(watch from 1:00 min)
http://www.youtube.com/watch?v=hXuur5Gb6Zw&feature=related
one of my personal Favorites of ltl..dutta eats sups' karanji but doesn't praise her..so nakku marches in left right left and gives awesome bhashan and shares karanji reciepe alla sanjeev kapoor style..
the bast thing is dutta's expression of a boy being scolded by a teacher in some places and then in some places he tries to be so nonchalant.....Also the way he says to baaji 'bahut haas raha hai tujhe sikhni hai karanji banana'..lmao...😆
the whole scene is so beautiful...the whole episode was awesome...starting with Dutta's rasgulla eating...I am so proud that my forefathers discovered this fantastic sweet that makes the whole world go GaGa....
anyway...watch the way Dutta says 'Ye ladki yedi hai kya?' as he sees nakku walk away...
Baaji replies,'iska to pata nahi pann bhau ek na ek din ye aapko yeda bana degi.'
Today, its so true...hai na..
Us masoom si....pyaari si...bakbak karne waali yedi ne uss ghamandi,baad dimag, akadu, dil ki baat na kah paane waale us ladke ko kaise yeda baana diya hai...
kya nahi kiya uske diwangi mein...chot kha ke bhi nahi bhul paya uss yedi ko...hai na!..aapne aap ko nahi rok paya naa..Dutta.
Aaj yun dard mein pada hai par phir bhi uss yedi ki yaad saath hai is yedey ke...aisa yedapan koi chota-mota seema-chanda,kala-sud,chaskar-pantar waale hawa ke zhooke se thodi na bikharega...ye to badey badey toofan mein bhi aise hi beparwah hoke kayam rahega..
I want to see Dutta even more yeda for this yedi...
Dutta to Nakkusha-
Khamosh ho mere alfaaz to
Meri saasoon ki awaaz samajh lena,
Meri kahani ke anjaam ko
mere muqqadar ka aaghaaz samajh lena.
Bandh ki thi mutthi kaske,
Phir bhi zzaraa zzaraa fisal gaya
Ehsaaso par burf ki parat jaami thi,
Tumhare suraj mein wo pighal gaya.
Agar tum inn naazron ko na dikho to,
hamesha mere saath raho,
yun chip jao meri palkon ke saayon mein.
Agar meri tum manzil na ban pao,
To kho jaon main hamesha ke liye,
yu simat jao tum meri inn raahon mein.
Kuch purane khawaab dhund raha hoon,
mere takkiye ke sirhaane rakhey the.
Kahin bhataktey dekha hai unhey?
kuch chotey,kuch badey,kuch khattey ,kuch meethey the
Meri ankhoon mein chubhta hai kankkar koi,
To hawa ki phoonk se tum sahla deti ho.
Mere sur jab udaas hotey hain
tum meri geet bankar unhey bahla leti ho.
duniya mujhse darti kyu hai?
kya main haiwaan dikhta hoon?
Agar jaanwar hai dil mera,
To tumhe main kaise insaan lagta hoon?
Chot laagi thi saadiyon pahele
Par ab bhi kuch uns, kuch nishaan baaki hai.
Mera aaj sharabi nahin lekin
Mera wo aateet hi mera saaki hai.
Main mandir massjid nahin jaanta
Main allah bhagwaan nahin maanta.
Par tere khuda se ek dua hai
Tere vishwaas se ek hi sada hai.
Agar har janam mein,deewana ho jaon main
To mujh pagal ki deewangi tum hi ho.
Agar jalna ho hamesha tumhe shama bankey
To tumhari aag mein jalne ki parwaangi meri ho.
love,
Shilpi