Ishq E Laa #3 (HUM) Azaan Sami , Yumna Zaidi , Sajal Ali - Page 38

Created

Last reply

Replies

889

Views

105.3k

Users

25

Likes

1.5k

Frequent Posters

kamleshmehra thumbnail
6th Anniversary Thumbnail Visit Streak 90 Thumbnail + 2
Posted: 3 years ago

Originally posted by: swetha10

Wonderful update..

Really like the sweet and a little naughty Azlaan..


Loved Kanwal bhabhi for being the perfect Cupid..

Eagerly waiting for Azka mad Azlaan convo now..

hope we get a confession soon..

Take care and update soon..

Cheers

Thank you dear❤️

Azlan will be more sweet and naughty in the next update...

Kanwal bhabhi is too good here....

Myself looking forward to their convo......Already written something but it is a work in progress...

You too take care.

I will try to update as soon as possible😊

mala06 thumbnail
14th Anniversary Thumbnail Visit Streak 365 Thumbnail + 4

#EmAar (Radd)

Posted: 3 years ago

Originally posted by: kamleshmehra

Azlan and Azka's Fanfiction:

1st Part- Pg 38

2nd Part- Pg 40

3rd Part- Pg 43

4th Part- Pg 44

5th Part- Pg 46


Part 6

Next day, Azlan calls Azka to be ready in the evening as they have to attend a business party....

When he returns home ... Azka was not ready...

Azlan: Tum ready nahi hui abhi tak...

Azka: mujhe time ka dhyan nahi raha...Aap change kar lijiye.. maine aapke kapde nikal diye hain...Main ho jaungi jaldi se...

Vo bahar jaane lagti hai apne kapde leke...

Azlan: Tum kahan ja rahi ho...

Azka: Aunty ke room mei...main wahan ready ho jaungi…

Azlan: nahi tum yahin raho...main dusre room mei chala jata hu...

Azka nods and after he leaves ...she starts getting ready....

When Azlan returns to the room ...she was wearing jewellery...

He looks at her...she was looking so beautiful in that pink dress...her persona exuded simplicity and elegance...Vo us par se apni nazre nahi hata pa raha tha...

Azka looks at him though mirror...

Azka: Kya hua...

Azlan comes out of his stupor .......Haan...

Azka: Kya hua..kya dekh rahein hain?

Azlan: kuch nahi..kuch bhi nahi...

Azka: bas do minute ...I know late ho gaye...

Azlan: koi nahi...

Azka finishes her look and turns towards him...

Azka: Chalein...

Azlan: haan kya...

Azka: maine kaha chalein ab...

Azlan: haan haan..chalo...

They go to the party...and talk to several people there..Somebody calls him so he excuses himself from Azka and goes to meet one of his associates...Tabhi Zainab Azka ke paas aati hai...

Zainab: Hello Azka...kaisi ho tum?

Azka: I am fine...Aap kaisi hain?

Zainab: I am good..Azlan Kahan hai?

Azka: Yahin hain....apne kisi associate se milne gaye hain...abhi aa jayenge...

Zainab: Hmm...aur btao kya chal raha hai..

Azka: Kuch khas nahi..routine...

Zainab: if you don't mind, can I ask you something?

Azka looks at her...ki akhir usko usse kya puchhna hai...

Azka: Aisi kya baat hai...

Zainab: Tum aur Azlan...

Azka samajh jati hai ki fir ye uske aur Azlan Sahab ke relationship ke barei mei Janna chah rahi hai...aunty ne bta toh diya tha isko...ab usse kya Janna hai...

Azka: aapko aunty ne bta toh diya tha sab...

Zainab: Nahi unhe sab kuch toh pta nahi hoga na...

Azka: Aapko Aisa kya puchhna hai...

Zainab: Main Azlan ki friend hoon toh I just care for him...hope you don't mind..

Azka knew she wants to be more than just his friend...Jhooti kahin ki…

Azka: Ok...bataiye....

Zainab: Azlan kafi hot headed hai..decisions immediately le leta hai...toh tum dono aapas mein khush ho...I mean mujhe lagta hai ki jaise usne aunty ki khatir tumse shaadi karli...please galat mat samjhna...I am just looking after him as his friend...

Azka: Jii...Vo hot headed hain ye mujhse jyada kisko pta hoga...meri aur unki banti nahi thi pehle...Jab unki mom ki tabiyat kharab hui thi...we both came to an understanding and took that decision...he is a good man...and I am happy with him...

Zainab: Oh ...vo pyaar karta hai tumse ..

Azka ko gussa aata hai uske iss sawaal pe...Ye Azlan Sahab aur uska personal matter hai...Vo kyun btaye ye sab usko..hadd ho gayi..But she controls herself...

Azka: Aapne unse nahi puchha?

Zainab: puchaa tha indirectly...but usne kuch btaya nahi iss barei mei...

Azka: Vo apni feelings har kisi ko nahi btate...bura mat maniyega...I understand ki Aap unki friend hain par fir bhi vo aapse shayad ye sab na discuss karein...it's too personal for him...

Zainab ko bahut gussa aata hai ye sunke...Azka khud ko samajhti kya hai..Just because she is his wife...vo usko aise kaise keh sakti hai...

Azka: Mera matlab...vo jyada kuch kehte nahi hain....par mujhe ye toh bilkul pta hai ki Vo mere alawa kisi aur se shaadi nahi karte..

Zainab: Toh tumhe lagta hai ki use tumse mohabbat hai...usne kaha hai kabhi?

Isse pehle ki Azka kuch kehti...Azlan wahan aa jata hai aur ye sun leta hai...

Use achha nahi lagta ki Zainab fir se unki personal life ke barei mei janne ki koshish kar rahi hai...aur Uski wife se ye sab puchhne ka kya haq hai usko....ye Azka aur uska personal matter hai....kahin Azka fir se kuch galat na samajhle..

Azlan: Har baat kehne ki jarurat nahi hoti Zainab...Kuch batein khud hi samjhi jati hain..aur mere aur Azka ke bich mei bahut achhi understanding hai...toh main kabhi na bhi kahu toh bhi usko pta hai mere dil mei kya hai...And she knows ki uske alawa main kisi aur se shaadi nahi karta...She is my wife so obviously we have a lovely relationship....

Azka hairan ho jati hai Azlan ka Jawaab sunkar and looks at him...unhone kuch jyada hi bol diya.....Kya ye sirf Zainab ko dikhane ke liye hai...yahi hoga...

Azlan smiles at her....

Zainab: Azlan main toh vaise hi puchh rahi thi...

Azlan: Ok..jo bhi ho...Its too personal for us...please understand... and don't bother my wife with this...

Zainab: I am sorry...I did not mean it like that...

Azlan nods...Well hame deir ho rahi hai...we should go...Azka chalein...

Azka was already too surprised to say anything....She just nods at Zainab in greetings and leaves with him...Zainab feels very upset about all this...Azlan is too engrossed in his wife...and she can't do anything now....

Azlan car drive kar raha hota hai aur Azka ki taraf dekhta hai...She was lost in her thoughts..

Azlan: Azka..

Azka: Hmm...

Azlan: Zainab ne tumhe kuch kaha hai kya...

Azka: Kya matlab...

Azlan: Nahi tum kisi baat se naraaz toh nahi ho...Tumhe pta hai na ki Mera usse ...

Azka: nahi...aisi koi baat nahi hai...mujhe pta hai sab..

Azlan: Vo kya keh rahi thi tumse ..

Azka: Aapke barei mei?

Azlan: kisi bhi barei mei..

Azka: Usko lagta hai ki aapne mujhse aunty ki kahtir shaadi ki hai....sach bhi hai vaise...toh yahi puchh rahi thi ki aapka aur mera relation kaisa hai? Mohabbat hai ya nahi?

Azlan: Tumne kya kaha...

Azka: Vahi jo aapne kaha tha...

Azlan: Sahi kaha fir...

Azka uski taraf dekhti hai and he just smiles at her...

Vo sidha dekhne lag jati hai...kuch bhi keh dete hain bas...Ab iska kya matlab hua...Vo toh bas us Zainab ko btana chahti thi ki she is Mrs. Azlan aur vo jyada khwaab na dekhe faltu mei...Azlan Sahab se vo alag bhi ho jayegi toh bhi vo us Zainab se toh kabhi bhi shaadi nahi karenge...she smiles at this thought...

Azlan: Kya soch rahi ho...kis baat pe itni khush ho rahi ho..

Azka: Kuch nahi...aise hi bas...kuch yaad aagya tha...

Azlan: Ok...and he also smiles at her...

In the morning, she tries to get up but feels weight on herself....She opens her eyes and finds herself hugging him...He has her right hand around her waist and she was also clinging to him with her head touching his chest..She moves his head upwards and looks at his face....he was too close to her...She smiles and then immediately it fades as realisation dawns on her ...She tries to move and it disturbs his sleep too...Azlan also opens his eyes and comes across beautiful face of his wife...Both look at each other...

Azka: Aap yahan kya kar rahe hain?

Azlan looks at her surprisingly...

Azlan: Main toh yahin sota hu...

Then Azka looks at her surroundings and then realises that she had moved in her sleep and trespassed in his place....

Azka again looks at him...and keeps looking at him curiously as to why is he not leaving her...

Azlan was also looking at her in curiousity as to why is she looking at him like that...

Azka: Kya?

Azlan: Kya?

Azka: Kya dekh rahein hain aap?... Chhodiye na...

Azlan then realises that Azka is still in his hold...

Azlan: Oh haan... sorry....

And he leaves her...she immediately moves...gets off the bed and rushes to the washroom...

A full bloom smile appears on his face seeing her antics... ....was she in his arms the entire night...this thought excites him....

Azka was in the washroom and bashing herself regarding the thoughts she was having for him...Ye galat hai…vo toh sirf Azlan sahab ki mom ke liya hai yahan bas aur kuch nahi.. use apne ghar jana hai….Is tarah ki feelings kyun aa gayi hai uske dil mei unke liye…. Vo toh usse mohabbat bhi nahi karte…Par vo karne lagi hai?… shayad...pta nahi...she gets upset.


Azka mom ke room me hoti hai…

Mom: Azlan chala gya kya beta?

Azka: Nahi…vo bas aate hi honge aapse milne……

Mom: Hmm mujhe bahut zaruri baat karni thi tum dono se…

Azka soch me padh jati hai ki kahin vo fir se grandchild ki baat na karein…..

Azlan: good morning mom….

Mom: good morning beta…kuch baat karni thi tumse….

Azlan: haan mom boliye na…..

Mom: Main Walime ka soch rahi thi….

Azlan and Azka both look at each other surprisingly…

Azlan: Mom Walima…

Mom: haan Walima…vo toh main bimaar padh gayi par walima toh karna hai na iska…Mujhe iske sare armaan poore karne hain….vaise bhi jab se tumhari shaadi hui hai…Ye bas mera khayal rakh rahi hai…bas bahut jald ek Zabardast walime ka arrangement karna hai tumne…thik hai na…

Azlan: Okay….

Azka gets puzzled but kuch nahi kehti…Kaunse armaan….Koi armaan nahi the uske mann mei iss shaadi ko leke…aur ab jo sochein uske mann mei aa rahi hain…use toh kuch bhi karke unhe khtm karna hai bas…Sab unke sath rehne ke natija hai…Varna pehle vo kabhi unke barei mei aisa nahi scohti thi…

Office mei bethe bethe Azlan yahi soch rha hota hai ki Azka ko kaise bataye…Vo toh hamesha bas talaak ki baat karti hai….Use Azka se baat karni padhegi ki vo use jane nahi de sakta… bas use Azka ko apni mohabbat ka yaqeen dilana hai…Shayad vo maan jaye…par tab bhi nahi maani toh…nahi…Pehle use Azka ko apni taraf mayal karna hoga fir hi vo usse apni mohabbat ka izhaar karega….yahi thik hai…

Raat ko jab vo room me aata hai toh Azka ko couch pe bethe dekhta hai…

Azlan: ye kab aaya...

Azka: Maine pehle se order kiya hua tha but delivery late ho gayi....

Azlan: toh fir....

Azka: toh fir kuch nahi…I will sleep here....

Azlan: Nahi….Uski koi Zarurat nahi hai....Yahan aake so jao…Vo samajh jata hai ki Azka subah wale incident ki wajah se aisa kar rahi hai…

Azka: Nahi...main comfortable hu yahan…vaise bhi ye hi meri jagah hai…Azka ko subah ka waqya yaad tha toh usne jaldi mei vo couch kharid liya tha... Use unse duri banake rakhni hai bas…

Azlan: Azka tum meri biwi ho aur iss ghar ki bahu….tumhara pura haq hai sab cheejo pe… we are married toh tum yahan so skti ho…Koi galat baat nahi hai…..subah jo bhi hua…hum dono ka fault nahi tha…ho jata hai aisa and its ok….

Azka: Nahi …Aapko aisi koi bhi baat nahi kehni chahiye jo sach nahi hai…iss ghar mei meri kya haisiyat hai main kabhi nahi bhuli…na hi bhulna chahti hu… Kaagzi rishta hai hamara bas aur kuch nahi …..Mera aapse kisi bhi lihaaz se betakkaluf hona zayaz nahi hai…aur meri jagah bhi aapke sath nahi hai…na thi aur na hi kabhi ho sakti hai…mera wahan hona galat hi hai…aapko shayad iss baat se koi fark na padhta ho par mujhe padhta hai.. ab vaise bhi Sirf kuch dino ki baat hai…main apne ghar chali jaungi…fir sab pehle jaise ho jayega…Sab kuch thik….

Azlan feels bad…Usne shaadi ki raat jo kaha Azka ke dil pe aaj bhi vo sab naksh hai…Vo kuch bhi nahi bhuli itne dino mei…

Azlan: Azka idhar aa jao...Mujhse tumse baat karni hai…

Azka unki taraf dekhti hai aur unko serious dekhkar wahan aa jati hai….

Azlan apni jagah se uthta hai aur uske saamne aake beth jata hai….I am sorry...

Azka: Kis liye...

Azlan: un sab galat baton ke liye jo maine tumse kahi…

She keeps looking at him ...but kuch nahi kehti…

Azlan: main jaanta hu maine har baar tumhara dil dukhaya hai…maine itni galtiya ki hai kadam kadam pe ki samajh nahi aata kis kis ki maafi mangu tumse…Har baar koi baat saamne aa jati hai mere…Maine hamesha tumpe apna gussa utara hai…meri life mei mere sath jo hua uska kasoorwar bhi tumhe thehra diya ...shaadi ki raat maine jo kuch bhi kaha uske liye main bahut sharminda hu…mujhe nahi kehna chahiye tha…. Aur main samajhta hu tumhe Shayad mujhse kafi nafrat hogi un sab wajaho se jo maine khud tumhe di hai….par ho sake toh mujhe maaf kardo….

Azka ko samajh nahi aata vo kya kahe…Azlan sahab fir kisi baat ke liye maafi mang rhe hain… Uska dil vaise hi aajkal confuse hai bahut ki kya kare aur kya na kare…vo unhe pasand nahi karti thi ye sach hai…par ab aisi koi baat nahi hai…vo bas gussa thi tab…naraaz bhi thi….par nafrat toh kabhi bhi nahi ki usne….

Azka: Azlan Sahab… Mujhe apse koi shikayat nahi hai…Agar kabhi thi bhi toh ab nahi hai… Aap shayad nafrat karte honge mujhse par aapne fir bhi meri medical fees pay ki chahe shanaya ji k iwajah se…par wasila toh aap hi bane… aapki wajah se main aaj doctor bani hu…iss mukaam tak pahuchi hu….main ye baat kabhi bhi nahi bhool sakti… aur iske liye main apki hamesha shukargujaar rahungi….itni nafrat ke bavjood Aapne mere liye jo kuch bhi kiya us wajah se aap mere liye kabile aitraam hai… Aur maine kabhi bhi aapse nafrat nahi ki thi…na pehle ki na karti hu…

Azlan stays rooted to his place…Vo kya soch rha tha aur Azka uske bare me kya sochti aayi hai…Vo use kabile aitraam samajhti hai…uski sari batmeeziyo aur bure ravaiyyo ke baad bhi….Vo shukargujaar hai uski par uske liye toh uski medical fees pay karna koi badi baat nahi thi Par Azka ke liye thi…Azka ka khwaab tha doctor banna….Shanaya ne btaya tha use….Azka hamesha se hi itni achi thi…use hi kuch dikhayi nahi diya…Vo usse nafrat nahi karti… Kafi sukoon mehsoos ho raha hai use ye jaanke…

Azlan: Main Jannta hu maine tumhare sath bahut galat kiya hai…Us waqt bhi jab main tumhare ghar aya tha gawahi ke liye…..

Azka: Aapko yahi laga tha na ki hum kitne behiss hain…kitne beraham….shanaya ji ne hamari itni madad ki …us case ki wajah se unki jaan chali gayi aur humne kuch bhi nahi kiya…Azlan Sahab hum behiss nahi the ….bahut majboor the…Kamjor the….Sultan bhai ke jaane ke baad hamari zindagi aur bhi mushkil ho gayi thi…Hum ghar mei sirf aurtein aur logo ki galat nazrein….Fir meri Aliha kidnap ho gayi…Us waqt jo hamare dil pe gujari…main aapko bayaa bhi nahi kar sakti…usko kuch ho jata ya uski ijjat…bahut muhskil tha hamare liye…

Aapne jab gawahi ki liye kaha….toh bhi hum aapki madad nahi kar sake…itni himmat hi nahi thi hamare andar…Agar fir se vaisa kuch ho jata toh hum kya karte… Sultan bhai chale gaye aur hum kuch nah ikar sake….Shanaya ji chali gayi aur aap kuch nahi kar sake…Main jaanti hu ki aap apna sab kuch gawake bhi unko insaaf dilana chahte the…. par hum log jo bacha tha…use bachana chahte the…Shayad aapke liye ye baat samjhna mushkil tha us waqt ya hum thik se aapko samjha nahi sake…

Azlan ko bahut bura lagta hai…usne un logo se kitni nafrat ki iss baat ko leke…Vo unhe ehsaan faramosh samajhta tha…beharam samjhta tha…usne kabhi unki majboori samjhne ki koshish nhi ki…shayad vo samajhna hi nahi chahta tha kuch bhi…

Azlan: Azka main us waqt kuch bhi samjhne ki condition mei nahi tha…Meri Shanaya chali gayi aur main uske qatilo ko saza dilwana chahta tha bas…Tumhari aur tumhare gharwalo ki majboori nahi samajh saka…Shayad mere andar vo salahiyat hi nahi thi….Us waqt maine kafi insult ki thi tum sabki… mujhe maaf…

Azka: Nahi please …Aap maafi mat mangiye…aapki galti nahi thi…Aapki taqleef…aapka dukh bahut bada tha….aap sahi the apni jagah…shayad main bhi yahi karti agar aapki jagah hoti toh…Halaat hi kuch aise the…Aap shayad nahi jaante…Shanaya ji ko maine btaya tha Aliha ke barei mei…main dari hui thi aur unke alawa koi nahi tha jise main ye keh sakti…Agar maine us waqt unhe na btaya hota toh aaj vo zinda hoti aur aapke sath hoti…Main samajhti hu ki aap mujhe iske liye maaf nahi kar sakenge…par mere liye ye baat aapko btana bahut jaruri tha…

Azlan: Nahi Tum meri jagah hoti toh aisa nahi karti…tum saamne wale ki majboori samajhti…Tumne mom ke liye mujhse nikaah tak kar liya jabki maine hamesha tumhari insult ki…Aur tumne shanaya ko na bhi btaya hota toh bhi kuch nahi badalta…tumhare gharwalo ke case wapas lene ke bavjood vo puri tarah case mei lagi hui thi…vo kaise bhi pta kar leti aur wahan jarur jati…Kafi brave thi Shanaya aur ahmak bhi…Jaan ki toh parwah thi hi nahi usko…Ye Allah ki marzi thi …tumhari galti nahi …Us waqt shayad main ye na samjhta par aaj samjhta hu…uska aur mera sath tabhi tak tha…aur maine accept kar li hai ye baat…

Azka has tears inher eyes…Aap waqai aisa sochte hain….Mujhe gunaahgaar nahi mante?

Azlan: Haan main tumhe gunaahgaar nahi manta….Tumhara fault nahi tha….Allah ne usko itni hi Zindagi bakshi thi…

Azka usko dekhti rehti hai…aaj unse iss bare mei baat karke vo kafi halka mehsoos kar rahi hai…dil pe bojh sa tha jo aaj utar gaya..Uski aur Azlan sahab ki kismat mei shayad aise hi milna likha tha aur fir aise hi bichhadna bhi….Kuch waqt mei unka talaak ho jaega…aur vo chali jayegi yahan se… vo pehle ki tarah latalluq ho jayenge…shayad yahi sahi hai…Uske khud kuch bhi chahne se kuch nahi hota….Allah ne uske liye yahi chuna hai aur usko apne allah ka har faisla qubool hai…Vo jo bhi karenge uske haq mei behar hoga….Vo wapas couch pe chali jati hai…

Azlan apni socho mei gum hota hai…Shayad haqeeqat ko accept kar lena hi sabse bada marham hai…Waqt har Zakhm bhar deta hai…Azka ke aane ke baad sab kuch badal gaya hai…Uski soch…Jazbaat …halaat…uski Zindagi…Khushi ka matlab bhi…Uski and Azka ki Kismat shuru se hi judi hui thi…Ye vo aaj jake samjha hai….Azka ne toh usko hamesha se affect kiya hai…vo kabhi bhi usko ignore nahi kar saka….Uski mojudgi mei usne har ehsaas mehsoos kiya hai…Chid…irritation…gussa…nafrat…bechaini …khushi…sukoon….aur ab mohabbat….Azka uske har sawaal ka jawaab banke aayi hai…aur vo ab usko kabhi apne se alag nahi hone dega… He also sleeps looking at her…


Next morning...Kanwal calls Azka to come to home….

Azlan and Azka was having breakfast…She looks at him…

Azka: Mujhe Ghar jana tha…

Azlan: ok main drop kar dunga…

Azka: umm…Nahi main baad mei jaungi abhi nahi…

Azlan: Achha thik hai…

Azka: Hmm…main kal aa jaungi…

Azlan: Kal?

Azka: Haan kal…kya hua?

Azlan: Nahi main keh raha tha ki Sham ko aa jati wapas…

Azka: Aapko kuch kaam hai mujhse…

Azlan: Kaam…..Nahi toh …..vaise hi keh rha tha…Tumhari marzi hai jaise thik samjho…

Azka: Vo main sham ko jaungi na…Bhabhi bhi sham ko aa rahi hai toh...Jaun na?

Azlan sighs in defeat and then nods…He goes to his office….

Azka also informs mom about it.

Azlan returns home and goes to his mom..

Azlan: Kaisi Hain mom...

Mom: main thik hu beta...Azka toh kal subah ayegi...pta hai na tumhe…

Azlan: Ji mom jaanta hu....

Mom: hmm...Bahut achhi bachchi hai...Azlan main bahut khush hu tumne uska intkhab kiya...uske aane se ghar mei jaan si aa gyi hai... Mujhe toh pehle bhi bahut achhi lagti thi..Tum hi pta nahi kyun usko daante rehte the….

Azlan: Mom tab ki baat aur thi…Aapko pta hai main kaisa tha aur mujhe gussa aata tha kafi…

Mom: Hmm vo toh tumhe bahut aata tha…Ab kahin jake tum thoda sukoon mei ho…Azka ne kafi badal diya hai tumhe…Uske aane ke baad kafi khush lagte ho mujhe…Kash vo thoda pehle mil jati…tumne itna arsa tanhai mei gujara…Mujhe bahut dukh hota tha tumhe dekhke…Par ab main bahut khush hu…

Azlan: Shayad usne mujhe ab hi milna tha…Aur main sach mei bahut khush hu uske sath…

Mom: Haan …Azka bahut acchi hai…Khidmatguzaar…bahut mohabbat karne wali…

Azlan yaad karta hai uski aur Azka ki mulaqaate...Vo kaise gussa karta tha uspe hamesha...aur ab sirf pyaar aata hai usko uspe…

Mom: kya soch rhe ho….

Azlan: vahi jo aap keh rahi hain...Azka waqai bahut achhi hai...

He was lying on the bed...he looks at her side of bed and moves there...then decides to call her...

Azka Azlan ke barein mei soch rahi thi..…usko kyun unka khayal aa raha hai baar baar… usko mohabbat ho gayi hai kya…Haan shayad…aur kya jawaab hai uski iss kafiyat ka....par honi toh nahi chahiye thi na…Kaise kar liya usne aisa...Sab Azlan Sahab ki wajah se hua hai...ab kya hoga...Use apne har jazbaat ko dafan karna hai..she has to be strong....ye sab nhi ho sakta....then her phone rings…

Azka: Assalamualaikum..

Azlan: Walequm salaam..

Azka: jii bataiye..

Azlan: Kya...

Azka; Aapne phone Kiya na...

Azlan: Haan...

Azka: toh wajah..

Azlan: mujhe tumse baat karne ke liye kya wajah chahiye...Tum meri biwi ho...

Azka: Azlan Sahab.. mere aas paas koi nahi hai aur please koi majaak mat kijiye…bataiye aapne kyun call ki hai...

Azlan: bataya toh...Main shohar hu tumhara....right hai mere paas tumse baat karne ka...

Azka: kya hua hai aapko aaj...

Azlan: Kuch nahi hua...kya hona hai mujhe...I am just missing you here..

Azka: Ye kya bol rahein hain aap …

Azlan: Sach bol raha hu….tumhe vaise yahan hona chahiye tha mere paas…ab miss na karu toh aur kya karu… Tumhare barei mei hi soch raha tha…tum bhi soch rahi thi kya mere barei mei…

Azka stills…Vo toh unhi ke barei mei soch rahi thi….

Azka: Aap fir mujhse koi majaak kar rahein hain?

Azlan: Mujhe aadat ho gayi hai tumhari…tumhe apne paas chahta hu…aur tum keh rahi ho majaak kar raha hu…tumhari bhabhi ne tumhe samjhaya nahi ki jab shohar romantic baat karta hai toh usko kaise jawaab dena chahiye....

Azka: Bas karein aap aur aapko kaise pta unhone mujhse aisa kuch kaha hai ya nahi….

Azlan: Toh kya samjhaya unhone aur kya sikha tumne..

Azka: Ye kaisi batein kar rahein hain aap mujhse..

Azlan: kaisi matlab...Ek shohar apni biwi se kaisi batein karta hai...

Azka: dekhein...aapko ye sab nahi kehna chahiye...ye sab thik nahi hai...

Azlan: Kyun nahi kehna chahiye...kya thik nahi hai..

Azka: Aapka ye sab kehna...Kya ho gya hai aapko...aap bhul gye hain kya hamara contract..

Azlan: Tum bhul gayi ho kya hamara nikaah….

Azka: Uske koi maayne nhi hai...

Azlan: Tumhare liye uske koi maayne nahi hai?

Azka: Aapke liye toh nhi hain na...toh fir aap ye…aur meri baat alag hai….

Azlan: aur agar main kahoon hain mere liye uske maayne hain toh fir…

Azka: .....

Azlan: Azka..

Azka: Azlan Sahab aapko mujhse ye sab nahi kehna chahiye...mujhe nahi pta aap ye sab kyun kar rahe hain....bas main ye jaanti hu ki ye galat hai...kisi bhi lihaaz se thik nahi hai...

Azlan: Azka hamara rishta kya hai...

Azka: Kya matlab...ye kaisa sawaal hai......

Azlan: Batao hamara kya rishta hai…

Azka: Aap mere ..

Azlan: hmm…

Azka: Aap mere husband hain..

Azlan: Toh kya galat hai aur kya thik nahi hu...Main tumhara husband hu ...koi aur nahi hu jiske sath koi aisi baat karna tum galat samjho..

Azka: Par hamara rishta aisa nahi hai aur kuch dino mei hamara...aap sab jaante huae bhi ye sab….

Azlan: Aisa kuch nhi hone wala...

Azka: Kya matlab hai aapka...

Azlan: Yahi ki aisa kuch nahi hone wala…aur mera jo bhi matlab hai...vo baat hum aamne saamne karenge....phone pe nhi .. aur ek baat samajhlo...tumhare aur mere bich koi bhi baat galat nhi hai...sab Zayaz hai...tum meri biwi ho aur main tumhara shohar ....sirf ye baat sach hai….

Azka: mujhe aapki baat samajh nahi aa rahi...aap ye sab kyun bol rahein hai...subah tak toh sab thik tha...

Azlan: nahi ab sab thik ho jaega...aur tum zara apni bhabhi se sikho kuch jo vo tumhe samjhati hain..

Azka: kya matlab hai aapka...mujhe aisa kuch sikhne ki jarurat nahi hai...

Azlan: Nahi tumhe bahut kuch sikhne ki zarurat hai...

Azka: Ji nahi main sab jaanti hu...samjhe aap…

Azlan: Zara mujhe bhi batao ki kya jaanti ho tum married life ke barei me…kaise chalti hai ek married life achhi…

Azka:...

Azlan: chup kyun ho gayi...abhi toh bol rahi thi sab jaanti ho...batao na ab..

Azka: Aap ye kis tarah ki batein kar rahe hain mujhse...mujhe aapse koi baat hi nahi karni...

Azlan smiles...he knows he is pushing her too hard and uski biwi bahut masoom hai...

Azlan: Accha….thik hai fir…main tumhe abhi lene aa raha hu…

Azka: Aa jayein…main aaungi nahi aapke sath wapas abhi…

Azlan: Karke dekh lena ya bhi…Main tumhari mom se kahunga ki ek toh main itni raat ko isko lene aaya hu aur ye mere sath jaane se inkaar kar rahi hai…

Azka gets surprised listening to this…

Azka: Aap aisa nahi karenge…

Azlan: Hmm…Par agar kiya toh vo puri mohabbat ke sath tumhe mere sath bhej dengi…

Azka: Dekein maine aapse puchha tha subah…Aapko koi aitraaz nahi tha toh fir…

Azlan: Achha preshan mat ho…nahi aa raha abhi…Rehlo aaj raat wahin…

Tabhi Kanwal enters the room and Azka ko awaaz deti hai...Azlan bhi sun leta hai...Azka phone niche kar leti hai but call cut karna bhul jati hai jaldi me...Azlan thinks to cut the call but then decides against it….

Kanwal: kya kar rahi thi?

Azka: kuch nhi bhabhi....

Kanwal: Azlan Sahab se baat ho gayi teri...unka phone aya?

Azka: haan meri toh ho gayi unse baat...maine pehle hi kar li thi...she smiles nervously....

Kanwal: Ye toh acha kiya tune...kya hua…tu itni ghabrai kyun hai...unhone kuch keh diya kya tujhe...

Azka: Nahi toh bhabhi...unhone aisa kuch nhi kaha...

Kanwal: Samajh gayi…unhone koi romantic baat ki hogi tujhse aur tu fir se vaise hi nervous ho gayi hogi ..

Azka: nahi toh...aisa kuch nahi hai...

Kanwal: Azka teri shakal pe saaf likha hai ki tu jhoot bol rahi hai...Maine us din bhi samjhaya tha na ki shohar ki mohabbat ka jawaab mohabbat se dete hain ..tu kab samjhegi...

Azka: bhabhi aap ye sab kya leke beth gayi...maine bola na sab thik hai...aur maine unse acche se baat ki thi...

Kanwal: mujhe pta hai tera achhe se baat karna...tere muh se lafz nahi nikla hoga ek...ya tune ye kaha hoga ki aap ye kya keh rhe hain...main jaanti hu tujhe…

Azka Kanwal ki taraf badi badi ankhein karke dekhne lag jati hai...bhabhi vo main...maine ..

Kanwal: Pta tha mujhe...Teri shakal se pta lag rha hai tune Aisa hi Kiya hai....

Azlan sab sun raha hota hai...he knew ki Ab vo Azka ko samjhana shuru kar dengi...

Azka: aisi koi baat nhi hai bhabhi...please mujhe baksh dein .... aur kuch samjhane na lag jana ..

Kanwal: samjhna padega tujhe...Azka ab tu shadi shuda hai...kyun nahi samjhti tu...Apne bachpane se bahar nikal…

Azka: bhabhi aap bhi mujhe bachcha samajhti hai ....sab pta hai mujhe ..

Kanwal: Acha...main bhi matlab...Azlan Sahab ne bhi tujhe bachchi keh diya hai kya ..

Azka: Aapko kaise pta ki unhone mujhe bachchi kaha hai...

Kanwal: teri harqatein hi aisi hain...acha tum dono ke bich relationship toh hai na...

Azka ghabrake kanwal ko dekhne lag jati hai…

Udhar Azlan Samajh jata hai ki Azka fir nervous ho gayi hai......

Kanwal: Mujhe kya dekh rahi hai...bta na...relationship hai bhi ya nhi...

Azka: Bhabhi ye kaisa sawaal hai...

Kanwal: Hain...kaisa matlab...tu mujhe bta sakti hai...Vo tere kareeb aaye hain ya nahi?

Azlan ekdum se alert ho jata hai ye sunke….Azka kya jawaab degi iss sab ka….

Azka: ye kya puchh rahi hai aap...mujhe kuch nahi btana…

Kanwal: Azka dekh...agar tune sach mei khud unse duri bana ke rakhi hai na toh sach me bevkoof hai tu...mujhe toh laga tha ki tu khush hai unke sath….

Azka: Haan toh hu na khush main ..aapko bta toh rahi hu…

Kanwal: jo maine puchha...vo toh nhi bta rahi.... tu unki biwi hai toh agar vo tujhse mohabbat karna chahte hain...tere kareeb aana chahte hain toh isme koi galat baat nhi hai...

Azlan just closes his eyes…Usko pta hai ki Azka ki toh haalat kharab ho rahi hogi ye sab sunke…

Azka: Bhabhi aap ye sab kyun bta rahin hai mujhe…mujhe nahi karni aisi koi baat…

Kanwal: Tujhe samjha Rahi hu...Mujhe teri haalat dekhke lag rha hai tune unhe apne kareeb nhi aane diya hai abhi tak...toh agar aisa hai toh bahut galat baat hai...Tum dono kareeb aaoge tabi toh tumhara rishta majboot hoga…

Azka: bhabhi please ...aap jayein aur so jayein...mujhe aur kuch nahi samjhna...

Kanwal:Agar shohar ko biwi se mohabbat na mile na toh vo bahar mohabbat dhund lete hain....samjhi kuch..

Azka: Vo aise nahin hain...Mujhse kabhi bhi bewafai nahi karenge…

Azka ko uski kahi baat pe yaqeen hai...Azlan ko bahut acha lagta hai ye jaankar….

Kanwal: toh tu aisi kyun hai ..

Azka: Bhabhi ye mere aur unke bich ki baat hai na…toh hum dekh lenge…aur vaise bhi unko mujhse koi shikyat nahi hai…agar koi baat hoti toh keh dete vo….aap jyada na sochein…

Kanwal: Achha…ye unka zarf hai ki vo tujhe kuch nahi keh rahe jabki tune unko unka haq bhi nahi diya…Unki jarurato kakhayal bhi nahi rakhti…

Azka: Main unka aur unki jarurato ke poora khyal rakhti hu…Saare kaam karti hu unke…aur hamare bich sab thik hai….Puchh lijiyega chahe aap unse…

Azlan ko pta hai ki uski Bhabhi kya kehna chah rahi hain aur Azka vo alag hi tangent par hai….

Kanwal: Azka meri baat samajh tu...Miya biwi ko kareeb rehna chahiye...aur shadishuda Zindagi sirf ikhlaaq se nahi chalti...Mohabbat bhi chahiye...

Azka: Main doctor hu bhabhi..mujhe sab pta hai…

Kanwal: Shohar ke sath doctor nahi Biwi ban...jab pta hai toh fir kyun ye sab...

Azka: Bhabhi aap kyun aisi batein kar rahi hain….pehle toh nahi karti thi…kya ho gya hai aapko…

Kanwal: bas yahi karte rehna tu..pehle teri shaadi nahi hui thi…par ab tu biwi hai kisi ki…islye samjha rahi hu….mohabbat karti hai na unse?

Azlan sari batein sunke muskura raha hota hai ki Vo Azka ko kya kya samjhaye ja rahi hain....par iss sawaal pe vo sanjida hojata hai ..

Kanwal: Bta na…Karti hai na?

Azka: Haan...karti hu mohabbat unse…

His heart flips….vo jaanta hai ki Azka ne yuhi bol diya par uske liye ye sunna bahut badi baat hai ki Azka usse mohabbat karti hai ..vo bahut khush hota hai….

Kanwal: toh fir kya dikkat hai...

Azka: koi dikkat nahi hai...main samajh gayi aapki baat...aapne mujhe samjha diya ....

Kanwal: Amal karegi meri baat pe...

Azka: bilkul...puri tarah se...

Kanwal: thik hai...ab agar vo tere paas ayein...tujhse pyar karna chahe toh mana mat karna.....samjhi...

Azka: Bhabhi please agar aapne dobara ab ye sab bola na main behosh ho jaungi...main apki sari baat samajh gayi hu aur Maan bhi gayi hu...

Kanwal: vo toh mujhe pta lag hi jayega ki kitna samjhi tu...chal ab soja...

Azka was thinking about what her bhabhi said...Uski bhabhi ko is shaadi ki Haqeeqat nahi pta...Uska and Azlan Sahab ka rishta Aisa hai hi nahi ... mohabbat...Unke rishte mei kya ahmiyat hai is lafz ki ..Vo aur Azlan Sahab kabhi bhi kareeb nhi ho sakte...vo usse mohabbat nahi karte…Aur uske khud ke dil mei jo chal raha hai…usse kuch fark nahi padhta…Par Azlan Sahab kis tarah ki batein kar rhe the...biwi ... shohar ...Unko kya ho gaya hai….Vaise hi vo kam preshan hai ki ab vo aisi batein karne lag gaye hain….

Azlan also thinks about the conversation...he was very happy...he has got something to tease Azka...uski biwi bahut innocent hai ....nervous ho jati hai aisi baton se….Doctor Azka...Jisko sab pta hai…Ab toh usko hi kuch karna padhega….

To be continued❤️❤️❤️

Lovely update. So Azka to is in love and now is slowly realising it. Azlaan is too curious to know his wife feelings 😆😆. Kuch hint toh samaj gaya sayad. Maybe confession coming soon

kamleshmehra thumbnail
6th Anniversary Thumbnail Visit Streak 90 Thumbnail + 2
Posted: 3 years ago

Originally posted by: mala06

Lovely update. So Azka to is in love and now is slowly realising it. Azlaan is too curious to know his wife feelings 😆😆. Kuch hint toh samaj gaya sayad. Maybe confession coming soon

Good to know that you liked it...

Both are in love❤️He is too curious...Confession will be soon ...He knows Azka is too innocent and he will do something but Azka will be as usual not so bright in understanding....

prohelika thumbnail
12th Anniversary Thumbnail Visit Streak 30 Thumbnail + 3
Posted: 3 years ago

Originally posted by: kamleshmehra

Thank you for the lovely comment❤️

Yeah even I like that part personally...Azlan is a very good guy❤️...Azka will never initiate any such thing...Azlan will always take the first step...

He will keep on apologising...to have a smooth relationship in future ..that's why I am covering all those parts one by one..

Bhabhi is too much...I loved their conversation myself and enjoyed it while writing..

I wrote it simple but later decided that Azlan will hear the conversation...so made the changes...Azka was too shocked by his antics that forgot to cut the call😆

I will try to update soon❤️

That's nice move! Now Azlan will be more active 🙂

Waiting for the next update ❤️

kamleshmehra thumbnail
6th Anniversary Thumbnail Visit Streak 90 Thumbnail + 2
Posted: 3 years ago

Azlan and Azka's Fancfiction:

1st Part- Pg 38

2nd Part- Pg 40

3rd Part- Pg 43

4th Part- Pg 44

5th Part- Pg 46

6th Part- pg 47

Part 7

In the morning, Azlan brings her home....

Mom: Azka kaise hain sab tumhare ghar mei.…

Azka: sab acche hain aunty....

Azlan: Aur tumhari bhabhi ne kuch samjhaya ki nahi....

Mom: Kya samjhana tha...

Azka: Kuch nahi aunty...vo nayi nayi shaadi hai na bhabhi samjhati rehti hai Ghar kaise sambhalte hain...

Azlan: Aur shohar ko bhi...

Azka Azlan ko ghoor ke dekhti hai...

Mom: Meri bahu bahut achhi aur samajhdaar hai...vo sab kuch bahut achhe se karti hai...

Azlan smiles and says vo toh hai mom but fir bhi abhi bachchi hai na toh kafi kuch sikhna hai isko...

Azka: Main bachchi nahi hu….

Mom: Azlan use chidana band Karo beta...meri beti bahut samajhdaar hai...haina Azka...

Azka: Ji aunty...

Dono apne room mei jatein hai...he sits on the bed and Azka stands in front of him…

Azka: Aap kal raat kis tarah ki batein kar rahe the…

Azlan: Kis tarah ki kar raha tha?

Azka: Aapko pta hai sab…maine abhi tak aapko kuch nahi kaha tha kyunki main raste mei koi jhagda nahi karna chahti thi...

Azlan: Haan toh…

Azka: toh matlab…kyun kar rahe the…Mujhe iss tarah ki batein pasand nahi hain..

Azlan smiles at her…toh kis tarah ki pasand hai btao…vaise kar lenge…

Azka sochti hai inko hua kya hai…kahin sar par chot toh nahi lagi par dikh toh nahi rahi…

Azka: ye aapko hua kya hai kal se…kaisi behki behki batein kar rahein hain…agar ye koi majaak hai aur aap mujhe preshan karne ke liye aisa kar rahein hai toh please mat karein..

Azlan: main kyun tumhe preshan karne laga…

Azka: Mujhe kya pta..Aap jaane…par mujhse iss tarah ki batein mat kiya kijiye…

Azlan: Achha…toh kaisi kiya karu…Bachchi hi rehna hai tumne?…Azka....you are married…Socho kuch iss barei mei….

Azka: Mujhe fir se bachchi na kahein aap…aapko pta hai mujhe pasand nahi…aur main jaanti hu main married hu…uska aapki in baton se kya talluk hai...

Azlan: Par tumhari harqatein jo bachcho wali hai uska kya…do you even know the resposibility of a married girl..tumhe toh meri batein bhi pasand nahi aa rahi…jabki you should be happy ki tumhe mera jaisa husband mila hai..aur meri baton ka aur hamari married life ka gehra talluk hai.. samjhi...

Azka: Aapko mujhse aisi batein karni hi nahi chahiye…Aur responsibilities ki kya baat kar rahein hain aap…Main sab kuch toh karti hu iss ghar ke liye…aunty se puchh lijiye…

Aap jaisa husband…iska kya matlab hua…aap kuch jyada hi khudpasand nahi hain…aur ye hamari married life se aapki kya muraad hai... hamari koi married life hai hi nahi...aur jitni hai utna main karti hu...

Azlan: Husband wife aise hi baat karte hain…. mere jaisa means I am very sensitive and loyal towards you...aur khudpasand hone mei kya problem hai...

Aur Main ghar ki nahi apni baat kar raha hu…. mere liye kya karti ho tum…apne husband ka khayal rakhna tumhari responsibility nahi hai kya…by the way married life hai hamari…tumhe hi kuch samajh nahi aata…

Azka: Par Aapko nahi karni chahiye.....if you are loyal towards our marriage toh vo main bhi hu.... toh ye toh rehne hi dein aap…koi badhi baat nahi hai...hona bhi chahiye ..

Aur rahi khayal rakhne ki baat toh mujhe aapka khayal rakhne ki jarurat nahi hai….aapko mujhse expect karna bhi nahi chahiye….par fir bhi aapka bahut khayal rakhti hu main…aur saare kaam bhi karti hu..ye dekhein ye kapde apne kal raat change kiye hain na yahin padhe huae hain…aapne rakhe kya…nahi...inhe ab main sambhalungi aur main hi sambhalti hu hamesha…aapki sari cheejo ko bhi…aapka breakfast, lunch aur dinner…sab kuch main dekhti hu…aur isse jyada mujhe kya samajhna hai..

Azlan: Na karo ye kaam…maine thodi kaha hai…aur kisi ke dil ki baat samajhna bhi jaruri hota hai...

Azka: toh fir aur kya chahte hain aap mujhse…. kya kaam karu…aur mujhe kiske dil ki baat samajhni hai…

Azlan: Ek biwi ki aur bhi reponsilbilities hoti hain…

Azka: toh bta dijiye….jab tak hoon main vo kaam bhi kar dungi…mujhe bekaar ki batein mat sunaiye...

Azlan: Jald hi bta dunga main aur kya chahta hu....Main tumhe suna nahi raha... samjha raha hu...

Azka: Ek toh mujhe ye samajh nahi aata ki sabko kyun lagta hai ki unhe mujhe kuch samjhana hai...Yahan aap aur wahan Bhabhi….mere paas apna dimag hai...

Azlan: tumhare bachcha dimag se hamari life nahi chal sakti...

Azka ko bahut gussa aa jata hai...

Azka: Mera bachcha dimag nahi hai...ye jo aap bolte rehte hai na mat bola kijiye...I am a doctor…

Azlan: haan toh husband wife mei bahut kuch hota hai…bahut tarah ki batein hoti hai…tumhe nahi pta kya…tum toh doctor ho na… kahan gayi sari knowledge…usko use bhi karna hota hai…samjho meri baat…

Azka uski batein sunke shock ho jati hai…ye kis tarah ki baat ki hai inhone…kaun si batein…aur vo kyun samjhe iss tarah ka kuch bhi…unka relation alag hai…they are not normal husband and wife…use nahi samajhna aisa kuch....kya betuki baatein karne lage hain Azlan Sahab…ab toh inki koi baat samajhna bhi code crack karne jaisa ho gaya hai…

Azlan: kya hua…aise kya dekh rahi ho…

Azka: Aap mujhse baat hi mat karein…vo hi behtar hai…

Azlan: Main toh aisi hi batein karunga….aur tum vo sikho jo tumhari Bhabhi tumhe samjhana chah rahi hai…

Azka: Kya sikhna hai mujhe...

Azlan: Jo tumhari bhabhi sikha rahi thi kal raat tumhe...

Azka shock ho jati hai...kya matlab aapka...

Azlan: Vahi jo tum samjhi..

Azka: Kya main kya samjhi ..main toh kuch nahi samjhi...Aisi koi baat nahi hui hai…

Azlan: achha…nahi hui..thik hai….fir raat ko samjhaunga...abhi office Jana hai...

Azka wahan se jaane lagti hai...

Azlan uska hath pakad leta hai ….

Azlan: Kahan ja rahi ho..

Azka ekdum se ghabra jati hai...vo kabhi apne hath ko kabhi Azlan ko dekhti hai...aur apna hath chhudane lagti hai..

Azka: Hath Chhode mera...

Azlan: kyun...

Azka: Chhod dijiye please...

Azlan uska hath chhod deta hai and says kapde nikaal do mere...

Azka uske kapde nikalne lag jati hai aur bed pe rakhte hi room se chali jati hai jaldi mei ..Azlan ye sab dekhke muskurane lag jata hai...usko pta hai ki Azka nervous ho gayi hai...

Azka kitchen me chali jati hai aur uski heartbeat kafi tej hoti hai...use samajh nahi aata ki ye abhi abhi kya hua..aaj pehli baar unhone uska hath pakda par kyun....aur uski aisi kafiyat kyun ho rahi hai...aisa bhi kya tha unke touch me ..aur unki batein…Kyun bol rahein hain vo usko ye sab…unhe nahi kehna chahiye...

Dining table pe vo Azlan ko taraf dekh bhi nhi rahi hoti aur kafi nervous hoti hai....Aaj mom unke sath breakfast kar rahi thi...

Mom: Azka kya hua...tumhari tabiyat toh thik hai…

Azka: nahi....mera matlab haan.... main toh bilkul thik hu….

Mom: nahi tum thoda preshan lag rahi ho...haina Azlan…

Azlan looks at Azka...she looks at him but fir ekdum se najar hata leti hai....Mom haan mujhe bhi lag rha hai….

Azlan: Azka kuch hua hai kya?

Azka use ghoorti hai and then says nahi...vo kitchen me chali jati hai kuch laane ke bahane…

Mom: Azlan sab thik hai na..

Azlan: Haan mom sab thik hai...main baat kar lunga usse ..vo thik ho jayegi...

Azka wahan aati hai aur apni seat pe beth jati hai…

Azlan ka breakfast ho jata hai…..

Mom: Azka jao...Azlan ko bahar tak chhod aao….

Azka: Ji main?

Mom: Haan…tum biwi ho na uski….

Azka: Ji ji….

Vo aur Azlan bahar aane lagte hain

Azlan: Kya ho gya tumhe...ab aisa bhi kya kar diya maine…

Azka: Aapko pta hai kya kiya aapne…

Azlan: nahi pta mujhe…

Azka: Aapne Mera hath pakda tha...

Azlan:.Aur tumhara hath pakadne mei kya problem hai...

Azka:...

Azlan: Azka...kya ho gya hai…

Azka: kuch nahi…

Azlan: Toh kyun preshan ho tum....vo fir se uska hath pakad leta hai aur Azka uski taraf dekhne lag jati hai...par vo uska hath nahi chhodta….

Azka: Chhod dijiye...kya ho gya hai aapko...

Azlan: mujhe kuch nahi hua...I am absolutely fine...

Azka: chhodiye Varna main aunty ko bula rahi hoon...

Azlan: bulalo...main toh mom ke saamne bhi nahi chhodunga...

Azka: Aap ye sab kyun kar rahein hai...

Azlan: main tumhe time aane pe sab samjha dunga...bas ye samajh lo...ye galat nahi hai ...Then he pats her cheek and goes from there...

Azka stills there...usko samajh nahi aata ki ho kya raha hai...Azlan Sahab ye kya kar rahe hain...she touches her cheek...is it wrong.....nahi agar galat hota toh use feel ho jata....vo toh uske husband hain na but then she thinks about their contract ...nahi ye thik nahi hai…Unhe uske sath aise behave nahi karna chahiye hai...

Azlan bhi soch raha hota hai....Azka ka shock ho jana....Use pta hai ki Azka confuse ho rahi hai...Par vo use sab kuch abhi nahi samjha sakta ....Jo ho raha hai vahi thik hai..

Raat ko Azlan jab ghar aata hai tab vo kitchen mei hoti hai Samra ke sath...after changing his clothes, Azlan wahin aa jata hai…

Azlan: Samra jao Zara mom ke paas ...dekho unhe kuch chahiye toh nahi….

Samra goes from there....Azka also tries to go but Azlan comes in her way…

Azlan: Tum kahan ja rahi ho?

Azka: Aunty ke paas hi…

Azlan: Samra gayi toh hai...tum aao Zara room me…

Azka: kyun ....kya kaam hai?

Azlan: koi kaam nahi hai..aise hi…

Azka: mujhe aunty ke paas jana hai...

Azlan: Kyun jana hai…Abhi koi jarurat nahi hai….tum bas mere sath ja rahi ho room mei abhi…

Azka: Nahi….main nahi ja rahi kahin bhi aapke sath…aunty ke paas hi jaungi…

Azlan: jao fir...main mom ke saamne tumhe bulaunga aur bol dunga tum aa nahi rahi...

Azka: kya kaam hai aapko mujhse?

Azlan uska hath pakadta hai aur sidha room mei le jata hai....then he locks the door... Azlan Azka ko dekhta hai aur samajh jata hai ki she is again nervous about the whole thing....He makes her sit on the bed and sits beside her..vo sarak jati hai thoda dur...he smiles seeing that ..

Azlan: kya hua hai tumhe?

Azka: mujhe kuch nahi hua ...jo hua hai aapko hua hai...kal raat se pta nahi kaisi kaisi batein kar rahein hai...kya kya kiye ja rahein hain...

Azlan: Maine kya kiya hai?

Azka: Aapne door kyun lock Kiya abhi….

Azlan: Tumse baat karni hai..

Azka: Toh darwaza khula rakhke ke bhi baat ki ja skti hai…

Azlan: haan ki ja skti hai...par mujhe nahi karni thi...main nahi chahta hame koi disturb karein…

Azka; Dekhein aap na mujhse aisi batein na kiya karein….

Azlan: toh fir kisse karu...apni biwi se hi karunga na….

Azka: Kya baat karne laayein hain aap yahan?

Azlan: kuch khas nahi…aise hi…

He keeps looking at her lovingly toh Azka conscious ho jati hai uske iss andaaz se…Vo uthke jaane lagti hai...toh Azlan uska hath pakad ke use dobara betha deta hai and then entwines their fingers...

Azka ko toh jaise current lag jata hai....,par vo kuch na bol pati hai aur na hi hath chhuda pati hai...vo bas sar jhukaye bethi hoti hai….usse kuch hota hi nahi hai….

Azlan usi ko dekh raha hota hai aur uski haalat samajh raha hota hai....shayad pehli baar kisi ne is tarah se Azka ko chhua hai...use bahut acha lagta hai ye sochkar...

Azlan: Azka idhar dekho…

Azka uski taraf dekhti hai toh vo puchta hai...kya hua hai…

Azka: Kuch nahi…

Azlan: toh fir chup kyun ho tum...maine toh abhi kuch kiya bhi nahi aur tum aise…

Azka looks at their entwined hands but does not speak...Azlan also notices this...he tightens his grip…

Azlan: Azka...kyun nervous ho tum itna...main husband hu tumhara....

Azka kuch bhi nahi bolti...

Azlan: Tumhe acha nahi laga mera touch karna…

Azka uski taraf dekhne lag jati hai...vo kya jawaab de ..use bura laga kya...aisa toh nahi hai...par use achha lagna chahiye kya...nahi.. Azlan Sahab uske husband hai par fir Contract marriage bhi toh hai.. use toh sab chhodke jana hai…fir ye sab kyun kar rahein hain vo ab…ye sab toh galat hi hua na….

Azlan uske face pe aate sare utaar chadav dekh rha hota hai...use pta hai Azka bahut confused hai ...but Azlan ko ye tassali ho jati hai ki Azka ko shayad bura nahi laga...

Azlan: Azka....kuch toh bolo….

Azka: Mujhe nahi pta….

Azlan smiles....acha nahi pta..vo uske thoda kareeb aa jata hai and out of reflex Azka closes her eyes...then he just looks at her face...so innocent....He just kisses her forhead and slightly moves away....Azka opens her eyes and then niche dekhne lag jati hai...Azlan usko dekhta rehta hai...then vo uska hath chhod deta hai...

Azka apni jagah pe still bethi rehti hai ...use kuch samajh nahi aata…

Azlan: Azka....chalo dinner karte hain…

She just nods without looking at him...then they went out of the room

At the time of dinner…vo kafi lost hoti hai….Azlan usi ko notice kar raha tha…

Mom: Azka…dhyan kahan hai tumhara….dinner kyun nahi kar rahi…

Azka: ji…main kar rahi hu…

She looks at Azlan and he was already looking at her curiously….she breaks the eye contact….Uske dimag mei kafi kuch chal raha tha…ye kya ho gya abhi...usne unhe roka kyun nahi...use unhe apne paas nahi aane dena chahiye tha…par sari cheejein apne aap ho rahi hai…fir bhi Usko unhe mana kar dena chahiye tha ....Pta nahi vo usse kya chahte hain...Par jo bhi hai galat hi toh hai ye…Uska Dil kuch keh raha hai aur dimaag kuch aur…par uska dil toh hmesha unke haq mei gawahi dega toh use apne dimag ki hi sunni chahiye....Hmm use unse durr rehna chahiye...yahi sahi hai...

Azka was in the mom’s room…

Aur apni situation se bachne ke liye dimag chala rahi hoti hai…Use idea aata hai…

Azka: Aunty vo main aaj aapke paas so jaun…

Mom: Mere paas…kya hua Azka….

Azka: vo na mujhe amma ki bahut yaad aa rahi thi toh maine socha aapke paas so jati hu…

Mom: beta par tum kal hi toh gayi thi apne ghar…

Azka: haan…vo toh hai…

Mom: sab thik hai na beta…

Azka: haan sab thik hai…bas mujhe yaad aa rahi thi…aapko koi aitraaz toh nahi hai na…she holds her hand….

Mom: Beta mujhe kya aitraaz hoga…tum mere paas rahogi toh…Azlan ko btaya hai tumne….

Azka: ummm….haan…maine unko bta diya tha …unhe koi aitraaz nahi hai…

Mom: Thik hai fir…mere paas hi raho..

Azka relieved feel karti hai…Wahan toh uska dimag hi kharab ho jana tha…Unhe toh pta nahi hua kya hai…kya harqatein karne lag gaye hain…Usne nahi sona wahan…unse Durr rehne mei hi bhalayi hai….

Azlan was waiting for her in the room…abhi tak aayi kyun nahi...aisa kya kaam hai ..Roz toh aa jati hai iss time tak....jaanke use intezaar karwa rahi hai...jab dekho Durr bhagti rehti hai hamesha....jab kafi deir ho jati hai toh use sabr nahi hota aur vo mom ke room mei aa jata hai…Azka wahin bethi hoti hai mom ke sath…

Azlan: Mom aapki tabiyat kaisi hai…

Mom: main toh bilkul thik hu beta…

Azlan: Achha…ok…nahi mujhe laga Azka yahin hai toh koi problem toh nahi ho gayi…

Mom: Problem…nahi…vo toh Azka mere paas so rahi hai na…toh isiliye…tumhe nahi pta tha....Azka tumne toh kaha tumne Azlan ko bta diya…

Azlan hairan ho jata hai ..…did she plan it…really?....he can’t believe this..

Azka uski taraf dekhti hai and pats herself in her mind..

Azka: Aunty maine toh btaya tha…bataya nahi balki maine puchha tha…pta nahi inhe shayad yaad nahi raha…Haina…

Azlan usko ghoor ke dekhta hai…

Azlan: haan mom…mere dimag se nikal gaya…main busy tha kaam mei jab puchha tha isne…main toh preshan ho gya tha ki kahin aapki tabiyat kharab na ho gayi ho…

Mom: Main bilkul thik hu beta…tum preshan mat ho…aur Azka toh hai hi mere sath…

Azka smiles at mom…

Azlan: ok…aap log kijiye batein fir……goodnight mom…

Mom: Good night beta…

Azlan stares at Azka once again and leaves the room…

Azka sighs and thanks the god ki all went well…Now she will be fine atleast for tonight…She can’t be with him when he is acting like this..

Azlan room mei wapas aa jata hai aur gusse mei bed pe aake beth jata hai…Azka ne jaan bhujh ke aisa kiya hai…shakal se toh itni innocent lagti hai aur planning dekhe koi iski…

Kafi deir ho gayi hoti hai aur use neend nahi aa rahi thi…he was getting frustrated…Vo itna bechain hain yahan aur vo wahan aaram se so rahi hogi…nahi aisa toh nahi hone wala....

Vo mom ke room ke paas jata hai aur bahar se hi usko msg karta hai…

Azlan: Azka bahar aao…

Azka unka message dekhke hairaan ho jati hai….akhir vo usko msg kyun kar rahe hain…

Azka: kyun? Kya hua?

Azlan: kuch nahi hua…bas bahar aao tum…

Azka: main nahi aa rahi…

Azlan: thik hai…agar tum bahar nahi aayi thodi deir mei toh main andar aa jaunga…

Azka: Aa jayein….aana hai toh…usse kya hota hai…

Azlan: Mom uth jayengi aur tum jawaab dogi fir ki tumhara husband kyun aaya hai itni raat ko tumhare paas….

Azka: haan toh aap khud aaye hain…aap hi se puchhengi....

Azlan: Main kahunga tumne bulaya tha…

Azka: Maine kab bulaya aapko…aap jhoot bolenge…

Azlan: Haan main toh yahi bolunga…

Azka: toh main aapke ye messages dikha dungi…

Azlan: dikha dena…mom tab bhi samajh jayengi jo samajhne wali baat hai…

Azka: Aapke sath na koi masla ho gya hai jo aap aisi harqatein kar rahein hain...

Azlan: haan toh…aise hi thik hu main…bahar aao jaldi…

Azka bahut frustrate hoti hai…itni planning ki usne…tab bhi koi faida nahi… aur vo bahar aa jati hai…Azlan wahin khada hota hai with a smiling face…Azka stares at him…vo uska hath pakadta hai aur sidha room mei le jata hai…

Azka: Kya kar rahe hain aap…chhode mujhe…

Azlan: aur jo tumne kiya…

Azka: maine kya kiya hai…

Azlan: Azka…

Azka: kya…mujhe ammi ki yaad aa rahi thi toh main aunty ke paas so gayi…ismei kya galat baat hai…

Azlan: Mujhe sab pta hai tumne kyun kiya ye…jhoot mat bolo…

Azka: Dekhein …aunty uth gayi aur mujhe wahan nahi dekha toh preshan ho jayengi….

Azlan: kuch nahi hota…vo samajh jayengi ki tum mere paas ho…

Azka: haan toh ye bhi achhi baat thodi hai…jaane dijiye mujhe…kya sochengi vo…

Azlan: Toh ye plan karne se pehle sochti na ki mom kya sochengi…

Azka: aap mujhe jaane dijiye…aapko batein sunani thi na toh ho gya bas…

Azlan: nahi yahin raho…kahin nahi ja rahi tum…

Azka: main kyun rahu…mujhe nahi rehna…aapki mom ke paas hu main aapko toh khush hona chahiye…

Azlan: hmm…tum ye sab planning karo and I should be happy about it….

Azka: jaane dijiye na…achha nahi lagta aise…unhe Maine khud bola tha...

Azlan: Achha baad mei chali jana fir…okay…

Azka: baad mei kyun….abhi kya dikkat hai…

Azlan: Mujhe neend nahi aa rahi…main so jaunga fir chali jana….

Azka: Toh sone ki koshish kijiye….aa jayegi neend…maine kya karna hai ismei…

Azlan: bas mere paas raho…

Azka: Main kyun rahu….main ja rahi hu…maine thodi sulana hai aapko…

Azlan: Azka...mat jao please…

Azka irritate ho jati hai…….kaisi batein karne lag gaye hain ye…Akhir chal kya raha hai...

He just lies on the bed and pats the place beside him…

Azka ko kuch samajh nahi aata toh vo jaati hai aur usse thodi dur beth jati hai…Azlan turns around and aur uske paas aa jata hai ..Azka tries to move away but he lays his head in her lap and holds her left hand…Azka ekdum se freeze ho jati hai…

Azka: Aap ye kya…please aap…vo hath chhudane ki koshish karti hai…

Azlan: hilna band karo…sone do mujhe…agar main nahi soya toh tumhe bhi nahi sone dunga…fir yahi rehna saari raat mere paas...

Azka looks at him…he has his eyes closed…use kuch samajh nahi aata…Azlan Sahab ko sach mei kuch ho gaya hai…Par use toh durr rehna tha lekin vo jitni bhi koshish kare sab bekaar....thodi deir baad....She again looks at him…He was looking so peaceful in his sleep…Azka smiles… she tries to remove her hand but even in his sleep..he tightens the hold…so she just keep sitting there and moves her fingers in his hairs….With one hand in his grasp and another in his hairs…she also closes her eyes….

In the morning…Azlan wakes up first and looks at his surroundings… then he realizes he is still lying with his head in her lap…and her hand is still in his hold…he smiles…feels very happy…Azka was here with him all night…he looks at her…Vo aise hi so gayi bethe bethe…he kisses her knuckles…she stirs because of that…she looks around and then at him…he was smiling at her…suddenly she realizes ki vo yahan hi so gayi…use toh aunty ke room mei jana tha…

Azka: Uthiye jaldi se…

Azlan hairaan ho jata hai ki isko kya ho gya abhi abhi…

Azka: Uthiye na aur hath chhodein mera aap…main yahin so gayi mujhe toh jana tha…

He leaves her hand but does not move himself…

Azlan: kahan jana tha tumne…

Azka: aunty ke paas aur kahan…

Azlan: Kuch nahi hota Azka…yahin thi na tum toh bas…

Azka: aap toh bas rehne hi dijiye…sab aapki wajah se hua hai…pta nahi aunty kya soch rahi hongi….uthiye na….

Azlan gets to the sitting position…

Azlan: kuch nahi sochengi mom…tum mere paas thi na toh kya ho gya…preshan hone ki kya baat hai…

Azka koi jawaab nahi deti aur foran bed se utarkar room se bahar bhag jaati hai…

Azlan just shakes his head seeing her behaviour… Duniya ki pehli wife hogi jisko iss baat ka tension hai ki vo raat ko apne husband ke sath thi…Only Azka has the capability of thinking this....

Azka kafi ghabrayi hoti hai,…Pta nahi aunty uske barei mei kya soch rahi hogi…Ek toh khud hi unke sath sone ka bola…aur fir vo wahan chali gayi Azlan Sahab ke paas…Kitni sharm ki baat hai…

Azka mom ke room mei jati hai…

Azka: good morning aunty…

Mom: Good Morning beta…

Azka: Aunty vo kal raat mei wahan…

Mom: Koi baat nahi…

Azka: nahi Aunty…main yahan hi thi par main baad mei..

Mom: Tumhe Azlan le gaya hoga…

Azka: Aisi baat nahi hai…Vo toh bas...

Mom: Main janti hu usko…uska mann nahi lagta tumhare bina…Mujhe toh pehle hi lag raha tha ki usne tumhe yahan sone ki permission bhi kaise dedi…

Azka: Nahi nahi…aisa kuch bhi nahi hai aunty…

Mom: Azka kyun preshan ho rahi ho…main toh bahut khush hu…tum dono mei itni mohabbat hai…mujhe pta hai Azlan tumhare bina bilkul nahi reh sakta…Allah tum dono ka joda aise hi banaye rakhe…

Azka just smiles at mom and says nothing…

Ek toh ye ajeeb si harqatein kar rahein hain aur yahan aunty ko galatfehmi ho rahi hai ki mujhse bahut mohabbat karte hain…

Azka room mei wapas aati hai aur Azlan wahin betha hua hota hai bed pe checking his phone…

Azlan: Mil liya mom se tumne…

Azka nods…

Azlan: Toh kya kaha mom ne…

Azka: kuch nahi…unhe bura nahi laga…

Azlan: maine tumhe kaha hi tha ki mom kuch nahi kehengi…tum bekaar mei preshan ho rahi thi…

Azka: Unhone kuch nahi kaha iska matlab ye nahi ki ye sahi hai…Achha thodi lagta hai aise…

Azlan: kya achha nahi lagta….mere paas hi thi na tum toh ismei kya hai… aur vaise bhi mom ko pta hai ki maine hi tumhe bulaya hoga…

Azka: Aapko kaise pta…Aunty ne mujhe ye kaha hai…

Azlan: Azka vo meri mom hain…mujhe jaanti hain aur tumhe bhi…unhe pta hai tum kabhi bhi aise nahi kar sakti aur main aisa hi karunga…

Azka: Hmm .....Unhe kafi galatfehmiyan bhi hain…

Azlan: kaunsi Galatfehmi?

Azka koi jawaab nahi deti and washroom mei chali jati hai…

Azlan just shakes his head…Pta nahi kya kya chalta hai iske dimag mei…

After the breakfast…Azlan stands up..

Mom: Azka jao beta…Azlan ke sath bahar tak…

Azka: aunty…vo inhe pasand nahi hai ye sab…toh fir…

Azlan hairani se use dekhta hai…ab ye kya kar rahi hai…

Mom: Azlan sach mei?

Azlan: Nahi toh mom…maine toh aisa kuch nahi kaha…pta nahi ise meri koi baat buri lag gayi shayad…Azka kya hua..

Azka hairan ho jati hai ye sunkar…Vo toh hamesha baat maan jate hain uski unki mom ke saamne…Ye ulta kaise bol gaye…

Mom: haan Azka…Tumhe koi baat buri lagi hai kya…

Azka: Nahi toh Aunty…aisa kuch nahi….maine hi shayad galat samajh liya…ja rahi hu main…

Azka uth jati hai and Azlan ke sath bahar aane lag jati hai…Azlan keeps smiling on his victory…

Azlan: Kamaal hai….Kuch jyada hi dimag nahi chalane lag gayi ho tum…

Azka: Aapko nahi lagta …ki aapko meri haan mei haan milani chahiye thi…pehle toh maan lete the…

Azlan: Main kyun maanu aisi koi baat…Apna nuksaan khud kyun karunga…

Azka: Achha…Nuksan…Time is money…pta hi hoga aapko toh jayein office…yahan khade khade time na waste karein..

Azlan: bilkul pta hai…par main toh time waste kar hi nahi raha…Invest kar raha hu…

Azka: invest?

Azlan: Hmm…and I am gonna get huge profit out of this…

Azka: Aap jayein bas ab….

Azlan looks her in the eyes….then on an impulse pecks her cheek…. smiles at her and leaves…

Azka shock ho jati hai…she touches her cheek…Ye aise kaise kar sakte hain….hadd ho gayi hai…itna kyun free ho rahein hain uske sath…ye sab galat hai…nahi vo ye sab bardasht nahi karegi ab….kuch bhi karte ja rahein hain..

Azlan gets free from his meetings…Its already afternoon….he thinks about Azka….he remembers the morning incident and feels happy ….Azka ki shakal dekhne layak thi…Akhir vo kya kar rahi hogi abhi…Sahi galat ka hisaab laga rahi hogi…Azka usko rok nahi pati…shayad uska dil bhi uski taraf khichne laga hai…Varna Azka usko kabhi bhi apne paas na aane deti…Azka bhi maanti hai ki vo uski biwi hai……He calls her…

Azka uski call dekhke tense ho jati hai…Kyun phone kar rahein hain usko…ab aur kya baaki hai…subah kam harqatein karke gayein hain…main utha hi nahi rahi …the ring stops…She feels relieved…but again her phone starts ringing…It is him again…so she picks up…

Azka: hello…

Azlan: Kahan thi tum….phone kyun nahi utha rahi thi…

Azka: main bahar thi…abhi aayi room mei toh aapki call dekhi…

Azlan: Achha…abhi kya kar rahi ho…

Azka: Kuch nahi…Aapne kaise phone kiya…aap toh busy hote hain na office mei…

Azlan: hmm…abhi meetings khatam ki hain kuch…so I have some time to spare before my next meeting…

Azka: Hmmm….toh btaiye…kya kaam hai aapko mujhse…

Azlan: koi kaam nahi hai…

Azka: Toh mujhe kyun phone kiya hai…

Azlan: aise hi…mujhe tumse baat karne ka mann kar raha tha…

Azka: Kyun?

Azlan: Kyun ka kya matlab…iska bhi koi reason hota hai kya…

Azka: Azlan Sahab…aap please mujhe preshan mat kijiye…aap jo subah harqat karke gaye hain na…aapko mujhe bilkul call nahi karni chahiye thi uske baad….

Azlan: tum us baat se naraaz ho…

Azka: naraaz…seriously…mera toh pta nahi kya kya hona banta hai iss baat pe…aap mujhse free kyun ho rahe hain itna…namunasib harqatein kar rahein hain aajkal…aap mujhse durr rahiye…

Azlan: maine koi bhi galat harqat nahi ki…aur durr rehne se kya matlab hai tumhara…

Azka: Aapne bahut galat harqat ki hai aur karte aa rahein hain…aapko hamara contract ye ijaajat nahi deta ki aap mere sath…samjhiye meri baat ko…aap aise toh nahi the…hua kya hai aapko…

Azlan: tum meri biwi ho…samajh rahi ho tum…toh main aisa kuch bhi karu….vo galat nahi hai kisi bhi lihaaz se…aur maine abhi toh kuch kiya hi nahi hai…aur contract ne mujhe kya permission deni hai….contract ki baat mat kiya karo mujhse… uske barei mei ham alag se baat karenge…uska iss sab se koi vasta nahi hai…

Azka: Ye jo aap aisi batein karke khud ko justify kar rahein hain na….main nahi maanti....bas mere kareeb aane ki koshish mat kiya karein…ye sab thik nahi hai…mujhe ye sab pasand nahi....

Azlan ko uska ye sab kehna bahut bura lagta hai….use gussa aane lag jata hai…

Azlan: Azka bekaar ki batein mat karo mujhse…kya chahti ho tum…main abhi ghar aa jaunga…aur fir main dekhta hu ki tum kaise durr rehti ho mujhse…aur agar tumhe mera kareeb aana itna bura lagta hai toh roka kyun nahi mujhe…kuch kaha kyun nahi…

Azka chup ho jati hai bilkul…usko koi words nahi milte…Azlan Sahab jo bhi kar rahein hain uske sath …usne roka bhi nahi …uski mohabbat use kamjor kar rahi hai unke saamne…par iska matlab ye thodi hai ki vo apni manmani karein…Kal shaam bhi aur aaj subah bhi unhone jo kiya thik toh nahi tha...

Azlan: ab kyun chup ho tum…tumhe bhi pta hai Azka ….hamare bich kuch bhi galat nahi hai…As your husband mera tum par poora haq hai aur as my wife tumhara mujh par…Samajh rahi ho tum…

Azka: hamare bich contract hai…

Azlan: hamare bich nikaah bhi hai Azka…maanta hu contract bhi hai…fir bhi tum meri wife ho officially and legally…

Azka: kuch waqt ke liye bas?

Azlan ko aur gussa aa jata hai...

Azlan: kuch waqt ke liye? …ye bhi maan liya…thik hai..toh bhi biwi ho meri…sab zayaz hai…

Azka: toh aap kehna chahte hain ki jab tak hamara rishta hai miya biwi ka…tab tak aap mere sath kuch bhi kar sakte hain…aur mujhe koi aitraaz nahi hona chahiye kyunki main toh aapki biwi hu…aapka haq hai mujhpe…aur vo aap bas apna haq istemaal kar rahein hain…

Azlan uski batein sunke surprised ho jata hai…Shayad vo galat samajh rahi hai…uska matlab ye nahi tha…

Azlan: Azka main ye nahi keh raha tha…please tum….

Azka: aap na mujhse baat hi mat kijiye ab….aur vo gusse mei phone kaat deti hai…

Azlan apna phone dekhta reh jaata hai…ye kya ho gya achanak…use thoda soch samajhne bolna chahiye tha....vo hyper kyun ho gaya itna....vo toh ye bilkul nahi keh raha tha…Azka ne toh sab galat samajh liya …ab vo kaise manayega….he immediately calls his PA to cancel his meetings for tha day and heads towards home…

Azka was very hurt by his words…itne dino se vo dono sath hain lekin itna dukh use kabhi nahi hua….vo akhir kehna kya chah rahe the…unhone use samjha kya hua hai….ab vo yahan nahi rahegi chahe use abhi apne gharwalo ko sab kuch btana padhe…vaise bhi unhe alag hi hona tha aur ab toh koi jawaaz nahi banta uska yahan rehne ka…Use Aunty se apne ghar jaane ka puchh lena chahiye…vo unhe keh degi ki vo kuch din vahin rahegi aur baad mei vo khud bta denge apni mom ko…aur vo ek baar aake yahan aunty se maafi mang legi baad mei…

Azka mom ke room mei jaati hai…

Azka: aunty vo main apne ghar ja rahi thi kuch dino ke liye…

Mom: Sab khairiyat beta…

Azka: Haan…vo bas ammi bula rahi thi…main hamesha agle din hi wapas aa jati hu…toh vo israar kar rahi thi….main chali jaun…

Mom: Haan haan beta…mujhe koi aitraaz nahi…par Azlan ko puchhlo…

Azka: Unhe main bta chuki hu…unhe koi aitraaz nahi hai…

Mom: Thik hai beta jao tum…mujhe koi aitraaz nahi...

Azka: Jii aunty…

Azka feels very emotional and hugs her....

Mom: kya hua Azka...koi baat hai kya...

Azka: nahi vo jyada din ke liye ja rahi hu na bas isiliye...

Mom: Achha ..kher se jao aur kher se wapas aao...

Azka ko bahut dukh hota hai wahan se jaate huae…use pta tha ki usko yahan se jana hai ek din par iss tarah se usne ye nahi socha tha….Azlan Sahab usse iss tarah ki baat kahenge usne kabhi nahi socha tha...aur vo wahan se apne ghar chali jati hai…

To be continued❤️❤️❤️

swetha10 thumbnail
17th Anniversary Thumbnail Sparkler Thumbnail + 3
Posted: 3 years ago

Lovely update..

Azlaan teasing Azka was very cute.. aww poor Azka is so confused..

I am really enjoying the naughty Azlaan..

Wonder how he will pacify the angry Azka…

Can’t wait for the next one..

Thank you for the update..

Cheers

kamleshmehra thumbnail
6th Anniversary Thumbnail Visit Streak 90 Thumbnail + 2
Posted: 3 years ago

Originally posted by: swetha10

Lovely update..

Azlaan teasing Azka was very cute.. aww poor Azka is so confused..

I am really enjoying the naughty Azlaan..

Wonder how he will pacify the angry Azka…

Can’t wait for the next one..

Thank you for the update..

Cheers

Thank you very much❤️

Azlan is love ..He was handling the situation in his own way.....Azka is confused but Azlan will make her understand...

Will try to update as soon as possible😊

prohelika thumbnail
12th Anniversary Thumbnail Visit Streak 30 Thumbnail + 3
Posted: 3 years ago

Awwww..... What a lovely update it was!

Azlan tries his best actually. He is building his path to the real confession. He giving her hints but she is reluctant to accept anything.

The sleeping scene... ❤️ cute Azlan and his stubbornness.

The hand intertwined... Ufff

The forehead kiss... Such a blessing type innocent feelings.

The morning good bye kiss that forced our Azka to leave the house... Sweet!

Eagerly waiting how Azlan get her back to home, how she manage to see his sincerity, how she become little soft towards him and worried about him or his well being.

The whole journey of these two... Really amazing.

Will we get an update today or tomorrow or....???

Keep writing, it’s refreshing (even though drama ended month ago, I am still attached to it through stories, thank you for that)

kamleshmehra thumbnail
6th Anniversary Thumbnail Visit Streak 90 Thumbnail + 2
Posted: 3 years ago

Originally posted by: prohelika

Awwww..... What a lovely update it was!

Azlan tries his best actually. He is building his path to the real confession. He giving her hints but she is reluctant to accept anything.

The sleeping scene... ❤️ cute Azlan and his stubbornness.

The hand intertwined... Ufff

The forehead kiss... Such a blessing type innocent feelings.

The morning good bye kiss that forced our Azka to leave the house... Sweet!

Eagerly waiting how Azlan get her back to home, how she manage to see his sincerity, how she become little soft towards him and worried about him or his well being.

The whole journey of these two... Really amazing.

Will we get an update today or tomorrow or....???

Keep writing, it’s refreshing (even though drama ended month ago, I am still attached to it through stories, thank you for that)

Thank you very much dear for liking the update❤️

Azlan did try his best but obviously Azka misunderstood everything...Well she is well within her rights to think so as she does not know about his feelings...the contract vs marriage thing is still there...

The sleeping scene was not part of it ..I wrote it later separately and added there ..even the goodbye kiss was added later....I just keep on adding and deleting many scenes...so that's why slow updates.....I really love Azlan's cute and stubborn behaviour and Azka' s reactions...

Let's see how will he bring her back home....

Update will be soon but not tomorrow🙈...

Thank you so much again for reading and reviewing it😊...yes stories are the only way to connect...So I am trying...

kamleshmehra thumbnail
6th Anniversary Thumbnail Visit Streak 90 Thumbnail + 2
Posted: 3 years ago

Azlan and Azka's Fanfiction:

1st Part- Pg 38

2nd Part- Pg 40

3rd Part- Pg 43

4th Part- Pg 44

5th Part- Pg 46

6th Part- Pg 47

7th Part- Pg 48

Part 8

Azlan ghar pahuchkar sidha apne room mei jata hai…wahan Azka nahi hoti toh vo mom ke room mei aa jata hai…

Mom: Azlan tum yahan is waqt…

Azlan: Haan mom kuch kaam tha…Azka kahan hai?..

Mom: Azka?... vo toh apne ghar gayi hai na….

Azlan: Apne ghar?

Vo ghabra jata hai kafi ye sunke..Vo use chhod ke chali gayi…

Azlan: Mom usne kya kaha aapko…kyun gayi hai…

Mom: Yahi ki uski ammi use bula rahi hain kuch dino ke liye….tumne khud ijaajat di hai na use…..

Azlan thoda relieved feel karta hai…thank god usne mom ko kuch nahi bola…par apne gharwalo ko bta diya toh…aur unhone talaak ka bol diya toh…

Azlan: haan mom…bas mujhe pta nahi tha ki abhi chali jayegi….

Mom: Achha…

Azlan wahan se apne room mei wapas aa jata hai…Azka toh shayad wapas na aane ke iraade se gayi hai…Vo uski baat se bahut khafa hai…ab tak usne kya ka kya soch liya hoga…aur he is sure galat hi socha hoga….uske gharwalo ko agar contract ka pta chal gya …toh vo toh use uske sath nahi rehne denge….nahi…use Azka ko wapas lana hoga….par vo nahi mani toh…vo kya karega…nahi use kaise bhi karke use manana hoga…Azka usko chhod nahi sakti aise....

Azlan sham ko uske ghar jata hai…wahan uski mulaqat uski ammi se hoti hai…he greets her and asks about her....

Azka’s Mom: Beta kuch hua hai kya tum dono ke bich…

Azlan: Aunty usne kuch kaha hai aapse…

Azka’s mom: Nahi usne toh kuch nahi kaha…sirf ye kaha ki vo kuch dino ke liye mere paas rehne aayi hai…par vo bahut preshan hai tabse aur mujhse kuch jyada baat bhi nahi kar rahi…

Azlan bahut sharminda feel karta hai....

Azlan: Vo naraaz hai mujhse…

Azka’s mom: Hmm mujhe laga hi tha ki kuch hua hai…

Azlan: Main usse baat kar sakta hu?

Azka’s mom: haan bilkul beta….vo tumhari biwi hai…tumhe kisi ki ijaajat nahi chahiye usse baat karne ke liye…

Azlan nods and heads towards her room…he does not knock and directly enters…vo bed pe bethi hoti hai… ankein band kiye…door ki awaaz sunke vo ankhein kholti hai…

Azka: Aap yahan kyun ayein hain?

Azlan: Azka…tum yahan chali aayin…

Azka: haan aur main yahin rahungi ab…

Azlan aata hai aur uske saamne beth jata hai…

Azlan: Azka tumne meri baat ko galat samjha hai…mera vo matlab nahi tha…

Azka: Aapka vahi matlab tha…aapne saaf saaf kaha tha…

Azlan: Nahi…main kyun karunga aisi baat tumse…

Azka: Aap kar chuke hain…aur mujhe aapse vaise bhi ab koi baat nahi karni…aap samajh gye honge main kya chahti hu…

Azlan: Azka....I swear mera vo matlab nahi tha…agar aisa kuch bhi karna hota toh main itna wait kyun karta…pehle hi vo sab na kar leta…

Azka: toh kar lete…mujhe pehle hi pta chal jata ki aap kya chahte hain mujhse…

Azlan: Tum ye kaisi batein kar rahi ho…tum mujhe aisa samajhti ho...

Azka kuch nahi bolti...Vo unhe Aisa nahi samajhti thi par unhone Jo kiya aur fir uske baad Jo kaha usko...uske baad use kuch nahi samajhna...

Azlan: Azka please...try to understand...main vaisa nahi keh Raha tha...I am sorry maine soche samjhe bina tumse aise bol diya...I should have been careful about my words lekin mera intention tumhe leke bilkul bhi galat nahi hai...Tum meri wife ho....main kyun tumhare sath kuch bhi galat karunga....

Azka tries to understand his words but simply fails...agar unka aisa iraada nahi toh fir Aisa kar hi kyun rahe the... ye ek contract marriage hai...vo unke sath unke ghar unke room mei rehti hai ..sirf isiliye ki she trusts him....jab unka future sath hai hi nahi toh fir ye sab toh galat hi hua na...

Azka: Toh fir aap ye sab kyun kar rahe the ..

Azlan: Tumhe kuch bhi samajh nahi aaya...

Azka: Main kya samjhu....aapne mere sath contact Kiya hai...aur main maanti hu hamara nikaah bhi hai ..aap mere husband hain...ye bhi maanti hu...lekin hamara rishta toh aisa nahi hai na....hamara talaak hone wala hai...toh aap bataiye jo aap kar rahe the kis hadd tak sahi hai....kya main koi samaan hu ki main jab tak aapke paas hu aap istemaal kar sakte hain...aur aapki justification ye hai ki main aapki biwi hu aur aapka haq hai mujhpe...aur agar main aapko nahi rok saki kisi bhi wajah se...toh aap kuch bhi kar sakte hain mere sath...

Azlan uski batein sunke shock ho jata hai....Uska aisa kuch matlab nahi tha... Use bilkul pta nahi tha ki Azka itni hurt ho jayegi...

Azlan: Azka tum ye sab kaise soch sakti ho...tumhe lagta hai main iss tarah ki harqat karke tumhari insult karunga....tum itne dino se mere sath ho...tumhe kabhi bhi aisa laga ki you are not safe with me.....maine tumse Jo bhi kaha uske liye I am really sorry...par believe me...mere kehne ka ye matlab bilkul nahi tha ..

Azka: Toh fir kya matlab tha aapka...

Azlan: Main……Azka main sirf tumhe ye samjhana chahta tha ki we are husband and wife aur hamare bich agar kuch bhi ho toh vo galat nahi hai...

Azka: Chahe hmara talaak hone wala hai...tab bhi...

Azlan: Nahi...

Azka: toh fir...

Azlan: Main tumhe talaak nahi de raha tha....Main toh kabhi bhi tumhe nahi chhod sakta...tum meri biwi ho aur tum hi rahogi.... Contract se koi fark nahi padhta mujhe...mere liye uske koi maayne nahi hain ab...

Azka uski batein sunke shock ho jati hai...

Azlan: tumhe hairani ho rahi hai Shayad...tumhe kya laga tha ki agar main tumhe chhodna chahta toh tumhare kareeb aane ki koshish karta...Main tumhari bahut izzat karta hai aur kabhi bhi tumhare sath kuch galat nahi kar sakta...I am sorry meri wajah se tum itna hurt ho gayi...par mera aisa koi bhi iraada nahi tha...

Azka: Aapne khud hi decide kar liya sab...mujhse kyun nahi puchha...agar main talaak chahti hu toh....

Azlan: Main tumhare sath rehna chahta hu...kisi bhi haal mei tumse alag nahi ho sakta...

Azka: Hamare bich contract hai aur sirf islye ki ab aap use nahi maante usse koi fark nahi padhta...

Azlan: Azka tum ab bhi...ye sab...

Azka: Aapko kya lagta hai ..aap jab jaisa chahenge main vaisa karu...aap kahenge ki contract marriage karni hai aur main tumhe fir talaak de dunga...fIr ye ki meri mom ko abhi tumhari jarurat hai toh kuch din ke liye sath raho…..fir aap kahein meri mom ke liye yahin ruk jao...ab aap keh rahein ki aap contract nahi mante aur mujhse alag nahi hona chahte...toh main vo karu jo aap chahte hain...Kyun....kal ko aap kahenge ki nahi galat decision le liya tha...Talaak dena chahta hu...toh bataiye kyun Manu main aapki koi bhi baat...

Azlan: Azka tum galat samajh rahi ho...

Azka: Nahi...main bilkul sahi samajh rahi hu...Aapke badalte mood aur halaat ke hisaab se main apni zindagi ke faisle nahi le sakti..

Azlan: Aisi koi baat nahi hai...tumhe lagta hai main tumhare sath aisa karunga...main tumhe talaak nahi dena chahta...

Vo use talaak nahi dena chahte kyunki unki mom use bahut chahti hain aur Azlan Sahab apni mom ko….Uske aane se unka ghar sambhal gaya hai shayad islye bhi…ya pta nahi aur bhi koi wajah hogi…use nahi pta…

Azka: Lekin main chahti hu..hamare bich pehle hi sab baat ho chuki hai..toh bas mujhe talaak dein aur sab khatam karein...

Azlan ko bahut gussa aa jata hai uski baat sunkar...vo kuch bhi samjhne ko taiyaar hi nahi hai...

Azlan: Main talaak nahi dunga...

Azka: Kya matlab hai aapka nahi denge .. contract hai hamare bich...aapne khud hi Kiya tha ..

Azlan: nahi maanta main koi contract...main tumhe nahi chhod sakta bas...

Azka ko samajh nahi aata..vo kyun kar rahein hai aisa...uske liye vaise hi sab kuch itna mushkil hai...

Azka: Azlan Sahab mujhe talaak chahiye bas...aur kuch bhi nahi...aap please meri problems na badhaye..aur mujhe azaad karein iss rishte se…

Azlan: Azka main keh chuka hu main tumhe talaak nahi de sakta... tum kya meri baat nahi manogi… aur azaadi chahiye agar tumhe mujhse toh jao court se khula Lelo...

Azka uski baat sunke hairaan ho jati hai…Vo toh khud uske sath nahi rehna chahte the tabhi toh contract kiya tha…mana ab unke bich pehle jaisi koi badgumani nahi hai…par fir bhi…Khula??...

Azka: Aap chahte hain main khula lu?

Azlan: Lelo khula agar lena hai toh...Jo bhi reason dogi wahan main Maan lunga...koi safaai nahi dunga..

Azka: Aap kehna kya chahte hai...ki main aapke barei mei koi galat baat kahungi...aapko aisa lagta hai..

Azlan: Tum jaano vo toh..tumhare liye shayad sahi ho vo batein…kafi kuch ho chuka hai hamare bich….jo reason chahe de dena…..tumhe talaak chahiye na toh bas...Chahe main aisa nahi chahta...

Azka frustrate hone lag jati hai uske iss attitude se…

Azka: aap sari baat mujhpe daal rahein hain...talaak aap hi chahte the...vo contract aapne Kiya tha...maine nahi...

Azlan: main tumpe koi baat nahi daal raha...aur tum kaunsa mere sath rehna chahti thi... Ye baat ham dono jaante hain ki tum mujhe pasand nahi karti thi...

Azka: Toh aapko kaunsi mohabbat thi mujhse...aur aapne mujhse kuch puccha bhi nahi tha sirf apna faisla sunaya tha...Yaad hai na aapko ki main shaadi ke liye ready nahi thi aur contract marriage ke liye toh bilkul bhi nahi...

Azlan: Toh talaak ka zikar na karta toh tum Maan jati...…tab mujhe chhodne ki baat nahi karti…tum tab bhi mere sath rehna manjoor nahi karti…tumne khud kaha tha ki tumne mere sath rehne ka kabhi nahi socha…

Azka: mujhe nahi pta main kya karti....aur in baton ka ab vaise bhi koi matlab nahi….

Azlan: tumhe kyun kuch pta hoga…tumhe toh bas talaak chahiye...contract hi toh important hai bas…tumhe kaunsa koi parwah hai kisi ki....

Azka: Aapko toh jaise bahut parwah hai…

Azlan: Toh kya main tumhari parwah nahi karta Azka…btao….tumhara khayal nahi karta...

Azka: Mera vo matlab nahi hai…

Azlan: Toh kya matlab hai tumhara…

Azka: Aapne kyun bola fir ki mujhe koi parwah nahi hai…Kya nahi kiya maine bataiye…Sab kuch toh karti aayi hu aapke ghar ke liye…kaunsa farz nahi nibhaya…

Azlan: tum meri baat nahi maan rahi…kuch bhi samajhne ko taiyaar nahi ho…mere kuch bhi kehne ki tumhare nazdeek koi ahmiyat nahi hai....main kya chahta hu uske koi maayne nahi hai....toh btao kya parwah hai tumhe meri…

Azka: aap kyun ye sab keh rahein hain...Please mujhe talaak de dijiye…main aap par khula ka case nahi kar sakti...

Azlan: Kyun? Karlo file case...tumhe kya problem hai? talaak chahiye na…Kya fark padhega...

Dono ek dusre ko dekhte rehte hain...both were angry and hurt at the same time...Azlan ko bahut dukh hota hai ye sab kehte huae…Azka ki ankhon mei ansoo aa jate hai…Pehli baar unka iss tarah se jhagda ho raha hai…they are hurting each other…unke lafz ek dusre ko bas taqleef pahucha rahe the…

Azlan: Kya tum kisi aur se shaadi karogi mujhse alag hoke…

Azka: Main aapko jawaab de chuki hu iska…

Azlan: haan diya tha…par ho sakta hai ab tumhari soch badal gayi ho…

Azka: Aisa kuch nahi hua….

Azlan: Kabhi future mei shayad ho…tum karna chaho…Tumhe koi pasand ho ya aa jaye…

Azka ko bahut bura lagta hai…vo kis tarah ki baat kar rahe hain usse…

Azka: Aapko sharam aani chahiye mujhse aisi baat karte huae….

Azlan: hmm….kyunki main tumhara husband hu aur apni wife se mujhe aisi baat nahi karni chahiye…

Azka looks at him sadly….kyunki wajah yahi hai…

Azlan: kisi aur se shaadi nahi karna chahti tum…mujhe Husband maanti ho lekin mauka nahi dena chahti …Sath nahi rehna chahti mere….

Azka khamosh rehti hai…

Azlan: Azka tum meri biwi ho…aur tumhare alawa meri life mei koi nahi aa sakta…toh main tumhe talaak nahi dunga…agar tum kisi aur ke sath apni zindagi shuru karna chahti toh main tumhari khushi ke bich nahi aata lekin agar uss contract ki wajah se tum mujhe chhodna chahti ho toh ye nahi ho sakta…main hone nahi dunga…tumhare paas khula ka option hai…chaho toh koshish karlo…main khud se tumhe kabhi nahi chhodunga….mujhse nahi hoga…

Agar vo use talaak nahi denge toh na dein par vo kabhi khula nahi legi... She tries to calm herself down…

Azlan: Ek baat puchhu tumse…sach sach jawaab dogi…

Azka looks at him and nods…

Azlan: kya tumhe sach mei bura laga tha mere tumhe touch karne se ya jo bhi maine kiya…

Azka: Aapko bta chuki hoon ye main…

Azlan: Nahi…tumne kaha ye sab galat hai kyunki hamare bich mei contract hai… Sahi galat ka hisaab toh tumne apne dimag se lagaya hai… main tumse tumhare dil ki baat puchh raha hu…

Azka: mere paas koi jawaab nahi hai iska…aur aap mujhe jab pasand hi nahi karte toh iss sab ka matlab…

Azlan: Tumhe kisne kaha hai ki main tumhe pasand nahi karta…

Azka: Kisi ko mujhe kuch btane ki jarurat nahi hai…kitni baar Zahir ho chuka hai mujhpe ye…

Azlan: Ye jo kuch hua hai hamare bich uske baad bhi tumhe lagta hai ki main tumhe pasand nahi karta…Azka vo waqt beet gya hai…tab jo bhi hua tha hamare bich tum sab janti ho…Aur main tumse maafi mang chuka hu aur fir se mangne ko taiyaar hu…

Azka: Chahe aap mujhe napasand nahi karte ….. toh ye wajah kafi hai aapke liye mere sath rehne ki…

Azlan: Bahut sari wajah hain mere paas tumhare sath rehne ki… iss se bhi jyada important…aur main mom ki khatir nahi bol raha ye sab…apne liye bol raha hu…main nahi chahta ki hum alag ho….main tumhe pasand karta hu isiliye tumhare kareeb aana chahta hu na ki bas islye ki tum meri biwi ho aur mera tum pe koi haq hai…

Azka bas uski baat sunti rehti hai ...

Azlan: Agar tumhari mujhse shaadi nahi hui hoti aur kisi aur se hoti toh kya tum apni shaadi nahi nibhati…koshish nahi karti apne husband ke sath adjust karne ki…usse mohabbat karne ki…

Azka unka sawaal sunke hairan hoti hai…but still she nods in her reply…

Azlan: toh Main kya itna bura lagta hu tumhe ki tum mere sath rehne ki koshish bhi nahi karna chahti…. mujhe koi mauka nahi dena chahti ye jaante huae bhi ki main tumhare sath rehna chahta hu…

Azka: Nahi…Aisi koi baat nahi hai…

Azlan: Toh fir kyun mujhe chhodna chahti ho…ab toh main us contract ko bhi darkinar kar chuka hu...aur tumse maafi mangta hu uske liye bhi....Azka please bhool jao us contract ko…

Azka: Aapne mujhpe trust bhi nahi kiya kabhi…

Azlan: Aur main tumse kahoon ki main trust karta hoon fir…Azka us waqt ki baat aur thi…hamari situation different thi…Main different tha…tumhe samajhta bhi nahi tha….

Azka: Toh ab kya badal gaya hai….

Azlan: Sab kuch toh badal gaya hai…hamare halaat…jazbaat…waqt…meri soch aur main bhi…Tumhe kya lagta hai ki itne dino tumhare sath rehke main ab bhi tumhe nahi samjha…Main janta hu ki tum vaisi nahi ho jaise main socha karta tha pehle…

Azka: Ho sakta hai aapko dhoka ho raha ho...

Azlan: Dhoke mei toh main pehle tha....

Azka unki sari baat samajh rahi hoti hai...usne sab maan liya…par kya ye sab kafi hai...uski kisi aur se shaadi hui hoti toh shayad kafi bhi hota...Vo shayad kabhi apne shohar se mohabbat bhi kar leti aur shayad uske shohar usse...par yahan ye sab kafi nahi hai...vo toh unse mohabbat kar chuki hai aur sirf unki jarurat banke unke sath nahi reh sakti….Vo use sab kuch de sakte hain par shayad mohabbat nahi kar sakte... unhone toh hamesha hi Shanaya ji se mohabbat ki hai ...She tries to control her tears….

Azka: Aap please mujhe talaak de dijiye bas...mujhe aur kuch nahi kehna...

Azlan places his hand on her hand and she looks at him..he was looking very sad..

Azlan: kyun kar rahi ho mere sath aisa...badla lena chahti ho...mujhe tadpana chahti ho...

Azka: Aap kyun ye sab keh rahein hain....Main kyun karungi aapke sath aisa....

Azlan: Shayad tum mujhe maaf nahi kar saki meri sari galtiyo ke liye ..

Azka: Aisi koi baat nahi hai...hamare bich vo sare issues khatam ho chuke hain...

Azlan: Toh fir...kyun nahi maan rahi meri baat...kya mere barei mei tumhari soch zara bhi nahi badli…mujhe uss contract ke liye maaf nahi kar sakti….

Soch…uske toh Sari feelings badal gayi hain…

Azka: Maine aapko maaf kar chuki hu... please aap mujhse baar baar maafi mat mangiye..

Azlan: Toh fir Kyun Azka?

Azka: Azlan Sahab....main aapki sari baat samajh rahi hu . Aur ab main aapse bilkul bhi naraaz nahi hu...aap jo bhi kar rahe the uski wajah aap mujhe bta chuke hain...par main vo nahi kar sakti jo aap chah rahein hain ..

Azlan feels immense pain hearing this ..Azka too was feeling broken...she does not want to cause him any pain but she can't be with him....

Azlan: Azka tum kyun meri baat nahi samajh rahi...tumhe nahi chhod sakta main….

Azka takes a deep breath and then starts saying…

Azka: Main samajh rahi hu…aapke ghar ko mukammal karne ke liye aapko ek partner chahiye… I am sure aapko mil jayegi koi..aapko meri jarurat nahi hai...aapki mom bahut achhi hain…unhone mujhe itni jaldi apna bna liya sirf aapke liye toh I am sure vo kisi aur ko bhi apna lengi…..toh ham ye baat ab yahin khatam karte hain….

Azka uthke wahan se jaane lagti hai….

Azlan grabs her hand and looks at her…She looks at her hand and then at him…

Azlan: Agar main kahoon ki mujhe koi aur nahi chahiye bas tum chahiye toh…

Azka: toh main kahungi aapko aisa lagta hai kyunki aap ye maan chuke hain aapki mom sirf mujhe hi qubool karengi…

Azlan: Aur main kahoon ki mera dil bhi sirf tumhe hi qubool karega toh…

Her eyes widens....

Azlan smiles seeing her expressions…he stands from his position too ....

Azka was feeling confused,overwhelmed but she does not pull her hand back and looks at him in anticipation.

Azlan: Mujhe aur mat aazmao Azka.. mere paas tumhare alawa kuch nahi hai...Agar tumhe bhi kho diya toh mere paas kuch nahi bachega…. main tumhe talaak nahi de sakta…

Azka: Kyun?

Azlan starts caressing her hand and looks at her lovingly…..and she keeps looking at him god knows expecting what….She does not know what does she even want him to say at this moment…May be something that can change their life...she can’t say…...he closes his eyes...gathers his courage and then looks into her eyes...

Azlan: kyunki main tumse mohabbat karta hoon aur tumhare bina nahi reh sakta...

Tears finally fall from her eyes..

Main tumhe mazboor nahi karna chahta..main toh khud mazboor hoon apni mohabbat ki khatir.... mujhe khud nahi pta ki kab tumse itni mohabbat ho gayi par ye pta hai ki ab tumhare alawa kisi aur se mohabbat nahi kar sakta...Tum meri Zindagi ho Azka aur apni Zindagi se alag toh koi bhi nahi reh sakta….

Azka ko toh vo alfaaz nahi mil rahe the jisse vo apne dil ka haal bta sake... Use apni kismat pe yaqeen hi nahi ho raha tha ki Azlan Sahab usse mohabbat kar sakte hain...Uski mohabbat bhi mukammal ho sakti hai...

Azlan: Yaqeen nahi ho raha na meri baton par...

Azka smiles with tear filled eyes and shakes her head in no...

He places her hand on his heart...

Azlan: Dekhlo mera dil kitni zoro se dhadak raha hai...Mere lafzo pe nahi toh mere dil pe yaqeen kar sako shayad tum ..

Azka starts sobbing quietly….She feels very happy...

Azlan: kya ye wajah kafi hai Azka tumhare liye mere sath rehne ko..

More tears fall from her eyes and he wipes her tears..Azka holds his hand in her hand and nods in yes...

Azlan feels very happy seeing that... finally he can live his life with her without any fear of being abandoned....

Azka: Mujhe maaf kar dijiye .. maine aapko itna kuch keh diya ..mujhe aapse vo sab nahi kehna chahiye tha...aapko Samajhne ki koshish karni chahiye thi...

Azlan: nahi ...ismei tumhare koi fault nahi hai....Tumhe kuch pta nahi tha aur mujhe hi dhyan rakhna chahiye tha iss sab ka ...I am sorry ki tum itna hurt ho gayi ..

Azka: Please aap sorry mat boliye...

Azlan smiles at her...

Azka: Par agar maine sach mei koi demand ki…aapko blackmail kiya ya nikaahnama leke court chali gayi toh tab kya karenge…

Azlan smiles listening to that.....Agar tum na maani toh nikaahnama leke main court chala jaunga….aur bol dunga…meri biwi mujhe chhodne ki zid kar rahi hai aur main nahi chhodna chahta…aap puchhe isse kya problem hai ise mujhse....main toh bahut mohabbat karta hu isse...maafi maangne ko bhi tayyar hu...ye maan nahi rahi hai....

She then smiles at him and nods…

Azlan dekhta hai ki Azka ne uska hath abhi bhi pakda hua hai...

Azlan: Tum toh bahut bold ho gayi ho...pehle toh mujhe apna hath bhi nahi pakadne de rahi thi aur ab mera hath pakad ke khadi ho...

Azka immediately leaves his hand...

Azka: Aisi koi baat nahi hai ..vo flow flow mei ho gaya...

Azlan: Hmm abhi toh flow flow mei kafi kuch hona hai..

Azka: Aap fir se aisi batein karne lag gaye...

Azlan: Ab bhi na karu?....Azka ab toh kar sakta hu...

Azka just shakes her head in amusement..

Vo bahut khush hai aaj ....Vo usse mohabbat karte hain....ye ehsaas hi kitna khoobsurat hai.... Kya use bhi keh dena chahiye ki vo unse mohabbat karti hai...nahi....abhi nahi...

Azlan was feeling very happy…so he moves forward to hug her but Azka Immediately stops him…

Azka: kya kar rahein hain aap?

Azlan: Kya…ab kya galat hai ismei…

Azka ko samajh nahi aata ki kya reason de vo ...

Azka: Haan vo Darwaza khula hai aur ammi bhi hain niche…

Azlan: Toh vo yahan thodi aayengi…

Azka: Aa gayi toh…

Azlan: Nahi aayengi Azka… main hoon yahan pe abhi…

Azka: toh usse kya hota hai?...

Azlan sighs…

Azlan: kyunki Tumhara husband tumhare sath hai abhi toh koi bhi room mei nahi ayega…

Azka then understands what he is saying…

Azlan: Achha chhodo ye sab ... hum apne ghar chal rahe hain…

Azka: Abhi…main aaj hi toh aayi hoon…

Azlan: toh…

Azka: maine aunty ko bola tha ki main kuch dino ke liye yahan aayi hu….

Azlan: Tum kehna kya chahti ho?

Azka: yahi ki…main kuch din yahin rahungi aur fir aa jaungi ghar…

Azlan looks at her surprisingly…

Azlan: Nahi bilkul nahi…tum mere sath abhi ghar chal rahi ho…main tumhe yahan nahi rehne dunga..

Azka: Aise achha thodi lagta hai…maine aunty ko bola hai ki main aapki permission se yahan aayi hu…ab agar main aise ghar aa jaungi toh vo kya sochengi…kal raat ki baat bhul gaye aap…

Azlan: Mom kuch nahi sochengi…vo samajh jayengi ki main tumhe laya hu…

Azka: Nahi Aap please maan jaiye…ammi ko bhi maine kaha hai ki main kuch dino ke liye aayi hu…vo bhi kya samjhengi…

Azlan: Unhe pta ha ki tum mujhse naraaz hoke aayi ho…

Azka: Aapne unhe bta diya?…

Azlan: Vo pehle hi samajh gayi thi tumhari haalat dekhke…achha tum vo sab mat socho aur chalo…

Azka: Main keh rahi thi ki main reh leti kuch din…fir aa jaungi…

Azlan: Accha tum fir mujhse durr rehne ke bahane bna rahi ho….

Azka: main aisa kyun karungi….main toh bas keh rahi thi ki thik nahi lagta..

Azlan: Nahi…abhi ghar chalo…

He holds her hand again….Azlan maan hi nahi rha tha toh she agrees….chalein…

Vo dono niche aa jate hain aur Azka ki mom niche hi hoti hain aur unhe dekhke khush ho jati hai…

Azka: Amma main ghar ja rahi thi…vo..umm…main…

Azka’s mom: Azka…jao tum….mujhe sab pta hai…

Azka’s Mom also smiles at Azlan and Azlan greets her…and both of them returns home…

Azka mom ke room mei jake unhe milti hai…

Mom: Azka tum itni jaldi aa gayi…tum toh wahan kuch dino ke liye gayi thi na…kya hua…Sab thik toh hai?....

Azka Azlan ki taraf dekhti hai…

Azlan: haan mom…maine toh kaha tha ki ye rehle wahan kuch din par iska mann hi nahi lag raha tha toh main le aaya…

Azka gasps in horror…unhone sari baat uspe daal di…She starts staring him and he just smiles….

Mom: Azlan mujhe pta hai ki tum hi usko zabardasti le aaye ho…jis tarah aaye the na tum hairan preshan ghar toh mujhe pta tha ki tumne usko rehne hi nahi dena wahan…

Azlan then smiles at his mom…unhe hamesha pta chal jata hai…Azka sighs in relief…


Azlan Azka ka wait kar raha hota hai room mei …. Vo bahut khush hota hai ki finally unke bich ki sari problems khatam ho gayi…par use sabr se kaam lena hoga...vo koi jaldi nahi kar sakta…Azka comfortable nahi hogi…vo toh vaise hi nervous ho jati hai…but he feels very excited and eagerly waits for her...

Azka room ke bahar hoti hai aur kafi nervous hoti hai...pehli baar thodi hai ..vo itne dino se yahan reh rahi hai...par ab baat kuch aur hai...She takes a deep breath and enters the room...vo use dekhke khush ho jata hai…Azka also smiles at him par fir vo couch par jake beth jati hai…aur vo hairan ho jata hai…

Azlan: Azka tum wahan kyun chali gayi…idhar aa jao …

Azka: Nahi…vo main yahan thik hu …Aap aaram se so jayein…

Azlan: bilkul bhi nahi...mere paas aao yahan...

Azka was already feeling very nervous….so she shakes her head in no....

Azlan: Tum ghabra rahi ho kya…Main kuch nahi kar raha ...aa jao…

Azka: Main kyun ghabraungi…. Aur aap kuch kar bhi nahi sakte…

Azlan: Tum challange kar rahi ho mujhe....

Azka uski taraf dekhti hai ...he was staring at her…nahi mera matlab tha ki main aisa kuch nahi soch rahi....

Azlan: Yahan aao na fir…

Azka: Nahi….

Azlan: ok fir main mom ko bol rha hu ki tum mujhse naraaz ho aur mere paas nahi aa rahi...

Azka hairani se Azlan ki taraf dekhti hai ...aap apni mom ko aisa kaise keh sakte hain...

Azlan: Main keh sakta hu...Aazma lo...

Azka: Toh main unhe keh dungi aap mujhe preshan kar rahein hai..

Azlan smiles at Azka...Then she understands the meaning of her own words..mera matlab...

Azlan: Aa jao Azka...tum kuch nahi bol paogi...

Azka khadi hoti hai aur wahan aati hai ...Aap apni jagah pe jayein…..

Azlan: Main apni jagah pe hi hu....then he takes her hand and lowers her on the bed ..she sits beside him but still tries to keep a distance..

Azka: Aap please udhar ho jayein na…

Azlan: kyun...main kyun jaun...mera bed hai….

Azka: Toh aap so jayein ...mujhe kyun keh rahein hai...apki jagah hai na...

Azlan: haan toh tumhara bhi hai... aur Jahan meri jagah hai vahin tumhari jagah hai…

Azka kuch nahi kehti…

Azlan: Azka tumhe iss sab se koi preshani toh nahi…

Azka uski taraf dekhti hai par kuch bolti nahi….

Azlan: Mujhe us waqt gussa aa gya tha ki tum samajh nahi rahi aur talaak mange ja rahi ho…sorry maine tumse khula ka kaha…tumhe kafi preshan kar diya tha maine….mujhe pta hai tumhare liye mushkil faisla tha chahe khula ka ho ya mere sath rehne ka…hamare past mei kafi kuch hua hai aur tum ekdum se toh sab kuch bhula nahi sakti…contract toh maine hi kiya tha…aur tumhe bhi pressurize kar diya tha…

Azka: Muje pta hai aap mujhe majboor nahi karna chah rahe the…sorry maine aapko itna sab keh diya….main bas thoda preshan ho gayi thi…par main aapko hamare past ke basis pe judge nahi karti…mujhe pta hai us waqt hamare bich kafi kuch issues the…par ab aisi koi baat nahi hai …Us waqt aapki bhi majboori thi..aur maine apni marzi se aapki baat maani thi toh aap vo sab mat sochiye…main hairaan thi iss sab se…mujhe nahi pta tha ki aapke dil mei kya chal raha hai…

Azlan smiles at her…

Azka: Aapne mujhse nahi janna chahte ki mere dil mei kya hai?...

Azlan: hmm….chahta hu…aur kafi had tak samajh bhi gya hu….par tum mujhe tab btana jab tum khud kehna chaho…koi jaldi nahi hai….

Azka smiles…He holds her hand and starts caressing it…..Azka ko kuch samajh nahi aata ….she keeps looking at her hand but does not look at him…he kisses her hand…She immediately pulls her hand aur vo uthne lagti hai...toh Azlan use wapas apne kareeb khich leta hai…She tries but he holds her by her waist...

Azka: Ye aap kya kar rahe hain…

Azlan koi jawaab nahi deta...he comes closer to her...she just closes her eyes….he kisses on her left cheek and then moves to the right and kisses there also. Azka was fisting his tshirt in her hands...he wanted to kiss her on her lips but stops himself...Will it be too soon? he could hear her fast heartbeats....he just hugs her tightly...She melts in his arms...Then he loosens his grip and looks at Azka...she has her eyes down and her cheeks are rosy...He smiles looking at her...

Azlan: Azka….

Azka uski taraf dekhti hai unka eye contact hota hai..but fir niche dekhne lag jati hai...

Azlan: Ab kya ho gya..meri taraf dekho na please....maine toh abhi kuch kiya bhi nahi...aur tumhari ye haalat ho gayi hai...

Azka’s senses are all gone...abhi jo bhi hua ...Azlan Sahab aur vo... par vo uske husband hain.. aur unka pura haq hai uspe....bhabhi ne bhi toh yahi kaha tha...unke bich sab kuch sahi hai…hmmm…aur use unka kareeb aana achha bhi lagta hai…

Azlan: Kahan kho gayi…

Azka: Ji…

Azlan: Kya sochne lagi ho tum...dhyan kahan hai tumhara…main yahan hu tumhare saamne….

She looks at their position...Azlan still has his hands around her waist and they are so close to each other..she tries to get way but Azlan pulls her close...

Azlan: Kya kar rahi ho tum ye…

Azka: Aap kya kar rahein hain…

Azlan: Maine kya Kiya hai….

Azka: Vo aapko pta hai…ab chhodiye mujhe…

Azlan: Achha thodi der pehle tumse kuch nahi bola ja raha tha...ab mujhe suna Rahi ho...tab toh tum mujhe chhod nhi rahi thi..

Azka: kitna jhoot bolte hain aap ..aapne mere sath khud...

Azlan: kya maine kya…

Azka: aap bas chhode mujhe ab....mujhe Sona hai…

Azlan: Par mujhe nahi Sona...aur main tumhe sone nahi dunga aise…

Azka: kya karna hai aapko itni raat ko…

Azlan smiles...so she gets more nervous…he notices that…

Azlan: Achha tumhe galat toh nahi lag raha na…ab toh sab sahi hai na hamare bich…

Azka nods in yes...

Azlan: toh can I kiss you there ...signing towards her lips

Her face gets heated….

Azlan: kar lu? Batao na….

Azka koi jawaab nahi deti....So he goes little closer to her and she closes her eyes...Azlan takes it as a yes and then captures her lips with his....A current pass through both of their bodies. He starts to kiss her slowly...Azka was still...she was gripping his shoulders...Azlan keeps on kissing her..After some time she starts reciprocating and following his lips movements ...Azlan then starts to kiss her more passionately...and her fingers find purchase in his hairs….they keep on kissing each other for sometime....Then out of breath...they depart ..Azlan looks at her face...She was breathing hard..her face was red… He smiles...Azka was feeling very shy ...she hides her face in his chest...he hugs her...

After sometime.. he looks at her face...She was still in his arms….

Azlan: Azka…thik to tum…

Azka: Hmm…

He leaves her and gives her space to lie down...Azka lies down and he also lies down beside her..but fir vo Azka ko apni aur khichta hai aur usko hug kar leta hai...Azka does not protest and snuggles against his chest ..he feels delighted and kisses her head....

In the morning....Azka wakes up first and finds herself wrapped against his body...he was all over her...she tries to loosen herself but Azlan says sleepily...kya kar rahi ho...so jao...

Azka: Vo mujhe uthna hai...subah ho gayi hai...

Azlan opens her eyes and look at her...he smiles..

Azlan: thodi der aur ruk jao...he hugs her tightly...and then starts placing small kisses on her cheeks…

Azka feels very shy… kya kar rahein hain aap...chhodiye bhi…

Azlan: Kya ho gya...subah subah aisi batein kyun kar rahi ho...kabhi kuch karne bhi diya karo..

Azka: Aap kaunsa meri baat sunte hain…

Azlan looks at her and says toh aur kya karu...tum toh kuch karogi nhi...

Azka: Maine kya karna hai ..

Azlan: Jo main kar raha hu….

Azka: Nahi...please aap mujhe jaane dijiye...time ho gaya hai…aapko bhi office jana hai…please..

Azlan: Achha jao ..we will continue later…

Azka jaldi se chali jati hai wahan se and he smiles..itni sharmili biwi mili hai usko...

After breakfast...Vo use bahar tak chhodne jati hai...Azlan immediately holds her…Azka ghabra jati hai...Aap ye kya...koi dekh lega...please…

Azlan: Koi nahi dekh raha...Aur dekhle toh kya..you are my wife…

Azka: Nahi please... Jaane dijiye na…

Azlan: Pehle Mujhe kiss karne do…

Azka: .abhi nahi….

Azlan: fir raho aise hi...Mujhe koi fark nahi padhta..you know that…

Azka idhar udhar dekhti hai .. and then nods….

Azlan khush ho jata hai ..he lowers his face and proceeds to kiss her lips but Azka turns her face and he ends up kissing her cheeks...

Azlan: Azka ...ye galat baat hai…

Azka: kya galat baat hai...

Azlan: thik hai raat ko bataunga tumhe ….he then smacks her lips quickly and goes to office..

A smile appears on her face...She feels very happy and content... Usne kabhi nahi socha tha that they both can be husband and wife in real but destiny has its own way to get the things done…

Azlan bhi bahut khush hota hai ..kal raat vo kafi Chen ki neend soya...Kash uski har raat aise hi gujre Azka ke sath...uske itne kareeb…finally everything is falling in its place….

Azlan calls her in the afternoon....

Azka: Hello...

Azlan: Hmm...kya kar rahi thi...

Azka: Kuch nahi...bas abhi aunty ke paas se aayi thi...

Azlan: Achha ...mujhe miss nahi kar rahi thi?

Azka feels shy hearing this...Kya bole vo ab...hmesha ye hi sawaal puchhte hain usse...

Azka: Aap subah hi toh office Gaye hain...

Azlan: Toh usse kya hota hai...it's noon...main toh kar raha hu...

Azka: Aap toh busy hote hain na...toh koi kaam nahi hai....

Azlan: Hai....par mera mann nahi kar raha na...

Azka: achha...aapne kyun phone Kiya mujhe...kya kaam hai...

Azlan: Kya kaam hai?... really Azka?....ye tumhare sawaal abhi tak nahi badle...mujhe kya kaam hoga sivaye iske ki main tumse baat karna chahta hu...tum toh zara bhi romantic nahi ho...

Azka: Accha boliye aapko kya bolna hai...main sun rahi hu...

Azlan: Bas sunte hi rehna tum...khud bhi kuch keh diya karo...

Azka: Kya kahu main aapse ..

Azlan: Jo tum kehna chaho ..ki tumhara mere bina Mann nahi lag raha ..tum chahti ho main abhi Ghar aa jaun aur tumse bahut Sara pyar karu...aur bhi bahut kuch keh sakti ho...

Azka koi jawab hi nahi deti..Ye sab toh vo kabhi nahi bol payegi...

Azlan: ab phir Sharma gayi tum....kya karu main tumhara....

Azka: Aapko pta toh hai fir Mera...

Azlan: Hmm....vo toh mujhe pta hai...tum kuch nahi bologi...main khud hi samajh liya karu...

Azka: Achha aapne lunch kar liya...

Azlan: Nahi abhi nahi kiya ...time nahi Mila tha ..

Azka: Aap time par kyun nahi lunch karte...abhi kariye fir ..

Azlan: Tumhe meri chinta ho rahi hai ?...

Azka: Haan toh nahi honi chahiye kya...

Azlan: ummm....honi chahiye ..main kar lunga thodi deir mei...

Azka: Achha ab aapse sham ko mulaqat hoti hai....aap lunch kijiye aur apna kaam jaldi khatam karein...

Azlan: Toh tum chahti ho main jaldi ghar aa jaun?

Azka smiles hearing that ..haan yahi samajh lijiye

Azlan feels good ....ok main aa jaunga...

Azlan ghar aake room mei jata hai toh Azka wahan nahi hoti...toh he goes to change and then lounge mei aa jata hai….

Azka wahan bethi phone pe baat kar rahi hoti hai....Phone pe Zain hota hai...Vo Azlan ko notice nhi karti….

Azka: Main kyun tumhare sath dinner pe jaun....Kya occasion hai….

Zain: Kyun isme kya ajeeb baat hai....we are colleagues ....and friends…

Azka: Aur kaun aa raha hai?....

Zain: Aur kisne aana hai ...sirf tum aur main….

Azka: Sirf hum.... Occasion kya hai……

Zain: Mujhe tumse kuch baat karni hai…..

Azka: I am joining in few days...tab kar Lena apni baat...Main sach me bahut busy hu... specifically nahi aa sakti …ok.....

Azlan sari baat sun raha hota hai aur use bahut gussa aata hai...Vo Zain Azka ko bahar bulana chahta hai akele dinner pe...Aur Azka ko kya interest hai uski baton mein...use kya samajh nahi aa rha ki Zain kya chah rha hoga....Vo upset ho jata hai….

To be continued❤️❤️❤️

Edited by kamleshmehra - 3 years ago

Related Topics

Pakistani Serials Thumbnail

Posted by: anikamathur

1 years ago

Faraar (GREEN) - Hamza Ali Abbasi, Sohai Ali Abro, Ahmed Ali Akbar

Hamza Ali Abbasi and Sajal Ali To Pair Up For A New Drama Titled Farar after 5 years 👇🏻👇🏻...

Expand ▼
Pakistani Serials Thumbnail

Posted by: anikamathur

8 months ago

Dastak (ARY) - Ali Raza, Feroz Qadri, Sohai Ali Abro

Ali Raza and Sohai Ali Abro to do a New Drama titled Dastak Directed by Marina Khan and Produced by Humayun Saeed Through Six Sigma...

Expand ▼
Pakistani Serials Thumbnail

Posted by: anikamathur

6 months ago

Sunn Mere Dil (GEO) #13 - Wahaj Ali, Maya Ali, Hira Mani Sunn Mere Dil (GEO) #13 - Wahaj Ali, Maya Ali, Hira Mani

This is The Part 13 Thread For Geo's Hit Drama Sunn Mere Dil...

Expand ▼
Pakistani Serials Thumbnail

Posted by: awida

2 years ago

The Pink Shirt (Zee5) - Wahaj Ali, Sajal Ali

#JustIn after giving us superhit shows like #DarrSiJatiHaiSila and #RaqeebSe The writer-director duo #BeeGul and #KashifNisar paired up for...

Expand ▼
Pakistani Serials Thumbnail

Posted by: SherDilNetaji

7 months ago

Yumna-Wahaj {YUMHAJ/MEERASIM} AT#3

WELCOME TO THE YUMHAJ / MEERASIM AT #3 HELLO EVERYONE 🤗 FOR SHOW WE HAVE THE DT, SO PLEASE REFRAIN FROM DISCUSSING ANY SEQUENCE OF THE SHOW...

Expand ▼
Top

Stay Connected with IndiaForums!

Be the first to know about the latest news, updates, and exclusive content.

Add to Home Screen!

Install this web app on your iPhone for the best experience. It's easy, just tap and then "Add to Home Screen".