part 4
Mayank drops krish in school and goes to office. Daily krish neha prem go to school with sayank, aman ,pooja, ria go with uday and benji and sohan and swetha with adhiraj and sameer
Krish, Neha, sohan are 5 years old. Prem,swetha, pooja are four years. Aman,ria is three years old and sunny is 2 years old
Neha is like nupur shaitan but prem is like gunjan silent , pooja is like dia and aman like uday . swetha like suhaani and sohan similar to sam ria is like her mom aditi little proudish. Krish is actually is like mayank but everyone compares him with nupur because they miss nupur a lot
Mayank loves krish a lot he doesn't leave krish even for a second alone mayank spends whole time with krish. Even gang loves krish the most of all children since he was the first child in their gang and also he nupur is not there to take care of him even gunjan loves him more than her own childen. He was heart of gang
because of mayank, gunjan and gangs over care krish is little fat and also little bit shaitan
One day Krish goes to office to meet mayank gunjan stops him but he doesn't listen to her . At the office Uday sees krish
U-aap yeha kyakar rahe hain
Krish-mama mujhe papa se milna hain
U-papa toh andar meeting main hain ek kaam kijiye aap yeha baitiye mama aapke liye juice lekar aayenge
Uday gets juice but by that time krish vanishes
U-yeh krish kahaan chala gaya
(mayank hits uday from back)
U-Mayank tum yeha
M-main office main nahin rahoonga toh kahaan rahoonga tum yeh juice lekar kyun ghum rahe ho
U-mujhe bhuk lag rahi thi isiliye(to himself)agar tumhein pata chala ki krish misplace ho gaya tum mujhe misplace karoge
M-kuch kahaan
U-kuch bhi toh nahin
M-acha woh sab chodo main krish ke saath bahar jaa raha hun tum bhaiya se kehna meri meetings handle karne ke liye
U-main keh doonga
(mayank recieves a call)
M-haan saaliji kahiye
G-main kabse phone kar rahi hun tum uta kyun nahin rahe
M-main meeting main busy tha kuch kaam tha kya
G-woh krish tumse milne office aaya tha
M-krish yehaan main dekhta hun
He cuts phone
M-uday tumne krish ko dekha
U-mayank woh woh
M-uday tum saaf saaf batao krish kahaan hain
U-mayank pata nahin main usrke liye juice lene gaya tha aane tak gayab ho gaya
M-gayab hogaya tumhara dimaag toh teek hain tumne use akela choda kaise
S-kya hua dude uday par kyun chilla rahe ho
M-tum hi pooch krish mujhse milne yehaan aaya uday keh raha hain woh gayab ho gaya
U-mayank sorry mujhe kya pata tha krish aise bina bole kahin chala jayega
S-uday tu bhi na tujhe nahin pata kya krish kitna shaitaan hain ab sochne se koi faida nahin humein use dundna chahiye agar woh dad ya uncle ke cabin main gaya toh
Mayank looks at sam
Both-shit (they run towards their dad's cabins)
Earthquake toh already aa chukha tha
Krish unknowingly throws water on sanjays files. Sanjay was fuming with anger
Sanjay-tumhein office main kaun lekar aaya hain tum kahin teek se bait nahin sakte ho kya tumhein pata bhi hain kya yeh files kitna important hain
Rishi-inhein hum kya keh sakte hain inhein itna freedom dene waalo ko kehna chahiya discipline naam ki cheez in bacho main dur dur tak nahin hain
Sanjay-kaise hogi jaisi maa waisa beta jab maa ka sanskar tik nahin ho toh bache ke sanskaar aise hi rahenge na
Rishi-main toh kehta hun insab bacho ko boarding bejna chahiye warna yeh bache hamare haaton main nahin rahenge
Mayank stands there still krish sees mayank and runs to him crying
Krish-dad maine jaanbuz kar nahin kiya woh toh anjaane hogaya
Mayank takes krish from there sam and uday go along with him
U-sorry mayank sab kuch mere wajah se hu
He doesn't say anything
S-mayank are you fine
M-phir se unlogone nupur ke bare main bala bura kahaan
S-unki baton ko tum kyun dil se le rahe ho unka soch hi gatiya hain humein unke baton ko chod dena chahiye
M-kaise chod doon sam unlogone kya kahaan tumne nahin suna kya
S-inhain apne status dikhane ke liye apne bache chahiye usse jyada unhein aur kuch nahin chahiye humein kya chahiye iske bare main unlogo ne kabhi nahin socha ab hamare bacho ke saath bhi wohi karna chahte hain
Sameer, Adhi, Benji come there
A-tum teeno yeha ho humne pure office main dundha waise krish yeha kya kar raha hain
S-woh mayank se milne aaaya tha aur unexpectingly hitler ke room main chala gaya
B-kuch problem toh nahin hua
S-unlogo ne phir se nupur ke bare main bala bura kahaan aur toh aur saare bacho ko boarding bhejne ke bare main soch rahe hain
A-what inlogo ko koi kaam nahin hain kya unlogo ne hamari parvah toh kabhi nahin ki ab hamare bacho ke peeche pade hain chahe kuch bhi ho jaaye main apne bte o boarding nahin bejoonga
S-main bhi prem ko kahin nahin bhejne waala
Sameer-kya hua mayu tu dad ke baato ko chod na tujhe pata hain na unhein hamare feelings ki koi parvah nahin hain unhein sirf apne discipline ki padi hain aise hi soch kar mom ko mujhse itne saal dur kar diya
M-uday tum krish ko ghar lejao
Krish-dad main aapke saath hi jaonga
M(in anger tone)-krish chup chap mama ke saath ghar jao main aur kuch nahin sunna chahta
He leaves with uday crying
S-mayank tum krish se aise kyun baat kar rahe the unko toh dimaag nahin hain tumhara dimaag toh teek hain na
M-main krish ko boarding bej raha hun
S-wat mayank have you gone mad tum unki baton main aakar krish ko khud se itna dur kardoge woh chota bacha hain tumhare bina kaise rahega
M-main kya karoon sam bhul gaye nupur ke saath jo kuch bhi hua kaafi nahin hain kya ab krish ke saath bhi woh sab kuch hoga kya tumhein andaaza bhi hain unke baton ka krish par kya asar hoga maine inki wajah se nupur ko har pal rote hue dekha hain aaj nupur mere saath nahin hain toh uski sabse badi wajah woh log hain ab krish bhi unka shikaar nahin hoga
S-par mayank krish ne apne maa ko khoya hain ab kya tum use uske dad se bhi dur karna chahoge krish akele hostel main kaise rahega ek baar socho mayank agar nupur tumhari jagah hoti toh unlogo se darr kar kabhi apne bache ko itna dur nahin bejti balki unse apne bache ke liye zaroor ladti bhul gayi usne kaise bauji se tumhare liye ladai ki hamaari shaadhi ke waqt
A-haan mayank sam sahi keh raha hain inlogo se darr kar krish ko dur bhejna galat hoga waise problem sirf tumhari nahin hum sabki hain humne bahut baar isse bhi mushkil cheezon ka saamna kiya hain iska bhi saamna kar lenge
M-tab hamesha nupur mere saath thi meri taakat bankar par ab wohi nahin hain mujhse aele ladna nahin hoga
B-hum logo ko paraya kar diya na
S-haan dude nupur nahin hain toh kya hum sab hain na tumhare saath hum hamare bado ko sikhayenge ki life kaise jeete hain
A-right yaar hamare bado ko iswaqt discipline sikhane khi bahut zaroorat hain
Sameer 'main bhi tum logo ke saath hun
S-par ek baat toh hain hum chahe itna bhi koshish karle nupur jaise nahin ban payenge she is best
B-yaar yeh baat toh maan ni padegi woh hum sab se alag hain
M-woh wohi karti hain jo use pasand hain aur uski yehi zid ne use mujhse dur kardiya kaash woh usdin meri baat sunti toh aaj yehi mere saath hoti
Sameer-yeh hamara badluck hain ki woh hamare saath nahin hain
S-acha mayank woh sab chodo aur ghar jaake krish ko dekho warna pura ghar sar pe uta lega
M-tum teek keh rahe ho maine dad ka gussa uspar nikala pata nahin kya hoga
He goes home to his room and finds all the things lying around vases broken
(krish was sitting on the bed silently)
Mayank goes and sits beside him
M-lagta hain koi bahut gusse main hain
Krish-mujhe aapse baat nahin karni aapne mujh par gussa kiya
M-papa thode pareshan the isiliye aap par gussa kiya
Krish-pareshani aapko hi nahin mujhe bhi hain main aap par gussa karta hun kya
(he takes krish in arms)
M-aapko kya pareshani hain
Krish-aapko pata hain meri teacher ne mujhe itna homework diya phir bhi main aapke saath baahar jaane ke liye tayyar ho gaya aur aap aapko toh meri bilkul bhi parvah nahin hain
M-woh kya hain na aapke dad thode sadu hain isiliye bina samje aap par gussa arte hain par aap bahut ache ho na dad ko maaf nahin karoge
Krish-acha tik hain aap bhi kya yaad rakhenge krish Sharma ne aapko maaf kiya
M-baahar chale
Krish-haan par place main bolunga
M-ok jaise aapki marzi
That evening they enjoy a lot and reach home
One evening sayank go to school to pick their nanhe shaitaan
A small four year girl to 8yr old boy
Girl-aap zara neeche jukenge
Boy bends she gives a tight slap to him seeing that everyone open their mouth in shock
She goes to her friend of her age wipes his tears
Girl-woh tumhein kuch nahin kahega main hoon na tumhare saath
She gives him chocolate from her bag that boy takes it
Sayank goes to that girl
M-aapne unhein kyun maara woh aapse bade hain na
Girl-toh kya hua unhone mere dost ko tang kiya isiliye maine unhein maara agar aapke dost ko koi kuch kahe aap unhein chod denge
Sayank look at each other and smile
S-par beta agar woh aapko ulta maarenge toh aap kya karenge
Girl-anjali kisise nahin darti
M-toh aapka naam anjali hain
Anjali-aapse kisne kahaan
S-woh humein lagaa itni pyari si ladki ka naam anjali hi ho sakta hain
M-aap is school main nayi hain aapko pehle kabhi nahin dekha
Prem-uncle yeh aaj hi join hui aur meri achi dost ban gayi aapko pata hain isne apne saare friends ko chocolates bhi diya
S-are wah aapke paas itne chocolates hain kya
Anjali-haan mere paas bahut chocolates hain mom mujhe daily bahut chocolates khareed ke deti hain
M-aur aap unhein sab main baanti hain aapke mom ko pata chala toh woh naaraz ho jayengi
Anjali-mom ko pata hain aur mom naaraz nahin hogi aapko ek secret bolun kisise mat kehna chocolates khane se daant kharaab ho jayenge main toh dost banana ke liye chocolates deti hun
Listening to that sayank start laughing
M-right dude aapko lene koi nahin aaya kya
Anjali-mom aayegi
Their driver comes to pick anjali
Anjali-mujhe aapke saath nahin aana main mom ke saath hi ghar jaongi
Driver-beta aapke mom ko kaam hain isiliye unhone mujhe beja hain please chaliye
Anjali-mujhe nahin aana
Driver-please chaliye bitiya warna aapki mom mujh par gussa karegi
Anjali-mujhe nahin aana nahin aana nahin aana(she continuously nods saying no)
M-shayad aapki mom ko sach main kaam hoga warna woh aapko lene zaroor aati aise zid nahin karte beta inke saath jaiye
Anjali-tik hain jaongi
Driver- aapka bahut bahut shukriya warna yeh bachi itni aasaani se nahin aati chale beta
Anjali-ek minute (she takes chocolates from her bag)driver uncle yeh chocolates aap preethi ko dena
S-preethi kaun hain
Driver 'meri beti
she silently winks to mayank and says bye to all
S-yeh bachi nahin bahut hoshiyaar shaitaan hain par manna padega tumhari baat ko jat se maan gayi
M-i think ab humein chalna chahiye
I think aap logo ko batane I zaroorat nahin hain ki yeh sweet si shaitaan hain kaun
 
 
 
  
 
 
 
 
 
 
 
 
  
  
 
 
  
  
 
  
 
  
 
  
 
  
 
 
 
  
  
 
 
 
 
 
 
 
 
 
 
 
 
 Anupamaa
Anupamaa
 
        