Tumhain kese bhullaaon main. . . .? By kanwal malik
| Tumhain dekhon main chanda main, Tumhain dekhon sitaaron main, Har ik mosam k rangon main, Tumhain dekhoon nazaaroun main, mehaktay sabza zaaron main, Tumahain dekhon baharon main Tumhain jaaray k mosam main Tumhain baarish ki rim'jhim main, kabhi phoolon pe shabnam main kabhi geeton ki behron main, kabhi har surr main, sargam main Kisi bhi phool ko choomo'on, Tumhain khushbu main paaon main Tumhain kese bhullaon main . . . . ? dhalakti shaam main dekhon, kabhi Subh k ujaalon main, Tumhain dekhon khyalon main, Muhabbat k hawalon main, Tumhain uljhay sawwalon main, Tumhain suljhay jawwabon main, Tumhain dekhon kitaabon main, kabhi taabeer main dekhon, kabhi dekhon main khwabon main kabhi dekhon saraabon main Tumhain paaon gullabon main samandar ki si gehraai, Teri ankhon main paaon main Tumhain kese bhullaon main . . . . ? Dhallakti shaam k saaye, Tumhain subha ki kirnon main Tumhain baarish ki boondon main, Tumhain paani k jharnon main Sayyah gehri si raaton main, kabhi sheron main, baaton main Kabhi kirnon ki narmi main, Kabhi saanson ki garmi main kabhi jugnu k jhurmat main, kabhi titli ki rangat main kabhi jab tez ho dhadhkan, to phir esi hi halat main Tumhain dhadkan main paaon main Tumhain kese bhullaon main . . . . ? Tumhain mehki hawaon main Tumhain behki fazaoun main Tumhain ghazlon main,nazmon main, Tumhain geeton main, naghmon main Tha'tharti sard aahon main, har ik rastay main, raahon main Tumhain kaajal ki dhaaron main tumhain ashkon ki taaron main, Tumhain zakhmi sadaon main Tumhain apni duaon main, Tumhain sajdon main bhi dekhon, Namazon main bhi paaoun main haaye kiss or jaon main.... Tumhain kese bhullaon main . . . . ? Tumharay Lafz madham se, Tumharay Harf resham se, Tumhara chaand sa chehra, Nashay main doobta lehja, Wo ik awaaz ka jadu, Tumhari saans ki khushbu, jahan dekhon tumhi tum ho, Tumhi ho har taraf, har su.... Tumhain dhadkan, tumhain saanson Tumhain khud main bhi paaon main Tumhain kese bhullaon main....? kaho ! Kese bhullaon main. . . . . Bhullana bhi na chahoon main bhlla kese Bhullaon main...........? |