Suna hai iss jahan main zindagi ki qehat sali hai,
Yahan do chaar din jeene ka aksar zikar hota hai,
Yahan her waqt cheez fani hai,
Sabhi ko moat aani hai,
yahan izhar kya krna,
Yahan pr pyar kya krna,
Magar kuch youn bhi sunta houn,
K Aisa ek jahan ho ga,
K jis main maut aany ka,
Koi dharka nahin ho ga,
Hayat-e-javidan k sab,
Wahan asbab rakhay hain,
Ye mera tum se wada hai,
Agar dono wahan mil gaye,
Waheen iqrar kar lain gay,
Waheen izhar kar lain gay,
Waheen phir pyar kar lain gay