Vo sab sahi hain..
Mujhe show dekhne ko bola na ….tho rona aagaya
NAFRAT KI AAG 8.10
Bigg Boss 19 - Daily Discussion Topic - 8th Nov 2025 - WKV
Vicky & Katrina welcome BABY BOY!!
PARVARISSHH 7.11
Yeh Rishta Kya Kehlata Hai Nov 7, 2025 Episode Discussion Thread
Yeh Rishta Kya Kehlata Hai Nov 8, 2025 Episode Discussion Thread
🏏India tour of Australia 2025: Australia vs India, 5th T20,Brisbane🏏
WT**** Mihir : Pre cap
Shocking eviction (Spoiler)
Munni to Manjuri
If Madhuri can get work, why can't Aishwarya?
AI’s Mahabharata: A Digital Draupadi, A Soulless Saga
Prediction of BB19 winner poll
Misogynistic statements from actors
Anupamaa 06 -07 Nov 2025 Written Update & Daily Discussions Thread
Vo sab sahi hain..
Mujhe show dekhne ko bola na ….tho rona aagaya
Arrey aaj ke precap ko dekho, Dev Sir consoling Vidhi, media is behind them. Chotu moment hein. Baaki sab mat dekho...Khush Ho jawogi
Mujhe lollipop nahi chahiye…
Office pe Monday Tak ka deadline fir bhi soch rahi hoon kab yeh week poora hoga . At least monday ke baad kuch tho milega dekhne ko. Bas soch rahi hoo kab yeh bure episodes khatam hoga..iski vajah se kaam pe bhi dhyan nahi lag raha hai. Ek minut ka lollipop dekhi tho ek ghante tak mood off ho raha hai uske baad gussa hote huye.bechara mera pati bhi bol rahi hai kab yeh sab khatam hoga . Kab mujhe tumhari mood swings se chutkara milega..😂
Part 8
At Delhi
Abhimanyu: Priya yeh lo juice
Priya : Abhimanyu, kyun naa saath mein pee le , jaise hum straws lagake college time pe Peete the. Yaad hein aapko ?
Abhimanyu: You know what yeh waali Priya kahan gayab huyi thi, yahi soch raha thaa mein. Meri bhi galti hein, tumhari priorities ko naa samajhne kee.
Priya: Please Abhi. Abb woh saari baatein chod dete hein. Iss meethe juice ke saath ek meethi shuruwat karte hein.
Abhimanyu: Uff Touchy Touchy!! Abb woh bolti kyun nahi , meri Touchy Touchy Priya?
Priya: Abhi, aap bhi naa!!!!
Abhimanyu: Just joking 😃. Mein woh straws laata hun...And they put two 🧃 straws in one glass and had juice together. When it was finished their lips were almost ready to lock together. Abhi gently kissed at her lips and Priya closed her eyes and she too gently kissed his lips. Both of them looked each other intensely. Priya turned to go and Abhi held her hand and made her to sit at his lap.
Abhimanyu: Kitne dinon baad hum ek dusre ke baahon mein hein Priya.
Priya: Pyaar Jatana hi bhool chuke the apni apni ego clash mein, Sorry Abhi
Abhimanyu: I am too sorry Priya.
They both hugged each other passionately. Soon phone of Abhi got rang and their hug got break.
Abhimanyu: Bhai kaa phone hein. Video call.
Abhi picked up the call.
Dev : Kaise ho Abhi , Priya ?
Priya: Hum log bilkul theek hein. Aur aap Bhaisaab
Dev : I am fine.
Abhimanyu: Kya plan hein? Aaj aapka Bhai ?
Dev: Office jawunga.
Priya and Abhi laughed .
Abhimanyu: Unbelievable. Aapko yeh tak yaad nahi kee aaj chutti hein.
Priya: Haan Bhaisaab aaj toh Sunday hein.....
Dev : Mein.... actually....
Dev saw Priya and Abhi happily helding each other's hands and laughing together. Seeing that moment Dev smiled and said: Guys aap donon enjoy keejiye.....Bye..
Dev cuts the call and recalled the way Vidhi was telling through phone that she will give symbol of love today.
At Sharma Niwas
Vidhi got Ready.
Vidhi; Maa aapne tiffin box kahan rakha hai?
Bimla: Vidhu, aaj toh ravivar hein. Office nahi hein.
Vidhi pat her head and said: Pagli film, abb toh tujhe din bhi yaad nahi rehte.
Bimla: Yeh chehal pehal pyaar kee wajah se ho rahe hein Vidhu. Sab bhool jaate hein insaan.
Vidhi: Maa ....aisi .....kuch....
Bimla: Tu Zara ruk, yeh gale mein pehan lo , choti see chain hein.
Vidhi ; Maa !!!
Bimla: Aur baalon ko khule chod do aaj....Devji kee Aankhein sirf tujhe hi nihaare aaj....Kahan bulaya hein tujhe?
Vidhi: Abhi tak toh kahin bulaya nahi.
Bimla: Toh phone karke poocho , kahan milna hein ?
Vidhi: Maa aapko ho kya gaya ? Kuch zyada hi keh rahi hein aap.
Bimla: Alsubah sapne dekhi Maine Teri aur Dev ji kee shaadi yahan Milapini maa ke saamne ho rahi hein. Tujhe pata hein meri dadiji kaha karti thi Alsubah dekhne waale sapne sach hote hein. Tere paapa ko batayi nahi mein..Woh toh bahar gaye hein....Par zarur batawungi.... Mujhe umeed hein kee woh Maan jaayenge.
Vidhi: Maa aap bahut sweet ho.....
Vidhi hugged Bimla.
At Raichand house
Dev : Aaj office nahi hein, Vidhi ko University bhi nahi jaana hein. Matlab mujhe time milega Vidhi ke saath......
Dev took the colourful shirt which Vidhi gifted him in Khaogali. As Dev was wearing shirt he got a phone call from Vidhi.
Dev : Haan Vidhi
Vidhi: Good morning Sir
Dev : Good morning.
Vidhi: Sir woh aaj toh Sunday hein......Mmhh..
Dev : Haan pata hein mujhe, kya tum free ho ?
Vidhi: Haan Sir.
Dev : Toh aa jawon
Vidhi: Par kahan Sir ?
Dev : Woh......woh.....hota Hein naa.....paani ....
Vidhi: Ghar se water bottle laana hein kya ?
Dev : Nahi.....Mera matlab.....Jahan pe bahut paani hote hein.....woh uske paas....
Vidhi: Sir mujhe kuch samajh mein nahi aa rahi hein.
Dev : Tum bas Walkway pe milo Joh River ke paas hein.
Vidhi; Yeh batane ke liye itna waqt kyun lagaya?
Dev : Bas millo wahan Vidhi....
Vidhi : Okay Sir.
Dev cuts the call.
Scene shifts to Walkway
Dev and Vidhi were walking together.
Vidhi: Sir aapko yaad hein Khaogali mein hum aise hi ek dusre ke saath kadam pe kadam milake chale the. Aur yeh Shirt
Dev : Tumne gift kee thi mujhe.....
Dev held her hand and said: Chai Peete hein ....
Vidhi nodded her head and they both sat together at a bench near the tea stall of the roadside. A song was playing in the radio .
Yeh hawayein zulfon mein teri gum ho jaaye ....
And at the gentle breeze Vidhi's hair was flowing here and there. Dev gently touched them and arranged them behind the earlobes. Vidhi and Dev looked each other intensely. Both of them said cheers and sipped the ginger 🍵 tea. After that again they walked towards the river walkway and sat on the stairs besides the river. Dev's eyes went on the tiny chain at her neck and the loosen hair .
Dev : Yeh chain bahut suit kar rahi hein....Aur baal jab aise ....
Dev was moving his hand and Vidhi held it with a smile.
Vidhi: Aapko batane kee zarurat nahi. Mein samajh gayi. Mujhe toh aapki yeh haathon kee bhaasha bhi samajh aane lagi hein aapke saath waqt bitate huye.....
Dev : Hat baat bolke samjhane pade yeh bhi toh mushkil hein.
Vidhi: Aapki aankhein bahut kuch kehti hein ...
Dev : Kya ?
Vidhi: Mein nahi batani waali .
Dev: Batana toh padega, warna nadiya mein nehlawungi tumhein.
Vidhi: Shaitan baccha hein aap.
Dev : Naa , mein toh hero hun naa, badmash ladkon kee maarpeet ki....Iss haq se puchta hun kya keh rahi hein meri aankhein?
Vidhi: Uske liye aapko meri aankhein padne honge.
Dev cupped her face and she touched his hands.
Dev ; Tumhari nanhi see aankhein toh keh rahi hein kee usse kiss karni hein Dev Sir ko.
Vidhi: Jhoot , aisa kuch bhi nahi hein.
Dev : Arrey maine pada abhi abhi ,
Vidhi : aisa toh kuch likha nahi aankhon mein.
Dev : Toh yeh batawon kee meri aankhein kya keh rahe hein?
Vidhi : Aapki aankhein wahi keh rahe hein joh abhi aap ne mujhse kaha. Infact kal raat phone pe bhi yahi kaha.
Dev : Toh deti kyun nahi?
Vidhi : Mein jaa rahi hoon....
Dev pulled Vidhi close towards him and made her to sit at his lap. She started scratching her nails in his chest.
Dev : Haathon se lakeerein kheechna bandh karo aur jaldi se de do symbol of love at my cheeks.
Vidhi shut her eyes and took a breath. Dev smiled and rounded his arms at her back. She slowly kissed his left and then right cheeks. Dev too kissed her cheeks passionately.
Vidhi: Mujhe Aap apne godh se utariye naa, koyi dekh lega .
Dev : Toh dekhne do.
Vidhi: Koyi kuch kahega.
Dev : Toh mein kahunga ki mein apni fiancee ke saath romance kar rahi hoon. Bhai tum apna dekho.
Vidhi was surprised with this words and she opened her mouth as if she heard something shocking. Dev gently placed his finger at her upper lip and when it came down Vidhi suddenly bite that finger.
Dev : Aah...Kitni Khatarnak ladki ho tum.
Vidhi: Shaitan bacche ko sambhal Rahi hun naa, khatarnak hona bahut zaruri hein.
They both hugged each other romantically and spend some time there.
To be continued 😄😄😄😄😄😄
Aweeeeee haiiiii kash Bimla show mein aisi hoti. Itni pyari jisko dekh kar , meri ma kitni acchi hai gane ka man kar jaye.
I really love this PRIYA too. I am from a middle class background but I recently learned that it is actually true many business houses do not allow their Daughter in-laws to join family business. Amd some do not allow them to work atall even today. I always thought that this was true only for you know suburban families but no this is true in urban educated well to do families too, I really you talked about this in the story.
Thanks for tagging me and writing this beautiful piece.
Part 9
Hp : Arrey oh Bimla Chai laogi kee nahi?
Bimla; Subah hi toh Diya thaa aapko chai.
Hp : Abhi Kallumal se milke aaya hun naa , aur abb toh 10 baje hein. Ek aur chai peene kaa man kar raha hai.
Bimla: Aapko toh bas chai peene kee bhoot saware hein. Jab ladke waale banke aap mujhe dekhne aaye the tab bhi aap ne yahi poocha
" Arrey oh Bimla, tujhe chai banana aati hein kee nahi? "
Hp : Kuch bhi kaho patni ke haathon se banayi huyi chai peene kee maza hi kuch aur hein..
Bimla: Abb zyada meethe mat baniye ,mein banati hoon chai.
As Bimla entered inside the kitchen Hp also came behind her and suddenly kept a rose at her side hair.
Bimla: Arrey yeh kya kar rahe hein aap ?
Hp ; Pyaar jata raha hun apni biwi se...
Bimla: Aapki Umar ho gayi hein....
Hp : Kisne kaha ? Tujhe yaad hein naye naye shaadi huye toh mein aise Roz tumhari baalon mein phool lagata tha.
Bimla: Yeh leejiye chai peejiye.
Hp : Iss chai kee toh baat hi alag hai.
Bimla : Toh aap meri baat suniye. Subah subah maine ek sapna dekha..Hamari Vidhu kee shaadi Dev saab se ho rahi hein woh bhi yahan Milapini mayya ke saamne. Milapini maa kee saugandh mein jhoot nahi bol rahi hun.
Hp : Subah dekhe huye sapne sach hote hein....Par
Bimla: Par kya ?
Hp : Kahan weh log aur Kahan hum ? Sapnon kee udan kar naa jaaye Bimla...
Bimla: Dekhiye , mujhe lagta hein humein ek baar Satyawati ji baat karni chahiye. Mil lete hein unse. Jiss tarah se unhone mujhe samjhaye mujhe lagta hein unse baat karne ke baad hum koyi faisla le paayenge. Toh kyun naa hum abhi nikle ?
Hp : Theek hain Bimla. Vidhi kahan hein?
Bimla : Woh Dev saab se milne gayi hein bahar....Maine hi bheja usse.....
Hp : Bimla !!! Log kya kahenge?
Bimla: Aap kuch zyada hi soch rahe hein. Iss se pehle log kuch kahe maa baap hone ke naate humein faisle lene hongey.
Hp: Tum theek keh rahi ho . Waise bhi Dev saab bahut bhale aadmi hein....Hamari beti unke saath ekdum surakshit hai. Aise waise koyi badmash ladka nahi hein.Upar se Umar se bhi bade hein,... Toh koyi galat nahi karenge jaise aajkal kee peedi ke ladke karte hein...
Bimla: Hey naa, matlab kahin naa kahin aap bhi maante hain Dev ji bhale aadmi hein.
Hp: Woh toh mein hamesha se maanta hoon. Chalo Bimla nikalte hein Satyawati ji se milne.
Bimla smiled and said ; Theek hain.
At Raichand house
Hp and Bimla's eyes went on the photo frame of Shantanu and Satyawati.
Satyawati: Yeh deewar mein joh tasveer aap dekh rahe hein yeh jab mein iss Ghar kee dulhan bani tabhi kheenche the.
Hp : Accha..
Satyawati: Baat kya hein Hariprasad ji?
Hp : Mein Vidhi ke baap hoon. Ek dar toh hoga naa Satyawati ji kee meri beti kee shaadi uske office ke maalik ke saath ho rahe hein. ..Woh log bahut der hein aur hum Kahan ek mohalle mein rehne waale log hein. Hamari barabari kaise ho payega? Aur mujhe pata hein kee Dev saab bahut saadgi se peshane waale vyakti hein. Unhein paison kee ghamand nahi hein. Kitni baar humein mushkilein aaye aur Dev saab humein bachane aa gaye.
Bimla: Bas chinta toh iss baat kee hein kee umra mein joh faasle hein, isliye koyi faisla nahi le paa rahe hein.
Hp : Biradari waalon ke mooh bandh toh nahi kar pawunga naa mein.. Meri bacchi bahut naadan hein. Woh kaise seh paayegi?
Satyawati: Aapko aapki beti kee khushiyon kee chinta hein yaa apne biradari kee chinta hein? Sabse zyada kiski chinta hein? Jawab deejiye . Aapne dil se poochkar jawab deejiye.
Hp : Mujhe meri Vidhi kee chinta hein.
Satyawati: Haripriya ji saari samasyawon kaa samadhan swayam dhoond paane ke liye hum Krishna bhagwan thodi hein ? Hum toh insaan hein. Kamiyan, Gun, Sapne, Juzzbaat inn sabse bhare insaan. Samaj kee baatein kare toh Mahabharat mein bhari sabha mein Draupadi ke saath anyay huye. Usse bachane ke liye kewal Krishna bhagwan hi aaye , unke patiyon ne awaaz nahi udayi. Bheeshma pitamah, kripacharya , kisi ne bhi usse roka nahi. Uska parinaam ek yuddh mein badal gaye. Yeh wahi bade khsatriya veeron kee samaj thi jahan par ek khsatriya Rani kaa apmaan huwa. Hariprasad ji jab aapke upar bhari se bhari mushkilein aaye tab yeh biradari waale aapke saath khade nahi huye. Yahi haqeekat hein. Pata nahi hum sabko bachane ke liye koyi Krishna bhagwan aayenge kee nahi par hum aastha ke saath haath jodte hein bhagwan ke saamne,kisi samaj yaa kisi biradri ke saamne nahi.
Satyawati: Bhagwan ne hamari zindagi mein ek sahare ke roop mein baache diye hein. Jab hamare kadam ladkhadha jaayenge tab yahi bacche hamare sahare banenge....Koyi samaj nahi, koyi biradri nahi. Issi liye mein maanti hun kee humein apne bacchon ke liye kuch karne kaa mauka mile toh uss mauke ko haath se jaane nahi dena chahiye. Hamare bacchon kee marzi jaante huye bhi hum kisi biradari ke dar se usse rok le aapko nahi lagta yeh bacchon kee taraf naa insaafi hein ?
Hp : Aap sahi keh rahi hein Satyawati ji. Maa baap jab apne aadhe umra mehnat ke Baad bimar padenge, budhapa aayenge toh bacche hi kandhe dilayenge. Koyi rishtedar bhi madad ke liye nahi aayenge. Mein aur Bimla hi sahare bane the jab meri maa apni aakhiri dinon mein asptaal mein thi..Tab koyi nahi aaye unki sewa ke liye..Jab unki maut huyi aur arthi udi tab biradri waale dukh sabha lagayi ghar mein. Lekin uske pehle ilaaj kee paison ke liye mein bhaag daud kar raha thaa tab kisi ne bhi madad nahi kee....Aur meri Maa...
Bimla touched his shoulder.
Hp wiped his tears and said : Mujhe kisi biradri yaa samaj kee parwah nahi hein Satyawati ji.
Bimla: Toh kya aapko manzur hein ?
Hp : Mujhe garv hein kee Vidhi ne ekdum sahi aadmi ko chuna hein. Heere jaise daamaad hein hamare ......Dev Raichand.
Bimla smiled in joy and said : Milapini maa, Tera laakh laakh dhanyawad.
Satyawati; Kya yeh sach hein?
Hp : Milapini maa kee saugandh, Mein dil se Dev saab , nahi Dev ko apna Daamaad Maan Chuka hun. Mujhe khushi hein kee meri beti Iss Raichand khandan kee bahu banegi.
Satyawati smiled in tears of joy ; Mahadev ki kripa se sab theek huye..Mere Dev ko uski sabse badi khushi milne jaa rahi hein....Bahut dhanyawad Hariprasad ji.
Bimla and Satyawati hugged each other.
Hp : Satyawati ji, shaam ko Dev ko lekar aayiye . Aaj shaam ki aarti mere hone waale Daamad aur aapki hone waali bahu ke haathon se sampann honge. Wahin hum yeh shubh samachar donon se kahenge. Tab tak aap bhi kuch mat kahiye..
Satyawati: Ji , Pranam.
Hp and Bimla folded their hands and walked from there.
Bimla's eyes went teary.
Hp : Arrey abb kyun ro rahi ho?
Bimla: Kuch nahi, bas aise hi . Arrey yeh toh khush hone kaa mauka hein.
Hp : Satyawati ji ne bilkul sach kaha. Yeh biradari samaj yeh sab sirf chaar baatein sunayenge. Isski parwah kyun karen ? Hey naa ?
Bimla; Ji .
At the evening in Sharma Niwas
Vidhi: Maa aap mujhe yeh saare kyun pehna rahi hein?
Bimla: Chup kar , aaj bahut khaas din hein. Aarti hone waali hein. Zara aayine mein dekho Vidhu , kya lag rahi ho tum ?
Vidhi looked herself in mirror and smiled.
Vidhi: Maa , yeh toh ekdum bhannat hein..
Bimla: Hey naa. Nazar Naa Lage meri beti ko .
Aajaa beta.
Vidhi came with Bimla. Meanwhile Dev who was removing his footwear outside asked Satyawati
Dev : Mujhe abhi tak samajh mein nahi aayi kee Maa aapne mujhse yeh Kurta aur Dhoti pehnne ke liye kyun kaha ?
Satywati: Abhi pata chal jayega. Zara dekho toh sahi tum .
Dev looked Vidhi and was surprised to see her wearing a navy blue silk saree neatly . Her hair was also loosened slightly and she was looking extremely gorgeous that Dev couldn't take his eyes from her.
Satyawati: Vidhi ke hi darshan karogi kya ?
Dev ; Haan.
Satyawati: Kya
Dev suddenly take his eyesight from her and asked Satyawati: Maa kya keh rahi thi aap ?
Satyawati: Kuch nahi, Milapini maa ke darshan karte hein.
Dev : Haan.
To be continued 😄😄😄😄😄😄
Wow nice and fast episodes yaar..
You are the saviour…
Seriously you are putting so much efforts to make all happy.
Thank you so much…
I thought to give update of hakikat but himmat nahi ho rahi hai. Bilkul mood kharab hai.
Par aapki story tho very very cute love story.
Dev and vidhi awe.. love them so much.
Priya and Abhi nice to see their old self.
Finally sb maan gye.. ❤️❤️
Ab to Videv k reactions ka intazar ha ❤️❤️✨️✨️
Aisa kuch serial me ni ho sakta 🤦♀️🤦♀️
Continue soon ❤️😍
Manifestating to turn into real 🙏🏼🙈🥰🥰 Milapni mata sadhbudhi de 🙏🏼
Yar yeh kya hai yar mujhe rona araha hai yeh perh kr kitne axhe sai likha hai yeh.....or jab HP nai dev ko damaad bola mera dil khushi sai bhar gaya 😍 ab ViDev ka reaction perhna hai I am excited🙈