Created

Last reply

Replies

154

Views

13204

Users

5

Likes

191

Frequent Posters

Priyapriyu thumbnail
Group Promotion 6 Thumbnail Anniversary 4 Thumbnail
Posted: 1 years ago
#21

It’s a beautiful story 😍


Finally Malhar got what he deserved..

But Kalyani is clueless what happened in these months..



Eagerly waiting for next update..

I’m just loving this story ❤️


shrutiberlia thumbnail
Visit Streak 500 0 Thumbnail Visit Streak 365 0 Thumbnail + 4
Posted: 1 years ago
#22

Thank you and just wait and read what happens next as now the story is going to be very interesting 

shrutiberlia thumbnail
Visit Streak 500 0 Thumbnail Visit Streak 365 0 Thumbnail + 4
Posted: 1 years ago
#23

CHAPTER- 4


At the cafe Malhar got busy giving autographs and selfies to his fans on the other hand Kalyani was curiously witnessing everything and was a little confused thinking what just happened in these months that every one specially the girls are running towards Malhar. Just then Palak arrived after clicking selfie and was very happy.

Palak- Dekh na Kalyani kitni achi picture aayi hai naa kitna hot lag raha hai Malhar

Kalyani- Haan achi ayi hai bahut, lekin yeh sab aur tumlog itna kya pagal ho rahe ho unke piche us din toh yeh craze nahi tha

Palak- Kyunki us din aur aaj mein bahut farak hai

Kalyani- Matlab

Palak- Matlab yeh Miss Future CA when you were busy in your tuitions nad exams these months then a show came in the Television which changed everything

Kalyani- Yaar mazak karna band kar aur seriously bata kya hua hai

Palak- Main mazak nahi kar rahi apne social media jo tune itne mahino se band rakha hai usse khol aur Pyar Tujhi Se search kar tujhe tere saare sawalaon ka jawab mil jayega

Kalyani- Pyaar Tujhi se?? Yeh kya hai

Palak- Malhar Rane ka superhit show jismein woh lead Ankush Verma ka role play kar raha usne dhoom macha rakha hai, waah kya story kya jodi Ankush aur Roohi ki yaahi Malhar aur Pritika ki aur tujhe pata hai woh is mein ek police officer yaahi ACP Ankush Verma ka role play kar raha hai. Kaash actual life mein bhi itne hot police waale hote toh main roz koi naa koi crime kar ke police station pahuch jaati.

Kalyani- Kyaa?? Unhe lead role mil gaya waah I am so happy I knew it

Palak- Tu itna kyun kush ho rahi hai jaese teri koi purani wish poori ho gayi ho

Kalyani- Nahi woh maine tumlog ko kaha tha na ki maine inki acting dekhi hai and I think ki agar inhe koi acha role milega toh yeh usmein chaa jayenge issiliye, dekha maine jo kaha woh hi hua

Palak- Haan yeh toh tu sach keh rahi hai

Kalyani- Waese yeh show kab aata hai aur kya online available hai

Palak- Haan yeh show Star One pe 8:30 p.m. aata hai aur online bhi iss channel ke aap pe available hai

Kalyani- Ok toh ab toh dekhna hi hoga waese bhi abhi results ko kareeb 1- 1.5 months baaki hai announce hone mein tab tak mere paas enough time hai dekhne ka toh dekh lungi

Palak- Haan zaroor dekhna aur batana kaesa laga humara hot police officer

Kalyani- Haan haan kar dungi tujhe update ab jaldi se coffee khatam kar phir ghar bhi jana hai

Palak- Haan ok

Meanwhile Malhar while giving the autographs and selfies was continuously watching Kalyani and was thinking when this session will get over and he will be able to talk to Kalyani and Kalyani was also making eye contact with him in middle of her conversation with Palak and soon this session of selfies and autographs got over and Malhar finally calmly sat on his chair and thought that for how many months he was waiting for this day when he will meet Kalyani again and will be able to thank her and now finally the day arrived and he was thinking a way to talk to her.

Just then Kalyani excused Palak and went to washroom which was seen by Malhar and thought this is a perfect opportunity and he also went in that direction and saw that Kalyani went inside the loo and he thought to wait for her there only. And when Kalyani came outside she was shocked to see Malhar just standing outside the girls washroom.

Kalyani- Aap yahan??

Malhar- Haan mujhe tumse akele mein baat karni hai

Kalyani- Mujhse lekin kya aur kyun

Malhar- Saari baatein tumhe yahin karni hai kya kisine dekh liya toh khamakhan koi scene ban jayega

Kalyani- Haan mera matlab hai nahi chaliye kahan jana hai

Malhar- Wohin ussi outer area mein chalte hain jahan last time baat ki thi wahan usually koi nahi aata

Kalyani- Achha chaliye

They went there and Malhar was staring Kalyani and thinking that whether its a dream or realty he is actually seeing that girl whom he was searching for past few months.

Kalyani- Boliye kya bolna tha

Malhar- Thank You....Thank You so so very much

Kalyani- Haan magar kis liye

Malhar- Tumhe yaad hai tumne us din mujhe kitna motivate kiya tha aur kahan tha ki ho sakta hai koi opportunity aapka wait kar rahi hogi ho sakta hai woh aapko abhi mil jayee aur abhi koi call aa jaye

Kalyani- Haan

Malhar- So guess what uss din tumhare jaate hi mujhe meri friend ka ek lead role ke liye call aaya aur aaj usi call ke wajah se main aaj jahan khada hoon maine yeh sirf apne sapne mein hi socha tha aur mere sapne ab dheere dheere pure ho rahe hain

Kalyani- Congratulations for that mujhe meri friend ne bataya aapke new show ke baare mein aur aaj maine dekh bhi liya ki aapko aur aapke show ko log kitna pasand kar rahe hain

Malhar- Aur yeh sab tumhare un kahe hue golden words ki wajah se hua hai

Kalyani- Nahi yeh sab aapke mehnat ka fal

Malhar- Tum jo bhi bolo but main apne is success ka sara credit tumhe hi dunga

Kalyani- Accha baba theek hai

Malhar- Waese tum itne mahine thi kahan main tumhara kitna wait kar raha hai jab bhi cafe mein aata tha hope karta tha ki tum mujhe dikhogi

Kalyani- Kya aap mera wait karte the

Malhar- Mera matlab hai tumhe thanks karne kaa

Kalyani- Ohh acha

(Kya Malhar tujhe bilkul bhi apne zaban pe control nahi hota naa Kalyani ke saamne)

Kalyani- Haan woh main apne CA Inter ke exams ke preparation aur tuition mein busy thi aur phir College ke first year ke bhi final exams the abhi kuch dinon pehle hi free hui hoon

Malhar- Ohh thats good how was your exams

Kalyani- It was good just waiting for positive results

Malhar- Don't worry it will be good

Kalyani- Achha now I'll have to leave my friend might be searching me byee and again congratulations and all the best for lot more success.

Malhar- Bye and I hope ki hum fir milen

Kalyani- Hope so

After that Kalyani went to Palak

Palak- Yaar tu har baar cafe mein aate hi kahan gayab ho jaati hai ab chal late ho raha hai

Kalyani- Haan sorry chal chalte hain

And they left, just then Malhar realised that he again missed the opportunity to take Kalyani's number

Malhar- Yaar meine phir se uska number nahi liya ab usse contact kaese karunga shit yaar

With the sad face Malhar also went from there to his home after having his coffee.

Meanwhile Kalyani reaching home after having dinner and changing her clothes took her phone and searched in the google Pyar Tujhi se

Kalyani- Acha toh yeh hai woh show yeh abhi 6.5- 7 mahine pehle hi start hua hai iske reviews bhi kafi ache hain zara promo dekhu toh, woow promo toh kafi acha hai iske abhi tak 150 episodes aa chuke hain chalo dekhti hun

Kalyani continuously saw one after another episodes online and within 2 weeks she completed seeing all the episodes including the new episodes which was coming during this time and she was amazed and impressed with his acting and thought

Kalyani- Mujhe pata tha ki he is a good actor but he is actually amazing and he goes well with the story and he his only playing the role of ACP but it seems that he is actually a ACP and the story line is also so good cute, simple and romantic story and its title song is amazing and I just can't forget the girl whose playing the lead Roohi Bakshi is has also done an amazing job and both there jodi looks very good aesa lagta hai dono real life couple hain. Chalo I am happy ki finally Malhar got what he wanted thank you very much Ganpati Bappa

Like this one month passed and Kalyani's CA Inter results also came out and she has passed with very good marks and also taken up articleship at a good CA Firm and during this time her second year college exams were also approaching so now she was handling her studies along with her new job. On the other hand Malhar's show was also doing great and was now among televisions top 3 shows and soon the show was going to complete 200 episodes so the cast was planning to party on this occassion so Malhar suggested them his friends cafe Prithvi Cafe and they all agreed to party there.

Kalyani's firm was also near that cafe only so sometimes when she feels tired she came there to relax and also with a hope that she might see Malhar again and on the day when the start were planning to celebrate there shows success Kalyani was also there and both Malhar and Kalyani saw each other and had a deep eyelock at that huge distance and Malhar got happy thought finally he got the opportunity to meet her again on the other hand Kalyani was also happy and blushing but remained quite and sat her place only and drank her coffee. On the other when everybody was engrossed within themselves while Malhar made a eye contact with Kalyani and signed her to come at that place only and Kalyani understood and quickly went there.

Malhar- Hello Kalyani how are you??

Kalyani- I am good sir how are you??

Malhar- I am also good did you watched my show do you like it??

Kalyani- Yes I saw that day only when I first heard about it and I must say its a very good show and your acting is also amazing and by the way congratulations for completing 200 successful episodes its a great milestone

Malhar- Thank You very much it means a lot, by the way how was your results I suppose they are out

Kalyani- Yaa it was good and I have passed with very good marks and now I have started my articleship and my office is here nearby only, sometimes I come here to relax

Malhar- Ohh thats good I know you are a very hard working girl and will achieve whatever you want

Kalyani- Thanks a lot sir, ok now I'll have to leave or else my boss will scold me for being disappear for such a long time bye

Malhar- Bye

Kalyani went from there not before turning back and waving him bye, Malhar also waved her back and was smiling and was very happy that he was able to see her in the biggest day of his life.

After 2-3 days Kalyani after office time was sitting at that cafe with her laptop and was engrossed in some work soon Malhar also arrived there as he had an early pack up and sat at the other he at first did't noticed her but when he sat and was waiting for his coffee he saw her and was going to meet her but then he saw a guy approached her and sat beside her and was talking with her and they were discussing something may be about some work and were also laughing and chatting in between.

Malhar- Who is that guy with whom Kalyani is so comfortably talking and she also didn't noticed me as if I am invisible. May be he is her colleague or boyfriend. No I don't think so they are in a relationship but why didn't she noticed me.

With these thoughts in mind Malhar was sipping his coffee and was continuously staring at both of them just then the other guy hold Kalyani's hand and was saying her something which didn't go well with Malhar and he in anger drank his hot coffee which burnt his tongue and immediately he realised and kept his coffee and winced in pain on the other hand Kalyani was done with her work and left from there after after collecting her things with that guy but left her small wallet there which was seen by Malhar and he immediately went there but she was gone so he picked her wallet and there was some money and her college id card in which her number was written and also her address was written after that Malhar also went from there with her wallet.

So now we will see whether Malhar will contact Kalyani or not and is actually something going on between Kalyani and that guy or Malhar is just assuming and why this thing is affecting him too much.

Edited by shrutiberlia - 1 years ago
rekha_crm thumbnail
Anniversary 14 Thumbnail Visit Streak 180 0 Thumbnail + 3
Posted: 1 years ago
#24

Wow. Read both the chapters together. 

Story is progressing great. 

Each meeting is cute. 

Atlast Malhar got her number

Thanks for updating😊

Priyapriyu thumbnail
Group Promotion 6 Thumbnail Anniversary 4 Thumbnail
Posted: 1 years ago
#25

Awesome update.. 


Is Malhar being jealous of that guy ??

Finally Malhar got kalyani’s number…

Waiting for next update..




shrutiberlia thumbnail
Visit Streak 500 0 Thumbnail Visit Streak 365 0 Thumbnail + 4
Posted: 1 years ago
#26

CHAPTER- 5

After leaving the cafe Malhar reached his home and had some light dinner and then moved to his bed to rest as tomorrow his call time was a little early, just then he remembered about Kalyani's wallet and thought whether he should call her or not as it was a little late but again he thought in her wallet there was her ID Card also and she might get a little worried about it. After so many thoughts he finally called Kalyani. On the other side Kalyani was also preparing to sleep and when she heard her phone ringing she immediately picked her phone but after seeing unknown number she didn't picked up the call as it was late night so she doesn't feel to pick up unknown call at this time and there Malhar was thinking that why she isn't picking up his call so he again called her and after continuous ringing of her phone she finally picked it up-

Kalyani- Hello...

Malhar- Hello...Its Malhar Rane this side

(Kalyani thought who is joking with her in this odd time so she said)

Kalyani- Accha agar tum Malhar Rane ho toh main Deepika Padukone hun, sharam nahi aati itni raat ko ek ladki ko call karke pareshan karte hue ab agar dubara call kiya naa toh police mein complaint kar dungi

Malhar- Are main sach mein Malhar Rane hun tumhe kaise yakeen dilaon

(Kalyani thought that the voice is very familiar but again thought that how will Malhar Sir get my number and even if he gets it why will he call her)

Kalyani- Tum aese nahi manoge naa ruko abhi main police ko tumhara yeh number deti hun aur complaint karti hun ki tum mujhe pareshaan kar rahe ho woh bhi itni raat ko

Malhar- Mera yakeen karo main sach mein Malhar hi hun acha ruko tumhe yaad hai hum pehli baar tumhare birthday pe Prithvi Cafe mein mile the aur hum recently bhi kitni baar wohin mil chuke hain maine tumhe thanks bhi kia tha kyunki tumhara motivation ke wajah se mujhe mera dream role mila yaad aaya

Kalyani- Haan lekin tumhe yeh sab kaise pata

Malhar- Kyunki ki main hi Malhar Rane hun mera yakeen karo please

Kalyani- I am really very sorry sir mujhe sach mein laga aap jhooth bol rahe hain I am extremely sorry

Malhar- Its ok koi baat nahi tumhare jagah agar main hota toh shayad aese hi react karta

Kalyani- Sorry....Lekin aapne mujhe is wakt call kaese kiya and most importantly aapko mera number kaese mila

Malhar- Zara apna bag check karna aur apna wallet dekhna

Kalyani- Haan kya acha rukiye dekhti hun, mera wallet mera wallet kahan gaya usmein toh mera ID Card bhi tha kahan gaya

Malhar- Mere pass hai don't worry

Kalyani- Aapke pass lekin kaise hum toh aaj mile bhi nahi

Malhar- Woh kya hai na aaj main bhi cafe mein hi tha but tumne toh mujhe notice hi nahi kiya naa kaffi busy lag rahi thi apne friend ke saath aur usi chakkar mein apna wallet wohin bhool ke chali gayi woh toh acha hua maine dekh liya main turant gaya bhi waha but tum apne uss friend ke saath jaa chuki thi

Kalyani- Ohhh haan yaad aya main Cafe mein hi bhool aayi apna wallet, but thanks a lot mere wallet ko apne pass rakhne ke liye agar woh kho jaata toh pata nahi mujhe kitna wakt lag jaata apna naya ID banwane mein, thank you very much

Malhar- No problem, waese itna bhi kisi ke saath busy mat hua karo ki aas paas ke log aur cheezen bhi tumhe naa dikhen

Kalyani- Nahi woh actually ek bahut zaroori return bhar rahi thi tabhi Atharv aa gaya aur usse discussion karne mein aur baaton mein apne wallet ke baare mein mujhe dhyan hi nahi raha

(Malhar thought acha toh uss ladke ka naam Atharv hai aesa bhi kya baat hi apne aas paas baithe log bhi naa dikhe aur apni zaroori cheezen bhool jaaye)

Malhar- Acha koi baat nahi main agar kal shoot ke baad cafe aaya toh tumhe message kar dunga tum wahin mujhse apna wallet le lena aur next time kisi se bhi baton mein itna mat kho jana ki apni zaroori cheezen hi bhool jaao

Kalyani- Haan sorry and thank you meri help karne ke liye

Malhar- Pleasure is all mine now bye and good night

Kalyani- Byee... Good Night

Soon after the call Malhar went to sleep, there Kalyani was thinking about the call-

Kalyani- Main bhi kitni pagal hun apna wallet wahin cafe mein chodh aai agar Malhar Sir nahi hote toh mujhe mera wallet kabhi nahi milta, kitne ache hain naa lekin woh baar baar aesa kyun bol rahe the apne friend ke saath baton mein busy thi issiliye unhe notice nahi kiya aur apna wallet bhi bhool. Theek hi toh keh rahe hain woh cafe mein the aur maine unhe notice bhi nahi kiya toh bura toh lagega hi naa koi baat nahi kal jab milungi personally sorry bol dungi abhi chal ke soti hun kal phir office bhi toh jana hai

Next day both Malhar and Kalyani's day went as same as earlier days and at evening after pack up Malhar messaged Kalyani to meet him at the cafe at 7:30 p.m. and then was packing up things to leave from the shoot location, there Kalyani after reading his message also wrapped up her works so that she doesn't get late and then she also left her office by 7:15 p.m. and then reached the cafe and saw Malhar was sitting at a corner and having his coffee. She at first hesitated to go there but just then Malhar saw her and signaled her to come there so she went there.

Kalyani- Hello Sir how are you?

Malhar- At first stop calling me Sir aesa lagta hai ki main tumhara koi teacher hun

Kalyani- Sir nahi toh fir kya bulaun

Malhar- Itna acha naam hai mera Malhar woh bulao

Kalyani- Nahi app mujhse kitne bade hain main aapko naam se kaese bula sakti hun

Malhar- Itna bhi koi bada nahi hun mere umar par mat jaao tum kuch bhi bolo bas yeh sir mat bolo yeh sir sunke mere sir mein dard ho jayega

Kalyani- Tab fir kuch bhi mein aapko kya bulaun

Malhar- Bhaiya mat bula dena

Kalyani- Yeh toh main sapne mein bhi nahi bulaungi aapko

Just then Kalyani thought in flow what she told and got a little embarrassed and looked at him he was also looking at her with a little smile on his face

Kalyani- Theek hai toh main aapko Malhar Ji bulaungi kya yeh theek rahega aapke liye

Malhar after hearing that don't know why felt very happy and told-

Malhar- Haan yeh ekdum perfect hai tum mujhe Malhar Ji hi bulao

Kalyani- Theek hai toh Malhar Ji thank you mera wallet khone se bachane ke liye aur meri itni help karne ke liye

Malhar- Agar tum uss din baton par focus naa karke apni aas paas ki cheezon mein zyada dhyan deti toh yeh naubat hi nahi aati

Kalyani- Maine kahan na sorry galti ho gayi next time se nahi hogi bas

Malhar- Accha theek hai ab yeh lo apni amanat aur sambhalo isse

Kalyani- Jee zaroor, acha ab mujhe chalna chahiye nahi toh ghar ke liye bahut late ho jayega

Malhar- Haan bye.. Acha suno

Kalyani- Ji boliye

Malhar- Kya hum hamesha aese coincidentally iss cafe mein hi milenge

Kalyani at first got a little shocked and nervous then replied-

Kalyani- Kyun kya aapko yeh cafe pasand nahi

Malhar- Aesi koi baat nahi hai of course pasand hai yeh mere friend ka hi cafe hain toh mujhe kyun nahi pasand hoga

Kalyani- Phir aesa kyun bol rahe hain

Malhar- Mera bolne ka matlab hai ki hum iss cafe ke alawa bhi toh bahar kahin mil sakte hain

Kalyani- Apko mujhse milna hai?

Malhar- Of course milna hai, mujhe tumse baatein karke bahut acha lagata hai aur yeh place thoda crowded ho jaata hai kabhi kabhi toh hum yahan ache se baatein nahi kar sakte toh kisi aese jagah jo itna crowded naa ho jaese ki koi park yaa fir koi aur jagah hum mil sakte hain kya

Kalyani replied nervously- Haan zaroor mil sakte hain kyunki mujhe bhi iss limelight ki duniya se thoda door hi rehna pasand hai

After listening her Malhar got very happy and said-

Malhar- Toh fir theek hai hum jaldi hi plan banate hain kahin aur milne ka is it ok with you

Kalyani- Yes its fine with me acha ab mujhe jaana hoga nahi toh bahut late ho jayega

Malhar- Haan bye dhyan se jaana aur pahuch ke mujhe message kar dena

Kalyani- Haan aur app bhi safely bike chalana aur pahuch ke mujhe message kar dena

After hearing that Malhar felt very happy and he replied

Malhar- Zaroor jo aapka hukum

Kalyani laughed at his remark and then left from there and Malhar also after few minutes left from there.

Both reached there respective homes and was only thinking about there todays conversation and was eagerly waiting for there next meeting which is going to be a planned one this time.

Next day when Kalyani was at her office in the evening she got message from Malhar that he is waiting for her outside her office and to come fast as he will not be able to wait for a long time, just then Kalyani got a little nervous and happy after reading his message and went to her senior to make a request that today she wants to leave early and after taking permission for her senior she left from there after collecting all her belongings and came down and saw a man was sitting on his bike wearing his helmet and soon she recognized that he was non other than Malhar and immediately went up to him and he immediately handed her a helmet and gestured her to sit on the bike and when she sat at first she hesitated to keep her hand on his shoulder but shrugging off her thoughts she kept her hand on his hand and he drove off his bike to a little outside of the city and stopped at a park which was looking like almost empty and they went there and sat on a bench.

Kalyani- Kal hi toh humari baat hui thi ki hum phir se milne ka plan karenge aur aap aaj aa bhi gaye mujhe le jane

Malhar- Haan woh actually aaj mera pack- up jaldi ho gaya aur mera bahut mann ho raha tha tumse milne ka issiliye maine turant yahan milne ka plan karliya yeh jagah iss wakt usually shant aur khali hi rehta hai

Kalyani- Chalo yeh theek hai ki aapka pack up jaldi ho gaya toh aapne milne ka plan kar liya lekin mere office mein aese koi pack up wala system nahi hai mujhe agar jaldi jana ho yaa half day lena ho toh advance mein puchna padhta hai aur apne haath mein jo kaam hota hai woh complete karke ke hi jaane milta hai samjhe

Malhar- I am really sorry maine excitement mein yeh socha hi nahin sorry next time se dhyaan rakhunga

Kalyani- Its ok waese bhi aaj utna koi kaam nahi tha office aur mujhe bhi aapse milna tha issilye jaldi bolke nikalne mein koi problem nahi hui

Malhar- Ohh thank god but I am actually very sorry next time tumse puch ke hi plan karunga

Kalyani- Koi baat nahi

Just then Kalyani's phone beeped with a whatsapp message but she ignored and was talking to Malhar but again her phone beeped this time she opened the message and replied after replying she was again talking to Malhar but again her phone beeped, Malhar got irritated and asked-

Malhar- Kaun hai jo tumhe itna message karke pareshan kar raha hai

Kalyani- Woh koi nahi Atharv hai bas puch raha hai ki meri tabiyat aur sab kuch theek toh hai jo main itna jaldi ghar chali gayi

Malhar- Kyun usko itni kis cheez ki chinta hai woh tumhara boyfriend lagta hai kya

Kalyani- Malhar Ji yeh aap kaisi baatein kar rahe hain woh office mein second year article hai yaani merese ek saal senior hai use chinta ho rahi hai issilye message kar raha hai

Malhar- Badi chinta ho rahi hai usse bol do ki tum abhi apne boyfriend ke saath ho baad mein baat karogi

Kalyani- Kya yeh aap kya bol rahe hain

Malhar- Mera matlab hai ki aesa hi koi bahana de do taaki woh abhi pareshan hi naa kare

Kalyani- Acha theek hai main apne phone ko flight mode mein kar deti hun taaki kisi ka naa call aaye aur nahi message bas khush

Malhar- Haan theek hai theek hai saara mood spoil kar diya uss Atharv ne

Kalyani- Are aesa kya hoga achanak Malhar Ji aapko aap aese kyun react kar rahe hain

Malhar- Main aesa kyun behave kar raha hun main yahan tumse baatein karne ke liye aur tumhare saath time spend karne ke liye aaya hun aur tum uss Atharv ko reply de rahi ho uss din bhi cafe mein issi ke wajah se tumne mujhe wahan baitha hua notice bhi nahi kiya aur uppar se uske chakkar mein apna wallet bhi bhool gayi aur mujhe bol rahi ho ki main aese kyun react kar raha hun

Kalyani- Malhar Ji aesa kuch nahi hai uss din mujhe ek bahut important return file karna tha aur Atharv bas aake ke meri thodi help ho kar raha issilye uss din stress mein maine aapko notice kiya agar aapko abhi bhi uss baat ka bura lag raha hai toh I am really very sorry lijiye main kaan pakad ke sorry bol deti hun bas

Malhar- Isski koi zaroorat nahi hai mujhe bas acha nahi lagta jab tum mujhse zyada kisi aur ko importance do toh

Kalyani- Magar aesa kyun Malhar Ji

Malhar- Ab mujhe tumhe yeh samjhana hoga kya??

Kalyani- Main kuch samjhi nahi

Malhar- Chodh do rehne do

Kalyani- Please bataiye naa

Malhar- Kyunki main tumhe bahut zyada like karta hun and I think I love you Miss Kalyani Deshmukh

Kalyani was shocked after hearing this and thought as if she was seeing some dream and turned her face to other side on the other hand Malhar also thought that he has done some kind of blunder and he also turned his face to another side.

Kalyani was thinking kya sach mein Malhar Ji mere se pyaar and on the other side Malhar thought yeh maine kya bol diya agar Kalyani mujhse pyaar naa karti ho toh main uski naa nahi sun paunga yeh maine kya kiya

Just then there was silence for a few minutes but both of there hands were shifting towards each other and soon there hands touched and immediately they saw in each others directions and unknowingly went a little closure soon they were very close and there lips were only a few inches apart and both felt a desire to touch each others lips and soon there lips joined with one another and they indulged in a passionate kiss, they were passionately sucking each others lips as if there was no tomorrow and this was indeed a very long kiss and when it was getting difficult for them to breath they moved apart and broke there kiss.

Both again looked at opposite direction and after few minutes Kalyani stood up and said-

Kalyani- Ab hume chalna chahiye nahin toh bahut late ho jayega

Malhar- Haa chalte hai

Then they approached towards Malhar's bike and while walking unknowingly there hands brushed each others hand due to which they both went a little awkward, and when they reached to the place where his bike was parked Malhar asked Kalyani-

Malhar- Waese mujhe mera javab nahi mila

Kalyani- Abhi jo hua uske baad bhi aapko mere jawab ka wait hai

Malhar- Tumhare muh se ek baar woh teen shabd sunna chahta hun

Kalyani- Toh uske liye aapke wait karna hoga after saying this she laughed

Malhar- Kalyani yeh sahi baat nahi hai please bol do na

Kalyani- Abhi mood nahi hai mera

Malhar- Acha kiss karne ka mood tha lekin woh teen shabd bolne ka mood nahi hai

Kalyani- Thoda sabr kariye Mr. Rane sabr ka fal bahut meetha hota hai abhi thode der pehle hi aapne taste kiya hai woh fal

Malhar- Ab toh mujhe yeh fal jaldi chahiye aur bahut saara chahiye

Kalyani- Uske liye thoda toh wait karna hi hoga ab chalen nahi toh mujhe bahut der ho jayegi

While sitting on the bike-

Malhar- Haan haan chalo waise ab toh tum uss Atharv ko bol sakti ho ki tum tumhare boyfriend ke saath busy thee toh woh tumhe disturb naa kare

Kalyani- Malhar Ji aapki sui phir wohin atak gayi

Malhar- Haan main bilkul bhi nahi chahta ki koi mere pyaar par nazar daale

Kalyani- Accha theek hai bol dungi abhi chalen nahi toh ghar pe mujhe entry nahi milegi

Malhar- Koi baat nahi mera ghar hai naa wahan chalenge

Kalyani- Not so soon Mr. Rane abhi usmein bahut time hai

Malhar- Haaye kab ayenge woh din

Both laughed at this remark and went to there respective homes, both were thinking about this roller coaster day and were wishing that now everything gets fine and no problem arise in there life.

 

Edited by shrutiberlia - 1 years ago
rekha_crm thumbnail
Anniversary 14 Thumbnail Visit Streak 180 0 Thumbnail + 3
Posted: 1 years ago
#27

Very nice..


Love is on the air...

 Kissie bhi ho gaya..wah..wah...


Waiting for more

shrutiberlia thumbnail
Visit Streak 500 0 Thumbnail Visit Streak 365 0 Thumbnail + 4
Posted: 1 years ago
#28

CHAPTER- 6


This time both on the bike were sitting very close as if no awkwardness was ever there between them and soon Kalyani's home arrived and both got down from the bike and Kalyani waved him bye but as she was about to turn and go Malhar pulled her close and placed a kiss on her cheek and said-

Malhar- Aese bolte hain goodbye

Kalyani blushed and released her hand from his and said-

Kalyani- Malhar Ji yeh aap kya kar rahe hain mera ghar hai yahan kisi ne dekh liye toh

Malhar- Toh kya

Kalyani- Kuch nahi

After saying this she ran inside her building and Malhar laughed after seeing this as it was quite late so no one saw them together and then Malhar drove off his bike in the direction of his house.

As Kalyani entered her building all the way to his home she was smiling and blushing and when she arrived at her house her mother opened the door and was surprised to see her face as she was a little lost-

Madhuri- Kalyani kya hua hai tujhe itni khoyi khoyi kyun hai aur aaj itna late kaese ho gaya 9:30 baj rahe hain tere Papa ka abhi phone aaya tha puch rahe the tere baare mein ki abhi tak ghar kyun nahi aai

Kalyani- Woh kuch nahi Madhuri aaj office mein thoda sa pending work tha toh woh complete karte karte thoda time ho gaya

Madhuri- Accha theek hai jaldi se fresh ho jaa tere liye khana laga doon Atul ko toh aane mein thoda late hoga

Kalyani- Nahi Madhuri kuch khaane ka mann nahi ho raha office mein kuch manga ke kha liya tha abhi bahut thak gayi hun bas sona hai mujhe bye good night

Madhuri- Are kamal hai aese toh jab office se aati hai toh bahut bhookh lagi hai bhookh lagi hai karti hai aur aaj tujhe bhookh nahi hai teri tabiyat toh theek hai?

(Kalyani thought tujhe kaese bataon Madhuri meri toh bhookh pyas hi mit gayi hai)

Kalyani- Nahi sab theek hai mujhe bas bahut neend aa rahi hai issiliye

Madhuri- Accha theek hai so jaa bye good night agar raat ko bhookh lage toh kuch khaa lena main fridge mein tera khana rakh rahi hun

Kalyani- Ok bye good night

Kalyani went to her room and changed her clothes but was thinking about that proposal and kiss only and when she came at her dressing table then was continuously staring at her lips only and was thinking about that kiss and thought-

Kalyani- Aaj ka din main kabhi nahi bhool sakti kitna kuch itne se time mein ho gaya Malhar Ji jinke uppar itni ladkiyan marti hain unhone mujhe propose kiya aur kahan woh mujhse pyaar karte hain aur woh kiss mujhe toh lag raha hai jaese yeh ek sapna hain aur yeh khatam hi nahi ho raha hai mujhe toh kitni sharam aa rahi hai. Kalyani Deshmukh tu toh gayi tujhe pyaar ho gaya hai aur woh bhi Malhar Rane se

On the other hand all the way to his home Malhar was thinking about that evening only and when he reached home he also didn't feel to eat anything so he immediately after changing went to his bed and after lying was thinking-

Malhar- Aaj flow flow mein maine apne dil ki baat jo maine khud se bhi nahi ki woh Kalyani se keh di are mujhe toh realise hi nahi hua ki kab mujhe Kalyani se pyaar ho gya, are hota bhi kyun nahi woh kitni achi, pretty, intelligent and most importantly kitne saaf dil ki hai. Jab usse baat karta hun ho lagta hai jaese yeh baat kabhi khatam hi naa ho main sach mein usse bahut bahut bahut pyaar karta hun aur ab usse khud se door kabhi nahi jaane dunga.

Soon Malhar picked up his phone and messaged Kalyani-

Malhar- Hii..So gayi kya

Kalyani was still staring at the mirror only and after listening her phone' s notification sound she sat on her bed and picked up her phone and after seeing Malhar's name she started smiling and replied-

Kalyani- Nahi bas sone hi jaa rahi hoon

Malhar- Accha theek hai so jaao tumhe kal office bhi toh jaana hai baad mein baat kar lenge

Kalyani- Kyun aapko kal shoot pe nahi jaana

Malhar- Haan jana hai lekin tumse baat karne ka mann ho raha tha lekin chodo kal baat karenge

Kalyani- Nahi Nahi koi baat nahi hum baat kar sakte hain mujhe bhi baat karne ka mann kar raha hai aapke saath

Malhar- Ab hum phir kab milenge mujhe tumhe dekhne ka mann kar raha hai

Kalyani- Ab toh hum apne apne kaam ke baad hi mil payenge lekin itni late tak main aapse nahi mil paungi aaj hi meri aai mujhse puch rahi thi ki mujhe itna late kaese ho gaya main kya javad deti

Malhar- Bol deti apne boyfriend ke saath thi aur park mein.....

Kalyani- Accha bas chup mujhe sharam aa rahi hai

Malhar- Ismein sharmane waali kya baat hai hum toh park mein baatein hi kar rahe the naa

Kalyani blushed and laughed and replied-

Kalyani- Waese aap apne shakal se jitne serious aur shareef dikhte hain naa utne hi badmash aur naughty hain

Malhar- Abhi tak toh tumne mera naughtiness dekha hi nahi hai ek baar milo toh sahi phir tumhe sabkuch details mein dikhayunga

Kalyani- Aap na bahut besharam hote jaa rahe hain

Malhar- Tumhe dekhte hi aur tumhare baare mein sochte hi mujhe pata nahi kya ho jata hai mujhe tumse milne ka tumhe dekhne ka bahut man ho raha hai

Kalyani- Milne ke baare mein toh main abhi kuch nahi kar sakti lekin aapki dusri wish zaroor puri kar sakti hun

Malhar- Matlab??

Just then Kalyani video called Malhar and after seeing her her video call Malhar smiled and after adjusting his hairs he picked it up-

Kalyani- Matlab yeh video call ismein main aapki mujhe dekhne ki khwaish puri kar sakti hun

Malhar- Haayee tum toh night suit mein bhi utni hi pretty lagti ho

Kalyani blushed hai said- Acha ab aap mujhe sach mein bahut nervous kar rahe hain

Malhar- Main kya karun tum ho hi itni pretty yaad hai jab hum pehli baar tumhare birthday pe mile the tumne kitni pyaari dress pehni thi sach kahun toh aaj realise hua tum kitni hot lag rahi thi

Kalyani- Ab bas bhi kariye

Malhar- Tum badi ajeeb ho dusri girlfriends toh apne boyfriends ko bol bol kar apni taarif karwati hain aur main yahan khudh chala ke tumhari taarif kar raha hun aur tum mujhe chup karwa rahi ho

Kalyani- Kisne kahan ki hum girlfriend boyfriend hain

Malhar- Matlab???

Kalyani- Matlab mere pass itne saare options hain mujhe unmein se analyse karna hoga naa ki kaun mere liye suitable hai

Malhar being jealous said- Zara main bhi janoon ki kaun hai jo tumhe mujhse cheenne ka dum rakhta hai zaroor woh Atharv hi hoga naa

Kalyani- Waah kitna sahi guess kiya aapne Atharv toh office mein roz mujhspe line marta hai main hi usse ghaas nahi daalti ab soch rahi hun ki ek baar uske saath coffee pee ke dekh hi leti hun aur phir mere college mein bhi toh 2-3 ladke hain jo ki mujhe like karte hain

Malhar- Khabar daar agar tum uss Atharv ke saath kahin gayi toh main tumse kabhi baat nahi karunga aur uss Atharv ki toh main taange tod dunga tumpe line maarta hai woh aur kaun hai woh ladke jo college mein tumpe line maarte hain mujhe unke details dena main tumhare principal se unki complain kar dunga

Kalyani- Are yeh kya baat hui woh log koi criminal nahi hai jo aap unke saath aesa karenge

Malhar- Bahut chinta ho rahi hai naa tumhe unki theek hai toh mujhse kyun baat kar rahi ho jaao naa call karona apne uss Atharv ko aur ussi se baatein karo

Kalyani- Kya sach mein video call karun??

Malhar- Kalyani ab tum mujhe bahut gussa dila rahi ho

Kalyani- Acha baba sorry main mazak kar rahi thi aapke saath aapko pata hai aaj tak meri life mein koi bhi aesa ladka nahi aaya hai jiske liye maine woh feel kiya hai jo main aapke ke liye karti hun meri almost saare friends ke boyfriends hai bas ek main hi hamesha se single thi bahut se ladkon ne mujhe approach bhi kiya but kabhi bhi mere dill ko woh feel nahi hua jo aapke mere pass rehne se mujhe feel hota hai issiliye aap mere life ke pehle ladke ho jo mereliye itne important ho

Malhar- Woow thank you lekin tumne sab kuch kaha bas woh teen shabd nahi kahe

Kalyani- Kya yeh teen sahabd kaafi hain mere dil ki baat aap tak pahuchane ke liye

Malhar- Aesa nahi hai tumhari ek ek baton ne mere dil ko dubara choo liya hai thank you very much meri life mein aane ke liye

Kalyani- Thank You toh mujhe aapko bolna chahiye jo aapke wajah se main life ke sabse khubsurat feelings ko aur phase ko jee rahi hun

Malhar- Accha humari baatein toh lagta hai kabhi khatam nahi hongi lekin tumhe ab so jaana chahiye kal office bhi toh jaana hai

Kalyani- Aur aapko shoot pe

Malhar- Pata nahi ab hum kab milenge mujhe toh kal se extra hours shoot karna hain show ke maha episodes launch hone wale hain aur yeh week pura hectic jaane wala hai

Kalyani- Aur mujhe bhi kaafi kaam hone wala hai office mein return filing ki due date pass mein hai, koi baat nahi agar nahi mil paye toh issi wakt raat mein video call pe baat kar lenge

Malhar- Haan ab toh lagta hai yahi karna padega

Kalyani- Acha bye good night

Malhar- Abhi shaam ko seekhaya tha ki bye aese nahi bolte hain

Kalyani- Matlab??

Malhar- Matlab ab actual mein toh kiss nahi kar sakta virtually hi good night kiss de do

Kalyani- Malhar Jii...Acha good night and after saying this she gave him a flying kiss

Malhar- Good ab samjhi naa, good night then he also gave her a kiss and disconnected the call

Both lied down on there bed and slept with a smile on there face.

As mentioned by both the next few days were actually very hectic for both of them due to this they didn't get time to meet each other and used to talk only in messages like how are you?? Whether you have eaten your food?? or How was your day??? But as promised by both they used to talk on the video call at the night so that at least virtually they can spend time with each other.

After 1.5 weeks finally there work load was less so they planned to meet on Saturday and Sunday as on Saturday Kalyani has half day and Malhar was also not having much seens to shoot so they decided after his shoot he will pick up Kalyani from her office at 4:00 p.m. then they will go to that park only.

So as decided both met at the park and went to the corner side bench and sat on it and were holding each others hands and talking-

Malhar- Finally itne dinon ke baad mujhe tumse milne ka mauka mila maine tumhe kitne miss kiya main bata bhi nahi sakta

Kalyani- Maine bhi aapko bahut miss kiya

Malhar- Mujhe toh ek dum college ke time jaesa feel ho raha hai kaese tab bhi main lectures khatam hone ka wait karta tha taaki......

Kalyani- Kya hua ruk kyun gaye aage boliye lectures ke baad kya karte the

Malhar- Rehne do chodo aesi bhi koi important baat nahi hai

Kalyani- Acha agar koi important baat nahi bhi hai tab bhi mujhe sunna hai boliye

Malhar- Rehne do na Kalyani kyun beeti baatein yaad karni hai

Kalyani- Agar aap nahi batayenge naa toh main abhi yahan se chali jaungi

Malhar- Acha ruko college time mein meri ek girlfriend thi Sampada humne pure 3 saal college ke ek dusre ko date kiye phir usske Baba ne uski shaadi ke bade business man ke saath tay ker di toh usne paeson ke laalach mein mujhe chodh diya aur shaadi kar li, toh main wohi bol raha tha hi hum jaese sab se chupke shant jagah pe mil rahe hain waese hi main aur Sampada bhi lectures khatam hote hi apne friends se chupte chupate aese kisi shant park mein aake bathte the aur baatein karte the

Kalyani- Toh itni si baat ko leke aap tension mein aa gaye

Malhar- Kamal ki ladki ho tumhe yeh itni si baat lagti hai main yahan tumhe apni ex ke baare mein bata raha hun aur tumhe yeh itni si baat lag rahi hai tumhare jagah koi aur ladki hoti toh abhi mujhpe gusse ke maare chadh jaati

Kalyani- Main aapse kyun gussa hongi woh aapka past thi aur main aapki present aur agar woh aapko nahi chodhti toh kya aap mujhe milte, sawaal yeh nahi hai ki woh aapki girlfriend thi sawaal yeh hai ki kya aap usse ab bhi pyaar karte hain ya aapke man mein uske liye abhi bhi koi feelings hai yaa nahi aur mera yeh dill pure yakeen ke saath kehta hai ki jitna main aapse pyaar karti hun usse kai zyada aap mujhse pyaar karte hain mereliye yahi kaafi hai

Malhar- Kya kahan tumne tum mujhse pyaar karti ho

Kalyani- Haan Mr. Malhar Rane main aapse bahut pyaar karti hun I Love You very much Malhar Ji

Malhar- I Love You Too Kalyani

With this both of them kissed each other passionately as if telling the world that now no one can separate them, after releasing each other

Kalyani- Ab toh aap ki khwaish puri ho gai naa keh diye maine woh teen shabd

Malhar- Haan kitna tadpaya tumne mujhe ab is ki saza toh milegi tumhe

Kalyani- Matlab??

Malhar- Matlab....

After saying this Malhar again grabbed Kalyani and started to kiss her on every part of her face and then again grabbed her lips with his and kissed her vigorously with no intention to leave her soon.

After there sweet moment both departed to there home and Malhar dropped her at her house and then went to his.

rekha_crm thumbnail
Anniversary 14 Thumbnail Visit Streak 180 0 Thumbnail + 3
Posted: 1 years ago
#29

How cute...

Good night bolne ka style 😃

Video calls..

Aur Kalyani ka confession..

Lovely.

Priyapriyu thumbnail
Group Promotion 6 Thumbnail Anniversary 4 Thumbnail
Posted: 1 years ago
#30

It’s cute, sweet and adorable update..❤️

Kalma

Loved it 😍