Posted:
Mujay kioun acha lagta hay...?
| Wafa ki raah per chalna, tumharay payar main jalna.. tumhari aass main jeena tumharai *bunny* pe marna.. tumhain naraz kar daina, zara si baat pe larrna ya khud naraz ho jana, mobile off kar daina... wo gheray gham main kho jana khaffa ho kar in ashkon main, ye bistar bhi bhigo daina in apnay ansoun main chand taroun ko dabo daina, tumhain buss sochtay rehna tumhari yad main khona, tumharay payar main hansna, tumharay payar main rona dua main mangna tum ko tumhari aarzu karna' kabhi ansoo kabhi sajday kabhi wo nafli rozay kabhi wo maan'na man'nat Khuda ki minn'anatain karna kabhi in chand taroun se kabhi ghar ki deewaroun se tumhari guftagu karna har ik chehray main bus chehra tumhara dhoondtay rehna khuli or band ankhoun main tumhi ko dekhnay rehna kabhi batoun hi batoun main tumhari bat ajana tumhari yaad main din ka guzarna raat ajana tumhi ko sochna or soch kar gum sum sa ho jana tumhari yaad ko orhay wo shabb bhar jagtay rehna subha main dair tak sona tumhain shabb bhar jagana or jahan se be khabbar hona nashay main doobta lehja tumhara neend main khona tumhari jheel si ankhain tumhara chand sa chehra gulabi hont phooloun se tumhara narm kho lehja sabhi kuch acha lagta hay... mujhay kioun acha lagta hay mujhay kioun acha lagta hay..... KAnwal MAlik |