(Nupur k ghar me shadi hai aur wo ghar ki sazawat me busy
hai bcoz shadi ko 3 din hi bache hai. Wo ghar k bahar toran laga rhi hoti hai
but uska balance bigad jaata hai but luck by chance koi usse pakad leta hai )
N : tum???? 😡
M : haan main mayank. Tumhari special request per aaya hu
N : ab tumhari koi zarurat nhi hai. Tumhe kaha tha k sari taiyari tumne karni hai aur khud chief guest ki tarah 3 din pehle aa rhe ho.😡
NM : kis se jhagda karna shuru kar dia tune fir se?N : Maa tumhara chief guest aa gya hai. Tumhara pyara Mayank.NM : kya mayank aa gya. (Nupur ki mom jaldi se bahar aati hai Mayank unke paav chuta hai)
NM : beta khus rho. Jo chaho wo pao. Abhi to safar se aaye ho thak gye hongeN : haan maa. Yahi to shadi ka chief guest hai thak gya hoga. Aur sare ashirwad issi ko de do.
M : oye tujhe kyun jealous ho rhi hai aunty mujhe aashirwad de rhi haiN : mujhe kyun jealous hogi. Tumhari mom aur sister aa chuki hai aur tumhari mom ne mujhe iss se zyada ashirwad diye hai.
M : kya mom aa gyi hai? Bas aaj to main gaya . Tamanna bhiN : haan jao mil lo. Kaho to tumhe rasta dikha du
MM : kyun re. Wo ladki kab se tera wait kar rhi hai.Rajkumaro ki tarah 3 din pehle aaya hai. (nupur ki taraf ishara karte huye)
MM : wo wahaan ladkiyo k room me hai ruk main bulati hu
(Mayank ki mom tamanna ko bulati hai )T : hey bhai. Kaisa hai re.
T : Garam ????? bas agar tum 1 hr baad aate to yahaan blast milta. Aur uss sambhalna sirf tumhare hi bas ki baat hai. Aur waise bhi sari galti tumhari hai. Ek to usse 2 saal se sakhal nhi dikhai. Bas roz phone per gappe marwa lo dono se. Aur 2 months se wo bhi nhi. Aur tumne khud se promise kiya tha k jab uski badi sister ki shadi hogi to tum sara kaam karwaoge. Tumhe
pta hai gusse me usne kisi aur ko koi kaam nhi karne dia.
M : ek min ek min' tu meri behan hai ya uski. Jo uski side liye jaa rhi hai.
T : shakal dekh uski. Wo continuously kaam kiye jaa rhi hai.As k tune uncle aunty ko promise kiya tha to tere hisse ka kaam bhi. Ab tu aa gya hai to ab tu uske hisse ka kaam kar. Aur haan pehle usse mana le. Warna pta nhi tera kya hoga.
M : you are right my sweet heart sis. Main abhi jaata hu
(Mayank nupur k pass jata hai)M : nupur
N : kya haiM : abhi tak naraz ho
N : main kaun hoti hu tujh se naraz hone wali. Agar tum nhi bhi aate to yeh shadi hoti.M : haan re I know. But meri baat to sun
N : mujhe kuch nhi sun na hai. Iss se pehle koi scene creat ho jao yahaan seM : scene creat ho. Tum abhi tak wo direction wala dream leke baithi ho.
U : mayank mere bhai. Kab aaya tu. Chal guest room me chal kar baatein karte hai
(mayank aur uday dono guest room me chale jaate hai )<font size="4" color="#9933cc" face="Comic Sans MS, Times, serif">M : aaj nupur kuch zyada gusse me lag rhi hai</font>
U : tujhe aaj lag rha hai. Hum to roz jhel rhe hai sab teri galti hai. Isliye tujhe bachane k liye yahaan le aaya. K tera mud kharab na hoM : Hmm to sari galti meri hai. Mujhe hi kuch karna padega
U : haan. Kyunki usse handle karna hamare bas ki baat nhi hai. By the way tu fresh ho jaa. Nupur tere liye nasta bhijwati hi hogiM : nupur?????
U : dekh hum sabko pta hai k tum dono k ek dusre ka kitna khayal hai. Tu chahe to wait karke dekh le. Abhi kuch derr me tera fav nasta aa jayegaM : haan yeh to hai hum ek dusre ki care karte hai bas dikhate nhi hai. Jaise k hum dono k bich me dikhawe k liye koi jagah hi na reh gyi ho. Isliye hum best friends ha
U : haan yar. Sach me. Kuch salo baad log tumhari dosti ki kasme khayenge. Chal tu fresh ho jaa. Baki sab tera wait kar rhe hai.M : baki kaun????
U : sare releatives' jinme se kuch se tu mila hua hai aur kuch se nhiM : thik hai. Syad tab tak teri behan ka gussa thoda kam ho jaye
U : lagta to nhi hai.(mayank fresh hota hai jaisa hi room me aata hai dekhta hai nupur uske liye nasta lekar aayi hai)
N : yeh lo tumhara nastaM : yeh dekhna hai ya khana hai
N : jo marzi aaye karo. Ab iss ghar k mehmaan ho to tumhara khayal to rakhna padega<font size="4" color="#9933cc" face="Comic Sans MS, Times, serif">M : one min. Main kab se iss ghar ka mehmaan ho gya</font>
N : jab se tum aaye ho. Ghar k log ghar ki shadi me kaam karwate hai. 3 din pehle chief guest ki tarah nhi aateM : oh haan main to bhul hi gya tha. thik hai to iss mehmaan ki aur seva ki jayeN (with anger) : dekho mayank mere pass aur bhi bahut kaam hai. Main jaa rhi hu
M : aaji ruth kar ab kahaan jaiyega, Jahaan jaiyega hume paiyega(nupur gives him an anger look)
N (with anger) : koshish achchi hai. Per fail. Iss baar sach me hamara jhagda ho kar rhega. Dekh lena.😡😡
M (with his cute smile): aur main bhi promise karta hu. K kuch bhi ho jaye tera mera jhagda kabhi nhi hoga. Yeh mayank sharma ka vada hai aapse
N : dekhengeM : dekh lena
(mayank again start sing another song)M : din mahine saal gujrate jayenge, hum pyar me jeete pyarme marte jayenge. Dekhenge, dekh lena(Nupur mayank k room se bahar aa jati hai)
NM : beta mayank kahaan hai
N : wo guest room me haiNM : beta wo itna durr se aaya hai. Ab to usse maf kar de.Bhul jaa gusse koN : maa pls. aap log hamari dosti k bich me mat aao. Maine to nhi kaha na aapko k usse beta kaho ya na kaho. Uday bhaiya k equal hi aap usse pyar karteho. Yeh sab ussi ka natiza hai. Jab main aap logo ko mana nhi karti k aap uss se kaise behave Karo. To pls aap mujhe mat kaho(tabhi mayank ki mom yeh sari baatein sun leti hai )MM : arre behan ji. Inka na to sath me gujara hai. Na hi alag alag. Aap chinta naa karo. Aur agar mere bete ko koi apne aage piche guma sakti hai. To wo nupur hai. Warna ghar me to uski awaz sun ne ko taras jaate hai humN : aunty aage piche ghumane ka kya matlab hai aapka (innaughtiest way)MM : mera matlab hai ab jab tak tu manegi nhi. Wo tere aage piche ghumta rahega. Iss bahane thoda bahut hum bhi mazaa kar lenge. Warna mera beta aur ladki yeh do alag alag cheese hai. Bas beta tum dono ki dosti aise hi bani rhe
N : aunty wo aap fikar mat karo. Usse to main iss baar chodne wali nhi hu
M : main tumhare sath hu.N to NM : dekha maa. Aunty mera sath de rhi Hai aur aap mujhe daant rhe the. Ab aayega mazaa to.
>TO BE CONTINUED'''''''
PART 1 - PG 1<
PART 2 - PG 3
PART 3 - PG 4
PART 4 - PG 6
PART 5 - PG 8
PART 6 - PG 9
PART 7 - PG 10
PART 8 - PG 12
PART 9 - PG 14
PART 10 - PG 16
part 11 - pg 17
part 12 - pg 18
PART 13 - PG 20
PART 14 - PG 21
PART 15 - PG 22
290