Created

Last reply

Replies

154

Views

13202

Users

5

Likes

191

Frequent Posters

shrutiberlia thumbnail
Visit Streak 500 0 Thumbnail Visit Streak 365 0 Thumbnail + 4
Posted: 4 months ago

CHAPTER- 16


Kalyani took Malhar to her room and after entering her room Malhar saw there beach date picture beautifully framed on her dressing table and one of there picture which they took at his home on his birthday on her study table.

Malhar- Wooww...... Kalyani tumne toh apne room ko humare pictures se kitni beautifully decorate karke rakha hai.... But ek minute tumne toh abhi apne parents ko humare baare mein bataya hain fir unlogon ne yeh pictures nahi dekha kya???

Kalyani- Aesa nahi hai aap aaj aane waale the toh issiliye inn pictures ko maine bahar saja diya hai, warna yeh dono mere dressing table aur study table ke drawer mein rehte the....

Malhar- Iska matlab mere jaate hi tum inhe fir se drawer mein shift kar dogi.....Very bad Kalyani tumne mujhe upset kar diya....

Kalyani- Nahi Malhar Ji aesi koi bhi baat nahi hai ab yeh pictures hamesha yahin rahengi, pehle Madhuri aur Papa ko pata nahi tha issiliye main bahar rakh nahi sakti thi..... But ab aesi koi bhi problem nahi hai.... Aur waese bhi aapko nahi pata main jab aapko miss karti thi apne exams ke time par tab inhi pictures ne mujhe sambhala hai..... Jab bhi padhayi karne baith ti thi toh uss picture ko apne saamne rakh ke padhti thi aur jab bhi ready hoti thi exams ke liye nikalne ke liye tab humari yeh picture dressing table ke saamne rakhke ready hoti thi.... Aesa lagta tha ki aap mere saamne hi ho aur mujhe all the best bol rahe ho.

Malhar- Are tum toh emotional ho gayi main toh mazak kar raha tha..... Mujhe pata hai tum mujhse bahut pyaar karti ho..... Yeh kitna sundar aur pyara frame hai jismein tumne humari beach waali picture lagayi hai, mujhe bahut pasand aayi....

Kalyani- Really Malhar Ji..... Yeh maine apne haathon se banaya hai after all humari pehli pic thi aur woh bhi sunset ke saamne..... Toh itni special picture ke liye frame bhi toh special hona chahiye.....

Malhar- OMG...... Yeh tumne banaya hai...... I really really liked it Kalyani, main bata bhi nahi sakta mujhe kitna acha lag raha hai...... I really really love you a lot....

Kalyani- I Love You To Malhar Ji.....

After that both of them hugged eachother.

Malhar- Bas Kalyani tumhare Papa bhi maan jayen aur samjhen ki main tumse kitna pyaar karta hun.....

Kalyani- Don't worry Malhar Ji, Madhuri hai na woh sab sambhal legi.... Usne mujhe kaha hai aur mere Papa itne bhi dangerous nahi hain bas mujhe leke thode concerned hain....

Malhar- Main jaanta hun Kalyani as a father woh apne jagah bilkul sahi hain aur unke concerns bhi bilkul valid hain..... Bas main yahi chahta hun ki woh mujhe ek mauka den

Kalyani- Denge woh zaroor denge after all woh mujhse sabse zyada pyaar karte hain aur meri khushi ke liye woh aapko zaroor woh mauka denge....

Malhar- Tum keh rahi ho toh zaroor aesa hi hoga..... Waesa ek baat hai Kalyani main chahta hun ki humein beta hi ho beti nahi......

Kalyani- Aesa kyun????

Malhar- Kyunki tumhare Papa ki jagah agar main hota toh pata nahi aur kitne aur kya kya sawaal karta ho sakta hai main usse kai task bhi karwata..... Aur issi wajah se ho sakta hai humari beti ko zindagi bhar kunwara hi rehna padh jaata....

Kalyani- Are yeh kya baat hui..... Aap fathers ko kya lagta hai aapki betiyon ke liye koi bhi ladka sahi nahi hai kya???

Malhar- Toh kya ismein galat hi kya hai humari betiyan princess hain unko aese hi kisi ke saath toh nahi bhej sakte naa..... Puri tarah se test karna toh zaroori hai....

Kalyani- Tab ek kaam kariye aap aur Papa yahi kariye aur bhool jayiye ki aage koi scope hai....

Malhar- Are aesa mat bolo.... Acha theek hai main thoda sa kam strict rahunga bas...

Kalyani- Thoda saaa????

Malhar- Haan ab isse zyada mujhse umeed mat karna tum.......

Kalyani- Kuch nahi ho sakta aap dono kaaa...... Waese hum abhi se yeh sab kyun discuss kar rahe hain abhi kaafi time hai insab ke baare mein sochne ko....

Malhar- But future planning toh karna hi hoga naaa..... Aur agar tum kaho toh fast forward ka button daba deta hun.....

Kalyani's face turned red and said- Malhar Ji aap fir se shuru ho gaye.... Koi fast forward ka button dabane ki zaroorat nahi hai hume present ko hi ache se aur khul ke jeena hai.....

Malhar- Dekho toh tumhara face ek dum laal ho chuka hai.... Matlab tum bhi kahin na kahin ready ho.....

Kalyani- Malhar Jiii.... Aapna bilkul besharam hote jaa rahe hain.... Abhi agar Papa ne aapki baatein sunli na toh forward ke jagah backward ka button daba denge.....

Malhar- Acha jiii..... Aur tumne toh mujhe messages kiye thode der pehle agar woh dekh lenge tab kya karenge batao batao....

Kalyani- Malhar Jiiii......

On the other side when both Kalyani and Malhar left the hall Madhuri confronted Atul.

Madhuri- Yeh sab kya hai Atul..... Humari baat ho chuki hai na iss baare mein tum kyun Malhar ko iss tarah treat kar rahe ho

Atul- Main ek baap hone ka farz nibha raha hun..... Aur yeh dekhna ki yeh ladka meri beti ke layak hai yaa nahi mera hakk hai

Madhuri- Aur tum apne issi hakk ka galat istemaal kar rahe ho..... Yeh mat bhoolo ki tumne apni ussi beti se kuch der pehle kuch promise kiya hai.....

Atul- Tum dono Maa Beti ko aesa kyun lagta hai ki main jo bhi kar raha hun galat hi kar raha hun..... Mere point ko bhi samjho, kya tumne socha hai ki jab Aao Saheb ko inn sabke baare mein pata chalega toh kya hoga....

Madhuri- Toh kya Atul ab kya Aao Saheb ke according humari beti pyaar karegi yaa fir shaadi....

Atul- Madhuri.... Ab tum kuch zyada bol rahi ho woh meri Aai hai aur Kalyani unki poti unka pura hakk hai uske liye faisle lene kaa

Madhuri- Aur main unki bahu hun iske baare mein kya khayal hai tumhara...... Yeh baat tum Maa Bete kyun hamesha bhool jaate ho...... Humari Shaadi ko 21 saal hone ko aayen hain aur unhone aaj tak dil se mujhe apni bahu nahi sweekara, iss baat se mujhe kitna hurt hota hai yeh kabhi bhi socha tumne....

Atul- Yahan baat Kalyani ki ho rahi hai humare past ke baare mein nahi....

Madhuri- Topic change mat karo Atul..... Tumhe yaad hain na jab tum mere Baba se mera haath maange aaye the tab unki ek hi shart thi ki Aao Saheb aur Rao Saheb mujhe dil se apnaye aur tumne unhe guarantee di thi ki aesa hi hoga magar kya hua...... Rao Saheb ne toh mujhe pure dil se apnaya magar Aao Saheb unhe toh aaj bhi yahi lagta hai ki maine tumhe aur unki poti ko unse door kiya hai..... Yeh tumhara decision tha ki hum Mumbai aayen aur apni nayi zindagi ki shuruat karen maine toh tumhe kaha tha ki hum wahin Aurangabad mein rehte hain aur main puri koshish karungi Aao Saheb ka dil jeetne ki magar tum bhi jaan chuke the ki main chahe jo karlun woh mujhe nahi apnayengi issiliye sab ko khush aur shanti se rakhne ke liye tumne yeh decision liya.....

Atul- Haan toh dekho aaj ussi decision ki wajah se hum sab khush hain aur koi bhi kalesh nahi hote humare ghar mein.....

Madhuri- Aesa tumhe lagta hai Atul ki hum sab khush hain, ekbaar mere baare mein bhi socho jab bhi Aao Saheb ka call aata hai toh woh sirf tumhare aur Kalyani se hi baat karna chahti hain yaa fir woh kuch bhi bhejti hain toh sirf aur sirf tumhare aur Kalyani ke liye...... Main bhi chahti hun ki woh mujhe Pallavi ki tarah apni bahu ke roop mein apnayen aur pyaar karen.... Kya main galat hun bolo.....

Atul- Madhuri tum yeh saari baatein abhi kyun rahi ho.....

Madhuri- Kyunki aaj mujhe meri jagah Malhar aur Aao Saheb ke jagah tum khade hue nazar aaye.... Tum kya chahte ho ki future mein Malhar aur tumhare beech bhi wahi rishta ho jaaye jo mere aur Aao Saheb ke beech hai..... Please mere aur Kalyani ke liye usse ek mauka do aur Aao Saheb ki chinta tum kyun kar rahe ho, present ke baare mein socho naaki future ke. Kal jo hona hai woh toh hoga hi uske liye humare aaj ko mat kharab karo aur aaj Malhar ko dekhke mujhe ek baat toh samajh aa hi gaya hai ki woh Aao Saheb ko bhi sambhal hi lega baaki hum toh hain hi..... Toh ab please meri baat maano unhe aur unke iss rishte ko ek mauka do......

Atul- Theek hai jaesa tumhe sahi lage par meri nazren hamesha unpe rahengi....

Madhuri- Haan baba main tumhe Baap banne se nahi rok rahi jo tumhe sahi lage tum wahi karo bas Malhar ko ek fair chance do........

Atul- Haan theek hai..... Ab undono ko bahar bulao waese bhi itni der se pata nahi room mein kya kar rahe hain yeh sab nahi chalega mere ghar par.....

Madhuri- Atul..... Tum nahi manoge naaa... Main bula kar laati hun unhe magar ek baat yaad rakhna yeh aaj ke zamane ke bacche hain aur ab har cheez humse puch ke toh nahi karenge naa......

After saying this Madhuri smiled and moved towards Kalyani's room...

Atul- Haan!!! kya matlab Madhuri tum zyada badhawa mat do dono ko meri beti abhi kaafi choti hai

Madhuri- Itni bhi nahi Atul......

Atul stood there shocked after listening her.

rekha_crm thumbnail
Anniversary 14 Thumbnail Visit Streak 180 0 Thumbnail + 3
Posted: 4 months ago

Thank you so much Shruti..

Bohot hi pyara update hai..

Malhar is planning to be a typical father like atul ya usse bhi jyada...🤣🤣🤣🤣

Want to see more of Madhuri and Malhar and sasurji damadji ka relationship..

Loved Madhuri's dialogues to Atul. And she's right. Aaj tak she's waiting for acceptance. Correct comparison she did about herself and Malhar. 

Bohot der mat Karna for what's next. 

❤️❤️❤️❤️

shrutiberlia thumbnail
Visit Streak 500 0 Thumbnail Visit Streak 365 0 Thumbnail + 4
Posted: 4 months ago

I am glad that you liked it....Don't worry this time I won't keep you waiting for so long....

You will like the future updates more and more Sasur, Saas and Damaad banter is on the way.😁😁

rekha_crm thumbnail
Anniversary 14 Thumbnail Visit Streak 180 0 Thumbnail + 3
Posted: 4 months ago

Originally posted by: shrutiberlia

I am glad that you liked it....Don't worry this time I won't keep you waiting for so long....

You will like the future updates more and more Sasur, Saas and Damaad banter is on the way.😁😁


Are wah...waiting to read😁

2019_mishi thumbnail
Visit Streak 180 0 Thumbnail Visit Streak 90 0 Thumbnail Visit Streak 30 0 Thumbnail
Posted: 4 months ago

How sweet 😍,Malhar to future planning kr rha hai abhi sy 🤭

Finally Madhuri ny convince kr hi liya Atul ko♥️

shrutiberlia thumbnail
Visit Streak 500 0 Thumbnail Visit Streak 365 0 Thumbnail + 4
Posted: 4 months ago

Haan saath mein apna future plan karna hi toh ek relationship ka essence hai ☺️☺️

rekha_crm thumbnail
Anniversary 14 Thumbnail Visit Streak 180 0 Thumbnail + 3
Posted: 3 months ago

Please update na Shruti smiley27

shrutiberlia thumbnail
Visit Streak 500 0 Thumbnail Visit Streak 365 0 Thumbnail + 4
Posted: 2 months ago

CHAPTER- 17

After few minutes Madhuri opened Kalyani's room door and saw both Malhar and Kalyani were holding each others hand and then she entered after seeing her, both left there hands and stood up feeling a little embarrassed.

Kalyani- Madhuri tu.... Kya hua Papa se baat hui teri????

Madhuri- Sorry main knock karna bhool gayi.....

Malhar- Are nahi aunty aesi koi baat nahi hai aapki beti ka hi toh room hai...

Madhuri- Haan par ab meri yeh beti badi ho gayi hai toh thoda toh mujhe samajhna hi hoga....

Kalyani- Kya Madhuri kyun humein embarrass kar rahi hai..... Bata na kya baat hui Papa se.....

Madhuri- Acha theek hai ab aur taang nahi kheechni main..... Tension mat lo dono, maine samjha diya hai ab chalo dinner kar lete hain Atul wait kar rahe hain

Kalyani- Haan chal.....

Madhuri- Tu ja jaake table set kar main aur Malhar aate hain...

Kalyani- OK

After Kalyani left Madhuri stopped Malhar and asked-

Madhuri- Malhar tumhari aankhon aur baaton se toh mujhe pura vishwas hai ki tum humari beti se bahut pyaar karte ho..... Par please Atul ki baaton ka bura mat manna Kalyani humari ekloti beti hai aur humare saath saath humare pure ghar ki laadli bhi, toh issiliye uske liye hum zyada concerned rehte hain.... Aur kahin na kahin main Atul ka dar aur Kalyani ke liye pyaar bhi samajh sakti hun after all woh ek baap hai apni beti ke liye humesha best hi chahega.... Please tum uski baaton ka bura mat manna aur mujhe tumpe pura bharosa hai aur meri Kalyani ka humesha dhyaan rakhna.....

Malhar- Aap bilkul bhi tension mat lijiye aunty main humesha Kalyani ka dhyaan rakhunga aur maine bilkul bhi bura nahi mana Mr. Deshmukh ki baaton ka main unki chinta samajh sakta hun after all future mein meri bhi baari aayegi tab main bhi shayad unki hi tarah yaa unse bhi zyada concerned rahunga apne bacchon ke liye..... Toh aap bilkul bhi aesa mat sochiye ki mujhe unki baaton ka bura laga aur aapse main wada karta hun Kalyani ki aankhon mein kabhi bhi aansun nahi aane dunga meri wajah se toh bilkul bhi nahi....

Madhuri- Mujhe laga hi tha ki tum aesa hi kahoge.... Thanks for understanding.......

Malhar- No problem at all aunty......

Madhuri smiled and asked Malhar to come and have dinner with them, after that both went to the dining table and started having there dinner.

Atul- Waese main ek baat bata deta hun main abhi bhi puri tarah se satisfied nahi hun but kyunki meri beti ki khushi tumhare saath hai toh main uska dil nahi todunga aur tumhe fair chance dunga....

Malhar- Thanks a lot Mr. Deshmukh aapka itna kehna hi mere liye kaafi hai....

Atul- Waese apne baare mein kuch batao jaese kahan se ho, tumhare parents kaun hain, kya karte hain, apni family ke baare mein, wagera wagera....

Malhar- Yes Mr. Deshmukh..... Main Aurangabaad se hun......

Atul- Aurangabaad se??? Tumhe toh Kalyani ne bataya hi hoga ki hum bhi wahin se hain.....

Malhar- Ji bataya tha....

Atul- Toh Aurangabaad mein tumhare parents kya karte hain aur kya naam hai.....

Malhar- Ji jaesa ki maine pehle bataya tha ki mere Baba ek lawyer hain Mr. Sarthan Rane aur Meri Aai ek housewife hone saath saath social worker bhi hai Mrs. Anupriya Rane.....

Atul- Kya??? Tum Anupriya Ji ke bete ho???

Kalyani- Papa.... Aur Malhar Ji ki Aai ko jaante ho....

Atul- Haan beta.... Yaad hai tumhe Madhuri maine bataya tha ki jab kuch saal pehle humare Saree ke business mein problems chal rahi thi aur purane workers bhi chodh kar jaa rahe the tab ek bahut hi selfless lady ne apne jaan pehchan ke NGO's ko contact karke hume kitne saare zarurat mand woman workers diye the jis wajah se un auraton ka ghar bhi chal raha hai aur humare workshop mein kaam bhi kaafi tezi aur acchi tarah se chal raha hai jis wajah se purane losses bhi recover ho gaye....

Madhuri- Haan mujhe yaad hai Aaosaheb kitna pareshan thi us wakt aur chahti thi ki tum aake sambhalo iss problem ko.... Par Anupriya Ji ke wajah se sab solve ho gaya.... Aur unki wajah se hi toh humein kitne saare naye suppliers aur customers bhi mile.....

Atul- Haan bahut hi achi lady hain.... Aaj bhi Aaosaheb ko koi bhi pareshani aati hai toh woh sabse pehle unse hi baat karti hain..... Aur saal bhar jo donations karti hain Aaosaheb usmein bhi Anupriya Ji unka bahut saath deti hain aur zaroorat mand NGO's ke baare mein bhi suggestions deti hain.....

Malhar- Haan meri Aai hai hi aesi..... Woh toh apna khud ka NGO bhi kholne ke baare mein soch rahi hain......

Atul- Haan bahut hi achi hain..... Unka sapna zaroor pura hoga aur hum bhi unka pura saath denge.....

Malhar smiled and said- Thanks Mr. Deshmukh.....

Atul smiled and replied- Are ismein thanks ki koi baat nahi tum bahut lucky ho jo tumhe aesi Aai mili hain...

Malhar- I know Mr. Deshmukh....

After few minutes Atul realised that he was smiling towards Malhar and saying such nice words to him, so he again made a straight face and said- Aai itna nek kaam kar rahi hain aur tum..... Tumhe toh unki madad karni chahiye......

Madhuri- Atul...... Tum fir start ho gaye naa.....

Atul- Acha baba sorry.....

Kalyani- Woow Malhar Ji mujhe toh pata hi nahi tha ki aapki Aai itni achi hain aur mere family se unka itna acha connection hai.....

Madhuri- Haan Kalyani mujhe bhi yeh jaanke acha laga.....

Atul- Acha bas theek hai.... Yeh batao maine toh suna tha ki unki ek beti hai jo ki Law ki padhayi kar rahi hai..... Unke bete ke baare mein toh kabhi koi zikr hi nahi aaya.....

Malhar- Ji Mr. Deshmukh aap sahi keh rahe hain..... Meri ek behen hai Swara jo ki mere Baba ki hi tarah Lawyer banna chahti hain issiliye abhi Delhi mein apni studies complete kar rahi hai fir Baba ke paas aakar practice karegi aur unka haath batayegi.... Actually mein woh meri cousin sister hai, mere Kaka aur Kaki ki beti jab hum bahut chote the aur Swara kareeb 5 saal ki thi tabhi ek Car accident mein Kaka aur Kaki ki death ho gayi thi tab se Swara humare saath hi hai aur mere Aai Baba ko hi apne Aai Baba manti hai aur woh log bhi use apni sagi beti hi mante hain.....

Madhuri- We are so sorry Malhar, bahut dukh hua yeh sunke bichari bacchi....

Malhar- No aunty please don't be sorry hum ab uss dukh se bilkul ubhar chuke hain.... Ganpati Bappa ne unki itni hi zindagi likhi thi......

Atul- Sahi kaha honi ko koi nahi taal sakta.... Chalo kam se kam koi ek toh hai us ghar mein jo apni zimmedari samajhta hai warna yahan toh......

Kalyani- Papa please.....

Atul- Acha ok..... But ek cheez main bilkul clear kar deta hun no late night outing..... Mujhe pata hai tumhari generation ko pyaar hota nahi boyfriend banta nahi ki late tak ghar se bahar rehna start..... I want you in your house by 9:30 p.m. is that clear......

Malhar- Aap iski bilkul bhi chinta mat kariye Mr. Deshmukh main khud Kalyani ko ghar par time se chodh kar jaaunga......

Atul- Issi baar ki toh chinta hai.....

Malhar- Jii????

Atul- Kuch nahi.......

Madhuri- Ab yeh saari baatein chodo Malhar Beta khana kaese laga...... Sab acha toh laga naaa

Atul- Haan Aunty sabkuch bahut tasty hai aur sab meri pasand ki hi dishes hain.....

Madhuri- Iske liye toh main Kalyani ko hi credit dungi usne mujhe achi tarah se supervise kiya iss mamle mein ki tumhe yeh pasand hai  aur yeh nahii

After hearing this Malhar looked lovingly at Kalyani and Kalyani shyly put her head down. After seeing this Atul coughed and said- I am done aur agar tumlogon ka sharmana band ho jaaye toh apna bhi khana jaldi finish kar lo.

After having there dinner all went and sat on the sofa's present in the hall.

Malhar hesitantly asked Atul- Mr. Deshmukh if you don't mind can I ask you something???

Atul- Haan pucho.....

Malhar- Actually mujhe aapse permission leni thi ki kya main Kalyani ko abhi ice- cream khilane le jaaun and I promise ice- cream khila ke main khud usse safely ghar tak chodh dunga.....

Atul- Abhi maine thode der pehle kaha no night outs aur tum mujhe issi cheez ke liye permission mang rahe ho

Malhar- Mr. Deshmukh aapne kaha tha aapko Kalyani 9:30 tak ghar par chahiye aur abhi sirf 8:00 baj rahe hain..... Main aapko promise karta hun ki 9:30 se pehle usse ghar tak chodh dunga.....

Madhuri- Bilkul sahi keh raha hai Malhar, yeh unnecessary restrictions mat lagao meri beti par..... Jaao Malhar beta Kalyani tu bhi jaa and enjoy yourself....

Atul- Woh meri bhi beti hai....

Madhuri- Atul......

Atul- Ok fine.... But sharp 9:30 at home is that clear

Kalyani- Haan Papa.... Thank You Papa.....

Malhar- Be rest assured Mr. Deshmukh.....

After that both Kalyani and Malhar left the house.

Atul- Madhuri tum khuch zyada hi nahi bharosa kar rahi ho uss Malhar par....

Madhuri- Tum kya chahte ho Atul ki humari beti firse jhooth bolkar jaaye yaa fir humse cheezen chupaye.... Yeh 21st century hai kyun purane zamane ke pita ki tarah behave kar rahe ho..... Apni beti par trust karna sikho aur use apni life enjoy karne do

Atul- Mujhe uspar pura bharosa hai par apne andar ke Baap ko kaese rokun.....

Madhuri- Mujhe Kitchen mein help karke....

Atul- Haan???? Kya matlab.....

Madhuri- Chalo aur meri help karao sab kuch clean karne mein tab tak tumhari beti bhi wapas aa jayegi.... Fir uska chehra dekh ke shanti se so jaana...... Ab chalo....

On the other side both Kalyani and Malhar were walking hand in hand and then Kalyani said-

Kalyani- Malhar Jii aapko sach mein Papa ki baaton ka bura nahi laga naa....

Malhar- Nahi laga baba....

Kalyani smiled and said- Ek baat batayiye aaj toh aapka bahut busy schedule tha na aapne sab manage kaese kiya....

Malhar- Zyada kuch nahi kiya meri episode ki dubbing bachi hui thi jo ki dupeher mein scheduled thi usko apne AD ko call karke early morning rakhwa di taaki jo baaki ke action scenes ka shoot bacha hua hai woh dupeher mein start karke shaam tak complete ho jaye uske baad free....

Kalyani- Aap kitna thak gaye honge subhah se kaam kar rahe hain aur fir shaam ko mere ghar..... Maine aapse kaha tha main Papa ko bol ke kabhi aur rakhwa leti hun dinner.

Malhar- Kalyani maine kaha na tum meri itni chinta mat karo main tumhare liye agar time aur kaam nahi manage karunga fir kiske liye karunga batao....

Kalyani- Aur main aapki chinta nahi karungi toh fir kiski karungi...... Acha yeh batayiye apko mere parents kaese lage???

Malhar- Bahut hi loving..... Specially tumhari Aai.... Unhone mujhe bahut support kiya tumhare Baba ke saamne..... Aur tumhare Baba bhi mujhe bahut ache lage ekdum Coconut ki tarah hain bahar se sakt aur andar se utne hi naram....

Kalyani- Haan Papa hai hi aese chahe kitna hi strict kyu na ho jaayen par andar se bahut hi soft hain aur mujhse bahut pyaar karte hain..... Aur Madhuri toh hai hi meri dost ki tarah mujhe samajhti hai aur support bhi karti hai.....

Malhar- Haan mujhe itne time baad family ka pyaar dekhne ko mila aur ghar ka bana khana bhi khaya.... Mujhe bahut maza aaya....

Kalyani- I am glad ki aapko sab acha laga..... Waese Papa ne haan kiya nahi ki aapne mujhe bahar le jaane ka permission bhi mang liya????

Malhar- Haan toh itne time se sab chup chup kar hum kar rahe hain ab jab tumhare parents ko sab pata hai toh fir dar kis baat ka.....

Kalyani- Acha bahut daring ho gaye hain naa aap.... tabhi toh Papa ki 9:30 baje waali baat chup chaap maan li aapne.... Itne hi daring the toh tab bolte ki main nahi manunga aapki baat....

Malhar- Acha tum mujhe challenge kar rahi ho..... Ruko....

After saying that Malhar took Kalyani to the corner of a footpath which was fully secluded and then kissed her passionately after few seconds Kalyani was also responding with the same passion. This was a very long kiss with full of passion and love that now nothing can stop them from being together. After few minutes both ended there kiss and Malhar said-

Malhar- Maine isse shaam se rok kar rakha tha jab se tumhe dekha.....

Kalyani- Aapki saari daring mere saamne hi nikalti hai naa....

Malhar- Aesi koi bhi baat nahi hai Kalyani..... Dekho woh tumhare Baba hain main unka concern puri tarah se samajh sakta hun toh iss cheez ke liye main unhe kaese inkaar karta tumhi batao????

Kalyani- But aap iss condition ka matlab jaante hain na.... Ki ab hum late night nahi mil sakte yaani ki main ab aapke paas nahi ruk paungi aapke ghar.....

Malhar- Haan pata hain mujhe par abhi hum kuch nahi kar sakte aur sabkuch kal par chodh dete hain.... And don't worry main tumse zyada der door nahi reh sakta koi na koi solution nikal hi lunga.....

After that Kalyani hugged him and said- Main bhi aapse door nahi reh sakti.....

Malhar- I know.... Acha ab chalte hain warna yahin par 9:30 baj jayenge.....

Kalyani- Haan chalte hain bas thodi der aur mujhe aapko hug karne dijiye....

Malhar smiled and hugged her tightly, after few minutes both walked towards the nearby ice- cream parlour.

shrutiberlia thumbnail
Visit Streak 500 0 Thumbnail Visit Streak 365 0 Thumbnail + 4
Posted: 2 months ago

Sorry for the late update......

shrutiberlia thumbnail
Visit Streak 500 0 Thumbnail Visit Streak 365 0 Thumbnail + 4
Posted: 2 months ago

Updated