LIFE IS BEAUTIFUL last part pg 35 - Page 9

Created

Last reply

Replies

158

Views

32.9k

Users

33

Likes

760

Frequent Posters

-Samira- thumbnail
17th Anniversary Thumbnail Rocker Thumbnail Networker 2 Thumbnail
Posted: 13 years ago
#81
Hey dear i'm so sorry i didn't comment b4 i was kind of away for while coming OL but didn't get much time 2 read o 2 write comments so 2night i just opened ur last pm n i got scared i had to read lol bt anyway i enjoyed it's verry intresting n beautiful Story plzz do cont n i'll be regular reader now plzz do pme
so thank u so much for all the pms dear🤗
tanisha997 thumbnail
14th Anniversary Thumbnail Dazzler Thumbnail
Posted: 13 years ago
#82
superb
anjali is so cute
and ya pls pm me😛
priya_27_23 thumbnail
15th Anniversary Thumbnail Dazzler Thumbnail
Posted: 13 years ago
#83
lovely update but i want nupur right now😔
SHILPA-CUTE thumbnail
15th Anniversary Thumbnail Explorer Thumbnail Engager Level 1 Thumbnail
Posted: 13 years ago
#84
first time i didnt enjoy ur ff
so many character .
😕


--unknown-- thumbnail
14th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail + 2
Posted: 13 years ago
#85
It is a story which contain some facts of life life is beautiful or worst depending on the way we see it this story mainly runs on mayur and sajan both have done love marriage both face difficulties but the way they take the difficulties it is all about if you fight with difficulties in the end whatever may happen you will be happy but if you fight with each other then there is nothing left it will be an interesting and heart touching story just wait and watch. There are still some facts to unfold lke why nupur is not staying with her family, why mayank feels he is responsible for nupurs tears rahi baat charecters ki charecters are just like people we meet in our life bachpan se aaj tak hum hazaar logo se milte hain aur bahut saare log hamare saath hote hain unsab ko dikha rahi hun par yeh story only on mayur and sajan
--unknown-- thumbnail
14th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail + 2
Posted: 13 years ago
#86
part 5
At dinner also mayank was having dinner and thinking about the girl he smiles in himself

All look at him in astonishment

Shilpa-mayu teri tabiyet toh teek hain kya hua apne aap main has raha hainM-kuch nahin mom

Sam-mayank tum ab tak us ladki ko bhula nahin paa rahe ho kya waise woh hain hi itni sweet

G-sam yeh ladki kaun hain aur itni sweet hain kya kit um use bhula nahin paa rahe ho

Sam feels like teasing gunjan

S-chashmish tum bhi na main aise hi kisiki tareef kyun karoonga woh hain bahut sweet jab maine use kiss kiya uska smile dekhna tha itni beautiful smile maine aaj tak nahin dekhi

G-kya tumne use kiss kiya aur tum yeh baat mujhse keh rahe ho sharam nahin aati

M-saaliji shanti anjali char saal ki choti si bachi hain

G-bachi hain

S-mayank tum bhi na bewajah saara mazaa chopat kardiya kitna mazaa aaraha tha aur tum hoki

Shilpa-ghar main shaitaan kam hain kya ab aapko bahar bhi bacho ke peeche pade hain ek kaam karo tum log na office chod ke ek nursery school rakho der saare bache milenge

M-mom please aap ek baar usse milengi na toh aapka bhi yehi haal hoga itni cute si doll ko aaj tak nahin dekha

S-tumhein kyun nahin pasand aayegi tumhari fan jo hain

Shilpa-fan ab bache bhi tum logo ke fans hain kya

M-aapko jo sochna hain socho par mujhe woh ladki bahut cute lagi

Days were passing sayank used to daily meet that girl but never they got chance to meet her mother

One day prem comes home and runs to his room

G-ise kya hua aise kyun bhag raha hain

When he comes back gunjan catches him

G-kya hua aise kyun bhag raha hain

Prem-woh anjali ko book dena hain isiliye

Shilpa-yeh anjali wohi hain na mayank ki fan

Prem-haan wohi baahar kadi hain

Geeta-aap unhein andar bula sakte hain na aapne unhein baahar kyun kade rehne diya

Prem-woh nahin aarahi ok main jaa raha hun late horaha hain

Sayank come at same time see her outside

M-aap yeha kya kar rahi hain

Anjali 'prem ne mera book liya aur mujhe waapas nahin kiya isiliye lene aayi hun

S-aap baahar kyun kadi hain andar aa sakti hain na

Anjali-mom ne kahaan anjaan logon ke ghar nahin jaate

M-par aap toh humein jaanthi hain na hum dono friends hain na

Anjali-haan yeh toh maine socha hi nahin

M-toh chaliye mere saath(mayank takes her in arms and kisses her cheek)

Driver- sirji humein ghar jaldi jaana hain warna madam gussa karegi aap anjali bitiya ko madam ko batake phir kabhi lekar jaana

Mayank feels sad and leaves her

She takes book from prem and leaves

S-kya hua dude itni si baat pe udaas kyun ho rahe ho

M-pata nahin sam jab bhi us bachi ko dekhta hun aisa lagta hain use saath mera koi bahut gehra rishta hain

S-woh shayad isliye kyunki tum aaj bhi apni beti ko miss karti ho agar nupur ka accident nahin hota toh hamari anjali bhi aise hi hoti

M-yehi toh coincidence hain main bhi apne beti ka naam anjali rakhna chahta tha

S-woh nahin hain toh kya hua neha hain na

He gives a fake smile and goes inside

Mayank was getting more and more attracted towards anjali

He used to be with everyone but his thoughts were surrounded with anjali

One day at dinner mayank was lost in anjalis thoughts

MD-mayank meeting ka kya hua

(he doesnt respond)

Shilpa-mayu (she beats him)

M-kuch chahiye ka

Shilpa-tu kabse kahaan ko gaya hain

M-mujhe kya hua man teek hun

B-humein toh nahin lagraha

S-kahin tum phir se anjali ke baare main soch toh nahin rahe

G-jeeju aapko ho kya gaya hain aaj kal naahi kisise teek se baat karte ho naahi krish ke saath time spend karte ho jab dekho us bachi ke baare main sochte ho pata nahin us bachi ne aisa kya jaadu kiya ki woh aapko krish se bhi jyada important ho gayi

M-aisa kuch nahin hain

Shilpa-mayu jooth mat bol mujhe samaj nahin aaraha tumhein us anjaan ladki se itna lagav kyun hain ki tu krish ko bhi ignore kar raha hain tujhe pata hain teri is behaviour ka krish par kitna asar ho raha hain woh hum main se kisise bhi tik se baat nahin kar raha use lagta hain ki uske dad usse pyar nahin karta

M-mom mujhe khud pata nahin main aisewierd behave kyun kar raha hun par jab bhi anjali ko dekhta hun aisa lagta hain ki uska mere saath bahut gehra rishta hain jaise main use bahut ache se jaanta hun

S-tumhein aisa is liye lag raha hain kyunki anjali ki behaviour uske baatein nupur se bahut milti hain aur isse yeh pata chalta hain ki problem anjali nahin nupur hain mayank tum bhul gaye tumne kya decide kiya tha krish ko nupur ki kami naa mehsoos ho isliye tum nupur ke yaadon se dur rahoge par ab tum kya kar rahe ho khud ke saath krish ko bhi takleef pahuncha rahe ho

M-sam shayad tum sahi ho main koshish karoonga anjaliko apne dilo dimaag se nikalne ke liye

He goes to his room and finds krish sleeping he kisses his cheek

M-sorry beta maine aapko bahut hurt kiya par iska matlab yeh nahin ki main aap se pyar nahin karta main aapse bahut pyar karta hun ek tuhi hain jo mera apna hain agar tu bhi apne dad se naaraz hoga toh dad bahut akele pad jayenge

Next day was annual day they go to school and mayank asusual searching for anjali

S-mayank kise dund rahe ho

M-sam please phir se class shuru mat kar already dimaag kharab ho raha hain

Krish-dad aap phirse anjali ko dund rahe hain mujhe aapse baat nahin karni aapko meri koi parvah nahin hain

Neha-haan uncle aapko humse important anjali hain

M-mere liye tum dono hi sabse jyada important ho

Both smile and hug him but how much ever we try heart does what it wants his heart wanted to see anjali on the spot but anjali was backstage as she was performing

Whole through the performance mayank was watching her cute expressions her smile he was just smiling lost in her.

After performance he expected her to come out but she didnt come

G-kya hua aise kyun baita hain

Prem-mom mujhe stage pe nahin jaana mujhe bahut darr lagta hain

S-jaisa maa waisa beta

G-samrat(in anger tone) mujhe gussa mat dilao

S-tumhein gussa bhi aata hain

G-tumhara matlab kya hain samrat agar tumhein mujhse ladne ka mann kar raha hain toh ghar jaa ke ladenge philhaal ke liye mera sar mat khao

S-main kahaan tumhara sar ka raha hun main toh bas tumhein gusse main dekhna chahta hun

Mayank gets a good idea

M-sam tu gunjan se kyun lad raha hain ek kaam kar tu mere saath chal

S-kahaan

M-chup chap chalo

G-mayank tum ise lejao warna mera dimaag kharaab karega

Krish & Neha-hum bhi chalenge

G-tum dono chp chap yehi baitoge koi drama nahin

Neha-but mom

G-kahana chup chap baito

Outside

S-dude tum bhi na itna acha entertainment mil raha tha aur tum hoki jabardasti lekar aayegi

M-tu suicide karne ki koshish kyun kar raha hain

S-kyunki main bore ho raha tha waise acha kiya mujhe todhi der bahar chalenge

He goes in auditorium direction

S-tu backstage kyun jaa raha hain

M-chup chap chalo mere saath

S-kahin tum phirse anjali se milne toh nahin jaa rahe mayank

M-sam please tum bhi sabki tarah baat mat karo pata nahin kyun anjali se milkar ajeeb si khushi hoti hain

S-acha teek hain tumhari khushi ke liye chalo

M-thanks dude

He goes inside and finds her crying

M-anjali

She runs to mayank he takes her in arms

M-kya hua beta aap ro kyun rahi hain

Anjali-mom abhi tak nahin aayi

M-itni si baat ke liye rote hain kya ek kaam karo aapna apni mom ko call karo aur poocho ki woh kahaan hain

She takes his phone and calls her mom

A-mom aap kahaan hain ab tak kyun nahin aayi

AM-main aarahi hoon baba bas do minute

She smiles and cuts phone

M-kya hua

A-mom aarahi hain

M-toh teek hain ab aap stage pe chaliye award lene ke liye kabse aapki teacher bula rahi hain

A-mujhe nahin jaana kahin main mom ke saath hi jaongi

M-par aapke mom ke aane main waqt lagega na ek kaam karte hain hum dono chalenge

She smiles saying yes

They go inside and take the award but suddenly anjali drops the award and runs to door

A- Mom

Her mom takes in arms mayank smile vanishes seeing her mom

A-aap itni der kyun aayi aapne mera dance bhi nahin dekha

AM-sorry

A-aap bhi kya yaad rakhenge maine aapko maaf kiya

AM-tu din ba din shaitan ban rahi hain

Suddenly she looks at mayank on stage both stand still looking at each other

She takes anjali and leaves mayank tries to catch her but she leaves in car

He was standing there shocked

M-Nupur

Precap:

Nupur gets a letter

Main apni beti ka birthday hamaare ghar main celebrate karne use le jaa raha hun tumhare bina celebration adhuri hain isiliye zaroor aana

Der saara pyar ,

mayank

part6

Edited by --unknown-- - 13 years ago
-DreamzGirl- thumbnail
15th Anniversary Thumbnail Sparkler Thumbnail + 5
Posted: 13 years ago
#87
nice part dear . hope they comes together...
gopi06 thumbnail
15th Anniversary Thumbnail Dazzler Thumbnail + 2
Posted: 13 years ago
#88
nice updt
thanks for the pm
valliyah thumbnail
15th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail Networker 1 Thumbnail
Posted: 13 years ago
#89
that was awesome...like the bond mayank n anjali shares...wonder y mayur separated...precap is interesting...cont soon...!
DhanakZ thumbnail
15th Anniversary Thumbnail Dazzler Thumbnail Networker 2 Thumbnail
Posted: 13 years ago
#90
I am so so so so so so so so so so so so Much happy
Finally mayur are together
I am really so excited for Next part
plz update soon
thanks for pm

Related Topics

Top

Stay Connected with IndiaForums!

Be the first to know about the latest news, updates, and exclusive content.

Add to Home Screen!

Install this web app on your iPhone for the best experience. It's easy, just tap and then "Add to Home Screen".