suno ye kahani,suno ye kahani
Rakshas jiska nayak hain,bakhaye unka jibani
suno ye kahani,adbhut ye kahani.
lankeshwar hain RAVAN Indrajeet unka jaye
bharya mandodari se is suputra ko uo paye
usi Indrajeet ka jiban gatha ko hum bakhaye
khalnayak ho kar bhi maryada nayak ka paye
meghnad jiska nad hein megh sa prajanda
par ahankari pita ka putra bhi he uddanda
par bal me uo bahut bhi bhari,asurguru se shi shiksha dhari
garjan megh sa jiska meghnad nam paye
ravan ke is sut ne shiv ka kathor tap kar jaye
ghor parishram,ghor tap ka sufal paye uo bhari
prakat unke huye samne swaya shree suldhari
bar paye shivji se,paye shakti sare mahan
bijayrath bhi kare pradan ashutosh bhagwan
bal paye ho ahang se mad ravan ka ye sut
adharma ko apnaye uo bhi ho dharma se bichyut.
pita ke marg par uo bhi chale,pita agga ko hi uo jo pale
anyayi ho uo bhi,ho uo papachari
atyachar kare uo sabme bhari
par bhi hum gatha unka sunaye
jo putra pita ahang ka bali ban jaye
birta me uo sreshtha hain,liya indra ko bhi jeet
meghnad se ravan sut ban gaye INDRAJEET.
patni ke rup me sulochana nagkanya ko paye
sang nag debi ke ashish nag pash le jaye
mahabalshali uo,kare gyan bhi dharan
par ahangkar bane nash ka karan
jo bhul RAVAN ne ki uo bhul Indrajeet kar jaye
RAM rup me Narayan ko na pehechan paye
par swayam bhagwan se bhi yuddha kiye asadharan
mrityu tak kare ran par parajay ko na kiya baran.
nagpaash se swayam bhagwan ko bhi dharti pe giraye
bhupatit ho ram lakhan sare dharti chintit ho jaye
garur ne nagpash ko hataye,apr indrajeet ka bal na ghat jaye
shakti aise lakhan pe chalaye,shesh avtaar murchit ho jaye
bijli jaise aye shakti
bare ghatak ban gaye ye shakti
lakhan ko jisne di giraya
meghnad ka ho aise shakti
jis shakti se kape dharti sare
aur sheshavatari dharti pe gire
aise shakti ho jinke pas bhayankar
Indrajeet ho uo pralayankar.
dekh lakhna ko murchit ,byakul raghubar pran
bin lakhan na RAM bhi jiye,keharahe SHREE BHAGWAN
Hanumant ne sanjibani layi,soumitra ke pran bachayi
phir byarth indrajeet ho jaye,par har uo na sweekare
aisa man ka bal tha ,tha aisa shourya mahan
birta me uo sreshthe the,kahe swayam RAM BHAGWAN
nikumbhila yagna karne jaye
par kal se bach na paye
sang banar lakhan uha jaye
yagna kar dhyasta unka aaye
phir bhi shakti ka murat Indrajeet ne na kiya har sweekar
yagna dhwasta uhe par abhi bhe shakti tha unka apar
brahmastra,narayanastra aur pashupat sab lakhan par jo chalayi
par sab ban kare lakhan parikrama tunir me unka laut hi aayi
khul gaya antar nayan jan gaye INDRAJEET
ye to swayam bhagwan he,kaise paye inse jeet.
Ranbumi se pita sameep aye
Pita ko samjhane ka cheshta kar jaye
Ki RAM he swayam NARAYAN
lelo he pita unka hi sharan
MATA SITA ko lautao
RAM charan me ashray pao
RAM he jag kripanidhan ,he sharangata swami
He NARAYAN uhi,he uo antarwami
Par murakh RAVAN na jane
Ranchor kahe indrajeet ko di tane
Purusharth par jab ho aghat
Kaise chup rahe paye meghnad
Chale ran ko jan mrityu he nischit
Abichal rehekar na ho chintit
Pita agga ko sir dhare dene ko balidan
Chale ek beer putra dene apna pran.
Lakhan ban se mare jaye,par khyati koi na mita jo paye
Ek beer uo sada kehelaye,jisne mrityu sweekar kar jaye
Unka beerta ka karte he gungan
Swayam raghav Narayan ne di une beer ka man
Aapne bastra se shareer ko dhakkar
Samman unko de RAM raghubar
Jo durlav sthan rishi muni bhi na paye
Ram sparsh se meghnad pa jaye
Jiban me jisne kiya kebal abichal sangram
Mrityu par unko ashish de swayam SHREE RAM.
Hum usi beer ka gatha tumhe sunaye
Pita agga ko jo balidan pran kar jaye
Paap ka diya sang to phal uska uo paye
Par un jaisa beer aagakari putra ka gun hum gaye
Jo har sukh dukh me pita ka saath nibhaye
Pita agga ko jo balidan aapna pran kar jaye
Hum Ravan sut us Indrajeet gatha gaye
Rakshash ho kar bhi param samman uo paye.
Thanks Juhi for this wonderful creation of Indrajeet😃
Here's the link to the Ravan, Indrajeet, Kumbhkaran club!
https://www.indiaforums.com/forum/ramayan/1063908/ravan-indrajeet-kumbhkaran-club