Entwined Love : ViDev FF - Page 3

Created

Last reply

Replies

87

Views

9.7k

Users

11

Likes

125

Frequent Posters

Shinika thumbnail
Visit Streak 180 Thumbnail 8th Anniversary Thumbnail + 3
Posted: 2 years ago
#21

Wow rev!!!

Another beautiful episode❤️

Thank you…

Jealous Dev and naughty vidhi so nice to see.

Continue to the infinity.👏

Revutty thumbnail
Visit Streak 90 Thumbnail Dazzler Thumbnail + 2
Posted: 2 years ago
#22

Part 5

At Sharma Niwas

Bimla: Aa gayi tum ?

Vidhi: Maa, bahut bhook lagi hein.

HP : Beta , sab theek hein naa? Yeh classes, naukri sab saath mein...

Vidhi: Paapa aap befikra rahiye. Mein donon acche se sambhalungi.

Bimla: Woh toh hein. Dev ji kitna hausla de rahi hein Vidhi ko .

HP: Haan Bimla.....Kahan hum soch paaye kee hamari bacchi itni badi office mein kaam karegi aur abb toh aage kee padhayi bhi kar rahi hein. Ek baap hokar maine tumhare liye aisa kuch socha nahi abhi tak Vidhi. Iss baat kaa dukh hein mujhe.

Vidhi: Paapa agar aap mujhe ijaazat nahi dete job karne ke liye toh yeh sab kaise hota ? Isliye bilkul dukhi mat hoyiye Paapa.

Bimla: Woh kehte hein naa har insaan kee zindagi mein ek daur aata hein joh uske nazariye badal deti hein zindagi ko dekhne kaa. Aur uske peeche kisi kaa jaadu hota Hein aur woh jaadugar hein Dev Saab. Sahi raah unhone dikha Dee, maa- baap hoke bhi humne tumhari bhavishya ke baare mein utni nahi Sochi jitne Dev ji ne socha .

Hp : Joh bhi unke humsafar ban jaayegi , woh bahut kismat waali hogi.

Vidhi smiled when she heard it.

Bimla: Mein khaana lagati hun.

At Raichand house

Dev : Abhi, kab tak tum aise bina jawab diye chale jawoge ?

Abhimanyu: Toh mein kya karun Bhai ?

Priya: Aap pati hein mere, mujhe nahi lagta kee Maine koyi galti kee hein.

Satyawati: Partition toh mumkin nahi hein Priya. Yeh toh galat hein.

Priya: Toh phir mujhe job karne kee permission deejiye.

Abhimanyu: Tum yahan try kyun nahi kar sakti?

Priya: Mujhe offer Delhi mein mili hai. Kam se Kam 6 mahine toh wahan job karne padenge. Kyunki 6 mahine Tak woh log transfer ke option nahi rakh rahe hein. Uske baad mein yahaan kee city branch mein shift ho jawungi. Lekin agar mein iss offer ko accept nahi kee toh yeh mauka mujhe dubara nahi milegi. Aap sab log isse ziddh samajhna hein toh aisa hi sahi , saari job offers ko thukra thukra karke abb tak iss Ghar kee paramparawon ko sambhali hun.....Par mein bhi insaan hun. Mujhe bhi apni pairon pe khade hone kee iccha hein....Koyi yeh samajhta kyun nahi hai?

Abhimanyu: Priya ....

Priya : Mummy ji, Bhaaisab, Abhi mujhe koyi shauk nahin hein ghar ke partition karwane mein. Maine gusse mein kahi thi woh baat , sach kahun toh mere dil mein aisa kuch bhi nahi hein. Mein pooch rahi hoon Mummy ji se kee abb tak Dev Bhaisaab ke zindagi mein koyi ladki kyun nahi aayi ? Kahin naa kahin hum sab zimmedar hai. Mummy ji jab Paapa ji guzar gaye tab Bhaisaab ne akele saare boch apne kandhon mein udayi..Aap ghar sambhali acche se , Kaash aap bhi koyi job kee hoti toh Bhai saab kaa boch halka hota. Bhaisaab Abhimanyu ko business mein lagwana chahta thaa lekin jaise hi pata chala kee Abhi kee interest Journalism mein hein toh Bhaisaab Abhi ke padayi kee zimmedari apne kandhon pe Lee. Apnon kee zimmedariyan udate - udate Bhaisaab ne shaadi bhi karwali Mere aur Abhi kee. Mein Abhi ko pasand karti hoon aur woh mujhe. Yeh sach hein. Shaadi mein adjustments, compromises sab karne padte hein. Par haar baar mein hi kyun ? Kya kal mujhe ek beti ho jaaye toh kya usse bhi yahi seekh denge kee Raichand house kee ladkiyan ko job karne kee permission nahi hein..... Bhaisaab sorry subah aapke office mein aake koyi tamasha khade karne kaa Mera koyi intention nahi thaa. But I was helpless. Isliye apne frustration kee boch bhi aapko di maine.....I am sorry.

Priya's eyes went teary.

Abhimanyu held her hand

Abhimanyu: Priya shaant ho Jawon... Please.

Satywati: Bolne do usse. Sahi toh keh rahi hai. Maine tumhare ghar toh basa Lee par apne bade bete ke liye kya kiya maine ? Mujhe nahi pata thaa kee tumhare Paapa ko kiye huye Kasam nibhate nibhate mujhe yeh bhi sunne ko milegi kee maine Dev ko....

Dev : Maa please.

Satyawati wiped her tears and said : Priya idhar awo.

Priya went near her.

Satyawati folded her hands and said; Mujhe maaf kardo beti. Tumne aankhein khol dee meri .

Priya : Kya kahan aapne ? Beti !!!

Satywati: Kya mein tumhein beti nahi bula sakti !!! Abhimanyu bags pack karlo. Tum kal hee Jaa rahe ho Priya ke saath Delhi.

Abhimanyu; Maa

Satyawati: Koyi bhi kasam kisi kee haq aur khushiyon se badhkar nahi hein. Aur tum Abhi , kya tum wahan ke Hindustan Times office mein apply nahi kar sakte?

Abhimanyu : Maa kar toh sakta hun.

Satyawati: Toh kal hi kar lo. Priya ke saath jawo. Uska saath de do. Wahan accomodation kee arrangements dekho . Kya har baat tumhein samjhana padega?

Abhimanyu: Nahi Maa. Mein sab kuch dekh lunga , mujhe koyi objection nahi hein. Priya wahan job kar sakti hein.

Priya : Abhi !!!

Priya and Abhi hugged each other.

Abhimanyu: I am sorry Priya.

Dev smiled with teary eyes and held his mother's hand : Thankyou Maa. Sab kuch theek ho raha hein.

Dev : Abhi, Priya kisi bhi cheeze kee zarurat ho toh batana mujhe, mein....

Abhimanyu: Aapne bahut kuch kiya hein. Now it's my turn. Priya is right. Hum sab kahin naa kahin aapke liye boch ...

Dev : Nahi Abhi. Hum sab Family hein..Aur meri family hee mera strength hein.

They all smiled and held hands together.

Next day morning while Priya and Abhi were leaving Priya hugged Satyawati.

Priya: Mujhe abb aapko Mumma bulane kaa mann kar raha hein. Kyunki abb tak mujhe lagta thaa kee aap sirf saas hein. Par abb toh....bas 6 mahinon kee toh baat hein...

Satyawati: Uff Touchy Touchy Priya!! Kya bhool gayi touchy touchy bolna tum. Pehli wali Priya kitni Kadak thi Dev , abb dekho bahut Senty ho rahi hein.

Priya: Mumma !!

Abhimanyu: Abb chale ...

Dev : Abhi dhyan rakhna. Aur pahunchte hi phone karna.

Priya and Abhi left the Raichand house waving bye to Dev and Satyawati.

Dev : Maa mein bhi nikaltu hun office ke liye.

Satyawati: Dev !!! Abb tum apne baare mein sochogi. Shaadi kee baat kabh karni hein?

Dev : Maa ghuma phirake aap phir se wahi topic pe aa gayi. Vidhi kee studies pure hone hein , usse better position milna hein career mein.

Satyawati: Toh kya tab Tak tum intezaar karoge ?

Dev : Mein akela thodi Naa intezaar kar raha hun. Vidhi bhi toh kar rahi hein. Accha Maa mein bikra hun , bye.

Satyawati: Bye beta.

At Raichand Office

Dev's eyes went on the desk of Vidhi.

Anaya: Sir Vidhi toh dupahar hi aayegi.

Dev : I know. Woh mein bas reports dekh...raha tha..

Anaya: Sir woh aapke table mein already rakh chuke hein.

Dev : Thank you.

Dev goes to his cabin.

Dev thought: Vidhi yahan nahi hai. Phir bhi meri aankhein usi ko talash kar rahe hein..Ghar mein sab kuch theek huye hai aur yeh Khushi mujhe kaise bhi karke Vidhi ko batana hein....Phone karun kya ? Nahin nahin...woh iss waqt class mein hogi. Uski studies disturb honge. Office hours ke baad shaam ko milenge obviously tab bata dunga. Par yahan pe batawun ? Yeh moment toh bahut khusi kaa hein.....Cafe mein chalte hain Vidhi ke saath. Yahi theek rahega....Uski manpasand coffee bhi dilwadunga aur sab kuch bata bhi pawunga. Yahi theek rahega.....

Dev took his phone and looked the pic of Vidhi.

He said: Jaldi awo Vidhi. Aaj bahut baat karne kaa man kar raha hein.

And when the office hours were finished, Vidhi's work were also got completed Dev came behind her .

Dev : Vidhi

Vidhi: Sir

Dev : Mmhh coffee peene chale

Vidhi: Coffee ☕

Dev : Kyun jaldi jaana hein?

Vidhi: Nahin Sir. Chalte hein

Scene shifts to cafeteria.

Dev ordered coffees .

Vidhi: Abhi tak aapne bataya nahin kee baat kya hein.

Dev : Vidhi Maa maan gayi, Priya ke job ke liye.

Vidhi: Kya ? Sach mein ?

Dev : Haan Vidhi.

Dev explained things in brief.

Vidhi: Priya Mam ko aapki bahut fikra thi Sir. Woh bahut straight forward hein. Isliye shayad unke bolne ke tareeke se Satyawati mam naraaz huyi hogi. Par abb sab theek ho chuke hein naa. Yeh toh waqai mein bahut khush khabar hein.

Dev : Par Maa ne isske saath ek dukh bhari baat kee information dee.

Vidhi: Kaisa dukh ?

Satywati: Maa keh rahi hein mujhe shaadi karni hein.

Vidhi: Toh aapne kya kaha ?

Dev ; Maine naa toh nahi kaha ,par Haan bhi nahi kaha..

Vidhi: Kya aapki Maa aapke liye ladki dhoond rahi hai?

Dev : Pata nahi.

Vidhi: Lag gayi Lanka....Sapne dekhna shuru bhi nahi huyi uske pehle hi chillapot mach gayi sapnon kee.

Dev : Vidhi , Vidhi ke Vidhan se Maa ne jiss ladki ko dhoondha hein uska naam hein Vidhi Sharma.

Vidhi : Kya , Mein!!!

Vidhi smiled in joy and excitement.

Vidhi: Aapki Maa ko pata hai ?

Dev nodded his head.

Dev ; Unhein tum pasand ho.

Vidhi folded her hands and shut her eyes: Hey maa Milapini, aaj aapne mujhe bahut khushiyan dee. Thank you.

Dev ; Mujhe thank you nahi bologi ? Hamesha sorry thank you ke hisab toh rakhti ho naa

Vidhi: Aap mera mazak uda rahe hein naa ?

Dev : No Vidhi. I am serious. Kitna kuch kiya hein. Har ek kaa Thank you card chahiye mujhe.

Vidhi: Raichand group of companies mein kaagazon kee koyi Kami nahi hein. Ek ek kaagaz udda lungi aur uss ke cards banakar aapke cabin ko decorate karungi.

Dev: Tab toh mere cabin bahut colourful honge. Tum hamesha colour papers pe hi cards aur notes dete ho.

Vidhi: Aap ne abb tak mujhe kaagaz hi toh Diya hein ....kuch aur nahi...

Dev : Toh kya Dena hein.

Vidhi: Khud hi sochiye , mein jaa rahi hoon.

Vidhi walks from there. Dev smiled.

While walking Vidhi was thinking: Hamesha mazak karne kee Adat hein Sir kee. Aaj toh nahi aane waali mein iss shaitan bacche kee jaal mein...

Hey kahan Sir ?

Vidhi looked back and didn't find him. She got tensed and she went back to the cafe . There also she didn't find Dev.

Vidhi: Dev Sir!!!

Vidhi screamed and started walking through the road in search for Dev..At a corner she saw a person buying flowers . She ran towards him and screamed: Sir !!!

He turned back and stunned to see her .

Dev : Vidhi!!!

Vidhi hugged him tightly and cried like a kid.

Dev pat her back.

Dev : Kya huwa Vidhi? Kyun ro rahi ho?

Vidhi: Jab aap mujhe mil nahi rahe the toh mein bahut ghabrayi Sir. Aapko kahan kahan nahi dhoonda mein ? Aise chale aaye bina bataye aap.

Dev : Mein tumhare liye yeh flowers ke bouquet lene gaya thaa Vidhi....Tum hi kehti ho naa mein kuch deta nahin hun kaagaz ke alawa. This is from my side, Token of Love.

Vidhi received those flowers bouquet and looked him emotionally.

Vidhi: Aapne toh apne dil mein mujhe jagah Dee hein, mujhe aur kya chahiye?

Dev : Vidhi!! Mujhe nahi pata kee tumhein kaise khush karun ? Toh socha kee yeh phool dekar...... tumhein khush kar dun. Tumhari bhi Arman honge ....Par iss waqt toh bas aise kadam se kadam mila hi sakte hein.....Bahut kuch baaki hein......

Vidhi ; Maine aapse thodi kuch maanga bhi toh nahi naa Sir. Mujhe bas pyar chahiye aapka aur aapka saath.

Dev : I love you Vidhi

Vidhi: I love you too Sir

They both hugged each other emotionally

To be continued 😄😄😄😄 😄😄

maddy124 thumbnail
Visit Streak 365 Thumbnail Visit Streak 180 Thumbnail + 4
Posted: 2 years ago
#23

Finally Abhi Priya ka Chapter to close hua. 👍

Ab intazar ha to Videv ki shadi ka..

Hope so k itne toxic na ho HP or Bimla jitne serial me dikhaye ja rhe hain

Nice update ❤️❤️

Continue soon ❤️ 😍

-purnima- thumbnail
18th Anniversary Thumbnail Stunner Thumbnail + 4
Posted: 2 years ago
#24

I can imagine Vidhi making those Thank you cards 🤣🤣🤣🤣


Flowers ke jagah Vidhi wud have love something more 😆😆😆😆😆

Revutty thumbnail
Visit Streak 90 Thumbnail Dazzler Thumbnail + 2
Posted: 2 years ago
#25

Thanks a lot Shinika ☺️

Revutty thumbnail
Visit Streak 90 Thumbnail Dazzler Thumbnail + 2
Posted: 2 years ago
#26

Thanks 😊 Chinta mat karo.Mein OTT nahi banawungi HP aur Bimla kee.

Revutty thumbnail
Visit Streak 90 Thumbnail Dazzler Thumbnail + 2
Posted: 2 years ago
#27

Thoda time do donon ko. Likhte waqt baar baar Dev Sir nazar aaye, abhi tak show mein unka bahut control hein Vidhi , thoda sa touch hi Kiya hein Vidhi ko . Theek se ek hug , kiss toh hazaron kilometres door hein unse. Toh woh saari baatein bhi yaad aayegi. Romance dikhane mein itni expert nahi hun. Thanks 😊

Bhavisweet03 thumbnail
Posted: 2 years ago
#28

Woww really it's so beautiful 😍


I actually love your FF. Though I have red only first part but I am really impressed with it.


Their balghar scene just beautiful ❤️


In the show I don't know when we'll get like these cute scenes. But I am so happy after reading your story.🤗

Revutty thumbnail
Visit Streak 90 Thumbnail Dazzler Thumbnail + 2
Posted: 2 years ago
#29

Part 6

At Sharma Niwas

Satyawati arrives there.

Bimla: Arrey aap, aayiye naa. Vidhi abhi lautthi hogi office se.

Satyawati folds her hands before Milapini mayya and smiled.

Satyawati; Hariprasad ji hein ghar pe?

Bimla: Woh aaj der se aayenge. Dukan mein kuch zyada kaam hein.

Satyawati; Mujhe ek zaruri baat batani hein aap se.

Bimla : Haan pehle aap baithiye.

Satyawati takes her seat.

Satyawati: Aap bhi baithiye naa Bimla ji.

Bimla: Mein chai banati hun.

Satyawati; No thanks. Please aap baith jaayiye mere paas.

Bimla feels confused and sat beside her.

Satyawati: Samajh mein nahi aata kee kaise kahun ?

Bimla : Aisa kya kehne waali hein aap?

Satyawati: Pyaar ke baare mein aapki raai kya hein?

Bimla : Yeh kya pooch rahi hein aap ?

Satyawati: Bas aise hi....Aapko kya lagta hein pyaar mein umra ki Seema dekhna zaruri hein yaa nahi.

Bimla: Pyaar toh pyaar hota hai. Uss mein umra kaa kya ?

Satyawati: Dekhiye meri shaadi jinn haalaton mein huyi uss waqt mein apne pati se umra mein kaafi zyada choti thi. Par unki pehli patni ke guzarne ke baad ek khaalepan saa reh gaya thaa aur Dev bhi thaa jisne apni Maa ko khoya thaa.....Ussi dauran Dev ke Paapa Shantanu ji ke khaalepan mein ek tinke kee tarah meri thodi juzzbaat umad huyi joh aakhir unhein bhi ho gaye aur humne usse pyaar mein badla aur shaadi bhi kee. Kismat ko shayad jalan thi hamare pyaar se tabhi toh bahut jaldi mere pati ko mujhse alag kiye..... Abhimanyu chota thaa aur Dev ne phir pure pariwar ko apne Paapa ke business ko , hum sabko sambhala aur aaj bhi wahi kar rahe hein....

Bimla: Zindagi kee karwatein toh badalte rehte hein Satyawati ji , iss mein insaan kar hi kya sakte ?

Satyawati: Mein apne bete Dev ke liye kuch karna chahti hun....Jahan Dev ke Paapa khade the ussi tarah Dev bhi ek kashmakash mein khada hein. Samaj kee taanon se darkar Shantanu ji ne mere haath choda nahi balki haath dhaama , mujhe izzat dee, unki patni banayi. Kya woh sahi thaa ?

Bimla: Bilkul sahi thaa.

Satyawati: Par hamare beech umra ke faasle toh bade the.

Bimla: Toh kya huwa ? Pyaar toh dil dekhta hein, aapne unke akelepan ko door kiya, Devji ko sagi Maa kaa pyaar diya, aap donon ke pyaar aage badhe ....Iss mein toh koyi faasla nahin thaa.

Satyawati: Toh Dev ko kya karna chahiye?

Bimla: Dev saab ko apne baare mein sochna chahiye, uss ladki ke baare mein sochna chahiye,uska haath dhaamna chaahiye.

Satyawati: Matlab woh ladki umra mein Dev se choti hein tab bhi?

Bimla: Pyaar mein yeh umra ki faasle kyun ? Sache dil se usko apnana hein. Par hein kaun woh ladki.

Satyawati held her hand and said: Aapki beti Vidhi.

Bimla: Kya ???

Satyawati: Dekhiye aap waqt leejiyega. Par mana mat keejiyega. Bahut ummeedein leke aayi hun mein yahaan.

Bimla: Aapne aise achanak kaha toh.....Pata nahi Vidhi ke Paapa.....Par Vidhi ne abb tak kuch kaha bhi nahi iss baare mein...

Satyawati: Unn donon ne apne juzzbaaton ko thode rokkar rakhe hein. ...Vidhi padhai kar rahi hein......Toh Dev aur Vidhi chahte hein kee padhai puri ho jaaye, usse job mein acche position mil jaaye inn sab ke baad hi puri tarah se woh donon iss baat ko aage badhayenge.....

Bimla: Mujhe bahut chinta ho rahi hein. Hamari biradari mein agar aise kisi ne kiya toh unhein bahut kuch sunne padte hein.....

Satyawati: Toh kya aap mana kar rahe hein mujhe ?

Bimla: Nahin. Mujhe thoda waqt chahiye. Mein aap se milungi ....

Satyawati: Theek hain. Mein chalti hun..... Namaste

Bimla: Namaste.

Scene shifts to ViDev

Vidhi: Aap inn phoolon mein gulab kyun nahi rakhe ?

Dev : Abhi uss mein kuch kaante hein. Sahi waqt aane par kaante ho yaa naa ho Ek bouquet of Red Roses 🌹 zarur dunga tumhein.

Vidhi: Abb pata nahi uske liye mujhe kitni gujiya rakhne padenge aur woh fortune message bhi likhne padenge ?

Dev : Iraade toh nahi badal rahe hein tumhari?

Vidhi: Khabardar dubara aise kaha toh. Pehle bhi aap ched chuke hein mujhe uss Harsh ke saath coffee peene Jawon kehke

Dev : Tum bhi kya kam thi ? Accha khaasa aadmi thaa, ek bachelor life bita raha thaa. Aur phir tum aayi zindagi mein pari bankar aur aise jaadu daali kee tumhari har baat se mujhe kuch seekhne ko milte hein, bahut special lagte hein.....

Vidhi: Aapko toh bahut choice mile honge Naa , College mein koyi crush aisa kuch thaa kya ?

Dev: Haan ek pagal ladki thi joh peeche padi thi....maine bata diya kee aisa kuch hein nahin....Yeh crush mein padne ke liye mere paas waqt nahi thaa.... College,phir Paapa ke office....yahi thaa Mera routine......Usne bhi woh sab bhool dee aur mein uski shadi mein gayi . Woh UK mein job karti thi aur wahin kisi ko pasand kee aur mein unn donon kee shaadi attend karne Gaye aur bahut khaa bhi liya thaa.....

Vidhi: Kya naam hein uska ?

Dev : Amba aur woh abb do bacchon kee Maa hein aur uske husband ka naam hein Victor. Donon UK mein settled hein.

Vidhi: Donon kee love marriage huye the ?

Dev ; Yeah ...

Vidhi: Sir hamari shadi kaisi hogi ? Mujhe toh lagta hai woh love cum arranged marriage hi honge.....

Dev : Vidhi hum donon ne decide kiya thaa kee jab tak tumhari studies puri nahi hoti tab tak iss baare mein baat nahi karenge.

Vidhi: Sorry.

Dev : It's okay. Dar bhi lagta hein kahin sapne toot naa jaaye ....

Vidhi: Joh bhi hein hum milkar face karenge Sir

Vidhi held Dev's hand and he too hold her hand.

Dev : Mann toh nahi karta tumhare haath chodne kaa , par karna toh padega naa.... Tumhare ghar ke paas aa chuke hain.

Vidhi and Dev share an eyelock and slowly both released their hands.

Dev : Bye Vidhi.

Vidhi: Bye Sir.

Vidhi entered inside her house as soon as Dev left. Bimla find the flowers in Vidhi's hand.

Bimla: Vidhu tujhse kuch baat karni hein.

Vidhi : Kya baat hai Maa ? Aap pareshan lag rahi hein.

Bimla: Vidhu , tere hath mein yeh phoolon ke guldasta....

Vidhi: Maa yeh Dev Sir ne diya mujhe....

Bimla: Beta , Satyawati ji aayi thi yahan. Unhone mujhe batayi kee tum aur Dev saab .....ek dusre ko....

Vidhi: Mein pyaar karti hoon Maa Dev Sir se.

Bimla: Vidhu mein badi uljhan mein hun..... Satyawati ji ne apni zindagi ki kahani batakar mujhe mushkil mein daal di..... Jiss maahol mein hum reh rahe hein yahan toh log baatein banayenge....

Vidhi: Maa, waqt hein hamare paas. Mein khud aapko sahi samay aane par batane hi waali thi....

Maa , kya samaj kee dar se mein kaise peeche hat sakti hun ?

Bimla: Pata nahi tere Paapa kya kahenge?

Vidhi: Aap kya chahti hein ? Aap mujhe khulke bata sakti hain Maa.

Bimla: Mujhe aitraz toh nahi hein beti. Kyunki Dev Saab humse zyada tumhein khush rakhenge.....Tumhein ek aatma vishwas dilane mein, tumhein himmat dilane mein unhone joh kaam kiya hein naa woh ek Maa hokar bhi mein itne saalon mein nahi kar paayi.... Isliye jab tu Dev saab ke sath hein toh mein befikra rehti hun....Meri beti ko bahut khush rakhenge......Itna toh pata hein......Par dil se bhi nahi kabhi kabhi dimag ke bhi sunne padte hein..... Isiliye uljhanein sochti hun toh darti hun....

Vidhi: Maa yeh joh dar hein naa yeh bas aankhein dikhate hein, humein pareshan karne ke liye...Rahi baat biradari aur samaj kee toh mujhe pata hein kee yeh aasan nahi hein......Bahut kuch dekhne padenge shayad ...Par maa agar Dec Sir ke saath saath mere Maa - Paapa ke saath bhi mil jaaye naa toh phir chinta kee koyi baat hi nahi hein......Mujh mein himmat badenge .....

Bimla: Tere paapa abhi tak laute nahi. Mein kal koshish karungi baat karne ke liye Vidhu.....

Vidhi: Maa , mujhe khush hein kee andar hi andar aap hamare pyar ko samajh rahi hein.....

Bimla: Maa hoon mein teri, teri khushiyon mein hi meri khushiyan bhari hein pagli .... Itni bhi samajhti nahi ?

Vidhi hugged Bimla and they both smiled....

Next day at the University campus

Vidhi's classes were finished and she was leaving the campus in rush. Some boys were passing unnecessary comments at her. Vidhi ignored them initially but when a boy blocked Vidhi's way by forcefully grabbed her hand . And her anger went to peak level. She beat that boy with her hand bag and when other two tried to misbehave with her she removed her sandals and beat them with it . The scene went as an issue and the Principal called Vidhi to his cabin. Dev got a phone call from Principal and he reached the campus.

Principal : Aap hi sponsor ho naa Vidhi kee ?

Dev : Aap please mujhe bata sakte hain Principal saab huwa kya hein ?

Principal: Yeh ladki maar peet kar rahi hein.

Dev looked Vidhi

Vidhi: Sir unn ladkon ne mere saath....

Dev raised from his seat and went near Vidhi.

Dev : Kya hua Vidhi ?

Vidhi : Sir pehle toh bahut gandi comments paas kee , maine ignore kiya.Phir ek ladke ne zabardasti Mera haath pakda aur mere saath badtameezi karne kee......Sir yahan kisi ne meri madad nahi kee.....Apni izzat ke liye mein khud usse apni bag se do chaar thappad dee , phir do aur jud gaye, mujhe ,,.......aur mujhe apni sandal utarni padi....Mere saath.....

Dev held Vidhi's hand and looked her with fire in his eyes: Dikhawon mujhe kahan hein woh ladke ?

Vidhi: Sir !!!

Dev screamed in anger : Vidhi !!!!

Dev helding Vidhi's hand went near them. He removed his overcoat and gave it to Vidhi.

One of that boy : Arrey yeh dekho ladki ke body guard aa gaya.

" Abbey kya karenge tu? "

Dev grabbed his hand and said : Teri himmat kaisi huyi Meri Vidhi ke saath badtameezi karne kee?

He belated those two by removing his belt and gave tight slap on their cheeks. Yeh haath kandhe se alag kar dunga agar dubara Vidhi ko kuch kiya toh."

Principal: Yeh kya Mr Raichand! Aap yeh maarpeet kyun kar rahe hein?

Dev : Kaise Principal hein aap ? Iss tarah ladkiyon se badtameezi karne waalon ke khilaf strict action lene ke bajaye aap Vidhi ko enquire kar rahe hein. Aur college ke students, iss college ke ek student ke sath yeh huwa hein....Kal Vidhi kee jagah koyi aur ladki bhi ho sakti hein. Tab bhi kya aise hi chupchap dekhte rahenge? Kaise students hein aap sab .

Principal: I am sorry Mr. Raichand. Mein inke khilaaf action lunga.

Dev took a deep breath. Vidhi went near Dev and looked her.

Dev : Jab tak mein tum tumhein kuch nahi hoga, tumne joote se inn ladkon ko maarke koyi galti nahi kee..... Mujhe tum par Garv hein Vidhi kee tum uss situation mein dari nahi, bahut bahadur bani.

Vidhi cried and hugged him. Dev's eyes also went teary. He cupped her face and wiped her tears.

Dev : Vidhi , bilkul rona nahi.. ....Tumne bahut himmat dikhayi hein aaj.

Vidhi: Sir aap mere liye unse lad pade.....

Dev : Puri duniya se ladne ke liye ready hun Meri Vidhi ke liye.....Chalo office chalte hein

Viddhi nodded her head emotionally.

Vidhi: Sir aapke coat.

Dev wore the over coat and took a deep breath.

Dev : Joh beet gaye usse bhool Jawon.

Vidhi was feeling pain at her hand were that bad guy grabbed. Dev noticed it.

Dev : Bahut dard ho raha hein?

Vidhi; Mmhhh

Dev : Gaadi mein baitho.

He opened the door and Vidhi took the seat. Dev entered inside the car and applied ointment at her hand. He blowed continuously while doing it.

Dev : Theek ho jaayega. Mmhh....

Vidhi was still worried. Dev gently held that hand and kissed at her palm ...

Vidhi smiled with teary eyes.

Dev : Yeh kya Meri Vidhi muskurate huye bhi ro rahi hein ?

Vidhi: Sir accha laga mujhe mere liye aap lade , kuch dekha nahi, kuch socha nahi. Mujhe aur himmat mil chuki hein.

Dev and Vidhi share an intense eyelock.


To be continued 😄😄😄😄😄😄

Revutty thumbnail
Visit Streak 90 Thumbnail Dazzler Thumbnail + 2
Posted: 2 years ago
#30

Thanks a lot Bhavna. Happy you liked it

Related Topics

Top

Stay Connected with IndiaForums!

Be the first to know about the latest news, updates, and exclusive content.

Add to Home Screen!

Install this web app on your iPhone for the best experience. It's easy, just tap and then "Add to Home Screen".