Tu na Aaya teri Yaad aati Rahi…
Tera SMS pad pad kar main Pagalon ki tarah Muskurati Rahi.
Dil ka Zakhm Zuban par laaya nahin Karte,
Hum apni Aankhon se Aansoo bahaya nahin Karte,
Zakhm Kitne hi Gehre kyon na ho,
Hum apne Honton se Muskurahat hataya nahin Karte.
Peete hain Sharab hum jinhe Bhulaane ke liye,
Wo hi aa jaate hain Yaad humhe Rulane ke liye.
Na Zindagi ke liye, Na Dosti ke liye,
Waqt rukta nahin kisi ke liye,
Kadam do Kadam tho sabhi Chalte hain,
Saath Chalta nahin koi Zindagi bhar ke liye.
Umar e Daraaz maang kar laaye the char din,
Do aarzoo mein kat gaye, Do intezaar mein.
Dil ki galiyon mein koi gam na ho,
Hamari yeh dosti kabhi kam na ho,
Bas yehi hai dua ke tum khush raho,
Kya pata hum kal ho na ho.
Haadse kya kya tumhari berukhi se ho gaye,
saari duniya ke liye ham ajnabi se ho gaye !
mast nazron se dekh lena tha,
agar tamanna thi aazmaane ki,
hum to behosh yun hi ho jaate,
kya zaroorat thi muskurane ki.
Dil mein hamesha ek shor ho raha hai,
Bina SMS dil bore ho raha hai,
Kahin aisa tho nahin ke ek pyara sa dost,
Mujhse door ho raha hai.
Waada to kar leete hain, Nibhana bhool jaate hain,
Lagaakar aag seene mein, Bhujana bhool jaate hain.
Rehmate karam itna na baras,
Itna na baras ke who aa na sakein
Jab who aa jaayein tho jam ke baras,
Itna jam ke baras ke wo jaa na sakein.
Woh dikhe dubara tho dil ko ek tasalli hui,
Mera nahin magar Mehboob tho hai is duniya mein.
Fiza par tho asar hawaon ka hota hai,
Mohabbat par tho asar adaaon ka hota hai,
Koi aise hi kisika deewana nahin hota,
Kuch kasoor yaaron ka bhi hota hai.
Hazaaron Khushiyan kam hai ek gam ko bhulane ke liye,
Ek bewafa hi kaafi hai Zindagi bhar rulane ke liye