Originally posted by: Musketeer_95
Exactly. I don't even want to be a mother. This show has traumatised me.
arey starplus ke sare shows aaise hi kyun hote hain "kyun kyun kyun" jisko dekho ro hi raha hota hai, kisi naa kisi kaa pati (husband) problem me hi hota hai, koi kisi kaa pati cheen raha hota hai, iski maa uska baccha uska pati, bas issi ko women empowerment ke naam par dikha rahe hain, aaise badhengi aurten aage, koi aur jo ye show dekh raha hai vo sochega ki India ki women ye Anupama jaisi hoti hain, but aaisa nahi hai, divorce ke baad yahan aaise muh utha kar kisi aur ke pati ke ghar me nahi jate varna ex husband ki wife baal noch legi.
aur ye kaisi aurat hai, ye har kisi ko control kaise karna chahti hai, iss anupama se zyada toh mujhe uski bahu par gussa aata hai, that women deserves nothing, both anupama and her DIL cannot respect their original mom and go and worship their abusers and call their abusers family.
ye brinjal humesha apni maa ki disrespect karti hai vo bhi ye jaanne ke baad ki uski maa ne itni bold, independent aur strong hone ke baad bhi bas apni beti brinjal ko papa kaa naam dene keliye ek aaise aadmi ke saath rehne kaa socha jo kisi aur ke saath Ons karta ho. Rakhi me itni selfrespect hai par phir bhi usne apni beti keliye uss aadmi ke saath rehne kaa decide kiya, but iss aurat ko kuch nahi samajh aata, ye apne uss husband aur family kaa saath deti hai jo usko gali ke alawa kuch nahi deta.
shame on brinjal (kinjal) and her so called pyaar ki murat mummy.
825