Mere dil kee awaaz ( Short poem)

  •  
  • Page of 1 Go
  •  
Posted: 1 years ago

Salakhon ke peeche khadi khadi meri aankhein talashi aapko 

Jab aap aaye toh aankhein apne aap nami huyi maano dil ke dard jal raha ho aansuvon kee boondon mein

Aapki mutthi mein meri nanhi see hatheliyan aise pade jaise kee puri zindagi ke liye aap dhaame ho mere haath

Phir aapke dard bhari awaaz mein sun Lee mein "Mein tumhare sath hoon ,"

Jaag jaagkar raat mein jab mein dekhi unn salakhon se aapko toh aap kaanch ke uss taraf se mujhe himmat dete rahe

Aapki koyi majboori nahi thi mere saath dene kaa par woh aapka pyaar thaa joh saath diya mere liye, sirf mere liye

Isharon isharon mein aapke dil kee awaaz mujh tak aur meri awaaz aap tak pahunchi jahan koyi umra ki Seema humein roke nahi 

Chaai ke pyaalon ko samne saamne dikhake do boondh jab piye toh laga kee chai mein ishq kaa swad bhare pade hein

Kaise mujhe adaalat kee taraf kheenche aur sawalon ke pinjre mein qaid kee

Aur mein chilla chillake,  ro - roke apni sachai bolti rahi ,par kanoon dil kee nahin sunte

Phir aap bhi sawalon ke uss pinjre mein khud ko qaid kee aur saare ilzamon kee boch uda liye

Zimmedariyan waise hi boch ban chuke hein, toh iss ilzaam ko bhi kyun liye aap? 

Apnon ke liye aur kitne ladoge aap , aur kitne sahoge aap, kaash yeh seemayein naa hote toh 

Aapko sirf haath nahi apne kandhe de chuki hoti mein jiss mein aap lete aur aapki saari boch halka ho jaaye ? 

Yeh Umra ki Seema bana hi kyun beech mein ? 

Aisa nahi ho sakta kee Pyaar ki koyi Seema naa ho aur hum puri tarah se ek ho jaaye

Yeh samaj, kismat, biradari, umra , Rishtey naate kyun pyaar ke dushman hein? 

Posted: 1 years ago

Tagging more , please read this when you guys are free 🙂

Posted: 1 years ago

Please read this when you guys get free time 😉

Posted: 1 years ago

Beautiful re revu❤️❤️

Posted: 1 years ago

Bahot badhiya likha hai🥺👏

Posted: 1 years ago

Originally posted by Revutty


Salakhon ke peeche khadi khadi meri aankhein talashi aapko 

Jab aap aaye toh aankhein apne aap nami huyi maano dil ke dard jal raha ho aansuvon kee boondon mein

Aapki mutthi mein meri nanhi see hatheliyan aise pade jaise kee puri zindagi ke liye aap dhaame ho mere haath

Phir aapke dard bhari awaaz mein sun Lee mein "Mein tumhare sath hoon ,"

Jaag jaagkar raat mein jab mein dekhi unn salakhon se aapko toh aap kaanch ke uss taraf se mujhe himmat dete rahe

Aapki koyi majboori nahi thi mere saath dene kaa par woh aapka pyaar thaa joh saath diya mere liye, sirf mere liye

Isharon isharon mein aapke dil kee awaaz mujh tak aur meri awaaz aap tak pahunchi jahan koyi umra ki Seema humein roke nahi 

Chaai ke pyaalon ko samne saamne dikhake do boondh jab piye toh laga kee chai mein ishq kaa swad bhare pade hein

Kaise mujhe adaalat kee taraf kheenche aur sawalon ke pinjre mein qaid kee

Aur mein chilla chillake,  ro - roke apni sachai bolti rahi ,par kanoon dil kee nahin sunte

Phir aap bhi sawalon ke uss pinjre mein khud ko qaid kee aur saare ilzamon kee boch uda liye

Zimmedariyan waise hi boch ban chuke hein, toh iss ilzaam ko bhi kyun liye aap? 

Apnon ke liye aur kitne ladoge aap , aur kitne sahoge aap, kaash yeh seemayein naa hote toh 

Aapko sirf haath nahi apne kandhe de chuki hoti mein jiss mein aap lete aur aapki saari boch halka ho jaaye ? 

Yeh Umra ki Seema bana hi kyun beech mein ? 

Aisa nahi ho sakta kee Pyaar ki koyi Seema naa ho aur hum puri tarah se ek ho jaaye

Yeh samaj, kismat, biradari, umra , Rishtey naate kyun pyaar ke dushman hein? 


So so so beautiful sweetheart.... 

  1  


Related Topics

No Related topics found

Topic Info

4 Participants 8 Replies 510Views

Topic started by Revutty

Last replied by Revutty

loader
loader
up-open TOP