Originally posted by: kamaal_ho_gaya
Is show par kyu koi objection nahi leta jab ye log har pal apni ghatiyapanti ko defence karne ke liye bhagwan,devi devtaon ka sahara lete hai š”
Hippocratic log š¤¬
Makers aur actors sab ke sab besharam hai aur unse bhi zyada besharam hai Bhakts aur ApMaAns jo inhe royal classy aur na jaane kya kua kehke bulate hain š
Hypocrisy and Anupama - jo dhakka aaj Anupama se galti se Moti Baa ko laga, wohi agar kisi Kothari ne iske Bhagwaans Baa Bapuji ko lagaya hota to?
Thappad bajte aur raat bhar bhashan sunne padte, kya pata Krishna Kunj ko Gangajal se Pavitra bhi karti jaise pehle kiya tha jab Rakhi Dave ne in Shahs ko aaina dikhaya tha š
Aur kya yehi Anupama kuch din pehle, jab Prem saare Shah Kids ko Diwali party mein le gaya tha, tab kya isne Bhashan nahi diya tha party karne par, Prem aur Rahi (Alisha) ko isne insult nahi kiya tha iske Sanskaari Shah kids ko bigaadne ke liye ? Sanskaar sanskruti Maan Maryada par bhashan nahi pele the ? Ye kahe to thik, baki log bole to ye tuchch aur tuchchi mahila beech mein Bhagwan ko le aati hai apni baat ko sahi prove karne ko, aur khud wahan bachchon ki party mein ghus kar sara attention lekar baithi hai
Arey to uss hisab se to Bachelors hai pole dancing honi chahiye, Pole Dancers aur clubs ke Strippers bhi insaan hote hain, paisa kamane ke liye karte hain jo bhi karte hain, Nritya hai kala hai Poojaniya hai - kya Anupama unko bhi utni hi respect degi? (Waise kuch din pehle ye khud table par chadh kar naach rahi thi - just saying š¤·š»āāļø)
38