No, this is not monday's prediction, it is a short discussion between KK and his wife Rukminiš
Ek Ajeeb Discussionš
Rukmini: kya hua tum itne udas kyuon baethe ho?
KK: are yeh Bhaskar hai na, is ne to mera jeena haram karke rakha hai.š
R: yeh Bhaskar kaun?
KK: are wohi jisko maine saza dene ke liye larka se larki bana di.
R: wohi Bhaskar, lekin itne din bit gaye uski saza abhi khatam nahi hui?š
KK: Nahi, aur wo yeh saza khatam karne di bhi nahi rahi haiš
R : Rahi hai matlab,achcha wo to ab larki hai, Bharti nam hai na uska?
KK: ha, Bharti
R: lekin problem kya hai?
KK: problem yehin hai ke wo larki to ban gayi lekin sari problems solve kar leti hai, main jab bhi sochti hun ke uski halat kharap kar di, wo hamesha phirse khari ho jati haiš
R: yeh to achchi baat haiš
KK: achchi?š²
R: Bhul na mat, wo ab wo ek larki haiš, shakti to usme hogi iš
KK: ha, wohi to hai, is liye to main ek naya plan ke bare mein socha hai, aur wo plan thikthak chalne hi wala hai lekin phirse problem khari ho rahi haiš
R: main kuchh samajh nahi rahi hun, konsa plan, konsi problem?š
KK: actually maine socha tha ke Bhaskar ko larki banake uske samne bohot sari problems la dunga aur usse apni saza mil jaegi aur phir use phirse Bhaskar bana dunga, lekin wo bani to Bharti bani, jo ek sadharan nari nahi hai, wo ek bohot talented nari hai.
to maine socha ke use ek bohot i bigri hui family ki bahu bana du, jise mere khayal se sirf Bharti hi normal achchi parivar mein badal sakti hai.
R: matlab tum Bharti ko use karna chahte hoš”
KK: use? main kisiko use nahi karta, yeh sabki destiny hoti haiš
R: to kaunsi parivar ki bahu bani wo?
KK: wohi Armaan ke parivar ki
R (excitedš): Armaan ki biwi bani wo? wohi larka na jo Bharti ko bohot pyar karta hai?š³
KK: nahi, Armaan ki nahi, uska bara bhai Omkar ki biwi bana di Bharti ko, waise us Armaan ka to naam hi mat lo mere samneš”
R: kyuon? usne kya kia?
KK: kya kia? "Pyar"š
R: "Pyar", pyar to bari acchi cheez hoti haiš
KK: Pyar achcha hota hoga, lekin jab kabhi bhi maine Bharti ki life mein problem lane ki koshish ki yeh battameez Armaan ake sab bigar diaš, Bharti ki help kar diš.
R: To yeh Armaan ka parivar hi bigri hui hai? lekin Armaan to normal banda lagta haiš
KK: bigri hui, puri tarah se pagal bol sakti ho.š uske papa, bare bhaiya Omkar to gunde hai, uski bua to serial ke vamps se bhi barkar hai,š aur uski ma, sabkuchh chupchap se sehti hai, sabse bari problem yeh hai ke parivar ke saare log andhvishwas se bhara hua haiš
R: agar Bharti i sabkuchh thik kar sakti hai to usse Armaan ki biwi kyuon nahi banaye?š
KK: agar Armaan ki biwi banate to kya wolog apne ghar wapas ate? are bhai main Bhaskar ko saza dena chahta hun uske life mein khushi lana nahi chahta.
R:š
KK: abhi Bharti Omkar ki biwi bani hai, abhi to use bohot sari problem face karni paregi, main Bharti ko janti ho, wo zaroor sari problems khatam kar degi, yeh parivar ko thik kar degi.š
R: thik hai Bharti ko tum saza dena chahte the, lekin Armaan ne kia kya?š
KK: Armaan ne? usne apna ghar chhor dia, use pata tha ke uska parivar aisa hai, use apna parivar ko thik karna chahye tha.
R: to tumhara plan to thikthak hi chal raha hoga, to itna dukhi kyun lag rahe ho?
KK: are phirse "pyar" mere plan ke beech mein a gaya.š
main bohot kuchh kar sakta hun, lekin pyar ko control nahi kar saktaš
sabkuchh according to the plan hi chal raha tha. maine bohot koshish ki Armaan ke dimag ko control karne ki, kar bhi saka, usene Omkar ke saath Bharti ki shaadi rok bhi nahi paya, lekin yeh battameez pyar karna chhorta hi nahiš
R: to isme problem kya hai?
KK: problem?š” puchho mat abh yeh problem ek taraf se nahi dono taraf se mujhe tang kar raha haiš”
R: matlab?
KK: matlab, main Bharti ko bohot dukh dena, kasht dena chahta tha ta ki woh "chandi" roop dharan karke yeh parivar ko thik bana de. main chahta hun Bharti kamzor na ho, strong ho. lekin Armaan ka pyar use kamzor bana raha haiš”
R: kaise?
KK: Bharti bhul jati hai ke wo Bhaskar hai jab wo Armaan ke paas jati hai, wo bhul jati hai usse larai karni hai, wapas Bhaskar banna hai.
R: wo agar Bhaskar ban na nahi chahti hai to problem kya hai? ktini achchi jodi hai Armaan-Bharti kiš³
KK: tum yeh mat bhulo ke maine Bharti ko ek maksat se bheja hai us ghar pe, wo kamzor nahi ban sakti.š
mera plan thik thak i chal raha tha, lekin yeh Armaan ke dimag ko control karna bohot mushkil hai, are usdin to wo almost Bharti ko help karne ke liye razi ho hi ja raha tha, maine last moment mein usko yaad dila di ke wo Bharti ke dewar hai.
Armaan aur Bharti ka pyar mere sare plan mein almost pani phel raha thaš
R: kya Bharti bhi usse pyar karti hai?
KK: wohi to problem hai, pehle shayad nahi karti thi ti lekin ab karti hai, aur iski wajah se wo weak ho ja rahi hai.š
R: lekin yeh bhi to ho sakta hai pyar use strong bana de aur wo dono milke yeh pariver ko thik kare.š
KK: baat sahi kahi tumne lekin Bharti utni achchi bhi nahi hai, uske samne problem ati hai, aur use solve karne ke saath saath wo logo ki bhala bhi kar deti hai, wo serial ki bahu jaisi nahi hai ki bina matlab ke continuously sabki bhala kare.š
R: yeh Omkar kaisa larka hai?
KK: gunda hai, bilkul achha nahi hai, Bharti ko isse thik karna paregaš
R: yeh Omkar agar achcha ban jaye aur Bharti ko sachmuch pyar karne lage aur Bharti bhi use pyar karne lagi to kya hoga?
KK: dekho, yeh pyar ke bare mein mujhe mat puchhna, main yeh pyar ka mamla control nahi karta.
R: to Armaan aur Bharti ka kya hoga?š
KK: wolog agar ekdusrese sachcha pyar karta hai to zaroor jeet jayenge apne jang mein, main bhi nahi rok paunga
R: tum sachmuch nahi chahte ke wolog ek ho jae? Tum kya sirf apne plan ke bare mein hi sochte ho?
KK: nahi main chahta hun, lekin main chahta hu ke Bharti mere kam bhi karle, aur phir apna destinty khud hi dhundle.
R: Armaan Bharti kitni kush jodi thi, shaadi bhi karnewale the tumne kyun tor dia?
KK: dekho sukh by chance nahi milta, agar us din unlogo ki shaadi ho jati to bad mein problem ho sakti thi. ek to kya hota jab Armaan ko pata chalt ake Bharti Bhaskar hai, aur Bharti ke man mein bhi kahin na kahin Bhaskar bannke ki ichcha thi jiski wajah se wo yeh shaadi karna chahti thi.
R: to kya wolog ab dhund payenge ek dusreme sachcha pyar?
KK: ho sakat hai, maine kaha na, main pyar control nahi kartaš”
R: thank god tum pyar control nahi karte hoš, waese tumhara plan safal hoga ya nahi mujhe pata nahi lekin mujhe yeh vishwas hai ke ekdin Armaan aur Bharti ke beech mein vishwas aur sachcha pyar zaroor aegaš
.......................................................................................