Originally posted by: Vidhi1989
Chahta kya hai Angad ki Seerat kya kare? Jasleen to badi pyaari hai. Mabir to bahut ijjat deti hai. Angad kah nahi raha seedhe-seedhe, lekin wo chahta hai ki Seerat ghar me Pooja paath (Sikh rituals jo bhi hain), aur Daarji ki seva me busy rahe, aise guests ko serve/host kare aur mahange kapde/jewellery pahne. Ye kaisi life hai? Aage ke episodes me agar Angad Seerat ko job offer de to logic hoga bhi.. ki chalo life me kuch to karna hai usko! Aur samjha bhi de ki "dekho Seerat, jaisa Garry ne kaha, waisa kuch to hamare bitch nahi ho sakta." Aur wo distance rakhe. Uske is gesture ke baad bhi agar Seerat plotting/planning karti hai to wo khud galat hogi.
Lekin nahi. Abhi Seerat kya kare? Angad sachmuch me Seerat se affair karta to etna bura nahi bhi hota. Ye jyada bada torcher hai. Sahiba aur Seerat dono ke saath. Sahiba ko emotionally alienated lag sakta hai. Aur Seerat ko "platonic love" jaisa..
Kisi ko Maryaada lekin Kab tak Show yaad hai? 2010-12 me StarPlus par aata tha. Usme Villain ne Saali ke akelepan, majburi, pati se mile trauma ka fayada uthakar aur apni patni ki burai karke, mohabbat aur shadi ka vaada karke usse affair chalaya tha! (Aisa karna as per Indian law rape hai). Usme kitne achhe se explore kiya tha EMA ko. Yaha tak ki biwi ko apne pati se pyar nahi tha, usse ghin thi, wo janti thi ki uska pati uski bahan ko manipulate kar rha, usko exploit kar raha.. lekin fir bhi use EMA se hone wali Taklif (basically humiliation) mahsus hota hai.
Lekin EMA karke bhi you can see.. you would never feel ki uski bahan "Vamp" hai. You would see her situation. Any woman in her shoes would do such thing (barring few women).
To ham Seerat ko aise one dimensional character banakar vamp banane par kyo tule hain?
Angad angst me aakar Sahiba ke saath DV, sexual assualt kare aur uski dukan jala de. Wo hero hai, uske variety of emotions hain.. wo dil ka achha hai!
Lekin Seerat to sirf "laalchi" hai. Shadi ke mandap se bhaag gai to ab wo endless suffering deserve karti hai! Matlab wo ab sudhar hi nahi sakti, badal nahi sakti. Wo dusre emotions nahi rakh sakti. She can't do any good.