Khurana Mansion
Maan: Geet hum theek aadhe ghante k baad mil rahe hai
Geet: Kya? sirf aadha ghanta?
Maan: Kyun zyaada hai agar tum chaho toh'
Geet: Nahi bilkul nahi aadha ghanta chalega nahi toh janab time ko aur reduce kar denge
Maan: Geet tumne kuch kaha?
Geet: Nahi toh waise Sir aaj kya office mein wakai kaam bahut hai?
Maan: Geet aaj hum wo tender submit karne ja rahe hai waise bhi storeroom mein bannd hone se pehle humne kafi kaam kar liya tha ab bus thoda sa kaam baaki hai jaise hi wo pura ho jaata hai hum jaakar saare documents submit kar denge
Geet: Haan thik hai magar
Maan: Magar kya Geet?
Geet: ye sab aapki galti hai
Maan: Geet tum phir se shuru ho gayi
Geet: Haan saara kaam kal raat ko hi khatm ho jaata agar hum storeroom mein bannd na hothe tho
Maan: hum kamre mein tumhari wajah se bannd ho gaye the samjhi tum
Geet: Nahi galti aapki thi
Maan: Achha dubara kaho kiski galti thi
Saying so he starts moving ahead and Geet starts taking backward steps
Geet: Dekhiye aap mujhe apni inn badi badi aakhon se darane ki koshish mat kijiye inn sab ka asar mujh par kum honelaga hai
Maan holds Geet by her waist
Maan: Achha ye baat hai
Geet: Haan
Maan brings her more close
Maan: Geet ek baat batau jab main tumhare itne kareeb hotha hoon tumhe yun dekhtha hoon tab kya tumhe kuch bhi mehsoos nahi hotha
Geet gets lost in his eyes
Maan: bolona Geet kya wakai mein mera hona ya na hona tumhare liye koi maiyne nahi rakhtha?
Geet: (thinking) ye kya puch liya Maan Sir aapne is sawal ka jawab toh shayad mere paas bhi nahi hai
Maan: Bolona Geet jawab dho
Geet: Agar ye sawal main aapse puchu toh?
Maan: (thinking) Ye kya puch liya Geet tumhare liye mere dil mein kya jazbaat hai wo main khud nahi samaj paa raha toh main tumhe iska jawab kaise de saktha hoon
Geet: Boliye na agar kal main aapse kisi wajah se dur chali jau toh kya aap mujhe rokhne ki koshish karoge aur agar aisa na hua toh kya aapko mere jaane k baad meri yaad aayegi?
Maan holds Geet more firmly
Maan: Tum mujhse dur jaane ki baate kyun kar rahi ho aaj tumhe achanak se kya ho gaya?
Geet: Pata nahi magar ek darr lag raha hai aisa lag raha hai jaise kuch bura honewala hai aisa lag raha hai jaise k mujhse mera kuch chinnewala hai
Maan: Geet ye kaisi behki behki baate kar rahi ho aisa kuch nahi hoga maine kaha na main humesha tumhara saath dunga
Geet: Aur agar haalat aapko bhi mujhse dur le jaaye tab aap kya karenge?
Maan: Geet tum yuhi aisi waisi baate kar rahi ho aisa kuch nahi honewala aur main bhala kyun tumse dur jaanelaga main jaanta hoon tum mera vishwas kabhi nahi todogi
Geet: (thinking and constantly looking at Maan) pata nahi kyun aaj ji bahut ghabraraha hai
Maan: Geet tum kuch bolti kyun nahi aur aise kya dekh rahi ho?
Geet: Aapka chehra apni aakhon mein khaid kar rahi hoon kya pata dubara aapko dekhne ka mauka mile ya nahi
Maan was really worried now
The thought of Geet going away was killing him
He took Geet in his embrace as if promising himself that whatever the condition he won't let Geet go away from his life
This was true that he was not sure about his feelings towards Geet but this was also a fact that Geet had a very important place in his life and he couldn't imagine his life without Geet
Maan: Tum kahi bhi nahi jaayogi main tumhe kahi jaane nahi dunga
Geet: Magar Maan najaane kismat ko kya manzoor hai
Maan: Kismat ko humare saamne jhukna hoga Geet... meri Geet ko mujhse koi cheen nahi saktha koi nahi phir chahe wo kismat hi kyun na ho
Geet: Magar Maan
Maan: Magar wagar kuch nahi Geet main kismat ko humari zindagi k saath khilwad karne nahi dunga aur agar aisa ho bhi gaya toh bhi main kismat ka faisla badal dunga jab tak main hoon tumhe mujhse koi judaa nahi kar saktha kyunki'
Geet: Kyunki?
Maan: Kyunki meri zindagi tumhare bina adhuri hai Geet. Aadat ho gayi hai meri zindagi ko tumhari Geet
Geet: Maan aap
He breaks the hug and places his finger on her lips
Maan: Chup bilkul chup ab agar dubara mujhe chodkar jaane ki baat kina toh main tumhare khilaf court mein case kar dunga
Geet: Case?
Maan: haan bhool gayi tumne wo contract sign kiya tha dho saal tak tum naukri chodkar nahi jaa sakthi iska matlab hai tum chahkar bhi apne dhust danav se apna peecha nahi chudasakthi
Geet: (smiles) Aap bahut ache ho
Maan: Haan wo toh main hoon magar ab tumhare paas sirf 15 minute hai
Geet: (confused) Ji?
Maan: ji haan 15 minute mein agar tum taiyaar hokar nahi aayi toh main tumhe office uthakar le jaaunga phir mat kehna maine warn nahi kiya tha
Geet: Babaji
She runs away from there
Maan: ye Geet aaj aisi baate kyun kar rahi thi kya ho gaya tha usse khamkha mujhe bhi dara diya main kabhi bhi geet ko apne se dur jaane nahi dunga chahe kuch bhi ho jaaye
After some time both of them leave for office
Khurana Constructions
Maan and Geet complete their pending work
Maan tries his level best to keep Geet happy
He was trying to irritate her so that she starts fighting with him
Geet: Maan Sir aap ka toh khana hazam nahi hotha na jab tak aap mujhse jhagdha nahi kar lethe
Maan: Tum bhi na typical ilzaamo ki dukan ki secretary lag rahi ho
Geet: Ilzamo ki dukan?
Maan: Itne jaldi bhool gayi geet yaad hai ye naam bhi tumhi ne mujhe diya tha wo uss din jab tumne mujhe jhadu se maara tha
Geet: Ye toh haath dohkar mere peeche hi pad gaye hai jaayiye main aapse baat nahi karti
Saying so goes out of the room
Maan: Shukar hai kum se kum phir se normal toh ho gayi warna subah toh isne meri jaan hi le lithi
After some time
Maan: Chalo Geet documents submit karke aathe hai
Geet: ji chaliye
Mystery person: Sir aapke liye ek important message hai wo Rasika madam k project mein kuch gadbad ho gayi hai aapko issi waqt waha jaana hoga
Maan: Magar mujhe toh ye documents submit karna hai
Geet: Maan Sir aap site par chale jaayiye ye documents main submit kar aathi hoon
Maan: Nahi Geet tum akele kahi bhi nahi jaayogi
Geet: ofho Sir aap bhi ye kaunsi zid lekar bait gaye ho sirf documents hi submit karna hai na bus main yun gayi aur yun aayi haan agar aap mujhe trust nahi karte toh wo alag baat hai
Maan : Geet ye tum ache se jaanti ho k tumpar main puri tarah se bharosa karta hoon main bus tumhe kahi akele nahi jaane dunga
Geet: Maan aap jaisa soch rahe ho waisa kuch nahi hoga mujhpar koi musibat nahi aayegi aur agar aisa ho bhi gaya toh main aapko call karke bulalungi
Maan: magar Geet
Geet: pls Maan
Maan: Thik hai main tumhe drop kar dunga wo office, site k kafi kareeb hai main jaise hi site par pauch jaaunga toh gaadi wapas bhijwadunga tumhe fikr karne ki koi zarurat nahi hai
Geet: Achha ji ab chale
Maan: Hmm...
Both of them leave
Mystery person: Arjun Sir aapka kaam ho gaya hai Geet akele hi aa rahi hai
Arjun: Thank you main issi ka wait kar raha tha
Arjun disconnects the call
After some time
Maan : Geet tum apna khayal rakhna main bus abhi gadi wapas bhijwatha hoon
Geet: Aap tension mat lijiye main bilkul thik hoon aap bus site par jaakar situation ko samaliye
Maan: Geet kuch bhi problem ho toh
Geet: Maan ab aap jaate ho ya nahi
Maan: Thik hai jaldi milthe hai
Maan goes away
Geet: Chal ab jaldi se jaakar documents submit karte hai
Chalthe chalte ek aadmi Geet se takra jaata hai
All the documents and files fall down
Geet: Arjun tum?
PRECAP: Arjun: "Humari iss mulakat ka anjaam tho tumhe khud Maan samjhayega Geet...The countdown begins now"
So Guys what do u think what will Arjun do and will his plan b successful? Who is the traitor who is helping Arjun is he/ she someone whom I have already introduced in the ff or is it someone new? What do u think about the precap ?
Do let me know
Pls press d like button n do comment
Love-Piya
PART 39: PAGE 143
29