yeh chuban akailay pan ki
yeh lagan udaas shab say
main hawa say lar raha hon
tujay kya bataoun kb say
ye sahar ki sazashain thin
k yeh intiqam e shab tha
mujay zindagi kasoorag
na bacha saka gazab say
teray nam say shifa ho
koi zakhm vo ata kar
meray NAM E BAR vo milay
to kehna usay adab say
vo javan ruton ki shamain
kahan kho gye hain sagar
main to bujh kay reh gya hon
tu bichar gaya hai jab say