
Maan: Geet agar aaj main tumse kuch maangu toh kya tum mujhe wo dogi
Geet: Puchke toh dekhiye Maan aapke liye toh ye Geet kuch bhi kar sakthi hai
Maan: Geet aaj main humare iss anjaan rishte ko ek naam dena chahtha hoon...Mujhse dosti karogi...Kya tum mujhe iss layak samajhti ho k main tumhara dost ban sakhu
Geet: Maan aapne mujhe apne dosti layak samjha ye mere liye sabse badi baat hai. Thanks Maan
Maan: Hmm..toh aaj se officially hum friends hue par haan friendship k kuch rules hai no thanks and no sorry
Geet: Thanks wali baat toh main yaad rakhungi par Sorry wali baat ka khayal aapko rakhna padega
Both of them start laughing
Maan: Geet main tumhare liye ek taufa laya hoon pls mana mat karna
Geet: Taufa?
Maan: haan
Saying so he removes the gift
Geet: Maan issmein kya hai
Maan: Pehle vaada karo k tum ye gift dekhne k baad isse lene se mana nahi karogi...agar tumne ye gift nahi liya toh main samjhunga k tumne mujhe maaf nahi kiya
Geet: Main vaada karti hoon
Maan opens the gift
It was a beautiful and elegant diamond bracelet of foliate motif consisting of seventeen graduated rectangular shaped diamonds interspered by baguette cut diamond bar spacers flanked by a border of marquise cut and pear shaped diamonds
Geet: Maan ye toh...
Maan: Geet tumne vaada kiya tha k tum mana nahi karogi
Geet: Par Maan...
Maan :Iska matlab hai k tumne mujhe maaf nahi kiya
Geet: Aisi baat nahi hai..thik hai main ye gift accept karti hoon
Maan was very happy
Maan: Lau main tumhe pehnadetha hoon aur haan mujhe tumse ek aur vaada chahiye tum iss bracelet ko apne haatho se kabhi nahi nikalogi
Geet: Maan ye kaisi zidd hai itna mehnga bracelet main har roz kaise pehen sakthi hoon
Maan: Wo main kuch nahi janta tum ye pehnogi matlab pehnogi bus
Geet looks at the bracelet
Maan: Kaisa laga?
Geet: Kafi khoobsurat hai
Maan: Tumse thoda kum
Geet: Maan zara ye dekhiye aisa lag raha hai jaise k ye sirf ek design nahi balki koi language ka ek word hai
Maan: ye...ye kya keh rahi ho Geet
Geet: Haan Maan shayad urdu mein likha hua word hai
Maan (a bit tensed) Tumhe urdu aathi hai?
Geet: Nahi Maan par aisa lag raha hai jaise k ye urdu ka hi koi word hai
Maan: Thank God
Geet: Kya?
Maan :Kuch nahi Geet ye bus ek design hai tum yuhi kuch soch rahi ho. Chodo isse chalo ghar jaate hai Dadima wait kar rahi hongi
Geet: Ji
Maaneet leave
Khurana Mansion
Dadima: Aa gaye aap dono
Maan: Haan abhi toh aa gaye par jald hi jaa rahe hai
Geet: Kaha?
Maan: Picnic
Annie: Bhai Picnic wo bhi raat ko
Maan: Annie hum sab kal subah Picnic ko ja rahe hai aur haan Adi aur Pinky bhi humare saath chalenge
Dev: Bro yun achanak
Maan: Dev pichle kuch dino mein kafi kuch ho gaya main chahtha tha k hum thodi der relax feel kare
Annie: Wow bhai mujhe ye idea pasand aaya chal Geet tujhse der saari baate karni hai
Maan: Nahi Geet kahi nahi jaayegi
Everyone looks at him
Maan :Mera matlab hai k wo thak chuki hai usse rest ki zarurat hai kyun Geet main thik keh raha hoon na?
Geet just gives a sweet smile
Annie: Koi problem nahi kal picnic mein milkar dhoom machaeyge
Maan: (thinking) Ye Annie bhina socha tha k kuch pal Geet k saath akele guzarunga par Geet ko akele bhi toh picnic mein lejanahi sakthathana ab kya karu...
Dadi: Maan bete aap kya soch rahe hai chaliye jaakar aaram kar lijiye kal subah baate karenge
Maan: Ji Dadima
Everyone goes to their respective rooms
Maan's room
Maan: Thank God Geet ko pata nahi chala k uss word ka meaning kya hai... khair ab so jaata hoon kal kisibhi tarah mujhe Geet ko inn sabse dur karna hoga especially uss Annie se warna main Geet se ek pal bhi baat nahi kar paaunga
Next day
Everyone was very excited about the picnic
Adi and Pinky had also arrived
Maan had informed Geet that there was no need to come to KM he will pick her up when they would leave
Geet was waiting for Maan
Dadima: Chaliye koi Geet ko bhi toh bula laiye
Maan: Dadima Geet aa rahi hai aap logh car main baithiye na
Dev sits in the driving seat
Maan deliberately comes out late
The entire car was full there was no place for Maan and Geet
Adi :Maan Sir aap aur Geet kaha baithoge...ek kaam karta hoon main aur Pinky koi dusare vehicle mein picnic spot par pauch jaate hai aap dono iss car mein bait jaayiye
Maan: Nahi Adi iski koi zarurat nahi hai. Dev tum sab logo ko lekar chale jau main Geet ke saath dusare car mein aata hoon waise bhi wo ab tak ready nahi hui usse time lagega aap log jaaiye
Dev: Thik hai Bro hum nikalthe hai
The entire family leaves
Maan was very happy
He goes to the outhouse
Geet: Maan main kabse aapka wait kar rahi thi baaki logh kaha hai
Maan: Geet baaki sab ja chuke hai wo car mein place nahi thana issliye...
Geet: toh ab
Maan: Ab chalo main tumhe lekar chaltha hoon
Geet: Chaliye
Both of them leave
Geet: Maan aap ye kis raste se jaa rahe ho?
Maan: Kyun mujhpar bharosa nahi hai
Geet: khud se bhi zyada
Maan: Toh bus yun samajlo aaj tumhe jannat ki ser karane lekar ja raha hoon
Maan: Geet apni aakhein bannd karo
Geet: Kyun Maan
Maan: phir se sawal agar mujhpar yakeen hai toh jaisa main kehtha hoon waisa hi karo
Geet: Hmm...ab dosti ki hai toh aapke nakre toh jhelne hi hongena
Maan: Kya kaha tumne?
Geet: Kuch nahi...
Saying so she closes her eyes
Maan stops his car. He opens the door and carefully helps Geet to come out.
Maan: Geet aakhein kholo
Geet opens her eyes
A beautiful sight met her eyes
The place was full of beautiful rose plants. There was a small lake nearby. The sky was almost kissing the mountains. There was a light shower of rain and a mesmerizing ray of sunlight as well. the whole scenario made a wonderful sight
Geet: Maan ye jagah itni khoobsurat hai. thank you for bringing me here
MUSIC
(Geet is very excited she moves ahead to get a close look )
(Maan is simply admiring her)
"Pareshan tha kuch dino tak najaane kaisi uljaan thi
Bus ye ehsas tha k jeewan mein kuch kami thi
Aaj tujhe yun muskuratha hua dekhkar ek sukoon sa mila
Yun laga jaise saagar k maujo ko uska saahil mila
Teri khilkhaliti hui hasi ne fir se zindagi ko ek mazsad diya
Ab chahe jo ho jaaye thamne na dunga teri muskurahato ka ye silsila"
TUJHE DEKH DEKH SONA...
(Geet was really very happy she was smiling and laughing continously)
TUJHE DEKH DEKH SONA.. TUJHE DEKHKAR HAI JAGNA...
(Maan was standing in one corner and admiring her)
MAINE YE ZINDAGANI SANG TERE BITANI TUJH MEIN BASAI HAI MERI JAAN HAI...
(It was drizzling slightly and Geet started playing in the rain)
JIYA DHADAK DHADAK JIYA DHADAK DHADAKJIYA DHADAK DHADAK JAAYE...
( Maan was as usual mesmerized by her innocence)
JIYA DHADAK DHADAK JIYA DHADAK DHADAK JIYA DHADAK DHADAK JAAYE
(Geet turns around and realizes that Maan was admiring her... she started blushing and immediately moved to the other side)
TUJHE DEKH DEKH SONA TUJHE DEKH KAR HAI JAGNA
MAINE YE ZINDAGANI SANG TERE BITANI
TUJH MEIN BASI HAI MERI JAAN HAI
JIYA DHADAK DHADAK JIYA DHADAK DHADAK
JIYA DHADAK DHADAK JAAYE
"Jab mujhe dekhkar tum yun sharmajaathi ho mujhe meri jannat mil jaathi hai
Jab kabhi bhi mujhe ye ehsaas hotha hai k main tumhare liye ahem hoon tab dil ki har mannat puri ho jaathi hai
Kaash ye waqt yahi tham jaaye toh mujhsa khushkismat koi nahi hoga
Tere aakhon mein agar apni ek parchayi bhi dekh lu toh iss dil ka aur koi armaan na hoga"
KABSE HAI DIL MEIN MERE ARMAAN KAYI ANKAHE...
(Geet takes a rose and gives it to Maan...)
KABSE HAI DIL MEIN MERE ARMAAN KAYI ANKAHE
(Maan smiles and accepts the rose)
INKO TU SUN LE AAJA CHAHAT K RANG CHADA JAA
(Geet jestures Maan to come close to her as soon as Maan comes close Geet places a kiss on his cheek and runs away)
INKO TU SUN LE AAJA CHAHAT K RANG CHADA JA
(Maan also started running behind Geet)
KEHNA KABHI TOH MERA MAAN HAYE...
(Maan catches her)
JIYA DHADAK DHADAK JIYA DHADAK DHADAK JIYA DHADAK DHADAK JAAYE
(He slowly moves her hair on one side...Geet was getting goosebumps by his touch)
LAGTA HAI YE KYUN MUJHE...SADIYON SE CHAHU TUJHE
(Geet pushed him playfully and it was then she noticed some rabbits in that area)
LAGTA HAI YE KYUN MUJHE SADIYON SE CHAHU TUJHE
(Geet was trying to catch a rabbit but the rabbit escaped and geet landed on the ground her hands were fully covered with mud...She innocently showed her hands to Maan)
MERE SAPNO MEIN AAKE APNA MUJHKO BANAKE
(Maan goes and lifts her in his arms and carries her to the lake)
MERE SAPNO MEIN AAKE APNA MUJHKO BANAKE
(He started washing her hands Geet got into a playful mood and started sprinkling water on Maan's face)
MERE SAPNO MEIN AAKE APNA MUJHKO BANAKE
(Maan also started enjoying both of them started playing in the water)
MUJHPE TU KAR EHSAAN HAAN...
(Both of them get completly wet. Maan once again carries Geet and comes out)
JIYA DHADAK DHADAK JIYA DHADAK DHADAK JIYA DHADAK DHADAK JAAYE
(Geet once again tries to run away but Maan catches her in time Geet looks lovingly at Maan and hugs him. Both once again get lost)
TUJHE DEKH DEKH SONA TUHE DEKH KAR HAI JAGNA
MAINE YE ZINDAGANI SANG TERE BITANI
TUJH MEIN BUSI HAI MERI JAAN HAI..
JIYA DHADAK DHADAK JIYA DHADAK DHADAK JIYADHADAK DHADAK JAAYE...
JIYA DHADAK DHADAK JIYA DHADAK DHADAK JIYA DHADAK DHADAK JAAYE
"Simat jau aaj meri baho mein
Aane dho mujhe kuch aur kareeb
Bhool jau tum apne saare ghamo ko
Aaj buland ho jaaye kuch iss tarah mera naseeb "
Okay Guys I know this wasn't that romantic so I am really sorry. Please do give ur valuable suggessions if u want me to include something in thisff then kindly let me know
PLS PRESS D LIKE BUTTON N DO COMMENT
Love -Piya
Edited by piya- - 13 years ago
29