Posted:
yaad aatay ho. . . . .
| Nazam likhoun to yaad atay ho Geet gaaoun to yad atay ho Barishoun k udaas mosam main Tanha bheegoun to yaad atay ho Sookhay pattoun pe tanha chaltay huay Ashk ponchoon to yaad atay ho Jab ammawas ki raat main jana! Chand dekhoun to yaad aatay ho Wo gulaabi se phankhari se lab Phool choomoon to yad atay ho Sardiyoun ki udass shamoun main Khud se liptoon to yaad atay ho Wo hararat tumhari sansoun ki Shaal orhoun to yaad atay ho Main nay chaha tha bhoolna lakin Na bhi sochoon to yaad atay ho Kia bataoun k kab nhi aatay? Saans jab loon to yaad aatay ho |