Sid has sent rids the divorce papers n he leaves sanjeevani coz he thinks he has done this for rid's happiness n now she can be with armaan...armaan also sort of accepts this n wants ridhhima back...then after a few weeks or months, sid n armaan meet again...mayb sid returns to sanjeevani n he sees armaan n thinks now he will come face to face with AR together n how wil he be able to see them together etc..n he meets armaan n asks bout ridhhima...
Armaan - "Ridhhima aur main abb saath nahi hain sid..
sid is shocked...
Sid - "Par maine toh ridhhima ko harr rishtey se azaad kar diya tha aur mujhe laga abb tum dono ko ek hone se koi nahi rok sakta"
Armaan gives a funny smile n says - "Kitni ajeeb baat hai na sid...hum dono ridhhima se itna pyaar karte they ki humne hamesha rids ki khushiyan chahi...aur hum dono ne wahi kiya jo humein theek laga...humne kabhi yeh nahi jaanne ki koshish ki, ki ridhhima kya chahti hai....jab main ridhhima ko chhod ke gaya tha, toh maine socha tha ki yeh ridhhima ke liye sahi hai aur issime ridhhima ki khushi hai...lekin woh meri soch thi sid, ridhhima ki nahi...ridhhima mere paas aana chahti thi aur maine usse faisla lene ka haq cheen liya..woh meri sabse badi galti thi"
sid all confused as to where armaan is heading wit this convo...
Armaan continues - "aur tumne sid...tumne bhi wohi galti ki...tumne bhi wahi kiya jo TUMHE laga ridhhima ke liye sahi hai...kya tumne yeh jaane ki koshish ki, ki ridhhima kya chahti hai...tumne bhi uski zindagi ka faisla khud kar liya aur tumne bhi usse yeh haq cheen liya...tumhe laga ki ridhhima mere saath rehna chahti hai...par yeh tumhari soch thi sid...ridhhima ki nahi"
Sid - "Par ridhhima toh tumse pyaar karti thi armaan"
Armaan - "Sahi kaha tumne...ridhhima mujhse pyaar karti THI...par main jab vapas aaya toh maine ridhhima ki aankhon mein woh pyaar nahi dekha...pehle mujhe laga ki meri basket mujhse naraaz hai issiliye aankhon mein itna gussa hai...par uss gusse ke peeche ke pyaar ko main nahi dekh paaya..woh pyaar jo tumhare liye tha sid.."
Sid is shocked to hear this...
Armaan - "Jiss ridhhima se main vapas aane ke baad mila, woh toh meri basket thi hi nahi...woh toh koi aur thi...abb woh meri ridhhima nahi rahi sid...woh mrs. sidhhant modi hai...ek patni jo apne pati ki bahut izzat karti hai...jo apne pati ke saath aage badhna chahti hai aur sirf apne pati se pyaar karti hai"
Sid cannot believe his ears..he s choked with emotion - happiness as well as confusion...
Armaan continues - "Jaante ho jab tum usse divorce papers de kar chale gaye, mujhe laga ki abb mujhe aur ridhhima ko koi alag nahi kar sakta, lekin jab main uske paas gaya toh jaante ho usne mujhse kya kaha?...
Flashback to armaan ridhhima convo -
Ridhhima to armaan - "Tumne mujhe bahut pyaar diya armaan...pyar kya hai main nahi jaanti thi aur tumne mujhe pyaar ka matlab samjhaya...par pyaar nibhaya kaise jaata hai, yeh maine mere pati se seekha hai (yeah similar to HDDCS dialogue)....sid ne mera tabb saath diya jab main apne zinadagi ke sabse mushkil daur se guzar rahi thi...charon taraf ek andhera tha aur sid uss ummeed ki kiran bankar meri zindagi mein aaya...ussne mujhe nai zindagi nahi di..usne mujhe phir se jeena sikhaya armaan...tumhari basket uss din marr gayi jiss din maine sid se shaadi ki...uss agni ke saamne liye saath pheron mein maine uss ridhhima ka tyaag kar diya...tumhara pyaar main kabhi nahi bhool paaongi armaan...woh mere vajood ka woh hissa jo kabhi bhi mujhse alag nahi ho sakta...par tum mera ateet ho armaan aur apne ateeth ki unn saari yaadon ko maine ussi din peeche chhod diya jiss din maine apni maang mein sid ke naam ka sindoor bhara aur gale mein uske naam ka mangalsootra pehna...aur aaj jo ridhhima tumhare saamne khadi hai..woh sirf apne pati se pyaar karti hai...main sid se pyaar karti hoon armaan aur ussi ke saath aage badhna chahti hoon...haan woh mujhe chhod kar chala gaya hai..par main uska apni aakhri saans tak intezaar karoongi...aur mujhe pata hai..woh vapas zaroor aayega"
Back to present day where Sid is now crying with joy...he thinks this is some kinda dream n he asks armaan..."Ridhhima kahan hai armaan?"
Armaan says "Jao sid...apni patni ko vapas le aao...woh tumse bahut pyaar karti hai aur aaj bhi tumhara intezaar kar rahi hai..jao sid...ek baar maine vapas lautne mein der kar di thi aur uss galti ki sazaa aaj tak bhugat raha hoon...tum aisi galti matt karo...mera pyaar adhoora reh gaya sid par tum apna pyaar zaroor poora karna...lekin ek baat yaad rakhna..iss janam mein aur agle 7 janamon tak ridhhima tumhari hai..par aathve janam mein ridhhima sirf meri hai..sirf meri..."
Sid runs from there to claim the love of his life...his wife...n then we all can hope for the "Famous Rain Confrontation" scene tht we all have been dying to see!!
Hope u guys liked the script...its my first time so kindly excuse 😊