Kya maine Suhana ko chun kar sahi kiya?
Sona mujhe bina bataaye kyun chali gayi?
Kya vo mujhse pyaar karti thi?
Uske jaane ke baad maine usse bahut baar contact karne ki koshish ki par yeh Gabbar ke pyaar mein main thaakur aise phasa ki Sona ko bhool gaya. Par recently jab se Gabbar khushi mein busy hain tabse mere man mein ek hee sawaal gunj raha hai:
Kya Suhana meri ek galti hai? Kya maine Sona ke saath naa insaaafi ki hai?
Main "SO NA"hin paaya hoon pichle kuch dino se. Neend ki goliyan badti hee jaa rahi hain upar se ye Gabbar ka atyaachar uff😡.
Koi toh mujhe bataao is Gabbar se kaise chutkaara paavoon?