Bachpan ki baat hai...
Room ek dum full-too packed tha. Akkhi family ek saath ikattha hoke picture dekh reli thi. Sab the.. mere uncles, aunts, parents, grandparents....
Picture bhi ek dum mast... lekin suddenly hawas bhari aawaazein aane lagein. Apanka body aisa alert hua maano ki apanke saamne ek lion aake khada hai. Shaayad mistake honga.. apanka kaan baj rela honga... lekin NAHIN. Woh unmistakably hawas bhari aawaaz hich thin.
Apun socha chair se uthke room se baahar nikal leta hai. Lekin poori body freeze ho gayeli thi... apan move bhi nahin kar paaya.
Room ka poora maahol hich kharaab ho gaya -- sab ek dum chup bole toh pin drop silence.
Phir camera floor pe pan karne laga. Idhar kapde fekele hain, udharko kachhe aur baniyaan fekele hain... jaise jaise camera apne target ke taraf badh rela tha, mere heartbeats bhi badh rele the.
Ek dum torture lag rela tha... soch rela tha kaise bhi yeh scene khatam ho jaye... ya phir dharti phat jaye aur mein usmein ghus jaaoon.
Camera was taking its sweet time... maano merko chidhaa rela tha, taunt karrela tha.... Finally, after what seemed like ages, camera apne target pe aaya....

.... Aur apun khushi se jhoomane lagaa
Neeche ku Saif Ali Khan padela tha... bound and gagged. Woh hawas bhari aawaazein actual mein uske madad ki cheekh thi.... 🤣
Well played Farhan, well played... kya mamu banaya mere poore family ko 👏
2