Thank you dear friends for your constant encouragement and support. I will try my level best to make this story interesting and as I have already mentioned that very soon I would b introducing several new tracks which will take maneet relationship to a new level...
You have to trust me coz some of the tracks may b painful n confusing but believe me you will like the way the story will progress...Here is the next part I hope each one of u will enjoy reading it
love-Piya
PART 17
Maan gently rubbed his fingers on her lips
Geet did not resist she allowed him to do so
Maan ek bar phir geet ki aakhon mein dekhtha hai
He could see the same feelings and emotions that he was going through at that particular time
Maan slowly starts approaching her lips
Geet also starts responding
There is a very minute distance between them
They were about to kiss when...
Dadima: Nakul Maan kya abhi bhi terrace par hai...
Nakul: Ji Dadima
Dadima: Thik hai..aap jaakar apna kaam kijiye
Dadima: Maan...Maan bete
Maan and Geet suddenly come out from their dreamland and they are completly shocked to see each other in this particular state
They immediately move away from each other
Ussi dauran Dadi bhi terrace ki taraf badh rahi thi
Dadi: Maan bete aap yahi ho na?
Dadi ki aawaz sunkar Geet chup jaati hai
Meanwhile Dadi enters
Dadi: Maan bete aapki kasrat abhi tak puri nahi hui...aaj office jane ka iraada nahi hai kya...Adi ka phone aaya tha wo keh rahe the k aaj koi bahut important presentation hai...unhe uske details aapke saath discuss karne the
Maan: Haan Dadima mujhe yaad hai...main adi se baat kar lunga
Dadi: Thik hai bete...waise naashta ready hai aap jaldi se taiyaar hokar aa jaayiye milkar naashta karenge
Maan: Ji Dadima
Dadima leaves
As soon as Dadi goes Geet also tries to leave
Maan: Rukho Geet
But Geet waha se jaane ki koshish karti hai
Maan Geet ka haath pakadkar apni tarf kheechtha hai
Maan: Geet tum yaha kya kar rahi ho?
Geet does not speak anything
Maan: Ab bolthi kyun bannd ho gayi...tumhara plan fail ho gaya issliye
Geet gives a confused look to Maan
Geet: Plan?
Maan: Haan Plan...aagayi na apni asli aukaad mein
Geet:(getting angry) Aap kehna kya chahthe hain
Maan: Bahut bholi ban rahi ho jaise k main kuch samajtha hi nahi
Geet: Zara main bhi toh sunu k aap kya samaj rahe hai
Maan: Tum besharam ho ye toh main samaj gaya tha magar itni giri hui ho ye maine aaj jaana
Geet: Aapko jo kuch bhi kehna hai saaf saaf lafzo mein kahiye
Maan: Tum yaha kya sochkar aayi thi...ke apne iss masoom se chehre se tum sabki tarah mera bhi dil jeet logi...tum mujhe apni taraf kheechne ki koshish kar rahi ho... bina wajah mere kareeb aane ki koshish kar rahi ho
..kya ye baat main nahi dekh saktha..magar main tumhe ye baat saaf saaf batadu ke main tumse itni nafrat karta hoon k tum soch bhi nahi sakthi
Geet is getting really frustrated but she wants to hear what maan has to say hence she decides to remain silent for some time
Maan: Tum jaisi chothe sheherwali ladki se expect bhi kya kiya ja saktha hai...magar tumhare dimag ki dath deni hogi...kitni badi planning ki hai
pehle meri behen ki dost ban gayi aur phir kisi tarah se iss ghar mein rehne ka bahana dhund liya...saare pariwarwalo par jhadoo kar diya...
Maan: Aur bade hi hoshiyaari se mujhe meri hi harkatho mein phasa diya
Geet: Kaunsi harkat?
Maan: kyun tumhe pata nahi...ya phir anjaan banne ka drama kar rahi ho?
Maan: Chalo main phir bhi bata detha hoon...maine wo stool jaanbujkar tumhare cabin mein rakha tha taaki tumhe chot pauchee...maine toh bus itna hi kiya magar tumne jaanbujkar dadima ko office mein bulaya aur behoshi ka drama kiya taaki main tumhe apne baaho mein uthakar le jaa saku
Geet is shocked to hear this
Maan: Aur tum zyaada der tak mere kareeb raho issliye Dadima ko ye bhi batadiya k lift kharab hai...waise tumne ye sab manage kaise kiya... tumhare iss plan mein tumhara partner kaun hai jo tumhe pal pal ki khabar detha hai...
Geet: Zabaan samalkar baat kijiye Mr. Maan Singh khurana
Maan:(smirks) Kyun sachhai sunkar bura laga
Maan: Are tumhari jaisi haazaro ladkiyaan mere aage peeche mandarathi hai..samji tum
Maan: Waise geet tumhe mere nazdeek aane ka kuch zyaada hi shauk hai na iss liye aaj tum besharmo ki tarah mere itne kareeb aa gayi...ye sab tumne iss liye kiya na k humhare beech kuch ho jaaye aur phir tum dadima ko emotional blackmail karkar meri wife ban sakho..yani ki iss property ki maalkin
Maan: Waise geet tumhe itni lambhi chaudi planning karne ki koi zaroorat nahi hai...main tumhari khwahish abhi puri kiye detha hoon...Ab tum kaho program abhi banana hai ya phir raatko...
Saying so he approaches her lips
This was too much for geet
She pushes Maan with full strength and goes on slapping him continously...
She holds him by his collar
Geet: Mr. Maan Singh khurana...aapke aage peeche karodo ladkiyaan ghumthi hongi magar Geet unn ladkiyon mein se nahi jo k aap jaise ghatiyaan insaan se kisi bhi tarah ka rishta jhodna chahe
Geet: Jaante hai main itne der tak chup kyun thi kyunki main dekhna chahthi thi k aap kis hadh tak neeche gir sakthe hai...
Geet: Maine aapko pehle bhi kaha tha k meri chuppi ko meri kamzori samajne ki bhool mat kijiyega...
Geet: Main toh yaha aapko thanks kehne aayi thi...magar main ye nahi jaanti thi k aap ne meri madat nahi balki mujhe takleef pauchaane ki koshish ki hai...are aap toh insaan kehlaane k laayak bhi nahi hai
Geet: Aap mujhse nafrat karte hai na...toh aap bhi ye jaan lijiye k main aap jaise ghatiya sochwale pathardil insaan se nafrat ka rishta bhi nahi rakhna chahti...aapk hone ya na hone se mujhe koi farak nahi padtha
Geet: Aap apne aap ko bahut takatwar samajthe hai na...haan shayad aap physically mujhse zyaada strong ho magar mujhe bhi koi kaach ki gudiyaa mat samajhiyega Mr. Khurana jo k aapke khokli dhamkiyoon se dar jaaye
Geet: Are himmat hai toh saamne se var kijiye yun bujdiloki tarah tootha hua stool cabin mein rakhkar kayar kyun banna chahte hai
Geet: Rahi baat planning ki aur aapse shaadi ki toh main ek baat aapko bata du...zindagi khushi se bitane k liye sirf paise zaroori nahi hothe...balki aapko ek aise humsafar ki zaroorat hothi hai jo k aapko samaj sake aur aapke saath kadam se kadam milakar zindagi ki har ucch neech ka saamna kar sakhe
Geet: Aur aap mein aisi koi bhi khubhi nahi hai...aap shayad har rishte ko ek mazak samjthe hai aur ladkiyon ko koi khilona...magar main koi khilona nahi agar aap ne mujhse khelni ki zara bhi koshish ki toh aap khud jal jaayenge
Geet pushes Maan...n Maan falls down
Geet: Are aap jaise insaan se toh main kya meri juthi bhi shaadi na kare
Maan gives an angry look
Geet: Apni inn aakhon se kisi aur ko daraiyega...aaj main aapko challenge karti hoon aap mera jo bidadna chahthe hai..wo karke dikhayiye...dekhthe hai kiski jeet hothi hai...aapke jhothe ruthbe ki ya phir meri sachhai ki
Geet: Insaan bana seekh jaayiye Mr. khurana warna pata nahi kal aap mein aur kisi jungli jaanwar mein farak karna shayad mushkil ho jaaye
Saying so Geet leaves
PRECAP: Presentation in office
So guys aap sab logo ko Dil Mil Gaye ka Maan bahut pasand hai...what do u feel about Maan of mere humsafar...aisa koi hai jo maan ko pasand karta hai
Pls press the like button n do comment
love-Piya
Edited by piya- - 13 years ago
29