Its really nice
and quite different
Yeh Rishta Kya Kehlata Hai - 23 Aug 2025 EDT
Bluffmaster IF Season 1 (Sign-up Open)
SHAADI HOGAYI 23.8
CID episode 71 - 23rd August
Rathores are here- Gen 5
Yeh Rishta Kya Kehlata Hai - 24 Aug 2025 EDT
First glimpse of Dua Padukone! Pics and video inside
Ranbir is accused of secretly following Deepika in social media 😆
When you’re in love with ddp
Govinda Sunita Ahuja Divorce Case Update
ARMAN KI JOGAN 24.8
Restrain order
Anupamaa 23 Aug 2025 Written Update & Daily Discussions Thread
Abhira: Life main problems ho chalega lekin Armaan na ho..
Just Casual EMA
What’s next for Hrithik Roshan after a hat-trick of flops?
Pick one Emraan Hashmi song
Important Notification regarding IF
Agastya's Ikkis to clash with Junaid's Ek din(Nov 7,2025)
Danger Song Copied From Pak Show
part 14
M to himself : ye ab maa ko kya ho gya.. wo to aisi nhi thi... zarur nupur ne maa ko kuch na kuch to kaha hoga...
(mayank ko ye khayal bi nhi rehta k wo nupur, gunjan aur samrat k sath khada hai.. tabhi samrat uss se puchta hai)
S to M : kya hua???? aur ye tumhari maa kya keh kar gyi.. mujhe kuch samjh nhi aaya???? aur tum akele me kya badbada rhe ho
G to M : haan.. mayank ye to mujhe bhi samjh nhi aa rha unka kehne ka kya matlab tha.. tumhari psnd??? kaun hai tumhari psnd????
N : haan haan.. mayank gunjan puch rhi hai usse apni psnd nhi bataoge...
M to N : ye sab tumhe kia hai naa.. I will kill u... ab tujhe mujh se kaun bachayega....
(samrat aur gunjan blank hai unhe kuch samjh nhi aa rha hai.. Mayank kuch kar pta uss se pehle hi mayank ki aur nupur ki mom aa jati hai..)
MM to G : beta don't mind.. tum mere sath chalogi??????
G (surprisingly): aunty aap aise kyun puch rhe hai...main kabhi aapko mana kar skti hu kya????
NM : dekha.. kitni achchi ladki psnd ki hai meri nupur ne....(full of joy)
S to himself : ladki psnd ki hai???? ye kya chakker chal rha hai???
(mayank kuch soch kar)
M to MM : maa.. gunjan tumhare sath nhi jayegi.. mujhe uss se kaam hai..
NM to M : beta ab to tumhe sari umer hi kaam rehne wala hai...
(gunjan abhi ye sab samjhne ki koshish hi kar rhi hai k ye sab kya chal rha hai.. k nupur aur mayank ki mom usse pakad kar le jati hai... aur samrat strangely aur shockingly nupur aur mayank ko dekh rha hai... wo mayank se ishare me puchta hai k ye kya ho rha hai...mayank usse rukne ka ishara karta hai aur sidhe nupur ko pakadta hai)
M to N : ye sab kya hai ???
N (naa jaan ne ka behave karte huye) : mujhe kya pta' Mujhe iss bare me sach me kuch nhi pta'.
M ( Gusse me Nupur ki taraf badhte huye) : sach me ????
N : aur nhi to kya.. Main jhut thode hi bolungi'. (nupur wahaan se nikalne ki sochti hai)
N : Mayank mujhe kaam yaad aa gya mujhe maa ne kaam dia tha
(Mayank nupur ki taraf kadam badhate huye)
M : achcha' kya kaam dia hai maa ne'
(nupur kadam piche hatate huye0
N : wo main bhul gyi' maa se puchungi tabhi to pta chalega
M : to iss me tumhari koi galti nhi hai..ye sab apne aap ho rha hai
N : (darte huye) : kabhi kuch apne aap thode hi kuch hota hai..
M : haan to tumne kya kia??? Main sun rha hu'
N : wo mayank.. baat itni si hai'.
M : dikh rha hai k baat kitni si hai'.. ye btao tumne maa ko kya kaha
N : wo aunty sheena ko lekar kafi serious ho rhi thi aur main tumhari life barbaad hote thode dekh skti hu' to maine aunty ko keh dia k tum aur gunjan ek dusre ko psnd karte ho'. (itna bolte hi nupur apni aankhen darr k mare band kar leti hai aur mayank ek pal k liye ruk jaata hai.. usse yakin nhi aata hai k nupur ne uski mom ko aisa kaha'samrat bhi ye sun kr shocked ho jata hai.. samrat ko strangely si feeling hoti hai k wo khus ho ya udas' nupur dekhti hai k mayank shocked hai' wo jaldi se wahaan se bhag jaati hai' itne me mayank palat kar gusse me bolta hai
M : kya??????? Tumne maa ko '''''(mayank dekhta hai nupur wahaan se jaa chuki hai.. mayank ka gussa satve aasma pr hai'tabhi)
S to M : nupur to gyi'kya ho gya'. Jaa ke tumhari maa ko sab sach bta denge
M : itna aasaan nhi hai' tum nupur aur meri maa dono ko nhi jaante.. meri maa ko meri shadi karwane ki padi hai.. aur nupur ne kaha hai to definitely maa ne seriously lia hoga' bas ek aur bakheda khada kar dia' main isliye wapas nhi aa rha tha' meri maa ko meri shadi karwane ki padi hai.. wo kisi bhi halat me meri shadi karwayegi.. chahe wo fir koi bhi kyun naa ho'.
(samrat had mixed feeling usse samjh nhi aa rha tha wo kya kahe..)
S to M : to ab kya karoge.
M : karna kya hai' pehle gunjan ko wahaan se nikalte hai.. main maa ko bta dunga.. fir mera jo hoga dekha jayega'
(Tabhi nupur aa jati hai')
N : kya dekha jayega.. tujhe pta hai naa gunjan nhi to aur koi sahi' aunty iss baar bina shadi kiye bina nhi jaane degi'aur gunjan me kya burai hai'
M : (with anger) : tera dimag thik hai' gunjan samrat ki dost hai.. aur tu apne aap ko.. kuch bhi bolti hai.. tera dimag thik hai ya nhi'
N : hum dono bhi to dost hai.. pr hum bhi apas me shadi nhi karne wale hai' aur samrat k upper to gunjan ki responsibility hai.. aur ye dono bhi kaun sa apas me shadi karne wale hai' hai naa samrat (nupur samrat ki taraf dekhti hai.. samrat jo already kuch soch rha hota hai.. aur apni feelings se disturb hai bina soche samjhe bolta hai)
S : hmm'..haan'.
N : Dekha.. samrat ko bhi koi problem nhi hai.. bas ab gunjan se puchna baki reh gya hai'wo kaam main kar lungi'
M : tujhe kuch karne ki zarurat nhi hai.. main dekh lunga.. aur kyun tu gunjan aur mere piche padi hai' main to tere ya samrat k piche nhi pada'
N : tum pad bhi nhi skte tumhare pass koi option nhi hai'ok thik hai main chali'
M : kahaan.???
N : gunjan k pass'.
M : nupur ruk' tu faltu me tension badha mat.
N : tu tension mat le.. main sirf pta kar rhi hu.. wo kya sochti hai'.
N to S : itna to pta karna banta hi hai naa.. samrat'k aakhir wo sochti kya hai
S to himself : aakhir mujhe bhi pta chale chismish kya sochti hai iss bare me.. akhir kabhi to ye hona hi tha'.
S : haan' ye to pta karna banta hi hai.. nupur tum jao..
N : mayank tum tension mat lo.. main kuch gadbad nhi hone dungi'kisi ko sad karke hum bhi to khus nhi reh skte' sab thik hoga (aur nupur wahaan se gunjan k pass chali jati hai)
M to himself : hope so.. Sab maa ki jaldi ki wajah se ho rha hai..Mujhe to kuch samjh me nhi aa rha hai'
(samrat mayank ko sun leta hai)
S : don't worry mayank.. jo hoga achcha hi hoga'
(udhar nupur gunjan k pass jati hai')
G to N : Nupur ye sab kya ho rha hai'.aunty aise behave kyun kar rhi hai'.
N : pls tum gussa mat hona aur naraz bhi nhi' main batati hu tumhe'
(nupur gunjan ko sari baat batati hai)
G (shockingly) : ye sab karne ki kya zarurat thi'.
N : zarurat thi isliye kiya.. warna kabhi nhi karti ,waise gunjan tumne apni life k bare me kya socha hai'
G : nupur tumhe pta hai naa meri life k bare me main nhi samrat hi sochta hai.. aur mujhe uss pr pura yakin hai'
N ; Fir thik hai
G : kya thik hai'.
N : yahi k iss jhut ko sach me badal dete hai
G : kya??????? Tumhara dimag to thik hai naa
N : arre haan naa' tumhi ne kaha k tumhe khud se zyada samrat pr trust hai.. aur maine samrat se pucha usse koi problem nhi hai.. agar tumhe koi aur psnd hai to bta do..
G (with low tone) : samrat ne tumhe khud kaha k usse koi problem nhi hai
N (with happy tone) : aur nhi to kya' main khud se thodi kuch kahungi..
(gunjan ko ajeeb sa lgta hai.. usse lgta hai k pehli baar samrat ka failsa syad usse psnd nhi aaya hai)
G to herself : jb aaj tak maine samrat ki har baat maani hai.. ek yahi to baat hai to mujhe psnd nhi hai.. pr usse psnd aayi hai to mere liye kuch achcha soch kar hi bola hoga
N to G : kya hua.. kya sochne lgi'
G : kuch nhi agar samrat ne kuch socha hoga to achche k liye hi socha hoga
N : bas fir kyun tension le rhi ho'.
TO BE CONT........Part 15
(Gunjan abhi soch hi rhi hoti hai k samrat ne uss se bina puche aisa kyun kia…tabhi…)
N to G : gunjan kya hua.. kya soch rhi ho…???
G (with smile) : kyun ??? ab tumse bhi permission lu sochne ki…. Kuch nhi soch rhi main
N : fir thik hai.. waise bhi zyada sochna nhi chahiye… dimag pr asar padhta hai (both smiles)
G : ye to thik hai… pr tum syad kuch kehne aayi thi…
N ( mathe pr hath marte huye) : oh haan.. main to bhul hi gyi… wo mayank ne kaha tumhe samrat bula rha hai…
G to herself : achcha hai main uss se bhi baat kr paungi…
N to G : ab fir se sochne lgi?????
G : kuch nhi soch rhi..wo actual me thoda sar dard ho rha hai….
N (with worries): tum thik to ho na gunjan….
G : dekha isliye nhi bta rhi thi.. chalo main chalti hu.. waise kal bhi to aana hai… baarat me… yahi rhi to ladki walo ki taraf se ho jaungi :p
N : achcha hoga.. bada mazaa aayega.. tum bhi hamari taraf ho jao to..
G : bas dekhne ka fark hai main to hu hi tumhari taraf (both smiles).. chalo main chali
N : ruko main bhi aati hu…
(dono wahaan jaate hai jahaan samrat aur mayank unka wait kar rhe hote hai..)
M to S : lo nupur aa gyi
S : aur sath me chismish bhi…
(dono girls aa kar unke pass khade hi hoti hai…)
S (thinking) : Pta nhi chismish kya kahegi.. maine bina sune hi haan kar di.. kam se kam mujhe uss se ek bar puchna to chahiye tha..raste me hi uss se baat karunga.. yahi sahi rahega… yahaan nupur aur mayank k saamne baat karna thik nhi rahega..
N to S : kya hua samrat tum sochte bhi ho ye mujhe nhi pta tha… aisa kya ho gya jisne tumhe sochne pr majbur kar dia…kyun Gunjan….(tabhi nupur gunjan ko dekhti hai to wo bhi kuch soch rhi hoti hai)
G (thinking) : samrat ne jo kuch bhi kia hai mere liye soch samjh kr hi kia hoga.. pta nhi usne mujhse pucha kyun nhi.. yahi ek baat samjh nhi aa rhi
N to G : main to soch rhi thi k samrat hi kuch soch rha hai.. pr yahaan to gunjan bhi.. aisa kya ho gya k tum dono itna kuch soch rhe ho.. jo kuch bhi hai hume batao syad hum tumhari help kr paye..
M : haan … bina bataye apne aap to pta chalega nhi.. isliye batana to padega hi..
Sajan (together) : kuch nhi…(fir dono ek dusre ko dekhte hai..aur charo ek sath haste hai)
S : yahi soch rhe the.. k tum logo ko chod k jaane ka mann nhi hai.. pr jaana to padega hi..tabhi to kal aa payenge..
M : haan.. kal to di ki baarat aayegi..
N : kal to bada mazaa aane wala hai… maine to bahut kuch soch rakha hai..(nupur jab khushi se iss bare me baat kar rhi hoti hai tabhi achanak gunjan ko chakker aa jate hai.usko chakker aate dekh.. gunjan nupur k sath khadi hoti hai to wo ussi ka sahara leti hai.. usse aise chakker aate dekh.. nupur darr jaati hai)
N (gunjan k face pr halke halke marte huye) : gunjan?????Gunjan…
N to M : Mayank gunjan ko uthao mere room me le chalo…
M : haan thik hai.. (Mayank gunjan ko utha kar nupur k room me le jaata hai.. samrat bhi unke sath chal deta hai… pr samrat ko ye achcha nhi lagta.. aaj tak wo hi gunjan ko dekhta aaya tha usse lgta hai uska haq kisi ne chin lia ho.. mayank ki jagah wahaan usse hona chahiye tha…)
N to M : mayank doctor ko lekar aao
M : haan thik hu....
(mayank doctor ko lekar aata hai.. doctor chk up k baad)
Doc : koi khas tension ki baat nhi hai.. shadi ka ghar hai.. to stress ho gya hoga.. bas inhe aaram ki zarurat hai…..
(iske baad doctor chala jaata hai)
N to S : gunjan ko yahi aaram karne do…
M : nupur sahi keh rhi hai.. tumhare sath jayegi to thak jayegi.. aur fir pta nhi wo kal shadi attend bhi kr payegi ya nhi
S : tabhi to keh rha hu.. shadi ka ghar hai.. tum logo ko uski dekhbhal karni pad jayegi.. koi nhi hum log kal shadi me nhi aayenge.. abhi main usse le jaata hu.. chismish ki heath zyada important hai..
N : tabhi to keh rhi hu.. k usse yahi chod do…
S : pr yahaan tum log uska khayal nhi rakh paoge…
N : tumhe aisa kyun lgta hai….
M : ho gya tum dono ka.. aisa karte hai gunjan se hi puch lete hai..
N : yahi thik rahega…
(teeno nupur k room me jaate hai.. jahaan gunjan leti hoti hai.. mayank ki aur nupur ki mom bhi wahi hoti hai.. Nupur room me enter karte hi)
N : gunjan ab tum kaisi ho???????… aur tumhe hua kya tha.????? (interrupted by gunjan)
G : nupur nupur main thik hu.. dekho bilkul thik hu.. bas thoda sa chakker hi to aaya tha
S (with anger) : thoda sa???? abhi bi tum thoda sa hi keh rhi ho?? Agr tumhe kuch ho jata to?????? Bta nhi skti thi.. k tabiyat thik nhi hai??? sari galti meri hai maine hi tumhara thik se khayal nhi rakha..(interrupted by gunjan)
G : samrat.. main bilkul thik hu.. aur isme tumhari koi galti nhi hai.. waise bhi agr meri tabiyat kharab hoti hai.. to mere batane se pehle tumhe pta chal jaata hai naa…to fir.. bas thodi si thak gyi thi isi wajah se syad chakker aa gya hoga.. thoda aaram karungi to ekdum thik ho jaungi
N : haan samrat gunjan ekdum sahi bol rhi hai.. usse aaram karne do.. gunjan to yahi mere room me aaram karo..
G : pr main ghar jaa kar aaram kar lungi…(interrupted by nupur)
N : haan aur kal shadi me tum nhi aaogi.. tum nhi aaogi to shadi me samrat nhi aayega.. aur samrat nhi aayega.. to (nupur kuch sochne lgti hai aur bolte bolte ruk jaati hai..)
M : bolo bolo.. samrat nhi aayega to kya???(nupur mayank ki taraf ghur kr dekhti hai aur bolti hai)
N : samrat nhi aayega.. shadi me kaam kaun karwayega…(room me sare baithe log has padte hai…)
S : oh to tumhe apne kaam ki chinta hai…uske liye mayank hai naa… tum fikr mat karo tumhara sara kaam mayank kar dega.. waise bhi girls kabhi koi kaam nhi karti…
N : main tumhare hi kaam ki baat kar rhi thi… boys hi kaam karne me lazy hote hai.. hum girls to itna kaam karti hai.. kai baar to thakan k mare chakker bhi aa jate hai..
M ; tum log agr jhagda karne k mud me ho to very gud..pr agr gunjan se pehle puch lo.. aur fir uss se aaram karne do…
N : puchna kya hai.. faisla ho gya.. gunjan yahi rahegi.. waise bi according to samrat girls to koi kaam karti nhi… to samrat ko gunjan ki zarurat nhi.. aur gunjan ab meri party me shamil ho gyi hai.. wo ab se ladki walo ki taraf se hai (gunjan kuch bolti uss se pehle hi)
S : tumhe kya lgta hai k gunjan mere sath isliye rehti hai k wo mera kaam karti hai.. tumhe galatfehmi hai.. aisa kuch nhi hai nupur ji…hum dono ek dusre ka khayal rakhte hai…
N : to thik hai.. gunjan ko yahi chod jao… wo rest bhi kr legi.. aur kal wo hamari taraf se hogi…
NM to S : beta ye to aise hi bolti rahegi.. pr itna kahungi.. k gunjan ko yahi chod jao.. kal gunjan ki marzi hogi wo kiski taraf se rahegi.. wrna tum usse le gye to hume bhi lga rahega k tum log aaoge bhi ya nhi..
MM to S : aur gunjan ka khayal rakhne ki zimedari hamari hai.. usse koi problem nhi hogi.
N : haan aur kal gunjan hamari side se hi hogi ye bhi confirmed hai…
(gunjan bed pr sir pakad ka baith jati hai samrat aur nupur ko behas karte dekh.. )
S to G : to gunjan tum btao tumhara kya faisla hai…
G : main kya bolu.. (interrupted by nupur)
N : maine bol dia naa.. ye kafi nhi hai kya?????(samrat behas badhti dekh)
S ; thik hai.. to gunjan yahi rahegi.. pr agr kal gunjan tumhari side se huyi to main mayank ko apni taraf kar lunga..
N : Ye to koi baat nhi huyi.. mayank mera frd hai to wo meri taraf se hi hoga naa
S : gunjan bi to meri hi frd hai.. isliye keh rha hu.. mujh se pange mat lia karo
M to N : ho gyi tasali.. jab kaha tha behas kam kia karo to sunai nhi padta
N to M (with anger) : tum meri taraf ho ya samrat ki… Tumhe samrat ki itni hi chinta hai to kal tum samrat ki taraf se hi aana
M : maine kya kia… ek to tumhe salaah di.. aur rrr…. Thik hai kal main ladko walo ki taraf se hi rehne wala hu.. tum soch lo.. tumhe jo joote chupane k plan banaye the wo to sab mujhe maloom hai…
(nupur soch me pad jati hai.. usse soch me dekh kr )
G : koi baat nhi mayank.. hum naye plan banane bhi aate hai.. kal ki kal hi dekhenge…
S : to done raha.. kal mayank hamari taraf se hoga
N : aur gunjan hamari taraf se….
S : ab main chalta hu…
S to G : chismish apna khayal rakhna pls.. aur agr koi problem ho to (interrupted by nupur)
N : wo mujhe bta degi.. tum itni tension mat lo…
(samrat gunjan ko bye karke room k bahar aa jata hai.. uske sath nupur aur mayank bhi hai)
S to Mayur : pls guys chismish ka khayal rakhna.. mujhe usse aise chod kr jaana achcha nhi lg rha..
M : tum chinta mat karo samrat.. hum sab hai naa yahaan.. aur..(interrupted by nupur)
N : agr tab bhi kuch hua to tumhe zarur call karenge.. agr ye shadi tumhare cousin kin hi hoti to main tumhe bhi yahi rukne ko kehti pr main janti hu shadi wale ghr me sabki zarurat hoti hai
S : wahi.. agr aisa naa hota to main chismish ko yahaan kya kahi bhi nhi chodta.. mere sath jaane me wo aur thak jayegi isliye hi choda hai usse…
M : tum chinta mat karo samrat.. hum sab hai yahaan
(samrat aur uske relative ghar chale jaate hai)
TO BE CONT………….
Book cover by Prii @SweetButSpicy. Thanks a million Prii for this wonderful book cover.
290