kyun shaam dhale en ankhon mein
benaam si ek udaasi ki
ghataein rehti hain
kyun be-khud ho kar us lamhay
dhalta hoa suraj takta hon
ankhon me kisi ka aaks liye
kyun band kitaabain takta hon
mat puch yeh waqat hi aisa hai
mujhay dil par zoor nahin rehta
main lakh chupata hon lekan
ashkoon ko rook nahin sakta
ek qarzz chukaney ki khatar
yeh kuch lamhon ki chori hai
bas yoon hi samjh le yaar mere
yeh shaam meri kamzori hai